Ghazals by Dr. Bashir Badar ..!!

by Talat on February 23, 2008, 11:07:03 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 19078 times)
sajid_ghayel
Guest
«Reply #15 on: February 12, 2009, 11:54:58 AM »
Reply with quote
Meri jaan Sajid ki Car me yeh Ghazal hamesha rehti hain Sung by Jagjit Sing and Chitra. Jab Badr saheb ne pehli baar yeh ghazal padi thi stage pe woh YouTube me available hain main baad me link dooga.

Second sher me to meri jaaaaaaaaaaaaan hain.

Thank ou for sharing
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Logh tut jate hai...(Bashir Badr) by sajid_ghayel in Shairi - E - Zindagi « 1 2 ... 7 8 »
Parakna Mat.>>> Bashir Badr by Roja in Ghazals
Woh Jo Dar Badar Khaak Basar Hue by sayani kuri in Shayri-E-Dard
ye chaa.Ndanii bhii jin ko chhuute hue Daratii hai By Bashir Badar by fernsk in Share:Poetry of Separation
abdulqadeer
Guest
«Reply #16 on: February 12, 2009, 12:03:56 PM »
Reply with quote
Yaar sajid ye ghazal ki qusosiyath hi aise hi ke har ashar eak dusre pe bhari hai !! aur bashir badar sahab ka statment hai ye ke unki nazar me is ghazal ki bahoth ziyada ahemiyath hai !! mai bhi photos manga ke yahan attach karonga jub unhone isko gulbarga sharif me pada tha !! aa yaar ya thread sirf Dr.bashir badar sahab ki ghazalon se bhar dete hain !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #17 on: February 12, 2009, 12:31:33 PM »
Reply with quote
Yun To Main pehli Baar is ghazal Ko Pardh Raha Hoon,.
Bohat Achcha Laga Pardhke,./

Thank U For Sharing Qadeer Bhaiya,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #18 on: February 12, 2009, 03:22:37 PM »
Reply with quote
aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai
palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai

ye baat ki suurat ke bhale dil ke bure ho.n
allaah kare jhuuTh ho bahuto.n se suunii hai

vo maathe kaa matalaa ho ki ho.nTho.n ke do misare
bachapan kii Gazal hii merii mahabuub rahii hai

Gazalo.n ne vahii.n zulfo.n ke phailaa diye saaye
jin raaho.n pe dekhaa hai bahut dhuup ka.Dii hai

ham dillii bhii ho aaye hai.n laahaur bhii ghume
ai yaar magar terii galii terii galii hai

[laahaur =Lahore]

                               -Dr. Bashir Badr-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #19 on: February 12, 2009, 03:23:31 PM »
Reply with quote
aa.Nsuuo.n kii jahaa.N paayamaalii rahii
aisii bastii charaaGo.n se Khaalii rahii

dushmano.n kii tarah us se la.Date rahe
apanii chaahat bhii kitanii niraalii rahii

jab kabhii bhii tumhaaraa Khayaal aa gayaa
phir ka_ii roz tak beKhayaalii rahii

lab tarasate rahe ik ha.Nsii ke liye
merii kashtii musaafir se Khaalii rahii

chaa.Nd taare saabhii ham-safar the magar
zindagii raat thii raat kaalii rahii

mere siine pe Khushbuu ne sar rakh diyaa
merii baa.Nho.n me.n puulo.n kii Daalii rahii

                          -Dr. Bashir Badr-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #20 on: February 12, 2009, 03:24:45 PM »
Reply with quote
aas hogii na aasaraa hogaa
aane vaale dino.n me.n kyaa hogaa

mai.n tujhe bhuul jaauu.Ngaa ik din
vaqt sab kuchh badal chukaa hogaa

naam ham ne likhaa thaa aa.Nkho.n me.n
aa.nsuuo.n ne miTaa diyaa hogaa

aasamaa.N bhar gayaa pari.ndo.n se
pe.D ko_ii haraa giraa hogaa

kitanaa dushvaar thaa safar us kaa
vo sar-e-shaam so gayaa hogaa

[sar-e-shaam=as the evening approached (shaam hote hii)]

                              -Dr. Bashir Badr-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: February 12, 2009, 04:21:18 PM »
Reply with quote
socha nahin acha bura dekha suna kuch bhi nahin!!
maanga Khudaase raat din tere siva kuch bhi nahin!!

dekhaa tujhe sochaa tujhe chaha tujhe puuja tujhe !!
meri khata meri wafa teri Khata kuch bhi nahin !!

jis par hamaari ankh ne moti bichaye raat bhar !!
bhejaa wahi kaagaz use hamane likhaa kuch bhi nahin !!

ik shaam ki dahliiz par baithe rahe vo der tak !!
ankhon se ki baaten bahut muunh se kahaa kuch bhi nahin !!

do char din ki baat hai dil khak men so jaayega !!
jab aag par kaghaz rakha baaki bacha kuch bhi nahin !!

ahsaas kii Khushbu kahaan, aavaaz ke jugnu kahaan !!
Khaamosh yaadon ke siva ghar men raha kuch bhi nahin !!

Janab Dr.Bashir Badar sahab !!

wow qadeer bhai ji, One of my fav. gazal...
ek ek shabad dil chu jaata hai...
magar 2nd shair aor last ki do line...
bas pal wahi thehar jaata hai!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: February 12, 2009, 04:55:39 PM »
Reply with quote
Very beautiful ghazals of Bashir Sahab.....!! Applause Applause

Moved to Ghazal Section.
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: February 12, 2009, 05:07:43 PM »
Reply with quote
One of my favourites by Dr.Bashir Badar



Kabhi yuN bhi aa meri aaNkh mein ke meri nazar ko Khabar na ho
Mujhe ek raat nawaaz de magar uske baad sehar na ho

Woh baDaa rahiim-o-kariim hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
Tujhe bhuulne ki duaa karuuN to duaa mein meri asar na ho

Kabhi din ki dhuup mein jhuum ke kabhi shab ke phuulon ko chuum ke
YuN hi saath saath chalein sadaa kabhi khatm apanaa safar na ho

Mere paas mere habiib aa zaraa aur dil ke qariib aa
Tujhe dhaDkanon mein basaa luuN main ke bichhaDane kaa kabhi Darr na ho
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: February 12, 2009, 05:18:08 PM »
Reply with quote
wow bahoot khoob Celmira... pahli do line kamaal ki hai.. A very good shairing...
Logged
aaina
Guest
«Reply #25 on: February 14, 2009, 10:25:07 AM »
Reply with quote
baseer badr sahab ka ek sahir jo mujhay bhut acha lagata hai.....

meri band palkon pe toot kar koi phool raat bikhar gaya
teri siskiyon ne jaga diya meri kachchi neend uchat gayi
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: February 15, 2009, 09:49:54 AM »
Reply with quote
Thanks Pooja...Aaina Ji, bohot achcha sher share kiya hai aapne.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #27 on: February 15, 2009, 09:58:03 AM »
Reply with quote
ab kise chaahe.n kise Dhuu.NDhaa kare.n
vo bhii aaKhir mil gayaa ab kyaa kare.n


halkii halkii baarishe.n hotii rahe.n
ham bhii phuulo.n kii tarah bhiigaa kare.n


aa.Nkh muu.Nde us gulaabii dhuup me.n
der tak baiThe use sochaa kare.n


dil muhabbat diin duniyaa shaayarii
har dariiche se tujhe dekhaa kare.n


ghar nayaa kapa.De naye bartan naye
in puraane kaaGazo.n kaa kyaa kare.n


             -Bashir Badr-
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #28 on: February 15, 2009, 09:59:23 AM »
Reply with quote
abhii is taraf na nigaah kar mai.n Gazal ke palke.n sa.Nvaar luu.N
meraa lafz lafz ho aa_iinaa tujhe aa_iine me.n utaar luu.N

mai.n tamaam din kaa thakaa huaa tuu tamaam shab kaa jagaa huaa
zaraa Thahar jaa isii mo.D par tere saath shaam guzaar luu.N

agar aasamaa.N kii numaa_isho.n me.n mujhe bhii izn-e-qayaam ho
to mai.n motiyo.n kii dukaan se terii baaliyaa.N tere haar luu.N

[izn-e-qaayam=command to stop]

ka_ii ajanabii terii raah ke mere paas se yuu.N guzar gaye
ji.nhe.N dekh kar ye ta.Dap hu_ii teraa naam leke pukaar luu.N

-Bashir Badr-
Logged
aaina
Guest
«Reply #29 on: February 15, 2009, 12:36:04 PM »
Reply with quote
thnx celmira ji...............

wah wah kia baat hai sajid sahab kia khoobsurat gahzal talash kari hai aapne wah.........
abhi is taraf na nigha kar mein ghazal ki palkian sanwaar loon
mera lafz lafz ho aaina tumhay aaine mai utaar lun

saare shair mind blowing janab is shayar ne bhi romantic shayari ko ek naya ayaam dia hai aafreen aafeeen,

vo Gazal vaalo.n kaa asloob samajhte honge
chaand kahate hain kise Khuub samajhate honge

itanii milatii hai merii Gazalo.n se suurat terii
log tujhako meraa mahabuub samajhate honge

main samjhta tha muhabbat kii zabaa.N Khushoo hai
phool se log ise Khuub samajhate honge

bhool kar apana zamaanaa ye zamaane wale
aaj ke pyaar ko maayuub samajhate honge



Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:22:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer