Hamney khojaa unhain: is jagah, us jagah!

by abdbundeli on July 13, 2010, 06:14:33 AM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 4178 times)
malli
Guest
«Reply #30 on: August 21, 2011, 06:01:54 AM »
Reply with quote
Theek hai, Roja ji, leejiye yeh padhiye:-

Zameen teyree khushkhiraam, aasmaan teyraa!
Nazar sey door hai gulfaam aashiyaan teyraa!!

Guzar rahey hain lamheyn aaj, yaad mein kis kee?
Raah mein kis, kahaan hai naqs-e-paa nihaan teyraa?

Qadam-qadam pai khaar-o-sang khairmaqdam ko,
Haaziree dey rahey hain: haq hai rahnumaan teyraa!

Teyraa fatwa thaa: chalaa aa, waheen miloongaa mein!
Kyaa yahee khulq-e-khush-adaa hai meyhrabaan teyraa?

Kahaan bihist? Kahaan yeh samoom-o-reyg-e-rawaan?
Kyaa isee khaak sey banaa hai kahkashaan teyraa?

Kyoun mujhey aaj us waqaar pai shak hotaa hai?
Rahaa hun, dour-e-ibtidaa sey qadradaan teyraa!

Ab 'abd', kyaa kahoon? Teyree ajeeb hai hastee;
Khaar teyrey hain, gul bhi, aur gulistaan teyraa!!

                                   - abd bundeli 


woow.... Bahut khoob bahut khoob  Applause Applause

Yeh umda ghazal padkar mai bahut hi khush huyi...
aapka yeh last four lines sach mein chehre pe muskaan laa diya. very very romantically writtern. Love this  Usual Smile

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kisi bhi jagah by lovely_amez in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
har jagah by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Ashkon ki jagah....... by mili_genie in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Jagah(CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
milne ki jagah by mkv in Share:Love Poetry
malli
Guest
«Reply #31 on: August 21, 2011, 06:05:50 AM »
Reply with quote
Kaise kahe ki zindagi kya hoti hai
Her kadam pe ye daga deti hai..
Jinki jaan se bi jyada keemat ho dil mein
Unhi se dhur rehne ki sajha deti hai..

Sacchi na sahi jhooti hi sahi, aakhir Mai toh hu teri diwani
Pehle to banaya tha apna, fir mukh kyu mod liya?
Layak na sahi, zhahil hi sahi, aakhir rahi to teri diwani...



Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #32 on: August 21, 2011, 06:31:53 AM »
Reply with quote
woow.... Bahut khoob bahut khoob  Applause Applause

Yeh umda ghazal padkar mai bahut hi khush huyi...
aapka yeh last four lines sach mein chehre pe muskaan laa diya. very very romantically writtern. Love this  Usual Smile


Kaise kahe ki zindagi kya hoti hai
Her kadam pe ye daga deti hai..
Jinki jaan se bi jyada keemat ho dil mein
Unhi se dhur rehne ki sajha deti hai..

Sacchi na sahi jhooti hi sahi, aakhir Mai toh hu teri diwani
Pehle to banaya tha apna, fir mukh kyu mod liya?
Layak na sahi, zhahil hi sahi, aakhir rahi to teri diwani...



Shukriyah Roja ji!

Main wahee aik baat kah na sakaa khalwat mein,
Jisko kahney key liye zeest beyqaraar rahee!!

                         - abd bundeli
Logged
malli
Guest
«Reply #33 on: August 21, 2011, 06:50:22 AM »
Reply with quote

Shukriyah Roja ji!

Main wahee aik baat kah na sakaa khalwat mein,
Jisko kahney key liye zeest beyqaraar rahee!!

                         - abd bundeli


 Thumbs UP Usual Smile
Ek mulaqat kar lo shayad hum fir na mile
Do baatein bi kar lo shayad fir waqt na mile...

Chale jaye aap ki zindagi se itne dhur ki
Haqiqat mein to kya sapne mein bi na mile...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #34 on: August 30, 2011, 10:26:37 AM »
Reply with quote
woow.... Bahut khoob bahut khoob  Applause Applause

Yeh umda ghazal padkar mai bahut hi khush huyi...
aapka yeh last four lines sach mein chehre pe muskaan laa diya. very very romantically writtern. Love this  Usual Smile



Thanks, Malli ji!

Mujhey bhi roz, 'abd', intizaar rahtaa hai!
Wo lahoo aaj bhi meyree nashon mein bahtaa hai!
Aik hee arsh key neechey hain, usee saaye mein,
Fir bhi ham itney door kyon hain, koyi kahtaa hai?


                      - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #35 on: August 30, 2011, 10:33:26 AM »
Reply with quote
Thumbs UP Usual Smile
Ek mulaqat kar lo shayad hum fir na mile
Do baatein bi kar lo shayad fir waqt na mile...

Chale jaye aap ki zindagi se itne dhur ki
Haqiqat mein to kya sapne mein bi na mile...


Woh hai baahon mein, khalwat hai, rimjhim hai;
Ley saath ghataayen, bijlee aa phunchee hai!

                        - abd bundeli
Logged
malli
Guest
«Reply #36 on: September 04, 2011, 03:57:21 PM »
Reply with quote

Woh hai baahon mein, khalwat hai, rimjhim hai;
Ley saath ghataayen, bijlee aa phunchee hai!

                        - abd bundeli


 Usual Smile love4 Usual Smile

Tumne ikraar karke pyar ka mujhe di khushiyan zamane ki
Pyar to aankhon se chalakta hai zarurat nahi isse batane ki
Kabhi to dekh lo aakar meri bebasi ko sanam mere
Tere didaar ko khuli rehti hai her pal aankhein "Roja" ki...!!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #37 on: September 06, 2011, 02:24:06 PM »
Reply with quote
Usual Smile love4 Usual Smile

Tumne ikraar karke pyar ka mujhe di khushiyan zamane ki
Pyar to aankhon se chalakta hai zarurat nahi isse batane ki
Kabhi to dekh lo aakar meri bebasi ko sanam mere
Tere didaar ko khuli rehti hai her pal aankhein "Roja" ki...!!


Rahtey hain ham donon hee neeley ambar key neechey:
Kyaa pataa raheyngey kab tak, bas yuun hi aankheyn meechey?

                                 - abd bundeli
Logged
malli
Guest
«Reply #38 on: September 07, 2011, 02:56:45 AM »
Reply with quote
Rahtey hain ham donon hee neeley ambar key neechey:
Kyaa pataa raheyngey kab tak, bas yuun hi aankheyn meechey?

                                 - abd bundeli


Kabhi mai yaad aau toh bas tum itna karna
Mere saare purane khat tum apne haath mein lena
Mere saare ujhade harf, chup-chaap tum padna
Tumhe lafzon mein mumkin hai, jaagi aankhein dikhayi de
Un geele kagaz ki, nami tum mehsoos karna
Per apni aakhein tum hargiz nam na karna
Mera gam na karna , juda hoke bi mujhse mohabbat kam na karna.

Kabhi mai yaad aau toh bas itna tum karna...  icon_thumleft
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #39 on: September 08, 2011, 04:20:45 AM »
Reply with quote
Kabhi mai yaad aau toh bas tum itna karna
Mere saare purane khat tum apne haath mein lena
Mere saare ujhade harf, chup-chaap tum padna
Tumhe lafzon mein mumkin hai, jaagi aankhein dikhayi de
Un geele kagaz ki, nami tum mehsoos karna
Per apni aakhein tum hargiz nam na karna
Mera gam na karna , juda hoke bi mujhse mohabbat kam na karna.

Kabhi mai yaad aau toh bas itna tum karna...  icon_thumleft


Khayaalon mein nazar aataa hai koyee gumnumaan chehraa:
Badaltey mousamon key saath jo badlaa nahin kartaa!
Guzartey raat-din yuun hee guzartey hain guzarney ko;
Nigaaheyn deykhtin rahtin hain,leykin man nahin bhartaa!


                           - abd bundeli
Logged
malli
Guest
«Reply #40 on: September 08, 2011, 07:13:04 PM »
Reply with quote

Khayaalon mein nazar aataa hai koyee gumnumaan chehraa:
Badaltey mousamon key saath jo badlaa nahin kartaa!
Guzartey raat-din yuun hee guzartey hain guzarney ko;
Nigaaheyn deykhtin rahtin hain,leykin man nahin bhartaa!


                            - abd bundeli

Chandni raat hai,
Jashn-e-jazbat hai,
…Unwaan TERI zaat hai,
TERE ishq ki buhtaat hai,
Meri har ek tamanna,
Mera har ek khayal,
Nazar-e-husn TERI zaat hai
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #41 on: September 09, 2011, 09:38:00 AM »
Reply with quote
Chandni raat hai,
Jashn-e-jazbat hai,
…Unwaan TERI zaat hai,
TERE ishq ki buhtaat hai,
Meri har ek tamanna,
Mera har ek khayal,
Nazar-e-husn TERI zaat hai


Kaash, jazbaat-o-jaat kaa mujhey pataa hotaa;
Aur, Laylee key tilismaat kaa pataa hotaa!
Udheydbun mein isee kaat rahaa huun main din;
Dour-e-shatraranj chaal-o-maat kaa pataa hotaa!

                        - abd bundeli
Logged
Dil Shah
Guest
«Reply #42 on: September 09, 2011, 10:01:42 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOOB ABD BUNDELI............,




Bohat Humdard Hain Yun Tu Hamaray Bhi Zamanay Main
Magar Phir Bhi Bohat Kum Hain Kabhi Milnay Chalay Aao
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #43 on: September 09, 2011, 10:53:26 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOOB ABD BUNDELI............,

Bohat Humdard Hain Yun Tu Hamaray Bhi Zamanay Main
Magar Phir Bhi Bohat Kum Hain Kabhi Milnay Chalay Aao

Shukriyah Dil Shah ji! Aur, aapkaa sher to sachmuch hee laajawaab hai!

Tumhaaree raah mein har soo gulon kee chaadareyn mahkeyn;
Abhee bhee waqt baaqee hai, idhar khilney chaley aao!!

             - abd bundeli

Logged
malli
Guest
«Reply #44 on: December 29, 2011, 02:25:03 AM »
Reply with quote

Kaash, jazbaat-o-jaat kaa mujhey pataa hotaa;
Aur, Laylee key tilismaat kaa pataa hotaa!
Udheydbun mein isee kaat rahaa huun main din;
Dour-e-shatraranj chaal-o-maat kaa pataa hotaa!

                        - abd bundeli


Chal Chalte hai us paar sanam…..
Janha lehron ki khamoshi ho
Janha saanson ki khamoshi ho
Janha Jazbon ki behoshi ho
Janha aankhon se sargoshi ho
Chal chalte hai us par sanam
Janha aasman sari rahein ho
Janha ek pyara sa bandhan ho
Janha labon pe pyari baatein ho
Janha pyar ki panahe ho
Chal chalte hai us paar sanam….
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:43:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer