Ghazals........Let us love them.....

by Friend_4uall on April 26, 2005, 08:35:45 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1937 times)
Friend_4uall
Guest
Reply with quote
maine dil se kahaa , ai deevaane bataa
maine dil se kahaa, ai deevaane bataa
jab se koi milaa, tu hai khoyaa huaa
ye kahaani hai kyaa, hai ye kyaa silsilaa, ai deevaane bataa
maine dil se kahaa, ai deevaane bataa

dhaDkanoN mein chhupi, kaisi aavaaz hai
kaisaa ye geet hai kaisaa ye saaz hai
kaisi ye baat hai, kaisaa ye raaz hai, ai deevaane bataa

mere dil ne kahaa , jab se koi milaa
chaaNd taare fizaa, phool bhaNvre havaa
ye hasin vaadiyaaN, neelaa ye aasmaaN
sab hai jaise nayaa, mere dil ne kahaa

maine dil se kahaa, mujhko ye to bataa
jo hai tujhko milaa, usmein kyaa baat hai
kyaa hai jaadoogari, kaun hai vo pari, ai deevaane bataa

mere dil ne kahaa
naa vo koi pari, naa koi maahjabin
naa vo duniyaaN mein sabse hai zyaadaa hasin
seedhi saadhi si hai, bholi bhaali si hai
lekin usmein adaa ik niraali si hai
uske bin meraa jeenaa hi bekaar hai

maine dil se kahaa
baat itni si hai ki tujhe pyaar hai
mere dil ne kahaa mujhko iqaraar hai
haaN mujhe pyaar hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghazals by majid in Ghazals
Ghazals by Dr. Bashir Badar ..!! by Talat in Ghazals « 1 2 3 4 5 »
ghazals by poonam singh in Ghazals
incomplete ghazals by Dheeraj dave in Miscellaneous Shayri
°°° My New Experiment in Ghazals °°° by Zaif in Ghazals « 1 2  All »
Friend_4uall
Guest
«Reply #1 on: April 26, 2005, 08:37:17 AM »
Reply with quote
Kal chaudvin ki raat thi
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Kuch ne kaha yeh chaand hai
Kuch ne kaha chehra tera
Kal chaudvin ki raat thi
Hum bhi vahin maujood the
Humse bhi sab poochha kiye
Hum bhi vahin maujood the
Humse bhi sab poochha kiye
Hum has diye, hum chup rahe
Manzoor tha parda tera
Kal chaudvin ki raat thi
Is shaher mein kisse mile
Humse to chhooti mehfilein
Is shaher mein kisse mile
Humse to chhooti mehfilein
Har shaks tera naam le
Har shaks deewana tera
Kal chaudvin ki raat thi
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Koonche ko tere chhodkar
Jogi hi ban jaaye magar
Koonche ko tere chhodkar
Jogi hi ban jaaye magar
Jungle tere, parbat tere
Basti teri, sahera tera
Kal chaudvin ki raat thi
Bedard sunni ho to chal
Kehta hai kya achchhi ghazal
Bedard sunni ho to chal
Kehta hai kya achchhi ghazal
Aashiq tera, ruswaan tera
Shaayar tera, inshaa tera
Kal chaudvin ki raat thi
Shab bhar raha charcha tera
Kal chaudvin ki raat thi
Kuch ne kaha yeh chaand hai
Kuch ne kaha chehra tera
Kal chaudvin ki raat thi
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #2 on: April 26, 2005, 08:40:28 AM »
Reply with quote
Aisi Aankhen Nahin Dekhi
Aisi Aankhen Nahin Dekhi
Aisa Kajal Nahin Dekha
Aisa Jalwa Nahin Dekha
Aisa Chehra Nahin Dekha
Jab Yeh Daaman Ki Hawan De
Aag Jungle Mein Laga De
Jab Yeh Sehrao Mein Jaaye
Ret Mein Phool Khilaye
Aisi Duniya Nahin Dekhi
Aisa Manzar Nahi Dekhi
Aisa Aalam Nahi Dekha
Aisa Dilbar Nahin Dekha
Uske Kangan Ka Khalakna
Jaise Bulbul Ka Chehakna
Uske Pazeb Ki Cham Cham
Jaise Barsaat Ka Mausam

Aisa Sawan Nahi Dekha
Aisi Baarish Nahi Dekhi
Aisi Rimjhim Nahin Dekhi
Aisi Khwahish Nahi Dekhi
Uski Bebaad Se Baatein
Jaise Sardi Ki Ho Raatein
Uff Yeh Tanhai Yeh Masti
Jaise Toofan Mein Kashti

Miti Koyal Si Hai Boli
Jaise Geeton Ki Rangoli
Sukh Gaalon Pe Pasina
Jaise Phagun Ka Mahina
Aisi Ankhen Nahi Dekhi
Aisa Kajal Nahi Dekha
Aisa Jalwa Nahi Dekha
Aisa Chehra Nahi Dekha
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #3 on: April 26, 2005, 08:41:13 AM »
Reply with quote
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Kisi Ko Dekhna Ho Gar
To Pehle Aake Maang Le Meri Nazar Teri Nazar
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Ye Ghar Bahut Haseen Hai
Ye Ghar Bahut Haseen Hai Ye Ghar Bahut Haseen Hai

Na Baadlon Ke Chhaon Mein Na Chandni Ke Gaaon Mein
Na Phool Jaise Raaste Bane Hain Iske Vaaste
Magar Ye Ghar Ajeeb Hai Zameen Ke Kareeb Hai
Ye Eent-Pattharon Ka Ghar Hamaari Hasraton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...

Jo Chaandni Nahin To Kya Ye Roshni Hai Pyaar Ki
Dilon Ke Phool Khil Gaye To Fikr Kya Bahaar Ki
Hamaare Ghar Na Aayegi Kabhi Khushi Udhaar Ki
Hamaari Raahaton Ka Ghar Hamaari Chaahaton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...

Yahan Mahak Wafaaon Ki Mohabbaton Ka Rang Hai
Ye Ghar Tumhara Khwaab Hai Ye Ghar Meri Umang Hai
Na Aarzoo Pe Qaid Hai Na Hausle Pe Jung Hai
Hamaare Hauslon Ka Ghar Hamaari Himmaton Ka Ghar
Ye Tera Ghar...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #4 on: April 26, 2005, 08:41:43 AM »

«Reply #5 on: April 26, 2005, 08:41:59 AM »

HumTum
Guest
«Reply #6 on: April 26, 2005, 08:42:17 AM »
Reply with quote
 Plz don't mind Frd but there is an forum which is only gor Ghazals... but if you wish to post here you carry on...    Usual Smile
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #7 on: April 26, 2005, 08:42:21 AM »
Reply with quote
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
Kya Gham Hai Jisko Chhupa Rahe Ho

Aankhon Mein Nami, Hansi Labon Par
Kya Haal Hai Kya Dikha Rahe Ho

Ban Jayenge Zehar Peete Peete
Yeh Ashq Jo Piye Ja Rahe Ho

Jin Zakhmon Ko Waqt Bhar Chala Hai
Tum Kyon Unhe Chhedhe Ja Rahe Ho

Rekhaon Ka Khel Hai Muqaddar
Rekhaon Se Maat Kha Rahe Ho
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #8 on: April 26, 2005, 08:43:53 AM »
Reply with quote
This is one of my all time favorite Ghazal.....hope you all will love it......

ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii

muhalle kii sabase nishaanii puraanii
vo budhiyaa jise bachche kahate the naanii
vo naanii kii baaton mein pariyon kaa deraa
vo chahare kii jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa
bhulaae nahiin bhuul sakataa hai koi
vo chhotii sii raaten vo lambii kahaanii

kadii dhuup mein apane ghar se nikalanaa
vo chidiyaa vo bulabul vo titalii pakadanaa
vo gudiyaa kii shaadii mein ladanaa jhagadanaa
vo jhuulon se giranaa vo gir ke sambhalanaa
vo piital ke chhallon ke pyaare se tohafe
vo tuutii hui chuudiyon kii nishaanii

kabhii ret ke unche tiilon pe jaanaa
gharaunde banaanaa banaake mitaanaa
vo maasuum chahat kii tasviir apanii
vo kvaabon khilaunon kii jaagiir apanii
na duniyaa kaa gam thaa na rishton ke bandhan
badii khuubasuurat thii vo zindagaanii
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #9 on: April 26, 2005, 08:44:45 AM »
Reply with quote
Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge Khuda se

Duniya bhi mili hai,
gham-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahin milta
jise maanga tha khuda se

Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge khuda se
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #10 on: April 26, 2005, 08:46:02 AM »
Reply with quote
Hosh Valon Ko Khabar Kya Bekhudi Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye Zindagi Kya Cheez Hai
Hosh Valon Ko Khabar Kya...

Unse Nazrein Kya Mili Roshan Fizayen Ho Gayi
Aaj Jaana Pyar Ki Jaadugari Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye...

Khulti Zulfon Ne Sikhayi Mausamon Ko Shayari
Jhukti Aankhon Ne Bataya Maikashi Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye...

Hum Labon Se Keh Na Paye Unse Haal-E-Dil Kabhi
Aur Voh Samjhe Nahin Yeh Khamoshi Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #11 on: April 26, 2005, 08:56:41 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
 Plz don't mind Frd but there is an forum which is only gor Ghazals... but if you wish to post here you carry on...    Usual Smile

No HumTum you are rite...actually i couldn't recall that one....Anyways we can move this to Ghazals Forum rite..............Monitor Please.......
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #12 on: April 26, 2005, 08:57:21 AM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
 Plz don't mind Frd but there is an forum which is only gor Ghazals... but if you wish to post here you carry on...    Usual Smile

No HumTum you are rite...actually i couldn't recall that one....Anyways we can move this to Ghazals Forum rite..............Monitor Please.......
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: April 26, 2005, 09:52:22 AM »
Reply with quote
Ok.........Moved by Talat to Ghazals section !!!!!!
Logged
thelostworld
Guest
«Reply #14 on: April 29, 2005, 04:19:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "Friend_4uall"
Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge Khuda se

Duniya bhi mili hai,
gham-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahin milta
jise maanga tha khuda se

Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge khuda se
nice friend!!!!!! good jobzz
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:06:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer