Gungunaataa sitaar, rotaa hai!

by abdbundeli on August 23, 2009, 12:58:23 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1586 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Gungunaataa sitaar, rotaa hai!
Nam uyoonoun mein khaar hotaa hai!

Baad-e-jannat see mahak urhtee hai,
Jab bhi pahloo mein pyaar hotaa hai!!

Qarzdaaree azal sey hai jaaree:
Roz, ab bhee, udhaar hotaa hai!

Eik lamhey mein paa chukaa huun sab;
Fir bhi kyoun intizaar hotaa hai?

Dar pai jaataa hun haaziree deyney:
Bas yahee baar-baar hotaa hai!

Yaar andar hai; dar khuleygaa kab?
Roo-b-roo band-dwaar hotaa hai!!

Silwateyn karwatoun sey banteen hain:
Jab, 'abd' beyqaraar hotaa hai!

                  - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tanhaa hotaa hun: gungunaataa huun! by abdbundeli in Ghazals
rotaa raha deewaaron ko dekh kar... Intezar ! by Intezar in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
ROTAA HUAA AANSOO!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! by qalb in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Roja
Guest
«Reply #1 on: August 23, 2009, 01:34:53 PM »
Reply with quote
Gungunaataa sitaar, rotaa hai!
Nam uyoonoun mein khaar hotaa hai!

Baad-e-jannat see mahak urhtee hai,
Jab bhi pahloo mein pyaar hotaa hai!!

Qarzdaaree azal sey hai jaaree:
Roz, ab bhee, udhaar hotaa hai!

Eik lamhey mein paa chukaa huun sab;
Fir bhi kyoun intizaar hotaa hai?

Dar pai jaataa hun haaziree deyney:
Bas yahee baar-baar hotaa hai!

Yaar andar hai; dar khuleygaa kab?
Roo-b-roo band-dwaar hotaa hai!!

Silwateyn karwatoun sey banteen hain:
Jab, 'abd' beyqaraar hotaa hai!

                  - abd bundeli



Wah Uncle ji ... Bahut khoob  Applause Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: August 23, 2009, 01:37:38 PM »
Reply with quote
Bahar beet gayi unki justaju karte
Kabhi jo samne aate toh gufdagu karte

Tamam hasrate jal k raakh ho gayi dil mein
Tamanna thi ki vo raakh unke rubaru karte

Vo ek baar agar hum pe meherbaan hote
Hum unka shauhra(Prasiddhi) sare zamane mein karte

Agar "Roja" ki mohabbat ka imtihan lete
Nikaal ke seene se dil unke rubaru karte..

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: August 23, 2009, 02:09:21 PM »
Reply with quote
Wah Uncle ji ... Bahut khoob  Applause Applause

Thanks Roja!
       - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: August 23, 2009, 02:23:54 PM »
Reply with quote

Bahar beet gayi unki justaju karte
Kabhi jo samne aate toh gufdagu karte

Tamam hasraten jal raakh ho gayin dil mein
Thi tamanna ki raakh unke rubaru karte

Vo ek baar agar hum pe meherbaan hote
Hum unka shauhra(Prasiddhi) sare zamane mein karte

Agar "Roja" ki mohabbat ka imtihan lete
Nikaal seene se dil unke rubaru karte..




Dilaaweyz hai Roja! Meyree shayari to dil-o-dimaag sey nikaltee hai, par teyree shayari to tah-e-dil sey nikaltee-see lagtee hai!

Kaash woh bhi wahaan pahunch paataa!
Kaash baahoun mein dilnasheen hotaa!
Kaash aatee na umra kee uljhan;
Garq seeney mein woh haseen hotaa!!

                    - abd bundeli


Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: August 23, 2009, 02:25:59 PM »
Reply with quote
Dilaaweyz hai Roja! Meyree shayari to dil-o-dimaag sey nikaltee hai, par teyree shayari to tah-e-dil nikaltee-see lagtee hai!

Kaash woh bhi wahaan pahunch paataa!
Kaash baahoun mein dilnasheen hotaa!
Kaash aatee na umra kee uljhan;
Garq seeney mein woh haseen hotaa!!

                    - abd bundeli

Bahut bahut shukriya Uncle ji... Lagta hai aap hi mera likha samajte hai  Giggle
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: August 23, 2009, 02:28:20 PM »
Reply with quote
Her taraj jalwa sanam ka rubaru hai
Hai sabha mein masti, daag-e-gul mein bhu hai

Maskne-mehboob hai seena-e-ishq
Saaf aaina mein her dam rubaru hai  Usual Smile
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: August 23, 2009, 02:49:53 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Uncle ji... Lagta hai aap hi mera likha samajte hai  Giggle

Her taraj jalwa sanam ka rubaru hai
Hai sabha mein masti, daag-e-gul mein bhu hai

Maskne-mehboob hai seena-e-ishq
Saaf aaina mein her dam rubaru hai  Usual Smile


Zarra nawaazee hai Roja! Bahut khoob!

Kyaa patah tumney kyaa kahaa thaa, ki, ham kyaa samjhey!
Kaash woh bhi to bayaanaat-e-dilrubaa samjhey!
Zindagee key binaa bhi zindagee jeetaa hun mein;
Woh jo samjhey, to, mujhey kafan-e-musabbaa samjhey!!

                                  - abd bundeli

Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: August 23, 2009, 02:56:14 PM »
Reply with quote
Kyaa patah tumney kyaa kahaa thaa, ki, ham kyaa samjhey!
Kaash woh bhi to bayaanaat-e-dilrubaa samjhey!
Zindagee key binaa bhi zindagee jeetaa huun mein;
Woh jo samjhey, to, mujhey kafan-e-musabbaa samjhey!!

                                     - abd bundeli


Kadam-bhosi(Jaal) ke liye bhi kamyabi samne
Dafatan (Eka-ek)tevar badalkar mujhse vo katra gaya..  Usual Smile



Logged
cara
Guest
«Reply #9 on: August 23, 2009, 03:09:39 PM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI ABD JI.....

GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI....
JAB SAATH MEIN YAAR NAHIN HOTA HAI.

USKE AANE KI KHUSHBU TOH AA JAATI HAI,
PAR WOH HAATH NAHIN AATI HAI,
TAB DIL BECHAIN HOTA HAI.
GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI.......

ROZ YUNHI USKA INTEEZAR HOTA HAI,
KABHI JAAG TA HAI,
KABHI SOTAA HAI,
DIN BAR KARWATEYN BADAL TA HOTA HAI.
GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI......

EK DOOSRE KO DEKH PAAYE,
ITNA TOH PAAS DONO KA HOTA HAI.
MAGAR TAN SE TAN NA TAKRAEY,
YEH AFSOS HOTA HAI.
GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI......

Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: August 23, 2009, 03:22:27 PM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI ABD JI.....

GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI....
JAB SAATH MEIN YAAR NAHIN HOTA HAI.

USKE AANE KI KHUSHBU TOH AA JAATI HAI,
PAR WOH HAATH NAHIN AATI HAI,
TAB DIL BECHAIN HOTA HAI.
GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI.......

ROZ YUNHI USKA INTEEZAR HOTA HAI,
KABHI JAAG TA HAI,
KABHI SOTAA HAI,
DIN BAR KARWATEYN BADAL TA HOTA HAI.
GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI......

EK DOOSRE KO DEKH PAAYE,
ITNA TOH PAAS DONO KA HOTA HAI.
MAGAR TAN SE TAN NA TAKRAEY,
YEH AFSOS HOTA HAI.
GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI......

Bahut khoob cara ji  Applause


Ho na ho didaar humko sajake
Hum toh aashiq hai fakt awaaz ke

Vo nashb-e-farsh ko dekhenge kyu?
Vo jo shaayik hai bhuland pervaaz ke


nashb-e-farsh = dharti ki nichayi
Shayik = chahat
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: August 23, 2009, 03:58:14 PM »
Reply with quote

Kadam-bhosi(Jaal) ke liye bhi kamyabi samne
Dafatan (Eka-ek)tevar badalkar mujhse vo katra gaya..  Usual Smile


Ay Roja! Apnee zindagee sey koyi kaisey katraayegaa?

Raat baaqee hai abhee, guftagoo baqee hai abhee!
Dil key paimaaney mein bas too hi too baqee hai abhee!
Khum ko paimaanah jazb kaisey kareygaa zaldee?
Andleebee wo bayaan khushguloo baaqee hai abhee!!

                                  - abd bundeli
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: August 23, 2009, 04:03:07 PM »
Reply with quote
Abd ji, Roja and Cara ji.. Good work!!

Sitaro main ab wo baat kaha
najaro main ab wo baat kaha
sakoon se kiya karte the kabhi batein
Ab humari baato main wo baat kaha

Badal waqat, mile gum to najare bhi doob gaye
sitaro ki chamk hui kam, isharo wo baat kaha
dekhte hai bebasi se wo mujhko ab girta hua
khamosh sath ki bandish main, ab wo baat kaha!!!

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: August 23, 2009, 04:13:00 PM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI ABD JI.....

GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI....
JAB SAATH MEIN YAAR NAHIN HOTA HAI.

USKE AANE KI KHUSHBU TOH AA JAATI HAI,
PAR WOH HAATH NAHIN AATI HAI,
TAB DIL BECHAIN HOTA HAI.
GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI.......

ROZ YUNHI USKA INTEEZAR HOTA HAI,
KABHI JAAG TA HAI,
KABHI SOTAA HAI,
DIN BAR KARWATEYN BADAL TA HOTA HAI.
GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI......

EK DOOSRE KO DEKH PAAYE,
ITNA TOH PAAS DONO KA HOTA HAI.
MAGAR TAN SE TAN NA TAKRAEY,
YEH AFSOS HOTA HAI.
GUNGUNAATA SITAAR ROTAA HAI......

Thanks cara!


Bahut kuchh seekhnaa baaqee hai abhee saaqee sey!
Chand paimaaney utarney do halk mein pahley;
Ba'ad uskey tumhain maykhaaney pahunchnaa hogaa;
Abhee to ibtidaa hai yeh, koyi kuchh bhi kah ley!!

                           - abd bundeli

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: August 23, 2009, 04:24:49 PM »
Reply with quote
Abd ji, Roja and Cara ji.. Good work!!

Sitaro main ab wo baat kaha
najaro main ab wo baat kaha
sakoon se kiya karte the kabhi batein
Ab humari baato main wo baat kaha

Badal waqat, mile gum to najare bhi doob gaye
sitaro ki chamk hui kam, isharo wo baat kaha
dekhte hai bebasi se wo mujhko ab girta hua
khamosh sath ki bandish main, ab wo baat kaha!!!


Bahut khoob Pooja ji! Thanks!

Abra to abra hai, gar aab na dey, dey chhayaa!
Ham usey kam hi samajhtey hain, jo ham ney paayaa!
Dil sey dil, jigar-o-zeyhn jigar-o-zeyhn sey, na mileyn;
To samajhiye, ki, hamain us ney bahut tarsaayaa!!

                            - abd bundeli


Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:06:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer