ghazals.........close to my heart

by aaina on May 09, 2009, 07:19:30 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
ReplyPrint
Author  (Read 10523 times)
Talat
Guest
«Reply #30 on: May 18, 2009, 08:32:34 PM »
Reply with quote

Mohabbatein Jab Shumar Karna To Sazishain Bhi Shumar Karna
Jo Mere Hisse Main Aayi Hain Who Aziyaatain Bhi Shumar Karna

Jalaye Rakhungi Main Subah Tak Tumhare Raston Main Apni Ankhein
Mager Kahin Zabt Toot Jaye To Barishein Bhi Shumar Karna

Jo Harf Loh-E-Wafa Par Likhe Hue Hain Un Ko Bhi Dekh Laina
Jo Raaigaan Ho Gayin Wo Saari Ibbaratein Bhi Shumar Karna

Yeh Sardiyon Ka Udaas Musam Ke Dharkanain Barf Ho Gayi Hain
Jab In Ki Yakh Bastagi Parakhna To Tamazatien Bhi Shumar Karna

Tum Apni Majbooriyon Ke Qisse Zaroor Likhna Wazahaton Se
Jo Meri Ankhon Main Jal Bhuji Hain Who Khwahishein Bhi Shumar Karna


Noshi Gilani
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
CLOSE UP by shreya in SMS , mobile & JOKES « 1 2  All »
Songs close to my heart.. by brokenbyluv in Songs & Lyrics « 1 2 ... 57 58 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
FEELING CONNECTED TO CLOSE ONE by Nahid Ayaz in Urdu Poets
Talat
Guest
«Reply #31 on: May 18, 2009, 08:45:01 PM »
Reply with quote

Tujh Se To Koi Gila Nahin Hai
Kismat Main Meri Sila Nahin Hai

Bichde To Na Jaane Haal Kya Ho
Jo Shakhs Abhi Mila Nahin Hai


Jeene Ki To Aarzu Hi Kab Thi
Marne Ka Bhi Hausla Nahin Hai

Jo Zeest Ko Mo'attabar Bana De
Aisa Koi Silsila Nahin Hai

Khushbu Ka Hisaab Ho Chuka Hai
Aur Phool Abhi Khila Nahin Hai

Sarshaari Rehbari Main Dekha
Peeche Mera Qaafila Nahin Hai

Ek Thes Pe Dil Ka Phoot Behna
Chuune main To Aabla Nahin Hai


Parveen Shakir

Logged
Talat
Guest
«Reply #32 on: May 18, 2009, 08:53:08 PM »
Reply with quote

Dil Pe EkTarfa Qayamat Karna
Muskurate Hue Rukhsat Karna

Achchi Ankhain Jo Mili Hain Is ko
Kuch To Laazim Hua Wahshat Karna

Jurm Kis Ka Tha, Saza Kis Ko Mili,
Kya Gayi Baat Pe Hujjat Karna

Kaun Chahega Tumhe Meri Tarah
Ab Kisi Se Na Mohabbat Karna


Ghar Ka Darwaaza Khula Rakha Hai
Waqt Mil Jaaye To Zehmat Karna


Parveen Shakir
Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: May 19, 2009, 11:55:59 AM »
Reply with quote
Aapni Ruswaayi, Tere Naam Ka Charcha Dekhun
Ek Zara Sher Kahun, Aur Main Kya Kya Dekhun

Neend Aa Jaaye To Kya Mehfilain Barpa Dekhun
Aankh Khul Jaaye To Tanhaayi Ka Sahra Dekhun

Shaam Bhi Ho Gayi, Dhundla Gayin Aankhain Bhi Meri
Bhoolne Waale Main Kab Tak Tera Rasta Dekhun

Sab Zidain Us Ki Main Poori Karun, Har Baat Sunoon
Ek Bachche Ki Tarah Use Hansta Dekhun

Mujhe Pe Cha Jaaye Wo Barsaat Ki Khusbu Ki Tarah
Ang Ang Apna Usi Rut Main Mehekta Dekhun

Tu Meri Tarah Se Yakta Hai Magar Mere Habib
Ji Main Aata Hai Koi Aur Bhi Tujhsa Dekhun

Maine Jis Lamhe Ko Pooja Hai Use Ek Baar
Khwaab Ban Kar Teri Aankhon Main Utarta Dekhun

Tu Mera Kuch Bhi Nahin Lagta Hai Magar Jaan-e-Hayaat
Jaane Kyun Tere Liye Dil Ko Dhahadkta Dekhun



Parveen Shakir
Logged
KHILTAGULAB
Guest
«Reply #34 on: May 19, 2009, 12:33:53 PM »
Reply with quote
bahut hi pyari gazals hai
Logged
pandit
Guest
«Reply #35 on: May 19, 2009, 12:36:18 PM »
Reply with quote
Woh baat baat mein itna badalta jaata hai
Ki jis tarah koi vaada badalta jaata hai

Yeh arzoo thi ki hum us ke sath sath chalain
Magar woh shakhs to rasta badalta jata hai

Jo tez dhoop mein sar par raha wohi anchal
Hawa chali hai to kitna badalta jata hai

Rutain wisaal ki aab khwaab hone wali hain
Ki us ki baat ka lehja badalta jaata hai


Wo baat kar jise duniya bhi mo’attabar samjhe
tujhe khabar zamana badalta jaata hai


Noshi Gilani


WAAH TAAT JEE,
KYA BAAT HAI JEE,..
Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: May 20, 2009, 10:10:49 AM »
Reply with quote
bahut hi pyari gazals hai

Bohot Shukriya...
Logged
Roja
Guest
«Reply #37 on: May 20, 2009, 10:21:46 AM »
Reply with quote
Aapni Ruswaayi, Tere Naam Ka Charcha Dekhun
Ek Zara Sher Kahun, Aur Main Kya Kya Dekhun

Neend Aa Jaaye To Kya Mehfilain Barpa Dekhun
Aankh Khul Jaaye To Tanhaayi Ka Sahra Dekhun

Shaam Bhi Ho Gayi, Dhundla Gayin Aankhain Bhi Meri
Bhoolne Waale Main Kab Tak Tera Rasta Dekhun

Sab Zidain Us Ki Main Poori Karun, Har Baat Sunoon
Ek Bachche Ki Tarah Use Hansta Dekhun

Mujhe Pe Cha Jaaye Wo Barsaat Ki Khusbu Ki Tarah
Ang Ang Apna Usi Rut Main Mehekta Dekhun

Tu Meri Tarah Se Yakta Hai Magar Mere Habib
Ji Main Aata Hai Koi Aur Bhi Tujhsa Dekhun

Maine Jis Lamhe Ko Pooja Hai Use Ek Baar
Khwaab Ban Kar Teri Aankhon Main Utarta Dekhun

Tu Mera Kuch Bhi Nahin Lagta Hai Magar Jaan-e-Hayaat
Jaane Kyun Tere Liye Dil Ko Dhahadkta Dekhun



Parveen Shakir

Meri pasand ka yahan aapne share kiya hai dear talat...  happy3 wah wah maza aagaya. Thanks for sharing dear
Logged
Talat
Guest
«Reply #38 on: May 20, 2009, 10:32:38 AM »
Reply with quote
WAAH TAAT JEE,
KYA BAAT HAI JEE,..

Thanks Sanjay
Logged
Talat
Guest
«Reply #39 on: May 20, 2009, 10:33:41 AM »
Reply with quote
Meri pasand ka yahan aapne share kiya hai dear talat...  happy3 wah wah maza aagaya. Thanks for sharing dear

Thanks Roja dear...Parveen Shakir meri most favourite poets main se hain......I really wish ki wo aaj iss duniya main hoti......I love each and every work of her !
Logged
Talat
Guest
«Reply #40 on: May 20, 2009, 11:34:03 AM »
Reply with quote
Another one of my favourite Ghazals:

Kamaal-e-Zabt Ko Khud Bhi TO Aazmaungi
Main Apne Haath Se Uski Dulhan Sajaungi

Supurd Kar Ke Use Chandi Ke Hatahon Main
Main Apne Ghar Ke Andheron Ko Laut Aaungi

Badan Ke Karb Ko Wo Bhi Samajh Na Paayega
Main Dil Main Royungi, Aankhon Main Muskuraungi

Wo Kya Gaya, Rafaqat Ke Saare Lutf Gaye
Main Kis Se Rooth Sakungi, Kise Manaungi

Ab Uska Fun To Kisi Aur Se Hua Mansoob
Main Kis Ki Nazm Akele Hi Gungunaungi

Wo Ek Rishta Benaam Bhi Nahin Lekin
Main Ab Bhi Uske Ishaaron Pe Sar Jhukaungi

Bicha Diya Tha Gulaabon Ke Sath Apna Wujood
Wo So Ke Uthe To Khwaabon Ki Raakh Uthaungi

Sama'aton Main Ghane Jangalon Ki Saansain Hain
Main Ab Kabhi Teri Awaaz Sun Na Paaungi

Jawaaz Dhoond Raha Tha Nayi Mohabbat Ka
Wo Keh Raha Tha Ki Main Usko Bhool Jaaungi !


Parveen Shakir
Logged
Roja
Guest
«Reply #41 on: May 20, 2009, 11:40:40 AM »
Reply with quote
Another one of my favourite Ghazals:

Kamaal-e-Zabt Ko Khud Bhi TO Aazmaungi
Main Apne Haath Se Uski Dulhan Sajaungi

Supurd Kar Ke Use Chandi Ke Hatahon Main
Main Apne Ghar Ke Andheron Ko Laut Aaungi

Badan Ke Karb Ko Wo Bhi Samajh Na Paayega
Main Dil Main Royungi, Aankhon Main Muskuraungi

Wo Kya Gaya, Rafaqat Ke Saare Lutf Gaye
Main Kis Se Rooth Sakungi, Kise Manaungi

Ab Uska Fun To Kisi Aur Se Hua Mansoob
Main Kis Ki Nazm Akele Hi Gungunaungi

Wo Ek Rishta Benaam Bhi Nahin Lekin
Main Ab Bhi Uske Ishaaron Pe Sar Jhukaungi

Bicha Diya Tha Gulaabon Ke Sath Apna Wujood
Wo So Ke Uthe To Khwaabon Ki Raakh Uthaungi

Sama'aton Main Ghane Jangalon Ki Saansain Hain
Main Ab Kabhi Teri Awaaz Sun Na Paaungi

Jawaaz Dhoond Raha Tha Nayi Mohabbat Ka
Wo Keh Raha Tha Ki Main Usko Bhool Jaaungi !


Parveen Shakir

Same here dear Talat. I too have many wonderful collections of Parveen Shakir ji's shayries. I am really glad to read the above 1 which i too love reading again and again. Thanks for this wonderful stuff dear.
Logged
aaina
Guest
«Reply #42 on: May 23, 2009, 09:51:28 AM »
Reply with quote
very nice shring celmira ji................bhut hi khoosurat ghazalai.n


Dhanak dhanak merti poron ke khwaab kar daiga
Wo lams mere badan ko gullaab kar daiga

Qaba e jism ke har taar se guzarata hua
Kiran ka piyaar mujhay aaftaab kar daiga

Junu.n pasand hai dil aur tujh tak aane mai
Badan ko naaw, lahoo ko chanaab kar daiga

Mein such kahungi magr phir bhi haar jaungi
Wo jhoot bolega aur lajaaab kar daiga

Isi tarhan se agr chahta raha peyham
Sukhan wari mai mujhay intekhaab kar daiga

Meri tarahan se koi hai jo zindagi apni
Tumari yaad ke naam intesaab kar daiga

Logged
Talat
Guest
«Reply #43 on: May 26, 2009, 01:58:53 PM »
Reply with quote
Thanks Aslam Ji...this one is also nice....
Logged
Talat
Guest
«Reply #44 on: May 26, 2009, 02:07:37 PM »
Reply with quote
Another one of my favourites...Just love it !!


Aankhon Main Kaise Khwaab Tarashe Hain In Dino
Dil Pe Ajeeb Rang Utarte Hain In Dino

Rakh Apne Paas Apne Meh-o-Mehr Ae Falak
Hum Khud Kisi Ki Aankh Ke Taare Hain In Dino

Dast-e-Sahar Ne Maang Nikaali Hai Baaraha
Aur Shab Ne Aa Kar Baal Sanwaare Hain In Dino

Is Ishq Ne Hume Hi Nahin Moa'ttadil Kiya
Uski BHi Khushmizaagi Ke Charche Hain In Dino

Ek Khushgawar Neend Par Haq Ban Gaya Mera
Woh Rat-Jage Is Aankh Ne Kaate Hain In Dino


Parveen Shakir
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:52:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer