ha.nstaa to ho gaa aap bhee yazdaa.n kabhii kabhii

by divyam on February 22, 2009, 12:12:14 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1192 times)
divyam
Guest
Reply with quote
1) chehre badaltaa kitne hai insaa.n kabhii kabhii
   "ha.nstaa to ho gaa aap bhee yazdaa.n kabhii kabhii"

2) naadaa.n kabhii hai bantaa to haiwaa.n kabhiii kabhii
   hotaa huu.n dang dekh ke insaa.n kabhii kabhii

3) bazm-e-tarab me.n yaad hai naam-e-khudaa kise!
   karte hai.n yaad gardish-e-dauraa.n kabhi kabhii!

4) qaabil samjhta khud ko woh jannat ke waaste!
   gairo.n pe kar diya hai jo ehsaa.n kabhii kabhii

5) daulat pe is qadar to na itraao dosto
   mehlo.n ko hote dekha hai veeraa.n kabhii kabhii?

6) jis raah me.n hai Ghar  mera us raah se guzar!
   tuu puura kar de dil ka yeh armaa.n kabhii kabhii

7) kal jin ke sa.ng khele, woh pyaase hain khuun ke
   dekhu.n to dil me.n uThta hai tuufaa.n kabhii kabhii

8.) :Ghaafil:, khudaa ne tujh ko diya kaisa hai hunar!
   kaaGhaz me.n qaid karta hai gaehaa.n kabhii kabhii

   -Mayank
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #1 on: February 22, 2009, 02:54:26 PM »
Reply with quote
1) chehre badaltaa kitne hai insaa.n kabhii kabhii
   "ha.nstaa to ho gaa aap bhee yazdaa.n kabhii kabhii"

2) naadaa.n kabhii hai bantaa to haiwaa.n kabhiii kabhii
   hotaa huu.n dang dekh ke insaa.n kabhii kabhii

3) bazm-e-tarab me.n yaad hai naam-e-khudaa kise!
   karte hai.n yaad gardish-e-dauraa.n kabhi kabhii!

4) qaabil samjhta khud ko woh jannat ke waaste!
   gairo.n pe kar diya hai jo ehsaa.n kabhii kabhii

5) daulat pe is qadar to na itraao dosto
   mehlo.n ko hote dekha hai veeraa.n kabhii kabhii?

6) jis raah me.n hai Ghar mera us rah se guzar kar!
   tuu puura kar de dil ka yeh armaa.n kabhii kabhii

7) kal jin ke sa.ng khele, woh pyaase hain khuun ke
   dekhu.n to dil me.n uThta hai tuufaa.n kabhii kabhii

8.) :Ghaafil:, khudaa ne tujh ko diya kaisa yeh hunar!
   kaaGhaz me.n qaid karta hai gaehaa.n kabhii kabhii


Bahut khoob divyam ji!  Applause Applause Applause Waaqiyee bahut khoob! Likhtey rahiye; aur yoindians wa zamaaney ko padhhney kaa mouqah deytey rahiye!
                                  - abd bundeli

Logged
divyam
Guest
«Reply #2 on: February 22, 2009, 04:00:07 PM »
Reply with quote
Garg saahab,

aap ko Ghazal pasand aaii, jaan kar be-inataha masarrat huii.. mai.n aap ka aabhaari huu.n..  par agar aap is par kuchh tanqeed aara dete to mujhe aap jaise khuna-mashq shayar se kuchh seekhne ka aur apni kamii ko duur karne ka mauqa milta..  Usual Smile

Khair, mai.n samjh sakta huu.n ki waqt ki kamii ke liye, aisa karna mumkin nahiii hai.n.. phir aap ne meri arzee par Ghazal ko paDha aur pasand kiya, is ke liye behad aabhaari huu.n..

Mayank
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: February 22, 2009, 04:08:58 PM »
Reply with quote
Garg saahab,
aap ko Ghazal pasand aaii, jaan kar be-inataha masarrat huii.. mai.n aap ka aabhaari huu.n..  par agar aap is par kuchh tanqeed aara dete to mujhe aap jaise khuna-mashq shayar se kuchh seekhne ka aur apni kamii ko duur karne ka mauqa milta..  Usual Smile

Khair, mai.n samjh sakta huu.n ki waqt ki kamii ke liye, aisa karna mumkin nahiii hai.n.. phir aap ne meri arzee par Ghazal ko paDha aur pasand kiya, is ke liye behad aabhaari huu.n..

Mayank
You're doing very well! I want you grow at your own! Develop your own identity! I'm happy to say that you have the capacity to do so! I'm with you, with the whole of my heart!
                                       - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: February 22, 2009, 04:11:28 PM »
Reply with quote
Wah wah Divyam ji... bahut khoob... bahut khoob

Aapko ABD ji jaison ka aashirwad mila hai... Expect more like this

from you. Good work  Thumbs UP
Logged
divyam
Guest
«Reply #5 on: February 23, 2009, 03:49:24 PM »
Reply with quote
Wah wah Divyam ji... bahut khoob... bahut khoob

Aapko ABD ji jaison ka aashirwad mila hai... Expect more like this

from you. Good work  Thumbs UP


Thank u Roja,

sach faramaaya hai tum ne, Abad ji jaise shayar ka aashirwaad milna, waqaii khushnaseebi hai..

par ek bataao tum ne mujhe pehchaana nahii.n :D

Mayank

Logged
javedarshad
Guest
«Reply #6 on: February 24, 2009, 04:55:48 AM »
Reply with quote
Divyam Ji
Adaab

Mashallah bahut khoob

shaid pahle bhi kisi jagah maine andia diya tha aap ke ahsasat bahut achche hain, bahut umda kahte hain,

koshish jari rakhain , saqeel aur tool alfaz ke istemal khoob kiya hai,main badi mushkil se ker pata hun.


aise hi likhte rahain


javed

Logged
divyam
Guest
«Reply #7 on: February 24, 2009, 03:18:27 PM »
Reply with quote
Divyam Ji
Adaab

Mashallah bahut khoob

shaid pahle bhi kisi jagah maine andia diya tha aap ke ahsasat bahut achche hain, bahut umda kahte hain,

koshish jari rakhain , saqeel aur tool alfaz ke istemal khoob kiya hai,main badi mushkil se ker pata hun.

aise hi likhte rahain

javed


javed saahab,

aadaab!

Ghazal ki paseendagii ke liye aap ka mamuun huu.n.. aap ne jin lafzo.n se meri taareef kii hai, us se meri bohat hausila aur izzat afzaaii huii hai.Usual Smile

aur is se pahle meri pahli Ghazal par aap se mulaaqaat ho chuki hai, jis par aap ne daad dii thee, us ke liye bhi ek  baar phir se shukriya..Usual Smile

koshish jaari rahegii, ba-shart aap paDhte rahe.n:)

Mayank 
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: February 24, 2009, 03:30:11 PM »
Reply with quote
Bohot bohot Khoob Divyam Ji..Mashallah bohot achcha likha hai...!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:21:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer