Ham aaj bhi uljhey hain, safeid-o-siyaah mein!

by abdbundeli on March 20, 2012, 08:44:51 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 903 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

Miltey hain roz ajnabee insaan raah mein!
Ham aaj bhi uljhey hain, safeid-o-siyaah mein!!

Beydam nahin huaa hun, abhi dour-e-hosh huun:
Kuchh to talaash keejiye meyree karaah mein!

Naadaan tifl, zalzaloun mein, ho rahey halaak:
Jaayegaa koun, rahmat-e-rab kee panaah mein?

Kab tak rawaan na hogaa hasin qaafilah-e-zeest?
Kab tak qayaam hogaa isee sairgaah mein?

Jaaree hai parindon ki jawon tak rawaangee:
Lagtaa hai, zar hi zar hai har taraf sabaah mein!

Zaahir hai, meyrey dost, tumhain kyoun sataaungaa?
Kahtey hain log, 'Khuld ki taaqat hai aah mein!'

Jab tum pilaa rahey ho shab-o-roz dam badam;
Main kyoun khatuungaa sharbat-e-kousar ki chaah mein!

Ab kyaa naqaab, kyaa hijaab, 'naa-nukar' bhi kyaa?
Koyee nahin hai apney siwaa khwaabgaah mein?

Kartee hai ataa zouq-e-baqaa roz saaqiyah!
Shaamil hun muddaton sey haqeeqee gunaah mein!!

Taareekiyaan ayaan hain, kareyngey naqaab kyaa?
Ab aa gayaa hai husn-e-sanam ittizaah mein!

Zad mein meyrey uyoon key rah kar to deykhiye;
Ta'areef-e-tabassum hai nihaan waah-waah mein?

Milnaa hai 'wo', supurd-e-khaak rah hazaar saal?
Naaseyha, alam-e-dahar hai teyree salaah mein!

Dahroun sey dafn huun, qayaam-e-khulub huun, yahaan!
Dour-e-khizaan hai ba'ad-e-hashra is nikaah mein?

Seenon mein rawaan hain ta'aanukon ki dharhkaneyn:
Aaye na, kaash, ab khumaar iftiraah mein!

Hotaa hai wahee door, jo qareeb-e-jigar ho!
Achchhaa hai, 'abd', gair hain meyree nigaah mein!!

                   - abd bundeli
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Gum hi gum hain duniya mein, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Bas aap hi khayaalon mein chhaye hain ! by Rishi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 9 10 »
jab hum nashe mein hote hain!!!! by husna parveen in Kaifiyaat-ae-maye
seene mein hain by saahill in Share: Poetry of Pain
Ham khayaalaat mein uljhey tamaam raat rahey! by abdbundeli in Ghazals
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 20, 2012, 08:51:32 AM »
Reply with quote
abd bhai jwaab naheen hai aapkee is ghazal kaa zindaabaad zindaabaad.bahut bahut mubarak ho
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #2 on: March 20, 2012, 08:51:41 AM »
Reply with quote
Very VERy nice creation Abd ji  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: March 20, 2012, 09:23:17 AM »
Reply with quote
Bahut khoob,Janaab.Kya khoob kalaam ata kiya hai.Tahe dil se mashkoor hoon.

Naadaan tifl, zalzaloun mein, ho rahey halaak:
Jaayegaa koun, rahmat-e-rab kee panaah mein?

Ab kyaa naqaab, kyaa hijaab, 'naa-nukar' bhi kyaa?
Koyee nahin hai apney siwaa khwaabgaah mein?

Milnaa hai 'wo', supurd-e-khaak rah hazaar saal?
Naaseyha, alam-e-dahar hai teyree salaah mein!

Hotaa hai wahee door, jo qareeb-e-jigar ho!
Achchhaa hai, 'abd', gair hain meyree nigaah mein!!

                  

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: March 20, 2012, 10:02:58 AM »
Reply with quote
abd bhai jwaab naheen hai aapkee is ghazal kaa zindaabaad zindaabaad.bahut bahut mubarak ho
Saini ji, aap jaisey ilm-mand kee 'daad' sey housalah afzaayee hotee hai! Bahut-bahut shukriyah!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: March 20, 2012, 10:05:54 AM »
Reply with quote
Bahut khoob,Janaab.Kya khoob kalaam ata kiya hai.Tahe dil se mashkoor hoon.

Bahut-bahut shukriyah, SIDDIQUI ji! Aapkee duaa hai!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: March 20, 2012, 10:09:39 AM »
Reply with quote

Miltey hain roz ajnabee insaan raah mein!
Ham aaj bhi uljhey hain, safeid-o-siyaah mein!!

Beydam nahin huaa hun, abhi dour-e-hosh huun:
Kuchh to talaash keejiye meyree karaah mein!

Naadaan tifl, zalzaloun mein, ho rahey halaak:
Jaayegaa koun, rahmat-e-rab kee panaah mein?

Kab tak rawaan na hogaa hasin qaafilah-e-zeest?
Kab tak qayaam hogaa isee sairgaah mein?

Jaaree hai parindon ki jawon tak rawaangee:
Lagtaa hai, zar hi zar hai har taraf sabaah mein!

Zaahir hai, meyrey dost, tumhain kyoun sataaungaa?
Kahtey hain log, 'Khuld ki taaqat hai aah mein!'

Jab tum pilaa rahey ho shab-o-roz dam badam;
Main kyoun khatuungaa sharbat-e-kousar ki chaah mein!

Ab kyaa naqaab, kyaa hijaab, 'naa-nukar' bhi kyaa?
Koyee nahin hai apney siwaa khwaabgaah mein?

Kartee hai ataa zouq-e-baqaa roz saaqiyah!
Shaamil hun muddaton sey haqeeqee gunaah mein!!

Taareekiyaan ayaan hain, kareyngey naqaab kyaa?
Ab aa gayaa hai husn-e-sanam ittizaah mein!

Zad mein meyrey uyoon key rah kar to deykhiye;
Ta'areef-e-tabassum hai nihaan waah-waah mein?

Milnaa hai 'wo', supurd-e-khaak rah hazaar saal?
Naaseyha, alam-e-dahar hai teyree salaah mein!

Dahroun sey dafn huun, qayaam-e-khulub huun, yahaan!
Dour-e-khizaan hai ba'ad-e-hashra is nikaah mein?

Seenon mein rawaan hain ta'aanukon ki dharhkaneyn:
Aaye na, kaash, ab khumaar iftiraah mein!

Hotaa hai wahee door, jo qareeb-e-jigar ho!
Achchhaa hai, 'abd', gair hain meyree nigaah mein!!

                   - abd bundeli



Saheb, Apaki Iss Ghazal Par daad Dena Main, Khud Ki Khush-Kismati Samjhunga...Har A'shaar par Sirf Waah Waah Waah..Karta Gaya..

Lajawaab!!!!!!! Bahut Bahut Aur Bahut Khoooooob!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Hats off to you! Hats off to you!  Hats off to you!
Logged
heena ke rang
Guest
«Reply #7 on: March 20, 2012, 10:15:53 AM »
Reply with quote
excellent. very nice
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: March 20, 2012, 10:22:45 AM »
Reply with quote
Very VERy nice creation Abd ji  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

BAHUT-BAHUT SHUKRIYAH, 'pankaj' JI!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: March 20, 2012, 12:51:11 PM »
Reply with quote

Saheb, Apaki Iss Ghazal Par daad Dena Main, Khud Ki Khush-Kismati Samjhunga...Har A'shaar par Sirf Waah Waah Waah..Karta Gaya..

Lajawaab!!!!!!! Bahut Bahut Aur Bahut Khoooooob!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Hats off to you! Hats off to you!  Hats off to you!


Kittu ji, aapkey pyaa-o-dulaar ko paakar dil 'baag-baag' ho jaataa hai! Shukriyah!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: March 20, 2012, 12:52:53 PM »
Reply with quote
excellent. very nice

Thanks, Heena ji!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #11 on: March 20, 2012, 07:17:48 PM »
Reply with quote
Abd sirji--
aisi ghalen parhne ko bht kam milti hain--
ek ek aashar khud me hi ghazal hain--
sarfira ke paas shabd nhi taareef krne ko aur daad dene ko--
itni lambi ghazal dekhne me h parho to dil krta hai kaash aur kuch lines hote--

hats off--

bas reqst hai ki apni ghazlen parhne ka mauka dete rahen

khus rahen
muskurate rahen
Usual Smile
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: March 21, 2012, 06:04:04 AM »
Reply with quote
Abd sirji--
aisi ghalen parhne ko bht kam milti hain--
ek ek aashar khud me hi ghazal hain--
sarfira ke paas shabd nhi taareef krne ko aur daad dene ko--
itni lambi ghazal dekhne me h parho to dil krta hai kaash aur kuch lines hote--

hats off--

bas reqst hai ki apni ghazlen parhne ka mauka dete rahen

khus rahen
muskurate rahen
Usual Smile

Bahut-bahut shukriyah, 'sarfira' ji! Aapkey pyaar-o-dulaar sey meyree gazal 'dhanya' ho gayee hai!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:27:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer