Hamaaraa muskuraanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!

by abdbundeli on February 24, 2009, 10:57:59 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2567 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: November 07, 2009, 07:38:58 PM »
Reply with quote
Thanks Roja!

Dil kee gar dil mein rahey,
Koun kahey, kyaa hoya?
Shabnam beychaaree, 'abd',
Rahee azal sey roya!

              - abd bundeli



Wohi lehere palat aati hai kankar laut aate hai
Wohi kankar samete shaam ko ghar laut aate hai

Bas ek awaz hai khench liye jaati hai jo dil ko
Bas ek diwar hai hum jisko chu kar laut aate hai

Charage-gul ke jalne ka samaa sasvir karne ko
Ye saaye shaam tak chalte hai thak kar laut aate hai

Wohi halat hai is udasi aakhon ki jo pehle thi
Wohi ek pal ki barish se samandar laut aate hai..
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #16 on: November 08, 2009, 09:12:47 AM »
Reply with quote

Wohi lehere palat aati hai kankar laut aate hai
Wohi kankar samete shaam ko ghar laut aate hai

Bas ek awaz hai khench liye jaati hai jo dil ko
Bas ek diwar hai hum jisko chu kar laut aate hai

Charage-gul ke jalne ka samaa sasvir karne ko
Ye saaye shaam tak chalte hai thak kar laut aate hai

Wohi halat hai is udasi aakhon ki jo pehle thi
Wohi ek pal ki barish se samandar laut aate hai..

"Wohi ek pal ki barish se samandar laut aate hain.."
Bahut hee gahrey ahsaas-e-gam kaa izhaar kartey hain ye alfaaz!
Bahut achchhey, Roja!
 
Gouhar-saa jhalaktaa hai kam hee, magar, andar hai!
Mein kyaa karoon jo meyree aankhoun mein samundar hai!!
Lahraaye har lamhey wah, beychain tarannum-saa:
Aaou, ki, azal sey hee mushtaaq, khulaa dar hai!!

                                - abd bundeli
 
  
Logged
smardia
Guest
«Reply #17 on: November 08, 2009, 10:22:24 AM »
Reply with quote
Badi jaandaar Gazal hai aapki...ABDji......aur achha saath diya hai Rojaji ne bhi...Daad kabool kijiye aap dono... Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

EK TARFA RAHA ISHQ MERA
PYAAR UNHE RAAS NAHI AAYA
LAUT AAYEE SADAAYEN MERI
KANO SE UNKE TAKRAKE PAAS MERE
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #18 on: November 08, 2009, 11:06:54 AM »
Reply with quote
Badi jaandaar Gazal hai aapki...ABDji......aur achha saath diya hai Rojaji ne bhi...Daad kabool kijiye aap dono... Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

EK TARFA RAHA ISHQ MERA
PYAAR UNHE RAAS NAHI AAYA
LAUT AAYEE SADAAYEN MERI
KANO SE UNKE TAKRAKE PAAS MERE

Thanks smardia  ji!

Harjaayee woh, sabhee ko
Deytaa pyaar-dulaar!
Mein kaisey kah doon, meyraa
Hai ik-tarfaa pyaar?

             - abd bundeli

Logged
smardia
Guest
«Reply #19 on: November 08, 2009, 11:49:14 AM »
Reply with quote
Khuda hai wo jo deta sabhee ko pyaar-dular
Harjaayee usko kaise main kehdu yaar
Mai karta hu pooja uski,usko he pyaar
Uski nazaron mai hain hum sab ek samaan

Fark chahat ke nazariye ka hai mere yaar
Uski chahat aur hai meri chahat aur hai
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #20 on: November 09, 2009, 02:17:47 PM »
Reply with quote
Khuda hai wo jo deta sabhee ko pyaar-dular
Harjaayee usko kaise main kehdu yaar
Mai karta hu pooja uski,usko he pyaar
Uski nazaron mai hain hum sab ek samaan

Fark chahat ke nazariye ka hai mere yaar
Uski chahat aur hai meri chahat aur hai

Saayeen sab kaa eik hai:
Sach kahtey ho, yaar!
Iseeliye to eik-saa,
Kartaa sab ko pyaar!

         - abd bundeli

Logged
Roja
Guest
«Reply #21 on: November 09, 2009, 02:21:25 PM »
Reply with quote
"Wohi ek pal ki barish se samandar laut aate hain.."
Bahut hee gahrey ahsaas-e-gam kaa izhaar kartey hain ye alfaaz!
Bahut achchhey, Roja!
 
Gouhar-saa jhalaktaa hai kam hee, magar, andar hai!
Mein kyaa karoon jo meyree aankhoun mein samundar hai!!
Lahraaye har lamhey wah, beychain tarannum-saa:
Aaou, ki, azal sey hee mushtaaq, khulaa dar hai!!

                                - abd bundeli

 


Thanks dear Uncle ji
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #22 on: November 09, 2009, 02:27:20 PM »
Reply with quote

Zaraa-saa muskuraanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!
Hamaaraa paas aanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!

Yahaan ham wasl ko beychain they, khwaaboun ki duniyaan mein!
Kareyn kyaa, yeh fasaanah hi unhain achchhaa naheen lagtaa?

Hamaaree raat kat jaatee hai yuun hi jaagtey-rotey;
Hamain sapney dikhaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!

Hamain lagtaa hai, royengey akeyley hi, kaheen chhup kar;
Galey milkar, rulaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!

Na jaaney ham mein aisee baat kyaa hai, chhitakatey hain woh?
Uthhaa, nazareyn milaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!

Kisey maaloom thaa, yeh dil-lagee zaalim hai khaaroun-see;
Diloun key gul khilaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!

Bahut mushtaaq they, gaatey suneyngey aaj ham jinko:
Hamaaraa gungunaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!

Bahut maayuus hain; par, giley-shikwey kareyn, to kaisey?
Hamain ghar par bulaanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!

Hamaarey paas aanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!
Hamaaraa muskuraanaa bhi unhain achchhaa naheen lagtaa!!
 
Kaheen mahshar na aa pahunchey, ki, bas, ham yuun hi mar jaayen?
‘Abd’ sey dil lagaanaa hi unhain achchhaa naheen lagtaa!!
               
                                                        - abd bundeli



Bahut Hi Khubsurat Gajal Likhi Hai Abd Ji Aapne Nice and Beautiful Creation  Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #23 on: November 09, 2009, 02:28:11 PM »
Reply with quote
Wohi lehere palat aati hai kankar laut aate hai
Wohi kankar samete shaam ko ghar laut aate hai

Bas ek awaz hai khench liye jaati hai jo dil ko
Bas ek diwar hai hum jisko chu kar laut aate hai

Charage-gul ke jalne ka samaa sasvir karne ko
Ye saaye shaam tak chalte hai thak kar laut aate hai

Wohi halat hai is udasi aakhon ki jo pehle thi
Wohi ek pal ki barish se samandar laut aate hai..


NIce and Excellent Creation Roja Ji Applause
Logged
Roja_malar
Guest
«Reply #24 on: November 16, 2009, 11:27:07 PM »
Reply with quote

 
Gouhar-saa jhalaktaa hai kam hee, magar, andar hai!
Mein kyaa karoon jo meyree aankhoun mein samundar hai!!
Lahraaye har lamhey wah, beychain tarannum-saa:
Aaou, ki, azal sey hee mushtaaq, khulaa dar hai!!

                                - abd bundeli

 


Waqt judayi ka hai,
Ab hame juda hona hoga
Bhulakar tamaam baatein ABD
Ab hame umer ber rona hoga...
 tearyeyed


Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:37:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer