Hai Behtar Yahi Ab Ke

by aaina on June 15, 2010, 10:54:05 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2451 times)
aaina
Guest
Reply with quote
khayaaloN se apne baghawat karo
kabhi hamse yun bhi muhabbat karo

panahoN mai apni chupa kar hame
zamaane se saare raqaabat karo

kabhi apne kandhe pe zulfe giraa
karo qatl aur ik inayaat karo

hamaari nigaho me jo hai chupi
agar hai shararat ,wazahat karo

saRe raah yuN tokna hai ghalat
akele bitha kar nasihat karo

hai behtar yehi ab to aslam miyaaN
ke ab khatm shikwe shikayat karo







aslam
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh zami chand say behtar nazar ati hai humain by Qutubuddin in Shayri for Khumar -e- Ishq
BEHTAR by jagdish verma in Share: Poetry of Pain
|| Behtar Hota....... Priya...|| by manzil-e-ishq in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
yahi aaj ka yahi loktantar hai by sushilbansal in Shairy-E-Watan
AANKH KAHIN BEHTAR HAI: by surindarn in Miscellaneous Shayri
nazar ghouri
Guest
«Reply #1 on: June 15, 2010, 11:43:50 PM »
Reply with quote
aslam bhai bahot hiiiiii umda kalaam hai,i am realy speechless ,aghaz se anjaam tak ek soroor ho ba ho ..mein ne kai baar pardh dala aapki yeh nayaab ghazal..wah wah aur wah
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #2 on: June 16, 2010, 03:22:42 AM »
Reply with quote
khayaaloN se apne baghawat karo
kabhi hamse yun bhi muhabbat karo

panahoN mai apni chupa kar hame
zamaane se saare raqaabat karo

kabhi apne kandhe pe zulfe giraa
karo qatl aur ik inayaat karo

hamaari nigaho me jo hai chupi
agar hai shararat ,wazahat karo

saRe raah yuN tokna hai ghalat
akele bitha kar nasihat karo

hai behtar yehi ab to aslam miyaaN
ke ab khatm shikwe shikayat karo







aslam


GD GAZEL
Logged
.adeeb
Guest
«Reply #3 on: June 16, 2010, 03:28:16 AM »
Reply with quote
Kamaal ki ghazal hai aapki ye Aslam bhai. Har lihaz se mukammal aur lutfandoz. Har she'r  lajawab. Hazaro daad hazir hain.
Logged
anokhiladli uzma
Guest
«Reply #4 on: June 16, 2010, 06:43:33 AM »
Reply with quote
wah wah zaberdust waqaee khubsoorat ghazal likhi ap nay Aslam Mian
dad wasool karain
Logged
Qadeer.toopchi
Guest
«Reply #5 on: June 16, 2010, 09:32:50 AM »
Reply with quote
wah aslam bhai kya qoob ghazal kahi hai , hazaro dad ,

yun sare rah tokna hai galath ,
akele bitha kar nasihat karo ,,

wah wah kya riwayati sher sher hai bhai ,,dil chuta hai ,,


allah apko hamesha khush rakhe


duwa go

qadeertoopchi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: June 16, 2010, 09:42:53 AM »
Reply with quote
Waah waah Waah..

bahut Bahut Khoob Aslam Bhai..Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #7 on: June 16, 2010, 10:08:52 AM »
Reply with quote
Wah Aslam Saheb! Wah kya kalaam hai, bhai maza aa gaya paRhkar. Aik murassa, mukammal peshkash hai. HazaaroN daad qubul kijiye.

(Waquif Ansari)

khayaaloN se apne baghawat karo
kabhi hamse yun bhi muhabbat karo

panahoN mai apni chupa kar hame
zamaane se saare raqaabat karo

kabhi apne kandhe pe zulfe giraa
karo qatl aur ik inayaat karo

hamaari nigaho me jo hai chupi
agar hai shararat ,wazahat karo

saRe raah yuN tokna hai ghalat
akele bitha kar nasihat karo

hai behtar yehi ab to aslam miyaaN
ke ab khatm shikwe shikayat karo







aslam

Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #8 on: June 17, 2010, 07:02:19 AM »
Reply with quote

 naaaaice one aslam sb... Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: June 17, 2010, 07:10:29 AM »
Reply with quote
Aslam bhai bahot umda ghazal kahi hai aapne. Har sher mukammal aur murassa hai. Hazaron daad hazir hain.
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: June 23, 2010, 04:06:58 PM »
Reply with quote
aslam bhai bahot hiiiiii umda kalaam hai,i am realy speechless ,aghaz se anjaam tak ek soroor ho ba ho ..mein ne kai baar pardh dala aapki yeh nayaab ghazal..wah wah aur wah

Bhut bhut shurkya Nazar sahab yuN hi apni mohabbatoN se nawaazte rahiye


aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #11 on: June 23, 2010, 05:09:14 PM »
Reply with quote
GD GAZEL

Thnxx Manoj jii.........

aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #12 on: June 23, 2010, 05:49:26 PM »
Reply with quote
Kamaal ki ghazal hai aapki ye Aslam bhai. Har lihaz se mukammal aur lutfandoz. Har she'r  lajawab. Hazaro daad hazir hain.


Bhut shukriya Adeeb sahab is hosla afzaii ka

aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: June 23, 2010, 05:53:42 PM »
Reply with quote
wah wah zaberdust waqaee khubsoorat ghazal likhi ap nay Aslam Mian
dad wasool karain

bhut nawaazish uzma jii is hosla afzaii ka

aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #14 on: June 23, 2010, 05:55:23 PM »
Reply with quote
wah aslam bhai kya qoob ghazal kahi hai , hazaro dad ,

yun sare rah tokna hai galath ,
akele bitha kar nasihat karo ,,

wah wah kya riwayati sher sher hai bhai ,,dil chuta hai ,,


allah apko hamesha khush rakhe


duwa go

qadeertoopchi

Zarranwaazi hai bhai aapki tahe dil se mamnoon hun aapki is hosla afzakk ka yuN hi saath daite rahiye



aslam
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:28:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer