Sonu
Guest
|
«Reply #15 on: October 12, 2006, 06:00:27 AM » |
|
jis mod par kiye the hum intejaaR barsoN us'se lipaT ke roye, deewana-waar barsoN
tum gulsitaN se aaYe zikRe khizaaN hilaaye humNe kafas meiN dekhi fasle bahaar barsoN
hoti rahee hai yuN to barsaat aasuOn kee uTh'Te rahe hain phir bhi dil se gubaaR barsoN
wo sang-e-dil tha koi begaana-e-wafa tha karte raheN hai jiska hum intezaar barsoN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #16 on: October 12, 2006, 06:01:42 AM » |
|
dil ke deewaroN dar pe kya dekha bas tera naam hi likha dekha
teri aankhoN meiN humne kya dekha kabhi qaatil kabhi khuda dekha
apnee soorat lagi paryee si jab kabhi humne aa'inah dekha
haaye andaaz tere ruKne ka waqt ko bhi ruKa ruKa dekha
tere jaane meiN aur aane meiN humne sadiyoN ka faasila dekha
phir na aaya khayaal zannat ka jab tere ghar ka raasta dekha
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #17 on: October 12, 2006, 06:02:48 AM » |
|
Dhal gaya aaftaaB ae saaqi la pila de sharaab ae saaqi
ya suraahi laga mere mooh se ya ulaT de naqaab ae saaqi
maikada choD kar kahaN jaaooN hai zamana kharaaB ae saaqi
jaam bhaR de gunaahgaarOn ke ye bhi hai ik sawaab ae saaqi
aaj peene de aur peene de kal karenge hisaab ae saaqi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #18 on: October 12, 2006, 06:04:29 AM » |
|
mere jaise ban jaOge jab ishq tumhe ho jaayega diwaroN se takraaOge jab ishq tumhe ho jaayega
har baat gawaara kar loge mannat bhi ukara loge tabeejeN bhi bandhwaaOge jab ishq tumhe ho jaayega
tanhaayee ke jhoole jhoolOge har baat puraani bhoolOge aayine se ghabraOge jab ishq tumhe ho jaayega
jab sooraj bhi kho jaayega aur chaand kahin so jaayega tum bhi ghar der se aaOge jab ishq tumhe ho jaayega
bechaiNi jab baDh jaayegi aur yaad kisi ki aayegi tum meri ghazaleN gaOge jab ishq tumhe ho jaayega
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #19 on: October 12, 2006, 06:26:01 AM » |
|
jabse hum tabah ho gaye tum jahan-panah ho gaye
husn par nikhaar aa gaya aayine se aah ho gaye
aandhiyoN ki kuch khata nahiN hum hi dard-e-raah ho gaye
dushmanoN ko chitthiyaN likho dosth khair-baah ho gaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #20 on: October 12, 2006, 06:27:22 AM » |
|
humko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe pyaar hi pyaar haiN hum humpe bharOsa keeJe
chand yaadoN ke siwa haath na kuch aayega is tarah uMr-e-gureza ka na peecha keeJe
roshni auroN ke aaNgaN meiN gawara na sahee kam se kam apne ghar meiN to uJaala keeJe
kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye roz palkoN pe nayee shamme jalaya keeJe
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #21 on: October 12, 2006, 06:30:33 AM » |
|
bahut dinoN kee baat hai fizaa ko yaad bhi nahiN ye baat aaj kee nahiN bahut dinoN kee baat hai
shabaab par bahaar thee fizaa bhi khush-gawaar thee naa jaane kyoon machal pada maiN apne ghar se chal pada kisi ne muJhko rok'kar badi adaa se Tok'kar kaha tha lauT aae'iye meri kasam naa jaai'iye
par muJhe khaBar na thee maahOl par nazar na thee naa jaane kyoon machal pada maiN apne ghar se chal pada maiN shehaR se phir aa gaya khayal thaa ke paa gaya us'e jo muJhse door thee magar meri zaroor thee
aur ik hasiN shaaM ko maiN chal paDa salaam ko gali ka rang dekh'kar nayee tarang dekh'kar muJhe baDi khushi huyee maiN kuch isi khushee meiN tha kisi ne Jhaank'kar kaha paraaye ghar se jaai'iye meri kasma na aai'iye
wahi haseeN shaam hai bahaar jiska naam hai chala hooN ghar ko choDkar na jaane jaaoonga kidhar koi nahiN jo Tok'kar koi nahiN jo Rok'kar kahe ke laut aai'iye meri kasam na jaai'iye
meri kasam naa jaai'iye ......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Gesu
|
|
«Reply #22 on: October 12, 2006, 01:31:03 PM » |
|
wah sonu ji bahut hi pyari gazals.......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Gesu
|
|
«Reply #23 on: October 12, 2006, 01:36:44 PM » |
|
dil ke deewaroN dar pe kya dekha bas tera naam hi likha dekha
teri aankhoN meiN humne kya dekha kabhi qaatil kabhi khuda dekha
apnee soorat lagi paryee si jab kabhi humne aa'inah dekha
haaye andaaz tere ruKne ka waqt ko bhi ruKa ruKa dekha
tere jaane meiN aur aane meiN humne sadiyoN ka faasila dekha
phir na aaya khayaal zannat ka jab tere ghar ka raasta dekha wah!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #24 on: October 13, 2006, 02:34:58 AM » |
|
Gessu ji bhaut bahut shukriya apko humari passend ki gazels achi lagi :oops: wah sonu ji bahut hi pyari gazals.......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #25 on: October 13, 2006, 02:37:15 AM » |
|
ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de ya chhalakti aanKhoN ko bhi patthar kar de
tuJhko dekha nahiN mehsoos kiya hai maine aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de
aur kuch bhi muJhe darkaar nahiN hai lekin meri chaadar mere pairoN ke baraabar kar de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #26 on: October 13, 2006, 02:38:08 AM » |
|
Ye to nahiN ke gam nahiN haaN meri aaNkh nam nahiN
tum bhi to tum nahiN ho aaj hum bhi to aaj hum nahiN
ab na khushi kee hai khushi gam ka bhi ab to gam nahiN
maut agar che-maut hai maut se zeest kam nahiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #27 on: October 13, 2006, 02:38:51 AM » |
|
kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah log milte haiN badalte huye mausam kee tarah
mere mehboob mere pyaar ko ilzaam na de hiJr meiN eed manaayee hai moharrum ki tarah
maine khushboo kee tarah tuJhko kiya hai mehsoos dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah kaise ham-dard ho tum kaisee masihaayee hai dil pe nashtar bhi lagaate ho to marham ki tarah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #28 on: October 13, 2006, 02:39:31 AM » |
|
socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN
dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN
jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN
ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #29 on: October 13, 2006, 02:40:25 AM » |
|
jinko duniyaN kee nigaaHoN se chupaaye rakha jinko ik umR kaleje se lagaaye rakha din jinko, jinHe eemaan banaaye rakha tune duniyaN kee nigaaHoN se jo bachkar likhe salha-saal mere naam baraabar likhe kabhi din meiN to kabhi raat meiN uThkar likhe pyaar meiN dooBe huye khat maiN jalaata kaise tere haathoN ke likhe khat maiN jalaata kaise tere khat aaj maiN ganga meiN baha aaya hooN aag jalte huye paaNi meiN laga aaya hooN.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|