Ghazal

by F.H.SIDDIQUI on April 23, 2011, 07:51:38 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1222 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Kiya na kaun jatan tujh ko bhool jaane ka ,
Bhula na paaya magar til tere dahaane ka

Kisi ne khel ke tora, kisi ne thukraya,
Hamara dil bhi khilona hai aath aane ka

Tarap ke khana-i-saiyaad per giri Bijlee,
Laga na paa'i pata mere ashiya'ne ka

Masal ke phool, wo kaa'nto.n ko bosa dete hai.n ,
Ajab tareeqa nikaala hai dil jalaane ka

Na laaya Harf-e shika'yat kabhi zubaa.n pe Hasan,
Hamesha Huns ke sahaa har sitam zamaane ka
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
a ghazal by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
ghazal by roomaharis in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ghazal by Pooja in Ghazals
~~Ghazal~~ by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
ghazal by sky_web2005 in Ghazals
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #1 on: April 23, 2011, 04:12:02 PM »
Reply with quote
wah wah ji
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: April 24, 2011, 11:16:04 AM »
Reply with quote
Shukriya KB Saheb.Hausla afzai ke liye aur un khoobsoorat ashaar ke liye bhi jinho.n ne maazi ki kuchh yaadei.n phir taaza kar dee.n...FHS
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #3 on: April 25, 2011, 07:44:59 AM »
Reply with quote
Janab F H Siddiqui Saheb! Tasleem o Niyaaz!
Aik bahut hi me-aari aur classical ghazal se nawazah aapne. Kya ye ghazal aapki hai aur agar ye aapki hai to aur bhi taareef ke qaabil haiN aap woh is liye ke maujudah zamaane meiN is tarah ki classiki shayari karne waale taqreeban naaped se ho chale haiN, baharhaal dil ki gahraaiyon ke saath hazaroN daad qubul kijiye aapni is behud khoobsurat lazawaal ghazal ke liye.

(waquif ansari)

Kiya na kaun jatan tujh ko bhool jaane ka ,
Bhula na paaya magar til tere dahaane ka

Kisi ne khel ke tora, kisi ne thukraya,
Hamara dil bhi khilona hai aath aane ka

Tarap ke khana-i-saiyaad per giri Bijlee,
Laga na paa'i pata mere ashiya'ne ka

Masal ke phool, wo kaa'nto.n ko bosa dete hai.n ,
Ajab tareeqa nikaala hai dil jalaane ka

Na laaya Harf-e shika'yat kabhi zubaa.n pe Hasan,
Hamesha Huns ke sahaa har sitam zamaane ka
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: April 25, 2011, 03:52:08 PM »
Reply with quote
Janab Waquif Ansari Saheb,Adaab!
Jin mohabbat bhare alfaaz mei.n aap ne tabsira aur hausla afzai ki hai ,uske liye main behad mashkoor hoo.n.Mai.n nahi.n jaanta ki yeh ghazal waqai kisi laiq hai ,lekin yeh meri ek purani ghazal hai jise ab doston se share karne ki jasarat kar raha hoo.n.Tukbandi karte karte agar kuchh achhe ashaar ho gaye hai.n to ye meri qismat...aur agar aap ko pasand aaye to yeh aap ki mohabbat...Bahut bahut Shukriya is naacheez ki himmat afzai ke liye. FHSIDDIQUI
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: April 28, 2011, 10:40:36 AM »
Reply with quote
Wah..wah..kya baat hai..Raqeeb
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #6 on: April 29, 2011, 01:43:12 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #7 on: April 29, 2011, 01:43:31 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: April 29, 2011, 02:32:55 PM »
Reply with quote
Raqeeb Saheb,Niha Sahiba , Himmat Afzai ke Liye Ek baar phir bahut bahut Shukriya...FHSiddiqui
Logged
Yaash
Guest
«Reply #9 on: April 29, 2011, 05:55:36 PM »
Reply with quote
Wah Bohat Achhey Janab Siddiqui Saheb
Is Khoobsurat Ghazal Pe Dilse Mubaraqbad Aur Dad Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: May 01, 2011, 08:22:12 AM »
Reply with quote
Tah-e-dil se shukriya,Yaash ji-FHSiddiqui
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #11 on: May 01, 2011, 08:44:08 AM »
Reply with quote
Kiya na kaun jatan tujh ko bhool jaane ka ,
Bhula na paaya magar til tere dahaane ka

Kisi ne khel ke tora, kisi ne thukraya,
Hamara dil bhi khilona hai aath aane ka

Tarap ke khana-i-saiyaad per giri Bijlee,
Laga na paa'i pata mere ashiya'ne ka

Masal ke phool, wo kaa'nto.n ko bosa dete hai.n ,
Ajab tareeqa nikaala hai dil jalaane ka

Na laaya Harf-e shika'yat kabhi zubaa.n pe Hasan,
Hamesha Huns ke sahaa har sitam zamaane ka


bahut khoob ashar se nawaza hai iss ghazal ko. SIDDIQUI SAHAB
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: May 01, 2011, 01:44:31 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Shukriya...Bahayaat saheb.Aap ko Marhoom likh nahi.n sakta.Bus yehi dua karta hoo.n ki meri tooti phooti shayeri aap ki mohabbat se kabhi mahroom na rahe.Khush Rahiye.FHSiddiqui
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:18:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer