Sonu
Guest
|
«Reply #30 on: October 13, 2006, 02:41:08 AM » |
|
manzil na de charaag na de hauslaa to de tinke ka hi sahee tu magar aasraa to de maiNe ye kab kaha ke mere haq meiN ho jawaab lekin khamosh kyooN hai tu koi faislaa to de
barsoN maiN tere naam pe khaata raha fareb mere khuda kahaN hai tu apna pata to de
beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar lekin mere naseeb meiN kya hai bata to de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #31 on: October 13, 2006, 02:55:03 AM » |
|
safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo sabhi haiN bheeD meiN tum bhee nikal sako to chalo
kisi ke waaste raaheN kahan badalti hai tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
yahan kisi ko koi raasta nahin deta muJhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummeedeN inhi khilonoN se tum bhee bahal sako to chalo
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #32 on: October 13, 2006, 02:56:09 AM » |
|
aap ko bhool jaayeN hum itnin to bewafa nahin aapse kya gila kareN aapese koi gila nahin
sisha-e-dil ko toDna unka to ek khel hai humse hi bhool ho gayee unko koi khata nahin
kaash wo apne gham muJhe de deN to kuch sukooN mile wo kitna bad-naseeb hain gam hee jise mila nahin
juRm hai gar wafa to kya, kyoon kar wafa ko choD doon kehte haiN is gunaaH kee hoti koi saJa nahiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #33 on: October 13, 2006, 02:56:59 AM » |
|
mai chahta bhi yehi tha, wo bewafaa nikle use samaJhne ka koi to silsila nikle
kitaab-e-maazi ke panne ulaT ke dekh zara na jaane kaun sa panna muDa hua nikle
jo dekhne meiN bahut hee karib lagtaa hai usi ke baare meiN socho to faasila nikle
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #34 on: October 13, 2006, 02:57:30 AM » |
|
aisa lagta hai zindagi tum ho ajnabee kaise ajnabee tum ho
ab koi aarzoo nahin baakee justjoo meri aakhri tum ho
main zameen par ghana andhera hoon aasmaanoN ki chandni tum ho dostoN se wafa ki ummeedeN kis zamaane ke aadmi tum ho
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #35 on: October 13, 2006, 02:58:14 AM » |
|
tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi
ek waada karo ab humse na bicHDoge kabhi naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi
bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi
raah taarikh hai aur door hai manzil lekin dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #36 on: October 13, 2006, 02:59:27 AM » |
|
apni aankho ke samundar meiN utar jaane de tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de
ay nayey dosth maiN samjhoonga tujhe bhee apna pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de
aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de
zakhm kitne teri chaahat se mile haiN mujko soNchtaa hoon ki kahoon tujhse magar jaane de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #37 on: October 13, 2006, 02:59:55 AM » |
|
neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai dekh lena abhi kuch der meiN duniya kya hai
baandh rakha hai kisee sonch ne ghar say humko Varna apna dar-o-deewar se rishta kya hai
ret ki eenT ki pathar ki hooN ya miTTi ki kisi deewar ke saye ka barosa kya hai
apni daanist me samjhay koi duniya `Shahid' warna hathoN meiN lakiroN ke ilaawa kya hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #38 on: October 13, 2006, 03:01:00 AM » |
|
Lab-e-khaamosh se izhaar-e-tamanna chaahe baat karne ko bhee tasveer ka lehJa chaahe
tu chale saath to aahaT bhee na aaye apni dar meiN aahan bhee na ho yuN tuJhe tanha chaahe
khwaab meiN roye to ehsaas ho sairaaBi ka ret par soYeN magar aankh meiN dariya chaahe aise tairaaq bhee dekhe haiN 'muzaffar' humne gharq hone ke liye bhee jo sahara chaahe
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #39 on: October 13, 2006, 03:01:31 AM » |
|
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyoon haiN
main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon roshni vaalay meray naam say jaltay kyoon haiN
neend se mera taaluq hi nahin barso sein khawab aa aa kay meri chhat pay tehltay kyoon haiN
mod hotaa hai jawaani ka sambhalne kay liye aur sab log yahin aa kay fisaltay kyoon haiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #40 on: October 13, 2006, 03:02:03 AM » |
|
mera dil bhi shauk say todo ek tajurba aur sahee lakh khilonay tod chukay ho ek khilona aur sahee
raat hai gham ki aaj bhuja do jalta hua har ek chirag dil mein andhera ho hi chuka hai ghar mein andhera aur sahee
dam hai niklta ik aashiq ka bheed hai aa kar dekh to lo lakh tamashay dekhay hongay ek nazaara aur sahee
khanjar ley kar saunchtay kya ho qatl `Murad' bhi kar daalo daag hain sau daaman pe tumharay ek izaafa aur sahee
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #41 on: October 13, 2006, 03:02:57 AM » |
|
saamne hai jo usey log bura kehte haiN jisko dekha hee nahi usko khuda kehte haiN
zindagi ko bhee sila kehte haiN kehne waale jeene waale to gunaahoN kee saza kehte haiN faasile umR ke kuch aur badha deti hai jaaney kyoon log use phir bhee dawa kehte haiN
chand masoom se pattoN ka lahoo hai `Fakir' jisko mehboob ke haathoN ki hina kehte haiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #42 on: October 13, 2006, 03:03:29 AM » |
|
jahan jahan mujhe sehra dikhayee deta hai meri tarah se akela dikhayee deta hai
yeh ek abR ka tukDa kahan kahan barse tamam dasht hi pyaasa dikhayee deta hai
yeh kis maqaam pe laayee hai justjoo teri jahan se arsh bhi nicha dikhayee deta hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #43 on: October 16, 2006, 03:46:36 AM » |
|
agar hum kaheN aur wo mushkura deiN Hum unke liye zindgaaNi luTa deiN har ik mod par Hum gamoN ko sazaa deiN chalO zindaGi ko mohabbat bana deiN
aGar khud ko bhoole to kuch bhi na bhoole ke chaahat meiN unkee khuda ko bhula deiN
kabHi gam kee aandhee jinHeN choo na paaye wafa ke Hum wo nashe-Man bana deiN
qayaamat ke deewaane kehte haiN humse chalO unke chehRe se parda haTa deiN saza de silaa de, bana de miTaa de maGar wo koi fiaslaa to sunaa de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #44 on: October 16, 2006, 03:47:20 AM » |
|
tum itna jo muskura rahe ho kya gham hai jisko chupaa rahe ho
aankhoN meiN namee haNsi laboN par kya haal hai kya dikhaa rahe ho
ban jaayenGe zaher peete peete ye ashQ jo peete rahe ho jin zakhmoN ko waqt bhar chala hai tum kyooN unhe cheDe jaa rahe ho
rekhaaOn ka khel hai muqqaddar rekhaaOn se maat khaa rahe ho
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|