Haseen sham...............................................................Aqsh

by aqsh on January 02, 2013, 04:58:18 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1314 times)
aqsh
Guest
Reply with quote
Bas ab sirf, tumhe chahne ko dil chahta hai
Ek doosrey meiN, samaane ko dil chahta hai

Lagakar tumhare dil meiN, mohabbat ki aag
Phir usi meiN, jal jaane ko dil chahta hai

Apni saansoN ki garmi, aur hontoN ki narmi se
Tumko tumhi se, churaane ko dil chahta hai

Mitakar saari dooriyaN, do diloN ke beech ki
Kuch khoney aur, kuch paaney ko dil chahta hai

Tumhe qaid karke, apne dil meiN chupakar
Tumpar sabkuch, lutaaney ko dil chahta hai

Dekhkar raat si kaali zulfein, aur chand sa chehra
Aaj ki yeh haseeN shaam, sajaaney ko dil chahta hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sham by mahendra4ever in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Ajj ki sham by Blue_angel in Shayri-E-Dard
Dil haseen hai to mohabbat bhi haseeN paida kur! by SADIQA JAWED in Shayri for Khumar -e- Ishq
Wo Sham by syedbilalhaider in Shayri for Khumar -e- Ishq
EK HASEEN KA HASEEN KHWAAB HOON MAIN .........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #1 on: January 02, 2013, 05:22:38 AM »
Reply with quote
Bas ab sirf, tumhe chahne ko dil chahta hai
Ek doosrey meiN, samaane ko dil chahta hai

Lagakar tumhare dil meiN, mohabbat ki aag
Phir usi meiN, jal jaane ko dil chahta hai

Apni baahoN ki sakti, aur hontoN ki narmi se
Tumko tumhi se, churaane ko dil chahta hai

Mitakar saari dooriyaN, do diloN ke beech ki
Kuch khoney aur, kuch paaney ko dil chahta hai

Tumhe qaid karke, apne dil meiN chupakar
Tumpar sabkuch, lutaaney ko dil chahta hai

Dekhkar raat si ghani zulfein, aur gulab sa chehra
Aaj ki yeh haseeN shaam, sajaaney ko dil chahta hai

waah waah Aqsh ji lajawaab ,,
kaaml kardiye ,,,ek RAU to banta hai,,,
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: January 02, 2013, 05:23:52 AM »
Reply with quote
waah waah Aqsh ji lajawaab ,,
kaaml kardiye ,,,ek RAU to banta hai,,,
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
thnx sahal aur rau ke liye bhi bahut bahut shukriya
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #3 on: January 02, 2013, 05:24:15 AM »
Reply with quote
boht hi umda behad romantic ghazal waah waah waah
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: January 02, 2013, 05:33:29 AM »
Reply with quote
bahut hee umdaa aur dilkash peshkash naye saal kaa rau
Logged
aqsh
Guest
«Reply #5 on: January 02, 2013, 05:36:35 AM »
Reply with quote
boht hi umda behad romantic ghazal waah waah waah
thnx sahill jee
Logged
aqsh
Guest
«Reply #6 on: January 02, 2013, 05:37:48 AM »
Reply with quote
bahut hee umdaa aur dilkash peshkash naye saal kaa rau
thanks saini sir
Logged
khujli
Guest
«Reply #7 on: January 02, 2013, 05:38:08 AM »
Reply with quote
Bas ab sirf, tumhe chahne ko dil chahta hai
Ek doosrey meiN, samaane ko dil chahta hai

Lagakar tumhare dil meiN, mohabbat ki aag
Phir usi meiN, jal jaane ko dil chahta hai

Apni baahoN ki sakti, aur hontoN ki narmi se
Tumko tumhi se, churaane ko dil chahta hai

Mitakar saari dooriyaN, do diloN ke beech ki
Kuch khoney aur, kuch paaney ko dil chahta hai

Tumhe qaid karke, apne dil meiN chupakar
Tumpar sabkuch, lutaaney ko dil chahta hai

Dekhkar raat si ghani zulfein, aur gulab sa chehra
Aaj ki yeh haseeN shaam, sajaaney ko dil chahta hai



 Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
prashad
Guest
«Reply #8 on: January 02, 2013, 05:42:32 AM »
Reply with quote
wah wah
Logged
aqsh
Guest
«Reply #9 on: January 02, 2013, 05:46:01 AM »
Reply with quote

 Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
thnx qalb jee
Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: January 02, 2013, 05:46:23 AM »
Reply with quote
wah wah
thnx prashad jee
Logged
shara63
Guest
«Reply #11 on: January 02, 2013, 06:13:38 AM »
Reply with quote
ye naye saal ki nayi umangoN ka junoon hai ya jazbaatoN ki baghaawat...baharhaal jo bhi hoN...behad khoobsoorat ehsaas hain aapke...apni rau me bahte hue....bahut bahut Mubaarak ho aapko aqsh sahiba!!
Logged
aqsh
Guest
«Reply #12 on: January 02, 2013, 06:19:05 AM »
Reply with quote
ye naye saal ki nayi umangoN ka junoon hai ya jazbaatoN ki baghaawat...baharhaal jo bhi hoN...behad khoobsoorat ehsaas hain aapke...apni rau me bahte hue....bahut bahut Mubaarak ho aapko aqsh sahiba!!
shukriya shara jee
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: January 02, 2013, 06:36:27 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause  waah Aqsh ji waaah.. bahut khoob, bahut bahut sundar rachnaa... bahut achcha likha hai aapne...!!!


chaahatein dil me meri bhi kuch aisi hai main bataaun kaise
rokaa huwaa thaa ab tak maine khud ko par ab rok paaun kaise

nashili aankhon ko tumhaare dekh doobe jaa rahaa hoon kabse
tairnaa nahi aata mujhe, kaho khud ko main bachaaun kaise

sharaabi honth tumhaare, gulaab ki pankhuriyon se saje hain
nashaa aisaa hai inkaa ki ab madhoshi me sambhaal paaun kaise

tumse baat kartaa hoon to kuch aur yaad rehtaa nahi hai mujhe
apni ye aadat, jo tumse hai, tumhi kaho, badal paaun kaise

kuch alag hi baat hai tumme ki khichaa chaalaa aataa hoon
mohabbat ki koi moorat ho tum, main tumse duur jaaun kaise

karte hain waade log ki mar jaayenge hum tumhaari mohabbat me
mujhe to tumhaare sangh jeenaa hai, bataao naa mar jaaun kaise

*****HRIDAY*****
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: January 02, 2013, 06:51:17 AM »
Reply with quote
beautiful !! bahut bahut daad. HNY 2013
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:17:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer