Talat
Guest
|
«Reply #105 on: July 09, 2009, 01:49:35 PM » |
|
kya baat hai talat thnxxx for sharing such a beautifull ghazal
Thanks Aslam Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #106 on: July 09, 2009, 01:50:32 PM » |
|
Dua karo ke koi piyaas nazr e jam na ho Wo zindagi hi nhi hai jo natamaam na ho
Jo mujhme tujhme chal rha hai sadiyon se Kahin hayaat usi faasle ka naam na ho
Koi charaagh, na aansu, na aarzu e saher Khuda kare ke ghr mai aisi sham na ho
Ajeeb shart lagaai hai ehetiyaato.n ne Ke tera zikr karun aur tera naam na ho
Saba mijaaz ki tezi bhi ek naemat hai Agr charagh bujhana hi sirf kaam na ho
Waseem kitni hi subho.n lahu lahu guzri.n Ek aisi subho bhi aaye ke jiski shaam na ho Beautiful ghazal Aslam Ji...Thanks for sharing with us.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #107 on: July 10, 2009, 09:06:06 AM » |
|
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai
Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai
Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai
Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai
Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai
Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai
Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai
Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein Merey Kahayl Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gata Hai !!
Ghazal by A Muhammad Noman Qureshi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #108 on: July 10, 2009, 09:09:27 AM » |
|
Nice one Hum Tum Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #109 on: July 10, 2009, 09:13:14 AM » |
|
This one is Close to my heart-:
apanii aa.Nkho.n ke samu.ndar me.n utar jaane de teraa mujarim huu.N mujhe Duub ke mar jaane de
ai naye dost mai.n samajhuu.Ngaa tujhe bhii apanaa pahale maazii kaa koii zaKhm to bhar jaane de
aag duniyaa kii lagaii huii bhuj jaayegii koii aa.Nsuu mere daaman pe bikhar jaane de
zaKhm kitane terii chaahat se mile hai.n mujhako sochataa huu.N ki kahuu.N tujhase magar jaane de!!
Ghazal
by "Nazeer Baqri"
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #110 on: July 10, 2009, 09:18:35 AM » |
|
Close to My heart-:
Apane haatho.n kii lakiiro.n me.n basaale mujhako Mai.n huu.N teraa nasiib apanaa banaa le mujhako
Mujhase tuu puuchhane aayaa hai vafaa ke maanii Ye terii sadaadilii maar na Daale mujhako
Mai.n sama.ndar bhii huu.N motii bhii huu.N Gotaazan bhii Koii bhii naam meraa leke bulaale mujhako
Tuune dekhaa nahii.n aaiine se aage kuchh bhii Khudaparastii me.n kahii.n tuu na ga.Nvaale mujhako
Kal kii baat aur hai mai.n ab saa rahuu.N yaa na rahuu.N Jitanaa jii chaahe teraa aaj sataale mujhako
Khud ko mai.n baa.NT na Daaluu.N kahii.n daaman-daaman Kar diyaa tuune agar mere havaale mujhako
Mai.n jo kaa.NTaa huu.N to chal mujh se bachaakar daaman Mai.n huu.N gar phuul to juu.De me.n sajaale mujhako
Mai.n khule dar ke kisii ghar kaa huu.N saamaa.N pyaare Tuu dabe paa.Nv kabhii aake churaale mujhako
Tark-e-ulfat kii qasam bhii ko_ii hotii hai qasam Tuu kabhii yaad to kar bhuulanevaale mujhako
Baadaa phir baadaa hai mai.n zahar bhii pii jaauu.N "Qateel" Shart ye hai koii baaho.n mei.n sambhale mujhako!!
Ghazal
by "Qateel Shifai"
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #111 on: July 10, 2009, 09:23:46 AM » |
|
Apane hoTho.n par sajaanaa chaahataa huu.N Aa tujhe mai.n gunagunaanaa chaahataa huu.N
Koii aa.Nsuu tere daaman par giraakar Buu.Nd ko motii banaanaa chaahataa huu.N
Thak gayaa mai.n karate-karate yaad tujhako Ab tujhe mai.n yaad aanaa chaahataa huu.N
Chhaa rahaa hai saarii bastii me.n a.Ndheraa Raushanii ho ghar jalaanaa chaahataa huu.N
AaKharii hichakii tere zaano.n pe aaye Maut bhi mai.n shaayaraanaa chaahataa huu.N
Ghazal
by "Qateel Shifai"
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #112 on: July 10, 2009, 12:11:20 PM » |
|
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai
Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai
Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai
Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai
Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai
Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai
Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai
Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein Merey Kahayl Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gata Hai !!
Ghazal by A Muhammad Noman Qureshi
Such a beautiful ghazal HumTum Thanks so much for sharing this lovely ghazal.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #113 on: July 10, 2009, 12:20:13 PM » |
|
Zindagi, Tune Lahu Le Ke Diya, Kuch Bhi Nahin Tere Daaman Main Mere Waaste Kya Kuch Bhi Nahin
Mere In Haathon Ki Chaaho To Talashi Le Lo Mere Haathon Main Lakeeron Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
Humne Dekha Hai Kai Aisi Khudaao.n Ko Yahan Saamne Jin Ke Wo Sach Much Ka Khuda Kuch Bhi Nahin
Ya Khuda Ab Ke Ye Kis Rang Main Aayi Hai Bahaar Zard Hi Zard Hai, Pedon Pe Hara Kuch Bhi Nahin
Dil Bhi Ek Zid Pe Ada Hai Kisi Bachche Ki Tarah Ya To Sab Kuch Hi Ise Chahiye Ya Kuch Bhi Nahin
Don't know the poet's name; Sung by Jagjist Singh
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum
Guest
|
|
«Reply #114 on: July 10, 2009, 12:24:56 PM » |
|
Talat Ji - This is written by "Rajesh Reddy". Here is one more of his-:
ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai kahii.n ik hasiin saa Khvaab hai kahii.n jaan-levaa azaab hai
[azaab=torment/anguish]
kahii.n chha.Nv hai kahii.n dhuup hai kahii.n aur hii ko_ii ruup hai ka_ii chehare is me.n chhupe hu_e ik ajiib sii ye naqaab hai
kahii.n kho diyaa kahii.n paa liyaa kahii.n ro liyaa kahii.n gaa liyaa kahii.n chhiin letii hai har Khushii kahii.n meharabaan behisaab hai
kahii.n aa.Nsuo.n kii hai daastaa.N kahii.n muskuraahaTo.n kaa bayaa.N kahii.n barqato.n kii hai baarishe.n kahii.n tishnagii behisaab hai
[bayaa.N=tale; barqat=prosperity/good fortune; tishnagii=thirst]
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sweet sona
Guest
|
|
«Reply #115 on: July 10, 2009, 01:44:55 PM » |
|
very nice sharing u people are amazing i love viewing n reading your posts. thanx everyone.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #116 on: July 10, 2009, 01:55:00 PM » |
|
Talat Ji - This is written by "Rajesh Reddy". Here is one more of his-:
ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai kahii.n ik hasiin saa Khvaab hai kahii.n jaan-levaa azaab hai
[azaab=torment/anguish]
kahii.n chha.Nv hai kahii.n dhuup hai kahii.n aur hii ko_ii ruup hai ka_ii chehare is me.n chhupe hu_e ik ajiib sii ye naqaab hai
kahii.n kho diyaa kahii.n paa liyaa kahii.n ro liyaa kahii.n gaa liyaa kahii.n chhiin letii hai har Khushii kahii.n meharabaan behisaab hai
kahii.n aa.Nsuo.n kii hai daastaa.N kahii.n muskuraahaTo.n kaa bayaa.N kahii.n barqato.n kii hai baarishe.n kahii.n tishnagii behisaab hai
[bayaa.N=tale; barqat=prosperity/good fortune; tishnagii=thirst]
Thanks for the info...and another nice one from him..Thanks HumTum
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #117 on: July 10, 2009, 01:56:00 PM » |
|
very nice sharing u people are amazing i love viewing n reading your posts. thanx everyone.
Hello Sweet Sona, Thanks so much for reading our posts. Won't you be joining us here ? Celmira
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #118 on: July 15, 2009, 03:32:06 PM » |
|
Hai Ikhtiyaar Main Tere TO Mojaza Kar De Wo Shakhs Mera Nahin Hai Use Mera Kar De
Ye Retzaar Kahin Khatm Hi Nahin Hota Zara Si Door To Rasta Hara Bhara Kar De
Main Us Ke Zor Ko Dekhun, Wo Mera Sabr-o-Sukoon Dekhe Mujhe Chiragh Bana De, Use Hawa Kar De
Akeli Shaam Bohot Ji Udaas Karti Hai Kisi Ko Bhej Koi Mera Humnawa Kar De
Rana Sahri
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Roja
Guest
|
|
«Reply #119 on: July 15, 2009, 04:46:19 PM » |
|
All are too good to read... Nice collections dear Talat..and Humtum
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|