Gul-ae-gulbun hon beyshumaar, sirf khaar na hon!

by abdbundeli on February 02, 2013, 09:04:04 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1231 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

Jo jigar-o-dil mein rawaan ho, wahee nigaah mein ho:
Talab kuchh aisee wasl-e-dilrubaa ki chaah mein ho!

Gul-ae-gulbun hon beyshumaar, sirf khaar na hon;
Khayaal unkaa tasawwur ki sairgaah mein ho!

Main uskey saath rahuungaa, wo meyrey saath rahey;
Haq-e-khuluus meyrey yaar ki salaah mein ho!

Wo meyrey pahloo-e-dil mein rahey qayaamat tak:
Baat kuchh aisee baawaqaar meyree aah mein ho!

Yuun to toofaan bhi guzarney ko guzar jaatey hain;
Kaash, koyee na sang-o-khaar teyree raah mein ho!!

Mout kar ishtidaad aaye, ‘abd’, jab chaahey;
Bas teyraa naam meyree aakhiree karaah mein ho!

                  - abd bundeli

Logged
aqsh
Guest
«Reply #1 on: February 02, 2013, 09:30:19 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
very nice composition abd bundeli jee. hamari dili mubarakbad ko qubool kare
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: February 02, 2013, 10:12:17 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
very nice composition abd bundeli jee. hamari dili mubarakbad ko qubool kare

Shukriyah, Aqsh ji! Bahut-bahut shukriyah!
Logged
suman59
Guest
«Reply #3 on: February 02, 2013, 10:15:42 AM »
Reply with quote

Jo jigar-o-dil mein rawaan ho, wahee nigaah mein ho:
Talab kuchh aisee wasl-e-dilrubaa ki chaah mein ho!

Gul-ae-gulbun hon beyshumaar, sirf khaar na hon;
Khayaal unkaa tasawwur ki sairgaah mein ho!

Main uskey saath rahuungaa, wo meyrey saath rahey;
Haq-e-khuluus meyrey yaar ki salaah mein ho!

Wo meyrey pahloo-e-dil mein rahey qayaamat tak:
Baat kuchh aisee baawaqaar meyree aah mein ho!

Yuun to toofaan bhi guzarney ko guzar jaatey hain;
Kaash, koyee na sang-o-khaar teyree raah mein ho!!

Mout kar ishtidaad aaye, ‘abd’, jab chaahey;
Bas teyraa naam meyree aakhiree karaah mein ho!

                  - abd bundeli



Lajawab ... bahut hi daad
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: February 02, 2013, 10:46:33 AM »
Reply with quote

Jo jigar-o-dil mein rawaan ho, wahee nigaah mein ho:
Talab kuchh aisee wasl-e-dilrubaa ki chaah mein ho!
aisa sher na likho warna mujhe mohabbat ho jaaye gi icon_flower icon_flower icon_flower
Gul-ae-gulbun hon beyshumaar, sirf khaar na hon;
Khayaal unkaa tasawwur ki sairgaah mein ho!
bahut khubsoorat khyaal hai. icon_flower icon_flower icon_flower
Main uskey saath rahuungaa, wo meyrey saath rahey;
Haq-e-khuluus meyrey yaar ki salaah mein ho!
acha.waqqi apni baat pe qayam raho ge ya sirf sher tak hai ye khayaal icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
Wo meyrey pahloo-e-dil mein rahey qayaamat tak:
Baat kuchh aisee baawaqaar meyree aah mein ho!
kya baat hai janaab.dil chhu gayaa ye sher Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Yuun to toofaan bhi guzarney ko guzar jaatey hain;
Kaash, koyee na sang-o-khaar teyree raah mein ho!!
shukria huzoor mere liye aisi tamanna rakhne ke liye. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Mout kar ishtidaad aaye, ‘abd’, jab chaahey;
Bas teyraa naam meyree aakhiree karaah mein ho!

kya baat hai. khuda na kare ais naubat aaye. tum zinda raho aur khush raho aur hamein yaad karte raho icon_flower icon_flower icon_flower

                  - abd bundeli



abd sahab alaaaaaaaaa tareeeeen..............!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: February 02, 2013, 11:35:22 AM »
Reply with quote
Lajawab ... bahut hi daad

Bahut-bahut shukriyah, Suman ji!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 02, 2013, 11:35:55 AM »
Reply with quote

Jo jigar-o-dil mein rawaan ho, wahee nigaah mein ho:
Talab kuchh aisee wasl-e-dilrubaa ki chaah mein ho!

Gul-ae-gulbun hon beyshumaar, sirf khaar na hon;
Khayaal unkaa tasawwur ki sairgaah mein ho!

Main uskey saath rahuungaa, wo meyrey saath rahey;
Haq-e-khuluus meyrey yaar ki salaah mein ho!

Wo meyrey pahloo-e-dil mein rahey qayaamat tak:
Baat kuchh aisee baawaqaar meyree aah mein ho!

Yuun to toofaan bhi guzarney ko guzar jaatey hain;
Kaash, koyee na sang-o-khaar teyree raah mein ho!!

Mout kar ishtidaad aaye, ‘abd’, jab chaahey;
Bas teyraa naam meyree aakhiree karaah mein ho!

                  - abd bundeli




Bahut Bahut Khooob Saheb..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: February 02, 2013, 11:54:16 AM »
Reply with quote
abd sahab alaaaaaaaaa tareeeeen..............!
Sheba ji, aap itnee gahraayee tak meyree is gazal key bahr-e-tasawwuraat kee sair kareyngeen, ummeed nahin thee! Gazal ko likh kar main ney dobaarah shaayad hi padhhaa hogaa, par aapney mujhey usey dobaarah padhhney ko majbuur kar diyaa! Aap kee saaree dilaaweiz nuqtahdaanee key liye tah-e-dil sey aapkaa shukraguzaar huun! Sach bataauun, to, aapkee nuqtahdaaniyaan padhhtey waqt   meyree aankhoun ko kayee baar namee kaa ehsaas huaa thaa!

                               - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: February 02, 2013, 11:56:23 AM »
Reply with quote

Bahut Bahut Khooob Saheb..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Kittu ji, bahut-bahut shukriyah! Khush rahiye!
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #9 on: February 02, 2013, 12:32:20 PM »
Reply with quote

Jo jigar-o-dil mein rawaan ho, wahee nigaah mein ho:
Talab kuchh aisee wasl-e-dilrubaa ki chaah mein ho!

Gul-ae-gulbun hon beyshumaar, sirf khaar na hon;
Khayaal unkaa tasawwur ki sairgaah mein ho!

Main uskey saath rahuungaa, wo meyrey saath rahey;
Haq-e-khuluus meyrey yaar ki salaah mein ho!

Wo meyrey pahloo-e-dil mein rahey qayaamat tak:
Baat kuchh aisee baawaqaar meyree aah mein ho!

Yuun to toofaan bhi guzarney ko guzar jaatey hain;
Kaash, koyee na sang-o-khaar teyree raah mein ho!!

Mout kar ishtidaad aaye, ‘abd’, jab chaahey;
Bas teyraa naam meyree aakhiree karaah mein ho!

                  - abd bundeli



Kiyaa Baat hai Sahab, bahut khoob, bahut khoob
Dheron daad
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: February 02, 2013, 01:20:20 PM »
Reply with quote
Kiyaa Baat hai Sahab, bahut khoob, bahut khoob
Dheron daad

Bahut-bahut shukriyah, Asad ji!
Logged
mkv
Guest
«Reply #11 on: February 02, 2013, 03:35:23 PM »
Reply with quote
Matle se maqte tak..
Har sher jaise...dil se nikla hai
wah wah wah wah wah
jubaan tham jaaye aur haath upar..
aaj to kamaal ke ehsaas lekar aaye aap.
bahut mubarakbaad
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: February 03, 2013, 05:02:44 AM »
Reply with quote
Matle se maqte tak..
Har sher jaise...dil se nikla hai
wah wah wah wah wah
jubaan tham jaaye aur haath upar..
aaj to kamaal ke ehsaas lekar aaye aap.
bahut mubarakbaad

Bahut-bahut shukriyah, Mukesh ji!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #13 on: February 03, 2013, 05:35:09 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: February 03, 2013, 06:26:36 AM »
Reply with quote

waah waah bahut khoob

Bahut-bahut shukriyah, Saini ji!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:08:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer