Gujar rahey hain qaafiloun pai qaafiley, dekho!

by abdbundeli on April 17, 2009, 02:57:23 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1026 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Khoob aaye ho! Shukriyah! Zaraa qareeb aaou!!
Zouq-e-muttahadah-anaasir meyrey habeeb aaou!!

Gujar rahey hain qaafiloun pai qaafiley, dekho!
Muttahad ho key, chaleyn ham bhi, ho aqeeb, aaou!

Yeh sahee hai, ki, raah-e-zeest bahut mushkil hai;
Banaayen eik-doosarey ko khud tabeeb, aaou!

Yun to kahtey hain log-baag na jaaney kyaa-kyaa?
Aaj kuchh aur hi kahtee hai andaleeb, aaou!

Sawaal laakh kharhey hongey: mulk-e-aadam hai!
Har eik kaa jawaab duungaa, huun mujeeb, aaou!!

Rahbaroun ney kiye tamaam faasaley paidaa:
Un kee nazaroun ney banaayaa mujhey raqeeb, aaou!

Khudee buland, to, buland inqalaab-o-baqaa:
Dushmanaan-e-aman dikheyngey phir kabeeb, aaou!

Baazu-e-ilm-ao-insaaf aadmeeyat key,
Baneyngey amn-o-chain key sahee haseeb: aaou!

‘Abd’, waqaar sey aab-e-hayaat paidaa kar;
Apney aagosh mein nihaan hai har naseeb: aaou!

                            - abd bundeli

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Utha rahey hain hijaab aksar by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Saath soye hain; saath jaagtey rahey hain ham! by abdbundeli in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Woh aa rahey hain baam pai; dil thaam key baitho! by abdbundeli in Ghazals
Wo to, wo hain wahee, par na ham, ham rahey! by abdbundeli in Ghazals
Naach rahey hain mor! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #1 on: April 17, 2009, 03:48:33 PM »
Reply with quote
Khubsurat Ghazal hai, Bundeli Sb.
Very good.
SARVESH RASTOGI
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: April 17, 2009, 04:46:49 PM »
Reply with quote
Nahi daman me koi khushi jiske woh badnaseeb hu main

Kahu kabhi main khud ko bhi khushnaseeb, jo tum aao


Q door se hi andaza lagate ho ABD meri fitrat ka

Janna hain jo haqeeqat GHAYEL ki thoda kareeb, aao

-SG-
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: April 17, 2009, 05:21:18 PM »
Reply with quote
Khubsurat Ghazal hai, Bundeli Sb.
Very good.
SARVESH RASTOGI
Thanks, I'm happy to know that you liked it!
                      - abd bundeli
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 17, 2009, 05:27:00 PM »
Reply with quote
Subhan Allah Subhan Allah, Kya Khoob Hai Abd Bhaiya,.
Allah Aapke Kalam Mein aur Bhi Barkat De,.
ameen,.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: April 17, 2009, 05:30:31 PM »
Reply with quote
Nahi daman me koi khushi jiske woh badnaseeb hu main

Kahu kabhi main khud ko bhi khushnaseeb, jo tum aao


Q door se hi andaza lagate ho ABD meri fitrat ka

Janna hain jo haqeeqat GHAYEL ki thoda kareeb, aao

-SG-

Yeh qaraabat hi to hai, ham hain roo-b-roo aisey!
Yaar miltey hain kahaan, jo hon khush guloo aisey!
Yeh qaraabat kaa hi ehsaas hai, binaa deykhey,
Ilm-e-insaaniyat hotaa ho surkhroo jaisey!!

                         - abd bundeli
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: April 17, 2009, 05:31:28 PM »
Reply with quote
Nahi daman me koi khushi jiske woh badnaseeb hu main

Kahu kabhi main khud ko bhi khushnaseeb, jo tum aao


Q door se hi andaza lagate ho ABD meri fitrat ka

Janna hain jo haqeeqat GHAYEL ki thoda kareeb, aao

-SG-
Bohat Achche Sajid Bhai,.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: April 17, 2009, 05:38:36 PM »
Reply with quote
Subhan Allah Subhan Allah, Kya Khoob Hai Abd Bhaiya,.
Allah Aapke Kalam Mein aur Bhi Barkat De,.
ameen,.

Bhai Jaanasheen ji, shukriyah! Yuun samajhiye, ki, aap ki nazar-e-inaayat banee huyi hai!
                          - abd bundeli
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: April 20, 2009, 07:59:44 AM »
Reply with quote

Bhai Jaanasheen ji, shukriyah! Yuun samajhiye, ki, aap ki nazar-e-inaayat banee huyi hai!
                          - abd bundeli

llah Khair Kare,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: April 20, 2009, 08:00:23 AM »
Reply with quote
Allah Khair Kare,.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: April 20, 2009, 02:02:06 PM »
Reply with quote
llah Khair Kare,.
May HE bless you! Thanks!
          - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: April 20, 2009, 02:24:22 PM »
Reply with quote
Khoob aaye ho! Shukriyah! Zaraa qareeb aaou!!
Zouq-e-muttahadah-anaasir meyrey habeeb aaou!!

Gujar rahey hain qaafiloun pai qaafiley, dekho!
Muttahad ho key, chaleyn ham bhi, ho aqeeb, aaou!

Yeh sahee hai, ki, raah-e-zeest bahut mushkil hai;
Banaayen eik-doosarey ko khud tabeeb, aaou!

Yun to kahtey hain log-baag na jaaney kyaa-kyaa?
Aaj kuchh aur hi kahtee hai andaleeb, aaou!

Sawaal laakh kharhey hongey: mulk-e-aadam hai!
Har eik kaa jawaab duungaa, huun mujeeb, aaou!!

Rahbaroun ney kiye tamaam faasaley paidaa:
Un kee nazaroun ney banaayaa mujhey raqeeb, aaou!

Khudee buland, to, buland inqalaab-o-baqaa:
Dushmanaan-e-aman dikheyngey phir kabeeb, aaou!

Baazu-e-ilm-ao-insaaf aadmeeyat key,
Baneyngey amn-o-chain key sahee haseeb: aaou!

‘Abd’, waqaar sey aab-e-hayaat paidaa kar;
Apney aagosh mein nihaan hai har naseeb: aaou!

                            - abd bundeli

 


Bohot achchi lagi hume ye ghazal aapki, Babu Ji Usual Smile
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: April 20, 2009, 05:44:14 PM »
Reply with quote
Bohot achchi lagi hume ye ghazal aapki, Babu Ji Usual Smile
Thanks Celmira bitia!
        - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:02:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer