ghazals.........close to my heart

by aaina on May 09, 2009, 07:19:30 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
ReplyPrint
Author  (Read 10576 times)
Talat
Guest
«Reply #75 on: June 06, 2009, 06:34:03 PM »
Reply with quote

Ruki Hui Hai Abhi Tak Bahaar Aankhon Main
Shab-e-Visaal Ka Jaise Khumaar Aankhon Main

Mita Sake Ise Gard Maah-o-Saal Kahan
Khinchi Hui Hai Jo Tasveer Yaar Aankhon Main

Bas Ek Shab Ki Musaafat Thi Aur Ab Tak Hai
Meh-o-Nujoom Ka Saara Ghubaar Aankhon Main

Hazaar Saahab Raksh Saba Mizaj Aaye
Basa Hua Hai Wahi Shehsawaar Aankhon Main

Wo Ek Tha Pe Kya Us Ko Jab Teh Talwaar
To Bat Gaya Wahi Chehra Hazaar Aankhon Main


Parveen Shakir
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
CLOSE UP by shreya in SMS , mobile & JOKES « 1 2  All »
Songs close to my heart.. by brokenbyluv in Songs & Lyrics « 1 2 ... 57 58 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
FEELING CONNECTED TO CLOSE ONE by Nahid Ayaz in Urdu Poets
Talat
Guest
«Reply #76 on: June 08, 2009, 11:50:26 AM »
Reply with quote


Phir Chaak-e-Zindagi Ko Rafugar Mila Kahan
Jo Zakhm Ek Baar Khula Phir Sila Kahan

Kal Raat Ek Ghar Main Badi Roshni Rahi
Taara Mere Naseeb Ka Tha Aur Khila Kahan

Utri Hai Meri Aankh Main Khwaabon Ki Motiya
Toote Ga Bhala Roshni Ka Silsila Kahan

Bin Aks Aaiine Ka Hunar Bhi Na Khul Saka
Dukh Ke Baghair Qalb-o-Jigar Ka Jila Kahan

Tark-e-Taalluqat Ka Koi Sabab To Tha
Sunne Ka Magar Dil Ko Mere Hausla Kahan


Parveen Shakir
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #77 on: June 08, 2009, 12:00:29 PM »
Reply with quote
Bohat Achche Ghazelein Hain, Thanx For sharing Sis,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #78 on: June 08, 2009, 12:03:14 PM »
Reply with quote
Bohot Shukriya Azeem
Logged
Talat
Guest
«Reply #79 on: June 08, 2009, 12:11:00 PM »
Reply with quote


Umr Ka Bharosa Kya, Pal Ka Saath Ho Jaaye
Ek Baar Akele Main Usse Baat Ho Jaaye

Dil Ki Gung Sarshaari Us Ko Jeet Le Lekin
Arz-e-Haal Karne Main Ehtiyaat Ho Jaaye

Aisa Kyun Ki Jaane Se Sirf Ek Insaan Ke
Saari Zindagani Hi Besabaat Ho Jaaye

Yaad Karta Jaate Dil Aur Khilta Jaaye Dil
Oas Ki Tarah Koi Paat Paat Ho Jaaye

Sab Chiraagh Gul Karke Uska Haath Thaama Tha
Kya Qusoor Uska Jo Ban Main Raat Ho Jaaye

Ek Baar Khele To Wo Meri Tarah Aur Phir
Jeet Le Wo Har Baazi, Mujh Ko Maat Ho Jaaye

Raat Ho Padaau Ki, Phir Bhi Jaagiye Warna
Aap Sote Reh Jaayen Aur Haat Ho Jaaye


Parveen Shakir
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #80 on: June 08, 2009, 12:14:48 PM »
Reply with quote


Umr Ka Bharosa Kya, Pal Ka Saath Ho Jaaye
Ek Baar Akele Main Usse Baat Ho Jaaye

Dil Ki Gung Sarshaari Us Ko Jeet Le Lekin
Arz-e-Haal Karne Main Ehtiyaat Ho Jaaye

Aisa Kyun Ki Jaane Se Sirf Ek Insaan Ke
Saari Zindagani Hi Besabaat Ho Jaaye

Yaad Karta Jaate Dil Aur Khilta Jaaye Dil
Oas Ki Tarah Koi Paat Paat Ho Jaaye

Sab Chiraagh Gul Karke Uska Haath Thaama Tha
Kya Qusoor Uska Jo Ban Main Raat Ho Jaaye

Ek Baar Khele To Wo Meri Tarah Aur Phir
Jeet Le Wo Har Baazi, Mujh Ko Maat Ho Jaaye

Raat Ho Padaau Ki, Phir Bhi Jaagiye Warna
Aap Sote Reh Jaayen Aur Haat Ho Jaaye


Parveen Shakir

Waah Kya KHoob Ghazal Hai,.
Bohat Achche,.
Logged
aaina
Guest
«Reply #81 on: June 13, 2009, 07:56:07 AM »
Reply with quote

Ruki Hui Hai Abhi Tak Bahaar Aankhon Main
Shab-e-Visaal Ka Jaise Khumaar Aankhon Main

Mita Sake Ise Gard Maah-o-Saal Kahan
Khinchi Hui Hai Jo Tasveer Yaar Aankhon Main

Bas Ek Shab Ki Musaafat Thi Aur Ab Tak Hai
Meh-o-Nujoom Ka Saara Ghubaar Aankhon Main

Hazaar Saahab Raksh Saba Mizaj Aaye
Basa Hua Hai Wahi Shehsawaar Aankhon Main

Wo Ek Tha Pe Kya Us Ko Jab Teh Talwaar
To Bat Gaya Wahi Chehra Hazaar Aankhon Main


Parveen Shakir

very nice sharing celmira ji, "parveen shakir" saheba ki jitni tareef ki jaye kam har ghazal maano ek se bad kar ek thnxx so much to share such a beautifull kalaam,


Hum us ke gham mai hamesha tabah rehte hain
Isi liyn to aankho ke halqe siyaah rehte hain

Chalakti rehti hain aankhai.n hamesha ashqo se
Hamre saath hamare gaawah rehte hain

Chuak ke qarz mai saanso ka lot jaunga
Wo aur hain jo yahan khamakhaah rehte hain

Tera khyaal tera gham gham e zamana bhi
Mehel mai dil ke kaii baadshah rehte hain



Logged
angel4u
Guest
«Reply #82 on: June 13, 2009, 05:01:03 PM »
Reply with quote
Applause good work all...

Baadbaan Khulne Se Pehle Ishara Dekhna,
Main Samundar Dekhti Hoon Tum Kinara Dekhna,

Yun Bichhadna Bhi Bahut Aasan Tha Usse Magar,
Jaate Jaate Usko Wo Mud Kar Dubara Dekhna,

Kis Sabahat Ko Liye Aaya Hai Darwaze Pe Chaand,
Ye Shab-E-Hijraan Zara Apna Sitara Dekhna,

Aayine Ki Aankh Hi Kuch Kam Nahi Thi Mere Liye,
Jaane Kya Kya Dikhayega Tumhara Dekhna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #83 on: June 13, 2009, 05:01:31 PM »
Reply with quote
Der Tak Hansta Raha Wo Mujhko Rota Dekh Kar,
Kaat Kar Rasta Gaya Wo Mujh Ko Hata Dekh Kar,

Sir Pe Mere Jab Koi Saya Nahi Dekha Gaya,
Chadta Sooraj Daal Gaya Mujhko Tapta Dekhkar,

Mere Dushman Khoob Roye Dekh Kar Chehra Mera,
Ghar Kiye Usne Chirag Mujhko Marta Dekh Kar,

Usne Yun Rakh Diye Kaante Phoolon Ki Jagah,
Darmiyaan Gulshan Ke Usne Mujhko Rehta Dekhkar...
Logged
Talat
Guest
«Reply #84 on: June 16, 2009, 09:55:23 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Aslam Ji......!!

Nice ones from you too, Angel
Logged
Talat
Guest
«Reply #85 on: June 18, 2009, 03:47:05 PM »
Reply with quote

Khwaab Kya Dekhe Koi Neend Ke Anjaam Ke Baad
Kis Ko Jeene Ki Hawas, Hashr Ke Hangaam Ke Baad

Ishq Ne Seekh Hi Li Waqt Ki Taqseem, Ki Ab
Wo Mujhe Yaad To Aata Hai Magar Kaam Ke Baad


Ek Hi Ism Ko Baarish Ne Hara Rakha Hai
Ped Pe Naam To Likhe Gaye Us Naam Ke Baad

Maut Wo Saaqi Ki Jis Ke Kabhi Thakte Nahin Haath
Bharti Jaayegi Sada Jaam Wo Ek Jaam Ke Baad

Thak Ke Main Baith Gayi Ab Magar Ae Saaya Talab
Kis Ke Kheme Par Nazar Jaati Thi Har Gaam Ke Baad


Parveen Shakir
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #86 on: June 19, 2009, 07:04:40 PM »
Reply with quote
Bahut Umda sharing hai aapke Angel Ji
Aur Aap bhi kisi se kam nahi Celmira Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #87 on: June 19, 2009, 07:16:33 PM »
Reply with quote
        diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ?
        huwa  raqeeb to ho,  naamaabar hai, kya kahiye ?

        yeh zid, ki aaj  na aave aur aaye bin  na rahe
        qaza se shikwa hamaiN kis qadar hai kya kahiye ?

        rahe haiN  yoN  gah-o-be_gah  ki koo-e-dost ko ab
        agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye ?
 
        zah-e-karishma ki yoN  de rakhaa hai  hamko fareb
        ki bin kahe hee unhaiN sab KHabar hai, kya kahiye ?

        samajh ke karte haiN baazaar meiN woh pursish-e-haal
        ki  yeh  kahe  ki  sar-e-rehguzar  hai,  kya  kahiye ?

        tumhaiN naheeN  hai sar-e-rishtaa-e-wafa  ka KHayaal
        hamaare haath meiN kuchch hai, magar hai kya, kahiye ?

        unhaiN sawaal pe zoam-e-junooN hai, kyoN laDiye ?
        hame jawaab  se  qata'a-e-nazar hai, kya kahiye ?

        hasad  sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje
        sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ?

        kaha hai kisne ki 'GHalib' buraa naheeN lekin
        siwaay iske  ki aashuftaa_sar  hai kya kahiye ?
     
                        M. Ghalib
Logged
Talat
Guest
«Reply #88 on: June 20, 2009, 12:27:43 PM »
Reply with quote
Shukriya Rajesh...and a very nice Ghazal of Mirza Ghalib.
Logged
Talat
Guest
«Reply #89 on: June 21, 2009, 03:24:31 PM »
Reply with quote

Tark-e-Mohabbat Par Bhi Hogi Un Ko Nidaamat Hum Se Zyada,
Kis Ne Kari Hai, Kaun Karega Un Se Mohabbat Hum Se Zyada

Hum Ne Maana Aap Main Hogi Sabr Ki Taaqat Hum Se Zyada,
Dekhiye Lekin Utri Hui Hai Aap Ki Surat Hum Se Zyada


Uff Wo Tabassum Halka Halka, Haaye Wo Bheegi Bheegi Palken,
Waqt-e-Rukhsat Un Pe Giraan Tha Lamha-e-Rukhsat Hum Se Zyada

Koi Tamanna Koi Masarrat Dil Ke Qareeb Aane Hi Na di,
Kis Ne Ki Hai Ishq Main Yaaron Ghum Se Mohabbat Hum Se Zyada


Shamim Jaipuri
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:47:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer