ghazals.........close to my heart

by aaina on May 09, 2009, 07:19:30 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 10
ReplyPrint
Author  (Read 10791 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: May 26, 2009, 02:13:59 PM »
Reply with quote


Awaaz Ke Humraah Sarapa Bhi To Dekhun
Ae Jaan-e-Sukhan Main Tera Chehra Bhi To Dekhun

Dastak To Kuch Aisi Hai Ki Dil Choone Lagi Hai
Iss Habs Main Baarish Ka Ye Jhonka Bhi To Dekhun

Sahra Ki Tarah Rehte Hue Thak Gayin Aankhain
Dukh Kehta Hai Ab Main Koi Dariya Bhi To Dekhun

Ye Kya Ki Wo Jab Chaahe Mujhe Cheen Le Mujh Se
Apne Liye Wo Shakhs Tadapta Bhi to Dekhun

Parveeb Shakir

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
CLOSE UP by shreya in SMS , mobile & JOKES « 1 2  All »
Songs close to my heart.. by brokenbyluv in Songs & Lyrics « 1 2 ... 57 58 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
FEELING CONNECTED TO CLOSE ONE by Nahid Ayaz in Urdu Poets
junaidqadir
Guest
«Reply #46 on: May 28, 2009, 02:22:05 PM »
Reply with quote
subhan allah aslam sahah , aur celmira bahen sub bade hi nayab kalamath pesh kiye hain mai bhi khuch qaas nazar karta hon marhoom parveen shakir saheba ji ka likha ye kalam pasand aye to unke haq me duva farma-e-yega !!

Tujhe kaise ilm na hosaka badi door tak ye qabar gay-e- !!
ke tere shaher ki shayara tere intezaar me marr ga-e- !!

khuch to thi wajhe khuch to tha sabab jo mai wada karke mukar ga-e- !!
teri wafaon pe to yaqeen tha magar mai khud apne aap se darr ga-e- !!

wo tere mizaj ki baath thi ye mere mizaj ki baath hai !!
tu meri nazar se na gir saka mai teri nazar se utar ga-e- !!

.............Marhoom Parveen Shakir saheba ........
Logged
Talat
Guest
«Reply #47 on: May 28, 2009, 02:59:29 PM »
Reply with quote
Shukriya Qadeer Bhaijan....aur aapne badi khoobsurat ghazal yahan likhi hai...Parveen Shakir Saheba ki har ghazal ek shaahkar ki tarah hai....!!

Aur is sher main maano samandar ki gehraayi ho:

wo tere mizaj ki baath thi ye mere mizaj ki baath hai !!
tu meri nazar se na gir saka mai teri nazar se utar ga-e- !!


Bohot Khoob !
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #48 on: May 28, 2009, 03:09:28 PM »
Reply with quote
Shukriya Qadeer Bhaijan....aur aapne badi khoobsurat ghazal yahan likhi hai...Parveen Shakir Saheba ki har ghazal ek shaahkar ki tarah hai....!!

Aur is sher main maano samandar ki gehraayi ho:

wo tere mizaj ki baath thi ye mere mizaj ki baath hai !!
tu meri nazar se na gir saka mai teri nazar se utar ga-e- !!


Bohot Khoob !


shukriya talat bahen !! Apki pasandida shayara Marhoom parveen shakir saheba ki khuch aur bhi kalamath hai jo kabhi inshallah waqath ne ijazath di to post karonga yahan !!

Duvaun ka muntazir !!

Qadeer
Logged
Talat
Guest
«Reply #49 on: May 29, 2009, 12:13:33 PM »
Reply with quote


Isi Main Khush Hoon Mera Dukh Koi To Sahta Hai
Chali Chalun Ki Jahan Tak Ye Saath Rehta Hai

Zameen-e-Dil Yunhi Shaadab To Nahin Ae Dost
Qareeb Main Koi Dariya Zaroor Behta Hai

Na Jaane Kaun Sa Fiqra Kahan Raqm Ho Jaaye
Dilon Ka Haal Bhi Ab Kaun Kisse Kehta Hai

Mere Badan Ko Namii Kha Gayi Askhon Ki
Bhari Bahaar Main Jaise Makaan Dehta Hai


Parveen Shakir
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #50 on: May 29, 2009, 04:24:43 PM »
Reply with quote

Tujh Se To Koi Gila Nahin Hai
Kismat Main Meri Sila Nahin Hai

Bichde To Na Jaane Haal Kya Ho
Jo Shakhs Abhi Mila Nahin Hai


Jeene Ki To Aarzu Hi Kab Thi
Marne Ka Bhi Hausla Nahin Hai

Jo Zeest Ko Mo'attabar Bana De
Aisa Koi Silsila Nahin Hai

Khushbu Ka Hisaab Ho Chuka Hai
Aur Phool Abhi Khila Nahin Hai

Sarshaari Rehbari Main Dekha
Peeche Mera Qaafila Nahin Hai

Ek Thes Pe Dil Ka Phoot Behna
Chuune main To Aabla Nahin Hai


Parveen Shakir


Bahut Bhaut bahut Khoob!!! Maine Kabhi Parveen Ji Ki likhi Ghazale Nahi Padhi Thi..Talat,Ek Se Ek Heere Jaisi Ghazale Share ki hai aapne..

Yeh sab Nazmo Ko padhkar Dil Keh Raha Hai ke Main Bhi Apne Pasandida Kalam Share Karoon...

Great Work Talat.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
Talat
Guest
«Reply #51 on: May 29, 2009, 04:31:53 PM »
Reply with quote
Thanks so much Dost....Main Parveen Shakir Sahiba ki DIE-HARD FAN hoon...wo bohot jald iss duniya se ek car haadse main chal basin....warna shayad ab tak na jaane aur kitne khazaane luta chuki hotin.

Aap ki sharings ka intezar rahega Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #52 on: May 30, 2009, 03:15:32 PM »
Reply with quote

Zindagi se yehi gilaa hai mujhe
Tu bahut der se mila hai mujhe

Hamsafar chaahiye, hujoom nahin
Ek musaafir bhi, qaafila hai mujhe

Dil dhadakta nahin sulagtaa hai
Woh jo khwahish thi, aabala hai mujhe

Lab-kusha hoon to is yakiin ke saath
Qatl hone ka hosala hai mujhe

Tu mohabbat se koii chaal to chal
Haar jaane ka hausla hai mujhe

Kaun jaane ki chaahaton maiN FARAZ!
Kya ganwaaya hai, kya mila hai mujhe

   


Ahmad Faraz
Logged
Talat
Guest
«Reply #53 on: May 31, 2009, 09:54:34 PM »
Reply with quote


Gulaab Haath Mein Ho Aankh Main Sitaara Ho
Koi Wajood Mohabbat Ka Istaaara Ho

Main Gehre Paani Ki Is Rau Ke Saath Behti Rahun
Jazeera Ho Ke Muqabil Koi Kinaara Ho

Kabhi Kabhar Use Dekh Len, Kahin Mil Len
Ye Kab Kaha Tha Ki Wo Khush Badan Humara Ho

Qusoor Ho To Humare Hisaab Main Likh Jaaye
Mohabbaton Main Jo Ehsaan Ho Tumhara Ho

Ye Itni Raat Gaye Dastaken Kaun Dega
Kahin Hawa Ka Hi Usne Na Roop Dhara Ho

Ufaq To Kya Darakshaan Bhi Chorh Aayen
Musafiron Ko Agar Chand Ka Ishaara Ho

Main Apne Hisse Ke Sukh Naam Jiske Kar Dalun
Koi To Ho Jo Mujhe Is Tarah Ka Pyaara Ho

Agar Wajood Main Ahang Hai To Wasl Bhi Hai
Main Chaahe Nazm Ka Tukda, Wo Nasr-Paara Ho

Parveen Shakir
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #54 on: May 31, 2009, 10:29:40 PM »
Reply with quote



Rakh Apne Paas Apne Meh-o-Mehr Ae Falak
Hum Khud Kisi Ki Aankh Ke Taare Hain In Dino



Parveen Shakir


Waah.... parveen shakir ka jawaab nahi. {haq maghfirat kare}
Logged
Talat
Guest
«Reply #55 on: June 01, 2009, 10:04:58 AM »
Reply with quote
Gaye Mausam Main Jo Khilte The Gulaabon Ki Tarah
Dil Pe Utrenge Wahi Khwaab Azaabon Ki Tarah

Raakh Ke Dher Par Ab Raat Basar Karni Hai
Jal Chuke Hain Mere Kheme, Mere Khwaabon Ki Tarah

Saa'at Deed Ke Aariz Hain Gulaabi Ab Tak
Awwaleen Lamhon Ke Gulnaar Hijaabon Ki Tarah

Wo Samandar Hai To Phir Rooh Ko Shadaab Kare
Tishnagi Kyun MUjhe Deta Hai Saraabon Ki Tarah

Ghair Mumkin Hai Tere Ghar Ke Gulaabon Ka Shumaar
Mere Riste Hue Zakhmon Ke Hisaabon Ki Tarah

Yaad To Hongi Wo Baatain Tujhe Ab Bhi Lekin
Shelf Main Rakhi Hui Band Kitaabon Ki Tarah

Kaun Jaane Ki Naye Saal Main To Kis Ko Padhe
Tera Miyaar Badalta Hai Nisaabon Ki Tarah

Shokh Ho Jaati Hai Ab Bhi Teri Aankhon Ki Chamak
Gaahe Gaahe Tere Dilchasp Jawaabon Ki Tarah

Hijr Ki Shab Meri Tanhaayi Pe Dastak Degi
Teri Khushbu Mere Khoye Hue Khwaabon Ki Tarah


Parveen Shakir
Logged
Talat
Guest
«Reply #56 on: June 01, 2009, 02:20:50 PM »
Reply with quote
Shukriya Usual Smile
Logged
aaina
Guest
«Reply #57 on: June 02, 2009, 09:59:13 AM »
Reply with quote
very beautifull sharing celmira ji.........parveen shakir sahiba ki ek aur ghazal hazir hai.........

na qarz e nakhoon e gul.n naam ko lu.n
hawa hu.n, apni girhai.n aap kholu.n

teri khushboo bichd jaane se pehle
mai anpne aap mai tujh ko samo lu.n

khuli aankho se sapne qarz lai kar
teri tanhaaiyo.n mai rang gholu.n

milegi aansuwo.n se tan ko thandak
badi lu hai zaa aanchal bhigolu.n

wo ab meri zaroorat ban gaya hai
kahan mumkin raha, usse na bolu.n

mein chdiya ki tarhan din bhar thaki hun
hui hia shaam to kuch dair so lu.n



Logged
Talat
Guest
«Reply #58 on: June 02, 2009, 10:12:57 PM »
Reply with quote
Maine unki ya ghazal pehli baar padhi hai .....beautiful sharing Aslam Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #59 on: June 03, 2009, 10:47:19 AM »
Reply with quote
Kya Baat Hai Jis Ka Ghum Bohot Hai
Kuch Din Se Ye Aankh Nam Bohot Hai

Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hi Tera Karam Bohot Hai

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthega
Dehleez Par Ek Qadam Bohot Hai

Mil Jaaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko To Ye Janam Bohot Hai

Kya Shab Se Hume Sawaal Karna
Hona Tera Subah Dam Bohot Hai

Kyun Bujhne Lage Chiragh Mere
Ab Ke TO Hawa Bhi Kam Bohot Hai

Chup Kyun Tujhe Lag Gayi Hai "Parveen"
Sunte The Ki Tujh Main Ram Bohot Hai


Praven Shakir
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:50:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.184 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer