Sonu
Guest
|
«Reply #60 on: October 16, 2006, 04:01:39 AM » |
|
gham badhe aate haiN qaaTil kee nigahoN ki tarah tum chupa lo muJhe ae dosth gunahoN ki tarah
apni nazroN meiN gunehgaar na hote kyoon kar dil hi dushman hai mukhalif ke gawahoN ki tarah
har taraf zeest ki raahoN mein kaDi dhoop hai dosth bas teri yaad ke saaye haiN panahoN ki tarah jinki khaatir kabhi ilzaam uThaye 'faakir' wo bhi pesh aaye hain insaaf ke shaaHoN ki tarah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #61 on: October 16, 2006, 04:02:10 AM » |
|
pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO
tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO
kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #62 on: October 16, 2006, 04:02:52 AM » |
|
dost ban-banke mile muJhko mitaane waale maine dekhe haiN kaI rang badalane waale
tumne chup rehkar sitam aur bhee Dhaayaa mujhpar tumse achchhe haiN mere haal pe haNsne waale
maiN to ikhalAq ke hathoN hi bikA kartaa hooN aur hoNge tere baazAr meiN bikne waale
akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo phir naa lauTenge shab-e-hiJr pe ronewaale
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #63 on: October 16, 2006, 04:03:42 AM » |
|
dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo
ye dil zara sa dil teri yaadoN mein kho gaya zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo
tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #64 on: October 16, 2006, 04:04:26 AM » |
|
apne haathoN kee lakiroN meiN basa le muJhko main hooN tera to naseeb apna bana le muJhko
muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani ye teri sadaa-dili maar na Daale muJhko khud ko maiN baaNt na daalooN kahin daaman-daaman kar diya tune agar mere hawaale muJhko
bada fir bada hai maiN zehar bhi pee jaaooN 'qatil' shart ye hai koi baahoN meiN sambhale muJhko
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #65 on: October 16, 2006, 04:05:09 AM » |
|
angDai par angDai leti hai raat judaee kee tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee
kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee
wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #66 on: October 16, 2006, 04:05:50 AM » |
|
sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN
biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN
naa jaane kis adaa se liya toone mera naam duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN
le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #67 on: October 16, 2006, 04:06:21 AM » |
|
humko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe pyaar hi pyaar haiN hum humpe bharOsa keeJe
chand yaadoN ke siwa haath na kuch aayega is tarah uMr-e-gureza ka na peecha keeJe
roshni auroN ke aaNgaN meiN gawara na sahee kam se kam apne ghar meiN to uJaala keeJe
kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye roz palkoN pe nayee shamme jalaya keeJe
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #68 on: October 16, 2006, 04:06:58 AM » |
|
pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO
hume to aaj ki shab pau faTe tak jaagna hoga yahi kismat hamari hai sitroN tum to so jaaO
hume bhee neeNd aa jaayegi hum bhi so hi jaayenge abhi kuch beqaraari hai sitaroN tum to so jaaO
tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO
kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #69 on: October 16, 2006, 04:07:28 AM » |
|
aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai
gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai
waqt ke saath haalaat badal jaate haiN ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai
ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #70 on: October 16, 2006, 04:08:02 AM » |
|
socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN
dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN
jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN
ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #71 on: October 16, 2006, 04:08:34 AM » |
|
paseene paseene huye jaa rahe ho ye bolo kahaN se chale aa rahe ho
hameN sabR karne ko keh to rahe ho magar dekh lo khud hi ghabraa rahe ho
ye kiskee buri tumko nazar lag gayee hai baharoN ke mausam meiN murJha rahe ho
ye aaina hai ye to sach hi kahega kyoN apni haqeeqat se katraa rahe ho
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #72 on: October 16, 2006, 04:09:25 AM » |
|
bahut diNoN ki baat hai fizaa ko yaad bhi nahiN ye baat aaj kee nahiN bahut dinoN kee baat hai
shabaab par bahaar thee fizaa bhi khush-gawaar thee naa jaane kyoon machal pada maiN apne ghar se chal pada kisi ne muJhko rok'kar badi adaa se Tok'kar kaha tha lauT aae'iye meri kasam naa jaai'eye
par muJhe khaBar na thee maahOl par nazar na thee naa jaane kyoon machal pada maiN apne ghar se chal pada maiN shehaR se phir aa gaya khayal thaa ke paa gaya us'e jo muJhse door thee magar meri zaroor thee
aur ik hasiN shaaM ko maiN chal paDa salaam ko gali ka rang dekh'kar nayee tarang dekh'kar muJhe badi khushi huyee maiN kuch isi khushee meiN tha kisi ne Jhaank'kar kaha paraaye ghar se jaai'iye meri kasma na aai'iye
wahi haseeN shaam hai bahaar jiska naam hai chala hooN ghar ko choDkar na jaane jaaoonga kidhar koi nahiN jo Tok'kar koi nahiN jo Rok'kar kahe ke laut aai'iye meri kasam na jaai'iye meri kasam naa jaai'iye ......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #73 on: October 16, 2006, 04:11:42 AM » |
|
din guzar gaya, ai'thbaar meiN raat kat gayI intezaar meiN
wo maza kahaN basLe yaat meiN lutF jo milaa intezaar meiN
Unki ik nazar kaam kar gaYi hosh ab kahaN hoshiyar meiN
mere kabze meiN aaiyeena to hai maiN hooN aapke ikhtiyaar meiN
aanKh to uthee phool ki taraF dil ulaZh gaya husn-haar meiN
tumse kya kaheN, kitne Gam saheN hamNe be-wafa tere pyaar meiN
fikR-e-aashiyaan har khizaam ki aashiYaan jalaa har bahaar meiN
kis taraH Ye Gham bhool jaaYe hum wo juDa hua ishtihaar meiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #74 on: October 16, 2006, 04:12:23 AM » |
|
meRi zindagi kisi aur ki, mere naaM ka koi auR hai mera naqsh hai sar-e-aayina, pase aayina koi auR hai meri dhaDkanoN meiN hai chaapsi, ye judaaee bhi hai milaapsee muJhe kya patha, mere dil batha, mere saath kya koi auR hai
na gaYe diNo ko kHabar meri, na shareeke haal nazar teri tere desh meiN, mere bhesH mein, koi auR tha, koi auR hai
wo meRi taraF niGraan rahe, mera dhyaan jaaNe kahaN rahe meri aanKh meiN kai soorateN, mujhe chaahta koi auR hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|