ghazals.........close to my heart

by aaina on May 09, 2009, 07:19:30 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
ReplyPrint
Author  (Read 10526 times)
aaina
Guest
«Reply #90 on: June 23, 2009, 02:00:15 PM »
Reply with quote
bhut khoob talat ji shameem sahab ki ek khoobsurat ghazal

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Song lyRiCs cLoSe 2 our heaRT.... by sanju in Songs & Lyrics « 1 2 ... 6 7 »
CLOSE UP by shreya in SMS , mobile & JOKES « 1 2  All »
Songs close to my heart.. by brokenbyluv in Songs & Lyrics « 1 2 ... 57 58 »
poetry on current scenerio:close to my heart by rahul sengar in Shairi - E - Zindagi
FEELING CONNECTED TO CLOSE ONE by Nahid Ayaz in Urdu Poets
Talat
Guest
«Reply #91 on: June 25, 2009, 12:05:02 PM »
Reply with quote
Shukriya, Kaash Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #92 on: June 25, 2009, 12:19:15 PM »
Reply with quote


Kuch To Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayaal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Saath Saath Hota Raha Malaal Bhi

Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chaand Ki
Chaand Bhi Ain Cheet Ka, Us Par Tera Jamaal Bhi

Dil To Chamak Sake Ga Kya, Phir Bhi Tarash Ke Dekh Len
Sheesha Giraan-e-Shaher Ke Haath Ka Ye Kamaal Bhi

Us Ko Na Pa Sake The Jab, Dil Ka Ajeeb Haal Tha
Ab Jo Palat Ke Dekhe, Baat Thi Kuch Muhaal Bhi

Meri Talab Tha Ek Shakhs, Aur Jo Nahin Mila To Phir
Haath Dua Se Yoon Gira, Bhool Gaya Sawaal Bhi


Us Ki Sukhan Taraziyaan Mere Liye Bhi Dhaal Theen
Us Ki Hansi Main Chhup Gaya Apne Ghumon Ka Haal Bhi

Gaah Qareeb-e-Shaah Rag, Gaah Baeed-e-Waham-o-Khwaab
Us Ki Rafazqaton Main Raat, Hijer Bhi Tha, Wisaal Bhi

Us Ke Hi Baazuon Main, Aur Us Ko Hi Sochte Rahe
Jism Ki Khwahishon Pe The, Rooh Ke Aur Jaal Bhi

Shaam Ki Nasamajh Hawa Pooch Rahi Hai Ek Pata
Mauj-e-Hawa-e-Kooh-e-Yaar, Kuch To Mera Khayaal Bhi


Parveen Shakir
Logged
Talat
Guest
«Reply #93 on: June 25, 2009, 01:58:18 PM »
Reply with quote


Agar Talaash Karu.N Koi Mil Hi Jaayegaa
Magar Tumhaari Tarah Kaun Mujhe Chaahegaa

Tumhe Zaroor koi Chaahato.n Se Dekhegaa
Magar Wo Aa.Nkhe.n Humaari Kahaa.N Se Laayegaa


Na Jaane Kab Tere Dil Par Nai Si Dastak Ho
Makaan Khaalii Hua Hai To Koi Aayegaa

Mai.n Apni Raah Main Deewaar Ban Ke Baitha Hoo.N
Agar Wo Aayaa To Kis Raaste Se Aayegaa

Tumhaare Saath Ye Mausam Farishto.n Jaisaa Hai
Tumhaare Baad Ye Mausam Bahot Sataayegaa


Bashir Badar
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #94 on: June 25, 2009, 10:36:20 PM »
Reply with quote
Bohot achhe celmira ji.
Logged
Talat
Guest
«Reply #95 on: June 26, 2009, 09:25:59 AM »
Reply with quote
Shukriya Sayyid
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #96 on: June 26, 2009, 09:28:07 AM »
Reply with quote
Beautiful collection Celmira ji, Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #97 on: June 26, 2009, 01:34:07 PM »
Reply with quote
Thanks Madhu
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #98 on: June 26, 2009, 01:36:41 PM »
Reply with quote
bahoth qoob talath bahen apki pasandgi ka jawab nahi ..allah tumhe khush rakhe !!

Qadeertoopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #99 on: June 26, 2009, 01:56:46 PM »
Reply with quote
Bohot shukriya Qadeer Bhai
Logged
Talat
Guest
«Reply #100 on: June 26, 2009, 02:04:20 PM »
Reply with quote

Dua Ye Ki Hi Nahin Tu Mera Muqaddar Ho
Hawa Ki Tarah Magar Saans Bhar Mayassar Ho


Isi Tarah Rahen Gardish Main Mere Shaam-o-Sahar
Tu Hi Mudaam Meri Zindagi Ka Mehwar Ho

Sapahr-e-Umr Main Jis Waqt Shaam Ho Jaaye
Koi Chiraagh Jalane Ko Ghar Ke Andar Ho

Koi Bataye Ki Jashn-e-Bahaar Kaise Manayen
Ek Aisi Bel Jo Sehan-e-Chaman Ke Baahar Ho

Kabhi kabhi To Dil-e-Muztarib Ye Chahta Hai
Ki Chand Raat Ho Aur Saamne Samandar Ho

Ye Dil Mayassar-o-Maujood Se Behelta Nahin
Koi To Ho Jo Meri Dastaras Se Baahar Ho


Parveen Shakir (Inkar)

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #101 on: June 26, 2009, 03:00:34 PM »
Reply with quote
Thanks Kaash
Logged
aaina
Guest
«Reply #102 on: July 09, 2009, 10:08:08 AM »
Reply with quote

Dua Ye Ki Hi Nahin Tu Mera Muqaddar Ho
Hawa Ki Tarah Magar Saans Bhar Mayassar Ho


Isi Tarah Rahen Gardish Main Mere Shaam-o-Sahar
Tu Hi Mudaam Meri Zindagi Ka Mehwar Ho

Sapahr-e-Umr Main Jis Waqt Shaam Ho Jaaye
Koi Chiraagh Jalane Ko Ghar Ke Andar Ho

Koi Bataye Ki Jashn-e-Bahaar Kaise Manayen
Ek Aisi Bel Jo Sehan-e-Chaman Ke Baahar Ho

Kabhi kabhi To Dil-e-Muztarib Ye Chahta Hai
Ki Chand Raat Ho Aur Saamne Samandar Ho

Ye Dil Mayassar-o-Maujood Se Behelta Nahin
Koi To Ho Jo Meri Dastaras Se Baahar Ho


Parveen Shakir (Inkar)


kya baat hai talat thnxxx for sharing such a beautifull ghazal
Logged
aaina
Guest
«Reply #103 on: July 09, 2009, 10:20:11 AM »
Reply with quote
Dua karo ke koi piyaas nazr e jam na ho
Wo zindagi hi nhi hai jo natamaam na ho

Jo mujhme  tujhme  chal rha hai sadiyon se
Kahin hayaat usi faasle ka naam na ho

Koi charaagh, na aansu, na aarzu e saher
Khuda kare ke ghr mai aisi sham na ho

Ajeeb shart lagaai hai ehetiyaato.n ne
Ke tera zikr karun aur tera naam na ho

Saba mijaaz ki tezi bhi ek naemat hai
Agr charagh bujhana hi sirf kaam na ho

Waseem kitni hi subho.n lahu lahu guzri.n
Ek aisi subho bhi aaye ke jiski shaam na ho

Logged
Talat
Guest
«Reply #104 on: July 09, 2009, 01:49:10 PM »
Reply with quote
Waah waah Talat ji bahot khoob,behad achi aur behatreen ghazalen share ki hain aapne,can make neone speechless,very very nice sharings

Thanks a lot Kaash Ji
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:20:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer