ghazals.........close to my heart

by aaina on May 09, 2009, 07:19:30 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 10
ReplyPrint
Author  (Read 10522 times)
k.shael
Guest
«Reply #60 on: June 03, 2009, 10:52:59 AM »
Reply with quote
Sabne bahut aachi sharings ki hai ghazals ki,  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Aur Talat Dear Aapki ye ghazal bhi bahut pasandh aayi.. Clapping Smiley  Clapping Smiley

Shally.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
CLOSE UP by shreya in SMS , mobile & JOKES « 1 2  All »
Songs close to my heart.. by brokenbyluv in Songs & Lyrics « 1 2 ... 57 58 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
FEELING CONNECTED TO CLOSE ONE by Nahid Ayaz in Urdu Poets
Talat
Guest
«Reply #61 on: June 04, 2009, 07:21:57 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Shally dear and Kaash Ji for appreciating the ghazals.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #62 on: June 04, 2009, 07:40:38 PM »
Reply with quote
Ranjish hi sahi dil dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhorr ke jaane ke liye aa...

Pehle se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa....
[marasim=tradition-bound, habitual, custom-dictated]

Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa ...

Kuch to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa...
[pindaar-e-muhabbat -- muhabbat ka maan]

Ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
ae raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa...
[lazzat-e-giriyA=the pleasure of crying-ashk bahaane
kaa sukh]

Ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa..
[dil-e-Khushfeham=optimistic heart]

Mana ke muhabbat ka chhupana hai muhabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa..

Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
waise hi kisi roz na jane ke liye aa..

By Ahmed Faraz
Logged
Talat
Guest
«Reply #63 on: June 04, 2009, 08:00:16 PM »
Reply with quote
Nice ghazal Rahim, one of my favourites too !
Logged
Talat
Guest
«Reply #64 on: June 04, 2009, 08:03:54 PM »
Reply with quote
Bhoola Nahin Dil Ataab Us Ke
Ehsaan Hain Behisaab Us Ke

Aankhon Ki Hai Ek Hi Tamanna
Dekha Karen Roz Khwaab Us Ke

Aisa Koi Sher Kab Kaha Hai
Jo Ho Sake Intisaab Us Ke

Apne Liye Maang Loon Khuda Se
Hisse Main Hain Jo Azaab Us Ke

Waise To Wo Shokh Hai Bala Ka
Andar Hai Bohot Hijaab Us Ke


Parveen Shakir
Logged
dead heart
Guest
«Reply #65 on: June 04, 2009, 08:07:45 PM »
Reply with quote
Shukriya Talat di...Aapne bhi lajawab sharings ki hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #66 on: June 05, 2009, 12:00:47 PM »
Reply with quote
Yoon Hausla Dil Ne Haara Kab Tha
Sartaan Mera Sitaara Kab Tha

Laazim Tha Guzarna Zindagi Se
Bin Piye Zehar Guzara Kab Tha

Kuch Pal Use Aur Dekh Sakte
Askhon Ko Magar Gawara Kab Tha

Hum Khud Bhi Judaai Ka Sabab The
Us Ka Hi Qusoor Saara Kab Tha

Ab Aur Ke Saath Hai To Kya Dukh
Pehle Bhi Koi Humara Kab Tha

Ek Naam Pe Zakhm Khul Uthe The
Qaatil Ki Taraf Ishara Kab Tha

Aaye Ho To Roshni Hui Hai
Is Baam Pe Koi Taara Kab Tha

Dekha Hua Ghar Tha Par Kisi Ne
Dulhan Ki Tarah Sanwara Kab Tha


Parveen Shakir
Logged
Talat
Guest
«Reply #67 on: June 05, 2009, 12:07:23 PM »
Reply with quote

Ek Na Ek Roz To Rukhsat Karta
Mujh Se Kitni Hi Mohabbat Karta

Sab Ruten Aa Ke Chali Jaati Hain
Mausam-e-Ghum Bhi To Hijrat Karta

Bhediye Mujh Ko Kahan Pa Sakte
Wo Agar Meri Hifazat Karta

Kuch To Thi Meri Khata, Warna Wo Kyun
Is Tarah Tark-e-Rafaqat Karta

Aur Usse Na Rahi Koi Talab
Bas Mere Pyaar Ki Izzat Karta !


Parveen Shakir
Logged
Talat
Guest
«Reply #68 on: June 05, 2009, 08:35:53 PM »
Reply with quote
Shukriya Kaash Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #69 on: June 05, 2009, 08:41:06 PM »
Reply with quote


Shayad Us Ne Mujh Ko Tanha Dekh Liya Hai
Dukh Ne Mere Ghar Ka Rasta Dekh Liye Hai

Apne Aap Se Aankh Churaye Phirti Hoon Main
Aaiine Main Kis Ka Chehra Dekh Liya Hai

Ab Bhi Sapne Boye To Imaan Hai Us Ka
Us Ne In Aankhon Main Sahra Dekh Liya Hai

Us Ne Mujhe Dar-asal Kabhi Chaha Hi Nahin Tha
Khud Ko De Kar Ye Bhi Dhoka Dekh Liya Hai

Us Se Milte Waqt Ka Rona Kuch Fitri Tha
Us Se Bichad Jaane Ka Natija Dekh Liya Hai

Rukhsat Karne Ke Aadaab Nibhane Hi The
Band Aankhon Se Us Ko Jata Dekh Liya Hai

Parveen Shakir
Logged
Talat
Guest
«Reply #70 on: June 05, 2009, 09:01:13 PM »
Reply with quote

Aks-e-Khushbu Hoon, Bikharne Se Na Roke Koi
Aur Bikhar Jaaun To Mujh Ko Na Samete Koi

Kaanp Uthti Hoon Main Ye Soch Ke Tanhaayi Main
Mere Chehre Pe Tera Naam Na Padh Le Koi

Jis Tarah Khwaab Mere Ho Gaye Reza Reza
Is Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bikhre Koi

Main To Us Din Se Harasaan Hoon Ki Jab Hukm Mile
Khushk Phoolon Ko Kitaabon Main Na Rakhe Koi

Ab To Iss Raah Se Wo Shakhs Guzarata Bhi Nahin
Ab Kis Ummeed Pe Darwaaze Se Jhaanke Koi

Koi Aahat, Koi Aawaaz, Koi Chaap Nahin
Dil Ki Galiyaan Badi Sunsaan Hai, Aaye Koi


Parveen Shakir
Logged
dead heart
Guest
«Reply #71 on: June 05, 2009, 09:45:35 PM »
Reply with quote
Shukriya Kaash jee
Logged
dead heart
Guest
«Reply #72 on: June 05, 2009, 09:46:30 PM »
Reply with quote
Nice additions Talat di
Logged
Talat
Guest
«Reply #73 on: June 06, 2009, 06:06:22 PM »
Reply with quote
Shukriya Rahim

Logged
Talat
Guest
«Reply #74 on: June 06, 2009, 06:22:39 PM »
Reply with quote

Waqt-e-Rukhsat Aa Gaya, Dil Phir Bhi Ghabraya Nahin
Us Ko Hum Kya Khoyenge, Jis Ko Kabhi Paaya Nahin

Zindagi Jitni Bhi Hai, Ab Mustaqil Sahra Main Hai
Aur Is Sahra Main Tera Door Tak Saaya Nahin

Meri Kismat Main Faqat Dard Teh Saaghar Hi Hai
Awwal Shab Jaam Meri Simt Wo Laaya Nahin

Teri Aankhon Ka Bhi Kuch Halka Gulabi Rang Tha
Zehan Ne Mere Bhi Ab Ke Dil Ko Samjhaya Nahin


Parveen Shakir
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:50:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer