Ghazal toh ek bahana hua hai..................................................Aqsh.

by aqsh on May 27, 2013, 12:08:36 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1974 times)
aqsh
Guest
Reply with quote
Yeh unki muhabbat hai, ya phir deewangi hai
Unke qadmoN ki aahat se, saansoN meiN rawaangi hai.



Kaise na kahooN ke, dil tera deewana hua hai
Bin tere mehfil bhi jaise, veerana hua hai

Din toh dhal jaata hai, par jab shaam hoti hai
Kamre ki khidki hi, mera thikana hua hai

Woh jaate jaate tera, ek dam palatkar dekhna
In qatil adaaoN ka, mera dil bhi nishaana hua hai

Nihaarte rehti hooN main, tujhe apne chilman se
Dil jab se hai mile, bas dushman zamaana hua hai

Nasha teri aankhoN meiN, kuch aisa hai jaana
Qatre qatre ko tarasta, laboN ka paimana hua hai

Qaid kar looN main in lamhaat ko, apne kalam se “Aqsh”
Ke tujhe gungunaane ka, ghazal toh ek bahaana hua hai

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bahana by Sonu in Shayri-E-Dard
bahana by jassi_deewana in Shayri-E-Dard
ek aur bahana by Neisha in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jeena aik bahana he by mazHur in Ghazals
Bahana by satish-Aman in Ghazals
nashwani
Guest
«Reply #1 on: May 27, 2013, 12:42:36 PM »
Reply with quote


Who jaate jaate tera, ek dam palatkar dekhna
In qatil adaaoN ka, mera dil bhi nishaana hua hai

Nasha teri aankhoN meiN, kuch aisa hai jaana
Qatre qatre ko tarasta, laboN ka paimana hua hai

Qaid kar looN main in lamhaat ko, apne kalam se “Aqsh”
Ke tujhe gungunaane ka, ghazal toh ek bahaana hua hai




waah aqsh jee waah..bahut khoob ehsaas rahe..dheron daad..happy9
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: May 27, 2013, 12:49:46 PM »
Reply with quote
bahut behatreen peshkash hai meree dili daad qubool keejiye aur sab band darwaaze kholiye main to msg ksr ke daad denaa chahtaa thaa par bahut dino se tumne pm block kar diye pataa naheen kyon
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: May 27, 2013, 12:54:39 PM »
Reply with quote
Yeh unki muhabbat hai, ya phir deewangi hai
Unke qadmoN ki aahat se, saansoN meiN rawaangi hai.



Kaise na kahooN ke, dil tera deewana hua hai
Bin tere mehfil bhi jaise, veerana hua hai

Din toh dhal jaata hai, par jab shaam hoti hai
Kamre ki khidki hi, mera thikana hua hai

Who jaate jaate tera, ek dam palatkar dekhna
In qatil adaaoN ka, mera dil bhi nishaana hua hai

Nihaarte rehti hooN main, tujhe apne chilman se
Dil jab se hai mile, bas dushman zamaana hua hai

Nasha teri aankhoN meiN, kuch aisa hai jaana
Qatre qatre ko tarasta, laboN ka paimana hua hai

Qaid kar looN main in lamhaat ko, apne kalam se “Aqsh”
Ke tujhe gungunaane ka, ghazal toh ek bahaana hua hai



aqsh ji khayaal ke taur pe kahun to doosra sher dil ke kaafi qareeb raha... Par technicalities me kamiyaaN haiN... pehla mere khayaal se mehfil ka gender female hoga, aur doosra, veeraana aur deewana -22x honge jabki thikaana, nishana, bahana aur zamana, 12x rahenge, x maine flexiblity ke liye likha hai, to ek baar ghazal pe fir se gaur kar leN...!! Chahunga, ki hasan saaheb aur saini saaheb jaise aalaa shoraa gar mujhe sudhaar deN, agar main kahin galat keh gaya huN to...

Is kosish ke liye meri taraf se daad, umeed karta hun aap aage v apna mashq jaari rakhengi...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: May 27, 2013, 12:55:09 PM »
Reply with quote
nice aqsh . bahut mubarakbad.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #5 on: May 27, 2013, 12:58:28 PM »
Reply with quote
Waah,waah!
kya baat hai,i think aap un likhne waale logon me hai jo ek baar kalam uthaate hain
aur kalaam poora likh dete hain.
ye quality bahut kum logon me hoti hai.
Great work,nice feelings!
dheron daad!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #6 on: May 27, 2013, 01:01:37 PM »
Reply with quote
Yeh unki muhabbat hai, ya phir deewangi hai
Unke qadmoN ki aahat se, saansoN meiN rawaangi hai.



Kaise na kahooN ke, dil tera deewana hua hai
Bin tere mehfil bhi jaise, veerana hua hai

Din toh dhal jaata hai, par jab shaam hoti hai
Kamre ki khidki hi, mera thikana hua hai

Who jaate jaate tera, ek dam palatkar dekhna
In qatil adaaoN ka, mera dil bhi nishaana hua hai

Nihaarte rehti hooN main, tujhe apne chilman se
Dil jab se hai mile, bas dushman zamaana hua hai

Nasha teri aankhoN meiN, kuch aisa hai jaana
Qatre qatre ko tarasta, laboN ka paimana hua hai

Qaid kar looN main in lamhaat ko, apne kalam se “Aqsh”
Ke tujhe gungunaane ka, ghazal toh ek bahaana hua hai



Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bhut khub aqsh ji..
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #7 on: May 27, 2013, 01:07:58 PM »
Reply with quote
Yeh unki muhabbat hai, ya phir deewangi hai
Unke qadmoN ki aahat se, saansoN meiN rawaangi hai.



Kaise na kahooN ke, dil tera deewana hua hai
Bin tere mehfil bhi jaise, veerana hua hai

Din toh dhal jaata hai, par jab shaam hoti hai
Kamre ki khidki hi, mera thikana hua hai

Who jaate jaate tera, ek dam palatkar dekhna
In qatil adaaoN ka, mera dil bhi nishaana hua hai

Nihaarte rehti hooN main, tujhe apne chilman se
Dil jab se hai mile, bas dushman zamaana hua hai

Nasha teri aankhoN meiN, kuch aisa hai jaana
Qatre qatre ko tarasta, laboN ka paimana hua hai

Qaid kar looN main in lamhaat ko, apne kalam se “Aqsh”
Ke tujhe gungunaane ka, ghazal toh ek bahaana hua hai


wow zabardast likha hai aqsh ji ,,kya baat hain bohut dino baad padhne ko mili hai apki ghazal ..very nice


 Clapping Smiley
 Clapping Smiley
 Clapping Smiley
 Clapping Smiley
 Clapping Smiley
Logged
mkv
Guest
«Reply #8 on: May 27, 2013, 01:14:22 PM »
Reply with quote
Din toh dhal jaata hai, par jab shaam hoti hai
Kamre ki khidki hi, mera thikana hua hai : BAHUT BAHAT KHOOB..Kamre ki khidki...wah wah wah..kya khayaal hai

Nihaarte rehti hooN main, tujhe apne chilman se
Dil jab se hai mile, bas dushman zamaana hua hai

Qaid kar looN main in lamhaat ko, apne kalam se “Aqsh”
Ke tujhe gungunaane ka, ghazal toh ek bahaana hua hai

Bahut khoobsurat ghazal Aqsh jee..
dhamaakedaar peshkash
Logged
aqsh
Guest
«Reply #9 on: May 27, 2013, 01:26:58 PM »
Reply with quote
waah aqsh jee waah..bahut khoob ehsaas rahe..dheron daad..happy9
bahut bahut shukriya nashwani ji.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: May 27, 2013, 01:40:46 PM »
Reply with quote
thnx saini sir.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #11 on: May 27, 2013, 01:45:02 PM »
Reply with quote
shukriya bahut bahut taish ji. aage khayaal rakhoongi...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #12 on: May 27, 2013, 01:51:50 PM »
Reply with quote
nice aqsh . bahut mubarakbad.
shukriya aapka bahut bahut hasan ji.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #13 on: May 27, 2013, 01:54:08 PM »
Reply with quote
Waah,waah!
kya baat hai,i think aap un likhne waale logon me hai jo ek baar kalam uthaate hain
aur kalaam poora likh dete hain.
ye quality bahut kum logon me hoti hai.
Great work,nice feelings!
dheron daad!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
housla afzai ka bahut bahut shukriya kaash ji.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #14 on: May 27, 2013, 01:54:54 PM »
Reply with quote

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bhut khub aqsh ji..
thnx rajan ji..
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:24:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer