Har Duwa Beasar to Kya keejay ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on July 07, 2010, 05:43:12 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1922 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
yaarane mahefil aadab ,, meri adna khawish ap sub ki nazar , umid hai ap apni qeemti aara se nawzenge ..


Wo na chahe agar to kya keejay
har duwa be asar to kya keejay

haal mera to sub pe zahir hai
unko na ho qabar to kya keejay

hausle yun to kamm nahi mere
Mai Hon gharq-e-bhanwar to kya keejay

eak  dariya hai saath me yun to
tishnagi be qabar to kya keejay

ab  kahen wo ke laut aa qadir
dil na jaye udhar to kya keejay

qadeertoopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MERI DUWA by poem143s in Shayri-E-Dard
kon duwa karega by poem143s in Shayri-E-Dard
toote diloN ki haa'e bhi BEASAR jaati hai...!! by ghayal_shayar in Ghazals
DUWA by Risk in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
ASAR BEASAR by surindarn in Ghazals
mamta bajpai
Guest
«Reply #1 on: July 07, 2010, 06:02:41 AM »
Reply with quote
ek dariya saath me yun to
tishnagi bekhabar to kya keeje

bahut khoooooob Janab Qadeer Saheb!bahut khoob.......
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #2 on: July 07, 2010, 06:10:17 AM »
Reply with quote
ek koshish meri janib se bhi.......maaf keejiyega aap ki hi tarz par hai

wo jo chahe agar to kya keeje
ho dua ka bhi asar to kya keeje

haal mera to un pe zahir hai
wo bane bekhabar to kya keeje

wo to ab tak wahin hain ae dilbar
dil na aaye idhar to kya keeje
Logged
.adeeb
Guest
«Reply #3 on: July 07, 2010, 08:49:25 AM »
Reply with quote
Waah Abdul Qadeer Sb bahut achi aur shandar ghazal apne kahi.
Har sher murassa aur purkashish hai. Is behtareen peshkash par daad qubool karen.
Logged
nazr ghouri
Guest
«Reply #4 on: July 07, 2010, 09:15:35 AM »
Reply with quote
waah A.Qadeer sahib  wahh bahot khoob ,umda ashaar se saji behetreen ghazal ...daad haazir hai janaab qubool karein.lafzaon ke daayere main tareef ko baandhna mushkil hogaya hai.bahoot khoob janab..ek guzarish hai ke ..ghrqe bhanwar ko agar (gharq-e-bhanwar,ya ghrq-e-bhanwar)likhein to padhne main asaani hogi.aise hi kalaam se mehfil ko roshan karte rahiyega.
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #5 on: July 07, 2010, 01:35:06 PM »
Reply with quote
Sunder kalaam hai aapka Qadeer-ji... Applause Applause Applause

Beej boye par baarish na ho tou kya keejay
Kismat ho kharaab hal toote tou kya keejay


yaarane mahefil aadab ,, meri adna khawish ap sub ki nazar , umid hai ap apni qeemti aara se nawzenge ..


Wo na chahe agar to kya keejay
har duwa be asar to kya keejay

haal mera to sub pe zahir hai
unko na ho qabar to kya keejay

hausle yun to kamm nahi mere
kashti ghrqe bhanwar to kya keejay

eak  dariya hai saath me yun to
tishnagi be qabar to kya keejay

ab  kahen wo ke laut aa qadir
dil na jaye udhar to kya keejay

qadeertoopchi
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: July 07, 2010, 04:20:26 PM »
Reply with quote
yaarane mahefil aadab ,, meri adna khawish ap sub ki nazar , umid hai ap apni qeemti aara se nawzenge ..


Wo na chahe agar to kya keejay
har duwa be asar to kya keejay

haal mera to sub pe zahir hai
unko na ho qabar to kya keejay

hausle yun to kamm nahi mere
kashti ghrqe bhanwar to kya keejay

eak  dariya hai saath me yun to
tishnagi be qabar to kya keejay

ab  kahen wo ke laut aa qadir
dil na jaye udhar to kya keejay

qadeertoopchi
Bahaut khubsoorat ghazal hai yeh..Behtrin...Maza agaya parrkar...Likte rahiye Qadeer jee...Bahaut seekhne milta hai... Applause Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #7 on: July 07, 2010, 04:55:56 PM »
Reply with quote
yaarane mahefil aadab ,, meri adna khawish ap sub ki nazar , umid hai ap apni qeemti aara se nawzenge ..

Qadeer bhai kya dil nasheen andaaz hai aapka. bohot hi pur asar aur dil chasp ghazal hai. Bhai bohot pasand hai.. Meri taraf se dili daad aur mubaarakbaad qubool kareN is haseen ghazal par.

Wo na chahe agar to kya keejay
har duwa be asar to kya keejay

ye bhi dhkh leN (Ho duwa de asar to kya keejay)
Waise aap ka misra' bhi durust hai.

haal mera to sub pe zahir hai
unko na ho qabar to kya keejay

hausle yun to kamm nahi mere
kashti ghrqe bhanwar to kya keejay

eak  dariya hai saath me yun to
tishnagi be qabar to kya keejay

ab  kahen wo ke laut aa qadir
dil na jaye udhar to kya keejay

qadeertoopchi

Aise lagta hai keshaayad aap "khabar" ko qabar likhte haiN.
aur (gharq e bhaNwar)ki bhi aap ne (Ghrqe bhanwar) likh diya hai jo ba zaahir typin ki mistake lagti hai.
Phir se is haseen ghazal par meri taraf se daad haazir hai.
Isi tarah nawaazte rahiye hameN apne khush khayaalaat se.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #8 on: July 14, 2010, 08:55:29 AM »
Reply with quote
Wah wah wah qadeer junaid saheb! Kaafi achchhi ghazal hai janab ye aapki. Khoob se khoobtar hoti ja rahi hai aapki sukhanwari. Masha Allah khoob kah rahe haiN, Allah nazr-e-bad se bachaaye. HazaaroN daad qubul keeje saath meiN ye chand lineN bhi:

Aap ik kaam ye kiya keeje
Chupke chupke ghazal paRha keeje

MaiN hooN akhbaar ahd-e-nau ka janaab
Sar se pa tak mujhe paRha keeje

Sirf baahar raheN ye theek nahiN
Aap ghar par bhi kuchh raha keeje

(Waquif Ansari)

yaarane mahefil aadab ,, meri adna khawish ap sub ki nazar , umid hai ap apni qeemti aara se nawzenge ..


Wo na chahe agar to kya keejay
har duwa be asar to kya keejay

haal mera to sub pe zahir hai
unko na ho qabar to kya keejay

hausle yun to kamm nahi mere
kashti ghrqe bhanwar to kya keejay

eak  dariya hai saath me yun to
tishnagi be qabar to kya keejay

ab  kahen wo ke laut aa qadir
dil na jaye udhar to kya keejay

qadeertoopchi
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: July 14, 2010, 09:06:56 AM »
Reply with quote
Bahut khoob A.QADEER sb. Behtreen ghazal hai jo bol rahi hai. Daad hazir hai.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #10 on: July 29, 2010, 08:20:03 AM »
Reply with quote
Dosto.N aadab ,,

Takhir ke liye mazrath .. Apki mahubbaton ke behad shukriya .. Umid hai aage bhi issi tarhan apni mahubbato.N se nawazte rahenge .. Nazr Sahab .. Aur Gulam Haider Bhai apki tajweez ke mutaqib Edit kar diya maine .. behad shukriya apka .. dad ke liye mashkoor o mumnoo hon .. allah ap sub ko khush rakhe ..


dua go


qadeertoopchi
Logged
HumTum
Guest
«Reply #11 on: January 07, 2011, 03:33:04 PM »
Reply with quote
waah ...

Mil jaye nazarroN se Nazar to kya Kijiye
Woh Pilaa de Mujhko Zaher to Kya Kijiye

Jee mien aaye ke mita dooN uski YaadieN
Yhe hoo na Paaye Magar,  to kya kijiye

Yeh silsile kab kha jaa kar thame "HumTum"
Na usko pta Na Mujko Kabar, to kya kijiye!!!


Adaab!

HumTum
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: January 07, 2011, 03:35:46 PM »
Reply with quote
waah ...

Mil jaye nazarroN se Nazar to kya Kijiye
Woh Pilaa de Mujhko Zaher to Kya Kijiye

Jee mien aaye ke mita dooN uski YaadieN
Yhe hoo na Paaye Magar,  to kya kijiye

Yeh silsile kab kha jaa kar thame "HumTum"
Na usko Kabar Na Mujko Kabar, to kya kijiye!!!


Adaab!

HumTum

Bahut Bahut Khoob Humtum Ji..

Humesha Ki Tarah lajawaab!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Par Humtum Ji Aap Ho kaha, bahut Waqt Ke baad Aapke Deedar Hue hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: January 07, 2011, 03:45:57 PM »
Reply with quote
Hello Khwaish Ji - bas waqt ne izaazat nai di ke ru-b-ru ho sake ...  accha lga kucch purane chahre dekh kar ....

Phir aaye hai lout kar din suhane
Phir mile hai kucch yaar purane!!

Adaab!!

HumTum

Logged
manjum
Guest
«Reply #14 on: January 08, 2011, 06:20:10 AM »
Reply with quote
bahut khub Qadeerji... khub baat kahi hai aapne...

unko na ho Qadar to kya kijie...

bahut umda...

bahut bahut daad
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:48:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer