Ghazals by Parveen Shakir

by Talat on February 24, 2008, 02:12:29 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3683 times)
Talat
Guest
Reply with quote
taazaa muhabbatoN kaa nashaa jism-o-jaaN meN hai
phir mausam-e-bahaar mere gulistaaN meN hai

ek Khvaab hai ke baar-e-digar dekhte haiN
ek aashnaa sii raushnii saare makaaN meN hai


(baare-digar : once again; aashnaa : known)

ek shaaKh-e-yaasmiin thii kal tak KhizaaN-asar
aur aaj saaraa baaGh usii kii amaaN meN hai


(shaaKh-e-yaasmiin : branch of jasmine; KhizaaN-asar : autumn afflicted)

taabish meN apnii mehr-o-maah-o-najm se sivaa
jugnuu sii ye zamiiN jo kaf-e-aasmaaN meN hai


(taabish : brilliance; mehr-o-maah-o-najm : moon, sun and stars; kaf-e-aasmaaN : under the skies)

Khushbuu ko tark kar ke na laaye chaman meN rang
itnii to suujh-buujh mere baaGhbaaN meN hai

har jaanisaar yaad-dihaanii meN munhamik
nekii kaa har hisaab dil-e-dostaaN meN hai


(munhamik : busy)

baiThe raheNge shaam talak tere shiishaagar
ye jaante hu’e ke Khassaaraa dukaaN meN hai

masnad ke itne paas na jaaye ke phir khale
vo be-talluqii jo mizaaj-e-shahaaN meN hai


(mizaaj-e-shahaaN : nature of the rulers)

Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 24, 2008, 02:14:20 AM »
Reply with quote
chalne kaa hauslaa nahiiN ruknaa muhaal kar diyaa
ishq ke is safar ne to mujhko nidhaal kar diyaa

milte hu’e diloN ke biich aur thaa faislaa ko’ii
usne magar bichhaRte vaqt aur savaal kar diyaa

ae merii gul-zamiiN tujhe chaah thii ek kitaab kii
ahl-e-kitaab ne magar kyaa teraa haal kar diyaa

ab ke havaa ke saath hai daaman-e-yaar muntazir
baanu-e-shab ke haath meN rakhnaa sambhaal (?) kar diyaa

mumkinaa faisloN meN ek hijr kaa faislaa bhii thaa
hamne to ek baat kii usne kamaal kar diyaa


(mumkinaa : possible)

mere laboN meN muhr thii par mere shiisha-ruu ne to
shah’r ke shah’r ko meraa vaaqif-e-haal kar diyaa

chehraa-o-naam ek saath aaj na yaad aa sake
vaqt ne kis shabiih ko Khvaab-o-Khyaal kar diyaa

muddatoN baad usne aaj mujhse ko’ii gilaa kiyaa
mansab-e-dilbarii pe kyaa mujhko bahaal kar diyaa

(mansab-e-dilbarii : throne of love)

Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: February 24, 2008, 02:18:40 AM »
Reply with quote
duaa kaa TuuTaa hu’aa harf sard aah meN hai
terii juda’ii kaa manzar abhii nigaah meN hai


(harf : alphabet; aah : sigh; manzar : scene)

tere badalne ke baa-vajuud tujhko chaahaa hai
ye ai’tiraaf bhii shaamil mere gunaah meN hai


(baa-vajuud : even though; ai’tiraaf : acceptance; shaamil : included)

azaab degaa tou phir mujhko Khwaab bhii degaa
maiN mutma’iin huN, meraa dil terii panaah meN hai


(azaab : punishment; mutma’iin : satisfied; panaah : shelter)

jise bahaar ke mehmaan Khaalii chhoR gaye
vo ek makaan abhii tak makiiN kii chaah meN hai


(makiiN : house-holder)

yahii vo din the jab ek duusre ko paaya thaa
hamaarii saalgiraah thiik ab ke maah meN hai


(maah : month)

maiN bach bhii jaauuN tou tanhaa’ii maar daalegii
mere qabiilaa ka har fard, qatl-gaah meN hai

(tanhaa’ii : loneliness; qabliilaa : tribe; qatl-gaah : gallows)

Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: February 24, 2008, 02:21:16 AM »
Reply with quote
paa-ba-gil sab haiN rihaa’ii ki kare tadbiir kaun
dast-bastaa shah’r meN khole merii zanjiir kaun

mera sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le
kar rahaa hai mere fard-e-jurm ko tahariir kaun

meri chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaa’ii ne
be-ridaa’ii ko merii phir de gayaa tash-hiir kaun

niind jab khvaabon se pyaarii ho to aise ah’d meN
khvaab dekhe kaun aur khvaabon ko de taabiir kaun

ret abhii pichhle makaanoN kii na vaapas aa’ii thii
phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun

saare rishte hijraton meN saath dete hain to phir
shah’r se jaate hu’e hotaa hai daaman-giir kaun

dushmanoN ke saath mere dost bhii aazaad haiN
dekhnaa hai khiinchataa hai mujh pe pehlaa tiir kaun
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: February 24, 2008, 02:26:22 AM »
Reply with quote
kuu-ba-kuu phail ga’ii baat shanaasaa’ii kii
us ne Khushbuu kii tarah merii paziiraa’ii kii


(kuu-ba-kuu : everywhere; shanaasaa’ii : knowledge, acquaintace; paziiraa’ii : acceptance)

kaise kah duuN ki mujhe chhoR diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaa’ii kii


(rusvaa’ii : disgrace, disrepute)

vo kahiiN bhii gayaa lauTaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harjaa’ii kii


(harjaa’ii : someone who can’t be trusted)

teraa pahluu mere dil kii tarah aabaad rahe
tujh pe guzre na qayaamat shab-e-tanhaa’ii kii


(pahluu : side, flank; aabaad : inhabited; qayaamat : doomsday; shab-e-tanhaa’ii : night of separation)

us ne jaltii hu’ii peshaanii pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa ga’ii taasiir masiihaa’ii kii

(jaltii : burning; peshaanii : forehead; ruuh : soul; taasiir : influence; masiihaa’ii : characteristics of a Messiah)
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: February 24, 2008, 02:45:05 AM »
Reply with quote
harf-e-taazaa nayii Khushbuu meN likhaa chaahtaa hai
baab ek aur muhabbat kaa khulaa chaahtaa hai

(harf-e-taazaa : fresh words; baab : chapter)

ek lamhe kii tavajjoh nahiiN haasil uskii
aur ye dil ke use hadd se sivaa chaahtaa hai

ek hijaab-e-tah-e-qiraar hai maane varnaa
gul ko maaluum hai kyaa dast-e-sabaa chaahtaa hai

ret hii ret hai is dil meN musaafir mere
aur ye sehraa teraa naqsh-e-kaf-e-paa chaahtaa hai

yahii Khamoshii ka’ii rang meN zaahir hogii
aur kuch roz ke vo shoKh khulaa chaahtaa hai

raat ko maan liyaa dil ne muqaddar lekin
raat ke haath pe ab ko’ii diyaa chaahtaa hai

tere paimaane meN gardish nahiiN baaqii saaqii
aur tere bazm se ko’ii uThaa chaahtaa hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: February 24, 2008, 02:45:47 AM »
Reply with quote
wow... kitna pyara sharing ki hai aapne Praveen Shakir ji ka.
Thanks sis for this lovely sharing.Unka likha sabhi kalam mujhe
bahut pasand hai. Aapka sharing main, the following gazal mujhe
behat pasand aaya hai.

Quote
paa-ba-gil sab haiN rihaa’ii ki kare tadbiir kaun
dast-bastaa shah’r meN khole merii zanjiir kaun

mera sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le
kar rahaa hai mere fard-e-jurm ko tahariir kaun

meri chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaa’ii ne
be-ridaa’ii ko merii phir de gayaa tash-hiir kaun

niind jab khvaabon se pyaarii ho to aise ah’d meN
khvaab dekhe kaun aur khvaabon ko de taabiir kaun

ret abhii pichhle makaanoN kii na vaapas aa’ii thii
phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun

saare rishte hijraton meN saath dete hain to phir
shah’r se jaate hu’e hotaa hai daaman-giir kaun

dushmanoN ke saath mere dost bhii aazaad haiN
dekhnaa hai khiinchataa hai mujh pe pehlaa tiir kaun




Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: February 24, 2008, 01:02:47 PM »
Reply with quote
Thanks Roja, Parveen Shakir is amongst my most favourite poets...Just love her work.
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: February 24, 2008, 04:39:28 PM »
Reply with quote
Kuch to hawa bhi sard thi kcuh tha tera khayal bhi
Dil ko khushi ke saath saath hota raha malal bhi

Baat wo aadhi raat ki, raat wo aadhay chand ki
Chand bhi ain cheet ka, us pe tera jamal bhi

Sab se nazar bacha ke wo mujhe ko kuch aisey dekhta
Aik dafa to ruk gayi gardish-e-mah-o-saal bhi

Dil to chamak sake ga kya phir bhi tarash ke dekh lain
Shesha gaan-e-shehr ke haath ka yeh kamal bhi

Us ko na pa sake they jab, dil ka ajeeb haal tha
Ab jo palat ke dekiye baat thi kuch muhaal bhi

Meri talab tha wo aik sakhs wo jo nahi milla to phir
Haath dua se yun gira, bhool gya sawal bhi

Us ki sukhan taraziyan mere liye bhi dhaal theen
Us ki hansi main chhup gya mere ghamon ka haal bhi

Gah-e-kareeb shah-e-rug, gah-e-baeed-e-weham-o-khawab
Us ki rafakaton main raat, hijr bhi tha wisaal bhi

Us ke hi baazuon main or usi ko sochte rahey
Jism ki khawahishon pe they rooh ke or jaal bhi

Shaam ki na samajh hawa, pooch rahi hai ik pata
Moj-e-hawaey-e-kuey-e-yaar, kuch to mera khayal bhi
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: February 25, 2008, 04:56:52 PM »
Reply with quote
dasht-e-shab par dikhaa_ii kyaa dengii
silavaTe.n roshanii me.n ubharengii

ghar kii diivaare.n mere jaane par
apanii tanhaa_iyo.n ko sochengii

u.Ngaliyo.n ko taraash duu.N phir bhii
aadatan us kaa naam likkhengii

rang-o-buu se kahii.n panaah nahii.n
Khvaahishe.n bhii kahaa.N amaa.N dengii

ek Khushbuu se bach bhii jaa_uu.N agar
duusarii nikahate.n jaka.D lengii

khi.Dakiyo.n par dabiiz parde ho.n
baarishe.n phir bhii dastake.n dengii
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: February 25, 2008, 05:01:22 PM »
Reply with quote
Nice sharing TALAT!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: February 25, 2008, 06:43:36 PM »
Reply with quote
Thanks Pooja
Logged
suman59
Guest
«Reply #12 on: November 29, 2012, 07:10:37 AM »
Reply with quote
is purana sharings abhi maine pada. Bahut bahut khoobsurat ghazals Parveen jee ka pada aur yahi ek aur unka kalam share kar rahi hu.

Aks khushbu hun bikharne se na roke koi
Aur bikhar jaon to mujhko na samete koi

Kanp uthti hun mein ye soch ke tanhai me
Mera chehre pe tera nam na parrh le koi

Jis tarha khwab mere ho gaye reza reza
Is tarha na kabhi toot kar bikhre koi

mein to is din hirasan hun ke jab hukm mile
Khushk pulun ko na kitabon mein rakhe koi

Ab to is rah se wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis ummid pe darwaze se jhanke koi

Koi aahat koi awaz koi chap nahi
Dil ki galyan barri sunsan hain aye koi

*~*(Parveen Shakir)*~*

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:09:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer