"Ghazal tujhko kehne"

by aaina on September 12, 2009, 04:03:05 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2216 times)
aaina
Guest
Reply with quote
Hum mohabbat mai jeene ka asar kyu.n daikhe.n
Tujhko bata ey qatil e nazar kyu.n daikhe.n

Hum to chalte hain, ke chalna hamra kaam
Hum musafir hain meel ka pattar kyu.n daikhe.n

Jo doobna hai to teri aankho mai doobenge
Hasrat bahri nazro.n se samandar kyu.n daikhe.n

Ye jaante hain ke tara aakhri khat tha wo
 Nigahen daikhen raasta tera, magr kyu.n daike.n

Jo ja rhe hain tujh se door to jaane dey
Qadam bad na payenge, palatkar kyu.n daike.n

Ghazal tujhko kehene ke tareeqe hain bhut
Radeef qafiya ya phir behr kyu.n daikhe.n
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chain game b/w "guys" & "gals" by bnasir in The forum only for "Forum Gaming" « 1 2 ... 205 206 »
""Hamein Jab Alwida Kehne Lago"" by angel4u in Shayri-E-Dard
"aaj kehne ko nahi kuch sunne ko jee karta hai" by aaina in Ghazals
'kaise tujhko bhula du.n" by aaina in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ghazal: kaaSh dunyaa meiN ye "kaaSh" na hotaa..! by DhavalRami in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: September 12, 2009, 04:10:17 AM »
Reply with quote
Wah Wah Bahut Khooooooob Aslam Bhai.. Behad Lajawab Gazal Likhi hai Aapne.. Khaas kar Lafzon Ka Jis Khubsoorati se Sajaaya hai aapne.. Usse Is Gazal Ki Khubsoorati me Chaar-chaad lag gaye Hain..! Bahut Bahut Khoooooooooob Bhai.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
musaafirhon
Guest
«Reply #2 on: September 12, 2009, 04:18:31 AM »
Reply with quote
Bahoth Qoob , Aslam Sahab , Bahoth UMda 3rd ashar hame behad pasand aya , yunhilikhte rahen app , Khuda apko khush rakhe !!


Qadeertoopchi
Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: September 12, 2009, 05:42:52 AM »
Reply with quote
Wah Wah Aap to hamesha se hi behtreen likhte hai janab..waqai rooh ko aaram dete hai aapke lafz..bahut bhadiya.. Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley

Shally.

Logged
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #4 on: September 12, 2009, 05:45:11 AM »
Reply with quote
aa--ha-aha wah wah kya baat ahi aaina ji,bahut koob. kya farmaya aapne ki"ghazal kahne ke---------radiff kafiya aur behr kyon denkhen"
Main aapko ye kahna chata hoon ki yo india mein maine jitni ghazla abhi tak padi hai, un sab main ye ghazal sabse behtar,azeem ,taza,original aur pure metre  ke sath hai, aur badiya aur behtar misre aapse padne ko milenge,insha allaha,
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #5 on: September 12, 2009, 06:02:13 PM »
Reply with quote
Hum mohabbat mai jeene ka asar kyu.n daikhe.n
Tujhko bata ey qatil e nazar kyu.n daikhe.n

Hum to chalte hain, ke chalna hamra kaam
Hum musafir hain meel ka pattar kyu.n daikhe.n

Jo doobna hai to teri aankho mai doobenge
Hasrat bahri nazro.n se samandar kyu.n daikhe.n

Ye jaante hain ke tara aakhri khat tha wo
 Nigahen daikhen raasta tera, magr kyu.n daike.n

Jo ja rhe hain tujh se door to jaane dey
Qadam bad na payenge, palatkar kyu.n daike.n

Ghazal tujhko kehene ke tareeqe hain bhut
Radeef qafiya ya phir behr kyu.n daikhe.n

Wah wah wah AB its amezing really bohat hi achi hai mujhe har sher pasand aaya bohat very very nice... Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley
Logged
kameeney
Guest
«Reply #6 on: September 12, 2009, 08:58:25 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

BAHUT KHOOB AAINA JI
Logged
aaina
Guest
«Reply #7 on: September 13, 2009, 01:11:36 AM »
Reply with quote
Wah Wah Bahut Khooooooob Aslam Bhai.. Behad Lajawab Gazal Likhi hai Aapne.. Khaas kar Lafzon Ka Jis Khubsoorati se Sajaaya hai aapne.. Usse Is Gazal Ki Khubsoorati me Chaar-chaad lag gaye Hain..! Bahut Bahut Khoooooooooob Bhai.. Applause Applause


**~** Mann **~**



thnxxxxxxxx dear mann is hosla afzaaai ka bhut bhut shukriya zarra nawaazi hai dear tumhaari ke aise kalaam ko bhi intna nawaate ho thnxxxxxxxx again
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: September 13, 2009, 01:12:57 AM »
Reply with quote
Bahoth Qoob , Aslam Sahab , Bahoth UMda 3rd ashar hame behad pasand aya , yunhilikhte rahen app , Khuda apko khush rakhe !!


Qadeertoopchi




qadeer bhai bhut shukriya aapka youn hi sath daite rahiye
Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: September 13, 2009, 01:15:09 AM »
Reply with quote
Wah Wah Aap to hamesha se hi behtreen likhte hai janab..waqai rooh ko aaram dete hai aapke lafz..bahut bhadiya.. Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley

Shally.






zahe naseeb ke aapka ither se guzar hua bhut bhut shukriya ke apne bande ki ghazal ko saraha, is hosla afzaai ka bhut bhut bhut shukrya
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: September 13, 2009, 01:21:28 AM »
Reply with quote
aa--ha-aha wah wah kya baat ahi aaina ji,bahut koob. kya farmaya aapne ki"ghazal kahne ke---------radiff kafiya aur behr kyon denkhen"
Main aapko ye kahna chata hoon ki yo india mein maine jitni ghazla abhi tak padi hai, un sab main ye ghazal sabse behtar,azeem ,taza,original aur pure metre  ke sath hai, aur badiya aur behtar misre aapse padne ko milenge,insha allaha,


saaz sahab kyun meri qaza bulwaana chahte hain aap, mashallah se yahan sab hi bhut ahcay likhne waale hain aur bhut acha likhte hain ye mehez ittefaaq hoga ki aapko meri ghazal kuch ziyda hi achi lag gayi wagrna mashallah yo pe aapni apni zameen ke sab hi mahir hain, apka kin alfaazo.n mai shukrya ada karun aapne jin mohabbat bhare alfaazo.n se nawaaza hai uska behad mamnoo hu.n inshallah koshish rahegi ke aage bhi aisa hi kuch likho.n, ek baar phir tahe dil se aapka shukurguzaar hun ki aapne hosla afzaai ki.
Logged
aaina
Guest
«Reply #11 on: September 13, 2009, 01:22:09 AM »
Reply with quote
Wah wah wah AB its amezing really bohat hi achi hai mujhe har sher pasand aaya bohat very very nice... Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley


thnxxxxxxxxx so much K4P..................
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: September 13, 2009, 01:22:59 AM »
Reply with quote
Wah wah Aslam ji,lovely gazal,bahut khoob mindblowing creation excellent. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: September 13, 2009, 01:24:53 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

BAHUT KHOOB AAINA JI


aap jo bhi hain aapka naam laine mai aisa lagrha hai ki aapka shukrya ada nhi kya ja rha balke kuch aur kaha ja rha hai isliyn naam laine se parhaiz karte huway aapka shukriya ada karna chahta hu.n is hosla afzaai ka, thnxxx alot
Logged
aaina
Guest
«Reply #14 on: September 13, 2009, 01:25:49 AM »
Reply with quote
Wah wah Aslam ji,lovely gazal,bahut khoob mindblowing creation excellent. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


thnxxxxxxx so madhu ji for ur appriciation
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:01:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer