HAI GALI-GALI MEIN CHARCHA TERI MERI AASHJIQUI KA (GHAZAL)

by F.H.SIDDIQUI on May 11, 2011, 08:36:30 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3586 times)
laaiba
Guest
«Reply #15 on: October 10, 2012, 04:25:27 PM »
Reply with quote
Na to Khwahish Aasma.n ki, Na Zamee.n ki Aarzoo Hai,
Jo Mile Teri Gali se, usi ra'h ki Justuju Hai

Hai Gali-Gali mei.n Charcha, Teri-Meri Aashiqui ka,
Kahee.n Tera Tazkira Hai, Kahee.n Meri Guftugu Hai

Hai Shabaab Tera Ek Khilte Hue gulaab Jaisa,
Wahi Taazgi Wahi Husn hai,Wo hi Rang-o-boo Hai

Kahi.n Ro'ab-e-Husn se Sheesha-e-Dil na Toot Jaaye,
Ki Wo Aaina-shikan Aaj Hamaare Roo-ba-roo Hai

Hai.n Tera hi Roop Nadiya.n ,Shajar-o-Hajar, Hawaai.n ,
Mai.n Jidhar Bhi Dekhta Hoo.n , Nazar Aata Too-hi-Too Hai

Hai Mujaahid-e-Watan Too, Nahee.n iss mei.n Shakk Zara Bhi,
Teri Tegh Mein Magar Kyuu.n Tere Bhaai Ka Lahoo Hai
be missal qalm or khyalat mohteram siddiqui sir....bohat c daad...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri gali by birth4death in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
teri gali by tanhaiye in Shayri-E-Dard
Phirta Tha Main Gali Gali by shafqatullah in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
SAJNA TERI GALI WICH - PUNJABI GHAZAL - SARVESH RASTOGI by SARVESH RASTOGI in Ghazals
gali gali(CSET) by MANOJ6568 in Shairi for Manzar -e- Kudrat « 1 2  All »
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: October 12, 2012, 06:32:27 PM »
Reply with quote
be missal qalm or khyalat mohteram siddiqui sir....bohat c daad...
laaiba ji , ek purani  bhooli  bisri  ghazal padhne
aur saraahne ke liye bahut shukriya.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #17 on: October 19, 2012, 03:49:27 PM »
Reply with quote
wah wah wah, bahut khoob, bahut umdah, murassa, munfarid aur me.aari ghazal hai ye aapki. Hazaron daad qubul kijiye janab..
(waquif ansari)

Na to Khwahish Aasma.n ki, Na Zamee.n ki Aarzoo Hai,
Jo Mile Teri Gali se, usi ra'h ki Justuju Hai

Hai Gali-Gali mei.n Charcha, Teri-Meri Aashiqui ka,
Kahee.n Tera Tazkira Hai, Kahee.n Meri Guftugu Hai

Hai Shabaab Tera Ek Khilte Hue gulaab Jaisa,
Wahi Taazgi Wahi Husn hai,Wo hi Rang-o-boo Hai

Kahi.n Ro'ab-e-Husn se Sheesha-e-Dil na Toot Jaaye,
Ki Wo Aaina-shikan Aaj Hamaare Roo-ba-roo Hai

Hai.n Tera hi Roop Nadiya.n ,Shajar-o-Hajar, Hawaai.n ,
Mai.n Jidhar Bhi Dekhta Hoo.n , Nazar Aata Too-hi-Too Hai

Hai Mujaahid-e-Watan Too, Nahee.n iss mei.n Shakk Zara Bhi,
Teri Tegh Mein Magar Kyuu.n Tere Bhaai Ka Lahoo Hai
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #18 on: October 19, 2012, 04:36:36 PM »
Reply with quote
Wah Ji Wah Bahut Khub... Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #19 on: October 20, 2012, 12:52:54 AM »
Reply with quote
wah wah wah, bahut khoob, bahut umdah, murassa, munfarid aur me.aari ghazal hai ye aapki. Hazaron daad qubul kijiye janab..
(waquif ansari)

waquif bhai, AOA. Bahut arse baad Bazm mein
tashreef laaye . Hausla afzai ke liye bahut shukriya.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #20 on: November 06, 2012, 10:37:50 AM »
Reply with quote
Wah Ji Wah Bahut Khub... Applause
Rishi i, Hausla afzai ke liye tah e dil se mamnoon hoon.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 06:27:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer