"Ghazal tujhko kehne"

by aaina on September 12, 2009, 04:03:05 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2171 times)
spicyanki1
Guest
«Reply #15 on: September 13, 2009, 11:28:06 AM »
Reply with quote
bahot khoob - zindabad - aslam sahab.

Sagar, mahasagar tu apne ghar ka hoga - or hua kar
hami.N kosi se hai anuraag, tere taraf kyu dekhe.N
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chain game b/w "guys" & "gals" by bnasir in The forum only for "Forum Gaming" « 1 2 ... 205 206 »
""Hamein Jab Alwida Kehne Lago"" by angel4u in Shayri-E-Dard
"aaj kehne ko nahi kuch sunne ko jee karta hai" by aaina in Ghazals
'kaise tujhko bhula du.n" by aaina in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ghazal: kaaSh dunyaa meiN ye "kaaSh" na hotaa..! by DhavalRami in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
deepika_divya
Guest
«Reply #16 on: September 13, 2009, 11:32:31 AM »
Reply with quote
Hum mohabbat mai jeene ka asar kyu.n daikhe.n
Tujhko bata ey qatil e nazar kyu.n daikhe.n

Hum to chalte hain, ke chalna hamra kaam
Hum musafir hain meel ka pattar kyu.n daikhe.n

Jo doobna hai to teri aankho mai doobenge
Hasrat bahri nazro.n se samandar kyu.n daikhe.n

Ye jaante hain ke tara aakhri khat tha wo
 Nigahen daikhen raasta tera, magr kyu.n daike.n

Jo ja rhe hain tujh se door to jaane dey
Qadam bad na payenge, palatkar kyu.n daike.n

Ghazal tujhko kehene ke tareeqe hain bhut
Radeef qafiya ya phir behr kyu.n daikhe.n

I m not finding word to appreciate but wana say its simply awesome fantastic... Beautiful Ghazal...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #17 on: September 13, 2009, 12:12:21 PM »
Reply with quote

bahut acha likha hai aaina ji..Clapping SmileyClapping Smiley

Mhbt tou har fiza mein behti hai,
hum mhbt ka safar kyun dekhe,
yahan tou sans lene ki fursat nhi..
hum mhbt mein jine ka asar kyun dekhe......
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: September 13, 2009, 12:34:52 PM »
Reply with quote
Hum mohabbat mai jeene ka asar kyu.n daikhe.n
Tujhko bata ey qatil e nazar kyu.n daikhe.n

Hum to chalte hain, ke chalna hamra kaam
Hum musafir hain meel ka pattar kyu.n daikhe.n

Jo doobna hai to teri aankho mai doobenge
Hasrat bahri nazro.n se samandar kyu.n daikhe.n

Ye jaante hain ke tara aakhri khat tha wo
 Nigahen daikhen raasta tera, magr kyu.n daike.n

Jo ja rhe hain tujh se door to jaane dey
Qadam bad na payenge, palatkar kyu.n daike.n

Ghazal tujhko kehene ke tareeqe hain bhut
Radeef qafiya ya phir behr kyu.n daikhe.n


Aslam Ji
, humare paas to lafz bhi nahin aapki ghazal ki shaan main likhen. Har lafz is ke aage pheeka sa hai. Bohot gehri bohot hi behtareen. Allah kare aap isi tarah apna qalam ka jadu chalate rahen, ameen.
Logged
aaina
Guest
«Reply #19 on: September 13, 2009, 09:21:40 PM »
Reply with quote
bahot khoob - zindabad - aslam sahab.

Sagar, mahasagar tu apne ghar ka hoga - or hua kar
hami.N kosi se hai anuraag, tere taraf kyu dekhe.N




kya baat hai spicyyanki1 sahab bhut khoob maza aaya pad kar, bhut bhut shukriya aapki is hosla afzaaii ka.
Logged
aaina
Guest
«Reply #20 on: September 13, 2009, 09:23:13 PM »
Reply with quote
I m not finding word to appreciate but wana say its simply awesome fantastic... Beautiful Ghazal...



thnxxxxx so much Sophi for ur beautifull words thnxxxxxxxx
Logged
aaina
Guest
«Reply #21 on: September 13, 2009, 09:24:10 PM »
Reply with quote

bahut acha likha hai aaina ji..Clapping SmileyClapping Smiley

Mhbt tou har fiza mein behti hai,
hum mhbt ka safar kyun dekhe,
yahan tou sans lene ki fursat nhi..
hum mhbt mein jine ka asar kyun dekhe......




bhut khoob BBL nd thnxxx so much.........................
Logged
aaina
Guest
«Reply #22 on: September 13, 2009, 09:28:26 PM »
Reply with quote

Aslam Ji
, humare paas to lafz bhi nahin aapki ghazal ki shaan main likhen. Har lafz is ke aage pheeka sa hai. Bohot gehri bohot hi behtareen. Allah kare aap isi tarah apna qalam ka jadu chalate rahen, ameen.



Aapki mohabbat hai Talat jo aap aisa keh rhi hain tahe dil se aapka mamnoo hu.n aapke pass to mahshallah se zakheera hai alfaazo.n ka lafz aapki khidmat mai sar e kham khade rhete hain ki kab unhe istemaal karen aap, ye to hum jaise logo.n ke liyn mushkil hai ki talaash karna padte hain khoye howay lafz, bhut bhut shukriya aapka jin alfaaz.on se aapne nawaaza hai, God bless U
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #23 on: September 13, 2009, 09:30:52 PM »
Reply with quote

u r alwayz welcome aaina ji..bahut acha likhte hai aap...Applause Applause
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:30:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer