Sonu
Guest
|
«Reply #75 on: October 16, 2006, 04:12:52 AM » |
|
ab ke barsaat ki ruTh aur bHi bHadkili hai jisHm se aaG nikalti hai, kaBaN gili hai
sonchta hooN ke ab anjaam-e-safar kya hoGa log bhi kaanch ke haiN, raaH bhi pathrili hai
pehLe rag-rag se meri kHoon nicHoDa us'sne ab Ye kehtha hai ke rangat hi meri peelee hai
muJhko be-rang hi na karde kahiN rang itNe sabz mausam hai, hawa surkh, fizaaN gili hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #76 on: October 16, 2006, 04:13:26 AM » |
|
faasila to hai magar, koi faasila nahiN muJhse tum juDa sahi, dil se to juDa nahiN
aasmaaN ki fiqR kya, aasmaaN khafaa sahee aap Ye bataaye'e aap to khafa nahiN
kashTiyaaN nahiN to kya, hausle to paaS haiN keh do na-khudaaoN se, tum koi khuDa nahiN
lijiye bula liya, aapko khayaaloN meiN ab to dekhiYe hameN, koi dekhTa nahiN
aaeeye charaaG-e-dil, aaj hi jalaaYeN hum kaisi kal hawa chali, koi jaanta nahiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #77 on: October 16, 2006, 04:14:11 AM » |
|
aadmi aadmi ko kya degaa jo bhi dega woHi khuDa dega
meRa qaatil hi mera munsib hai kya mere haq meiN faisLa dega
zindagI ko kareeb se dekho iska chehRa tumhe rulaa dega
hamse pucho dosthi ka silaa dushmanOn ka bhi dil hilaa dega
ishq ka zehar pee liya 'Faakir' ab maseeha bhi kya dawa dega
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #78 on: October 16, 2006, 04:14:57 AM » |
|
mere dukh ki koi dawa na karO muJhko muJhse abhi juda na karO na-khuda ko khuda kaha hai to fir doob jaao khuda-khuda na karO
Ye siKhaya hai dosthi ne hame dosth bankar kabhi wafa na karO ishq hai ishq Ye mazaq nahiN chanD lamhoN meiN faishlaa na karO
aashiqi ho ke bandagi 'Faakir' be-dili se to ye fida na karO
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #79 on: October 16, 2006, 04:15:32 AM » |
|
koi samJhega kya raz-e-gulshan jab taq ulJhe na kaanTon se daamaN
yaq-ba-yaq saamne aana jaana ruk na jaaye kahin dil ki dhaDkan
gul to gul-zaar taq chun liye haiN fir bhi kHaali hai khurchi ka daamaN kitni aara'ishYen aashiyaana TooT jaaye na nasha fir nashe meiN
HashmateN aashiyaana baNa dee barF ko dosth samjhooN ke dushmaN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #80 on: October 16, 2006, 04:16:19 AM » |
|
dekHa to mera saaya bhi mujhse juda mila socha to har kisi se mera sil-sila mila sehar-e-wafa meiN ab kise ehl'-e-wafa kaheN humse gale mila to wo hi be-wafa mila furshaT kise thi jo meri haalaath poochchta har shakhs apne baare meiN kuch sonchtha mila
ussne to khair apno se moda that mooh haya maiNe ye kya kiya ke maiN gairoN se jaa mila
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #81 on: October 16, 2006, 04:25:36 AM » |
|
khudaa humKo aisee khudaayee na de ke apNe siWa kuchch dikhaayee na de
khataWaar samjhegee duniyaaN tujhe ke itnee ziyaada safaayee na de
haNso aaj itnaa ke is shoR meiN sada siskiyoN ki sunaaYee na de
abhi to badan meiN lahoo hai bahot kalam cheen le roshnaayee na de
kHuda aise ehsaas ka naaM hai rahe saamNe aur dikhaYee na de
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #82 on: October 16, 2006, 04:26:02 AM » |
|
ab khushi hai na koi Gam rulaaNe-waaLa humNe apna liya har ranG zamaane-waaLa
usko ruKhsat to kiYa tha mujhe maloom na tha saara Ghar le gaya, ghar chod ke jaane-waaLa
ik musaFiR ke safaR jaisi hai sabki duniyaN koi jalDi meiN koi de'r se jaane-waaLa
ek be-chehRa see ummid hai chehra-chehra jis taraF dekhiYe aane ko hai aane-waaLa
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #83 on: October 16, 2006, 04:26:35 AM » |
|
dekHa jo aa'inah to muJhe sochna paDa khuD se na mil saka to muJhe sochna paDa
uska jo kHat mila to muJhe sochna paDa apna sa wo laGa to muJhe sochna paDa
muJhko tha gumaaN ke muhhi-meiN hai ek waNa deKha teri aNaa to muJhe sochna paDa
duniYa samaJh rahee thee ke naraaz muJhse hai lekiN wo jab mila to muJhe sochna paDa
ik din wo mere aiB giNaane laga kaRaar jab khud hi thak gaya to muJhe sochna pada
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #84 on: October 16, 2006, 04:27:21 AM » |
|
na sHiwaale, na qalisa, na haRam jhooTe haiN bas yaHi sach hai ke tum jhoote ho hum jhooTe haiN
humne deKha hee nahi bolte unko ab taq kaun kehta hai ke paThar ke sanam jhooTe haiN
unse miliye to khushi hoti hai unse milkar sehar ke doosre logoN se jo kam jhooTe haiN kucH to hai baat jo teHriroN meiN taasir nahiN jhooTe Fanqaar nahiN haiN to qalam jhooTe haiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #85 on: October 16, 2006, 04:27:54 AM » |
|
dhooP hai kya aur saaYa kya hai ab maLoom hua ye sab khel tamasha kya hai ba maLoom hua
hanSte phool ka chehRa dekhooN aur bhaR aayi aanKh apNe saath ye kissa kya hai ab maLoom hua
hum barsoN ke baad bhi unKo ab taq bHool na paaye dil se unka rishtaa kya hai ab maLoom hua
sehra sehra pyaase bhaTke saari umR jale baadal ka ik TukDa kya hai ab maLoom hua
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #86 on: October 16, 2006, 04:28:22 AM » |
|
kya khabaR thee is taraH se wo juDa ho jaaYega khwaab meiN bhi uska milNa khwaab sa ho jaaYega
zindaGi thee qaid hum'me kya nikaaLoge use maut jab aa jaaYegi to khud rihaa ho jaaYega
dosTh bankar usKo chaaha Ye kabHi socha na tha dosThi hee dosThi meiN wo khuDaa ho jaaYega
uska jalWa hoGa kya jiska ke parda noor hai jo bHI usko deKh lega wo fidaa ho jaaYega
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #87 on: October 16, 2006, 04:28:57 AM » |
|
taNha taNha hum ro lenge mehFil mehFil gaaYenge jaB taq aansoo saath rahenge taB taq geet sunaaYenge
tum jo soncho wo tum jaano hum to apni kehte haiN der na karna Ghar jaane meiN warna ghar kho jaaYenge
bachchoN ke choTe haathon ko chaanD sitaareN chooNe do chaar kitaaBe paDh kar wo bHi hum jaise ho jaaYenge kin raahoN se door hai manzil kauN sa rasta aasaaN hai hum jab thal kar ruk jaaYenge, auroN ko samJhaayenge
achchee soorat waale saare patthar dil hoN mumkin hai hum to uss din raaYeN deNge jis din dhoKha khaaYenge
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #88 on: October 16, 2006, 04:29:36 AM » |
|
aise hiJr ke mausam tab tab aate haiN teRe alaawa Yaad hame sab aate haiN
jaadu ki aaNkhoN se bhi dekho duniya ko khwaaboN ka kya hai wo har sab aate haiN
ab ke saFar ki baaT nahin baaqi waRna hum ko bulaaYen dasth se jab wo aate haiN
kaaGaz ki kasthi meiN dariya paar kiya dekho hum ko kya kya kartaB aate haiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #89 on: October 16, 2006, 04:37:37 AM » |
|
dard se mera daaman bharde ya allah phir chahe deewana karde ya allah
maine tuJh se chaand sitaare kab maange roshan dil bedaar nazar de ya allah
suraj si ek cheez to hum sab dekh chuke sachmuch ki ab koi saher de ya allah
ya dharti ke zakhmon par marham rakhde ya mera dil patthar kar de ya allah
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|