Sonu
Guest
|
«Reply #90 on: October 16, 2006, 04:40:01 AM » |
|
tuJhse milne ki saza denge tere shehar ke log ye wafaoN ka sila denge tere shehar ke log
kya khabar thee tere milne pe qayamat hogi muJhko deewaana bana denge tere shehar ke log
teri nazaroN se giraane ke liye jaane-haya muJhko mujrim bhi bana denge tere shehar ke log
kehke deewana muJhe maar rahe haiN patthar aur kya iske siwa denge tere shehar ke log
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #91 on: October 16, 2006, 04:41:17 AM » |
|
gham ka khazana tera bhi hai mera bhi ye nazraana tera bhi hai mera bhi
apne gam ko geet bana kar gaa lena raag purana tera bhi hai mera bhi
tu muJhko aur maiN tuJhko samJhaaooN kya dil deewana tera bhi hai mera bhi
shehar meiN galiYoN galiYoN jiska charcha hai wo afsaana tera bhi hai mera bhi
maikhaane kee baat na kar waaiz muJhse aana-jaana tera bhi hai mera bhi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #92 on: October 16, 2006, 04:41:52 AM » |
|
kisko qaatil maiN kahooN kisko maseehaa samaJhooN sab yahaaN dost hee baiThe haiN kise kyA samaJhooN
wo bhI kyA din the ke har vaham yakeeN hotA tha ab haqeekat nazar aaye to use kyA samaJhooN
dil jo TooTaa to kaI haath duaa ko uTThe aise mAhaul meiN ab kis'ko paraayaa samaJhooN
zulm ye hai ke hai yaqtaa terI begAnaaravee lutf ye hai ke maiN ab tak tujhe apanA samaJhooN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #93 on: October 16, 2006, 04:50:17 AM » |
|
dil meiN ab dard-e-mohabbat ke siwa kuch bhi nahiN zindagi meri ibaadat ke siva kuch bhi nahiN
maiN teri baargah-e-naaz mein kya pesh karoon meri Jholi meiN mohabbat ke siwa kuch bhi nahiN
aye khuda muJh se na le mere gunaahoN ka hisaab mere paas ashq-e-nadamat ke siwa kuch bhi nahiN
woh to miT kar muJhe mil hi gayee rahat waRna zindagi ranj-o-museebat ke siwa kuch bhi nahiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #94 on: October 16, 2006, 04:52:06 AM » |
|
har taraf har jagah beshumaar aadmee phir bhi tanhaaiyoN ka shikaar aadmee
subah se shaam tak bojh Dhotaa hua apanee hi laash ka khud mazaaR aadmee
har taraf bhaagate dauDate raaste har taraf aadmee ka shikaar aadmee
roz jeetaa huA roz martaa hua har naye din nayaa intezaar aadmee
zindagee kA muqaddar safar dar safar aakhree saaNs tak beqaraar aadmee
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #95 on: October 16, 2006, 05:04:14 AM » |
|
aankh se door na ho dil se utar jaayega waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega
itna manoos na ho khilwat-e-gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jayega
tum sar-e-raah-e-wafa dekhte reh jaoge aur woh baam-e-rifaqat se utar jayega
zindagi teri ata hai to yeh jaane wala teri bakhshish teri dahleez pe dhar jayega
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #96 on: October 16, 2006, 06:00:09 AM » |
|
meri tasveer meiN rang aur kisi ka to nahiN gher le muJhko sab aaNkheN maiN tamasha to nahiN
zindagi tuJhse se har ik saaNs pe samJhauta karooN shauK jeene ka hai muJhko magar itna to nahiN
rooh ko dard mila dard ko aaNkheN na mili tuJhko mehsoos kiya hai tuJhse dekha to nahiN
soNchte soNchte dil dooBne lagta hai mera zehaN kee tay meiN 'muzaffar' koi dariya to nahiN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #97 on: October 16, 2006, 06:00:45 AM » |
|
mausam ko ishaaroN se bula kyoon nahiN lete rooThaa hai agar wo to manaa kyooN naheeN lete
deewaana tumhaaraa koI gair naheeN machalaa bhI to seene se lagaa kyooN naheeN lete
khat likhkar kabhI aur kabhI khat ko jalaakar tanhaaee ko raNgeen bana kyooN naheeN lete
tum jaag rahe ho muJhako achchhaa naheeN lagtaa chupake se merI neeNd churaa kyooN naheeN lete
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #98 on: October 16, 2006, 06:01:16 AM » |
|
jo bhee bura bhala hai allah janta hai bande ke dil meiN kya hai allah janta hai
yeh farsh-o-arsh kya hai allah janta hai pardoN meiN kya chhupa hai allah janta hai
jaakar jahaan se koi wapas nahiN hai aata woh kaunsi jagah hai allah janta hai
neki-badi ko apnee kitna hi tu chupaaye allah ko sab pata hai allah janta hai
ye dhoop-chaoN dekho ye subah-shaam dekho sab kyoon ye ho raha hai allah janta hai
kismat ke naam ko to sab jaante haiN lekin kismat meiN kya likha hai allah janta hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #99 on: October 16, 2006, 06:02:00 AM » |
|
dhoop meiN niklO ghaTaaOn meiN naha kar dekho zindagee kya hai kitaaboN ko haTaakar dekho
wo sitaaraa chamakane do yooNhee aaNkhoN meiN kya zarooree hai us'e jism banaakar dekho
pattharoN meiN bhee zubaaN hotI hai dil hota hai apane ghar ke dar-o-deewaar sajaakar dekho
faasilaa nazaroN kA dhokhaa bhee to ho saktaa hai wo mile yA nA mile haath baDhaakar dekho
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #100 on: October 16, 2006, 06:02:49 AM » |
|
dhooaaN banake fizaaN meiN udaa diyaa muJhko maiN jal raha tha kisi ne bhJha diya muJhko
khaDa hooN aaj bhi roTi ke chaar haRf liye sawaal ye hai kitaaboN ne kya diya muJhko safed sang kee chaadar lapeT kar muJhpar faseene shehar se kisi ne saja diya muJhko
maiN ek zarra bulandi ko choone nikla thaa hawa ne tham ke zameeN par gira diya muJhko
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #101 on: October 16, 2006, 06:03:14 AM » |
|
mili hawaoN meiN uDne ki wo saza yaaro ke maiN zameen ke risHton se kat gaya yaaro
woh be-khayal musafir maiN raasta yaaro kahan tha bas mein mere usko rokna yaaro
mere kalam pe zamane kee gard aisee thee ke apne baare mein kuch bhi na likh saka yaaro
tamaam sheher hi jiskee talaash mein gum tha maiN uske ghar ka pata kis'se poochta yaaro
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #102 on: October 16, 2006, 06:03:46 AM » |
|
tere jalwe ab muJhe harsoo nazar aane lage kaash yeh bhi ho ke muJh meiN tu nazar aane lage
ibteda yeh thee ke dekhee thee khushi ki ek Jhalak inteha yeh hai ke gham harsoo nazar aane lage
beqarari baDhte baDhte dil ki fitrat ban gayee shayed ab taskeen ka pehloo nazar aane lage
khatM karde ae "Saba" ab shaam-e-gham ki daastaN dekh un aankhoN meiN bhee ansoo nazar aane lage
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #103 on: December 02, 2006, 05:10:07 AM » |
|
Jab Samne Tum Aa Jate Ho..
Aaina dekh ke bole yeh sanwarne wale Ab to be-maut marenge mere marne wale
Dekh ke tumko hosh mein aana bhool gaye... Yaad rahe tum aur zamaana bhool gaye....
jab saamne tum... Jab saamne tum, aa jaate ho Kya jaaniye kya ho jaata hai... Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai Kya jaaniye kya ho jaata hai
Chaaha tha yeh kahenge Socha tha socha tha woh kahenge Aaye woh saamne to, kuchh bhi na keh sake Bas dekha kiye unhein ham........
Dekh kar tum ko yakeen hota hai Koi itna bhi haseen hota hai Dekh paate hain kahan ham tumko dil kahin hosh kahin hota hai Jab Samne Tum Aa Jate Ho.......... ......... ......... ........
Aa kar chale na jaana, aise nahin sataana De kar hansi labon ko, aankhon ko mat rulaana Dena na beqaraari dil ka karaar ban ke Yaadon mein kho na jaana tum intezaar ban ke, intezar ban ke
Bhool kar tumko na jee payenge Saath tum hogi jahan jayenge Ham koi waqt nahin hain ham-dam Jab bulaaoge chale aayenge
jab saamne tum Haa haa jab saamne tum, aa jaate ho Kya jaaniye kya ho jaata hai Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai Kya jaaniye kya ho jaata hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #104 on: December 17, 2006, 04:56:47 AM » |
|
Hindi Movie/Album Name: AASHAR-E-GHAZAL Singer(s): ASHA BHOSLE
Aa... aa.... Ya na thi mujse berukhi pehele Ya na thi mujse berukhi pehele Tum to aise na the kabhi pehele Tum to aise na the kabhi pehele Ya na thi mujse berukhi pehele
Jisme shaamil tumhaari marzi thi Jisme shaamil ... shaamil... Jisme shaamil tumhaari marzi thi Hamne chaahi wahi khushi pehele Hamne chaahi wahi khushi pehele Yu na thi mujse berakhi pehele
Hamne tumse yahi to seekha thaa Hamne tumse yahi to seekha thaa Dushmani baad dosti pehele Dushmani baad dosti pehele Yu na thi mujse berukhi pehele
Jab talak woh na thaa to eh raahi Jab talak woh na thaa to eh raahi Kitni aasaan thi zindagi pehele Kitni aasaan thi zindagi pehele Tum to aise na the kabhi pehele Yu na thi mujse berukhi pehele
Rafta rafta woh meri hasti ka saama hogaye Pehele jaa phir jaanejaa phir jaanejaana hogaye Rafta rafta ... ...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|