@kaash
Guest
|
|
|
Guys,this ghazal consists happy,sad n inspirational ashaar.
hayaat-e-zeest ki qitaab ke harf utha leta hun unme ghazalon ki rawani ko gunguna lia karta hun
(hayaat-e-zeest:zindagi ki zindagi,rawani-umang)
Kitne nadaa hain mere rafeeqon ke parche dost Main har khat ko phir bhi seene se laga leta hun
(rafeeq-dost,frnd)
Gulzaar koi shaakh hamesha to nahi rahti magar vo patta hun,tootkar bhi shajar ko dua deta hun
(shajar-tree,darakht)
Pahunchaya nahi khud hi pahuncha hun us maqaam pe Girun bhi jo kabhi, main auron ko utha deta hun
Baad mere chaman me barsaaten bahut hain Yehi sochke ghata me apnepan ki saba bunta hun
Mujhko malum hai mera anjaam na bata E Ilahi Har sile ko sila main tera hi mana karta hun
Zindagi ki rut sabki hai dhalni gile kaise?kisse Har shakhs me main khud ko mahsus kia karta hun
Shaam se kabhi kabhi subah se hi hoti chasm nam vo mom hun jo pighalun,chingari ko aag bana deta hun
sahme sahme se hauslon ke parde,kabhi sahmi si sada gham se ghir bhi jaun,anjuman ko hansa deta hun
pee to leta hun,darta hun qatra-e-ashk na tapke koi main jo ro dun,phir saari kaynaat ko rula deta hun
apne daman me sukoon-e-talab ke vaaste main khamosh hokar aksar khamoshi ki zubaa sunta hun
chahat meri dua-e-jannat,tasavvuf mera firdaus hasrat kuch bhi karun,khud se bhi chupa leta hun
(firdaus-bahishta,swarg,heaven,tasavvuf-spiritualism,adhyaatm)
na fankari meri ada,na hi shayrana mera andaaz main to bus har harf ko Eid ka darja deta hun
meri aawaargi mujhe kuch aisi pasand aayi hai tanha bhi rahun bazm me,charaagon ko jala deta hun
sachhai ki hi sohbat rakhi,sachhai ko hi mana badhkar gar khud bhi ghalat hun,aaina khud ko dikha deta hun
(sohbat-sang,saath)
chaha bahut hai mere khwaab maine tujhko tujhse hi to aansuon ki dhundh hata deta hun
jadubhari nigaahen andekhe khwaab ki hain kayamati roo-barun ho jaun,dil thamkar nazron ko jhuka leta hun
zindagi me gham-e-ishk hi nahi,hain aur bhi gham to kya vo ashk hun jo gair ki aakhon se bhi ashk chura leta hun
junoon rag-e-jaan ke qatron me basa hai kuch is kadar main jitna toot.un,hauslon ko utna badha deta hun
na chahat-e-daad ki aas hai na rudaad-e-mausiki ki pyaas numaya nahi karta,khat kuch tasavvur ko bhi likha karta hun
(rudaad-e-mausiki-shayri ki mahfil ya sahitya ko padhna/zikra karna tasavvur-zehen,vichaar,imagination)
chahe naye hon ya purane dosti dosti se bhi to hai sahi ko sahi kahne me parwaah kuch nahi kia karta hun
mere aaka mere malik mujhe sada dil hi rakhna apni maghruri ke har aks ko chun chun ke hata deta hun
saazishon ki bandishen hum par bhi yun to kayam nahi main jisse bhi milun ek chehre se hi mila karta hun
zamana ka kya,iska kaam hai kahna kuch aur kahte jana aazaad panchhi hun,bawal-e-dunia se tauba rakhta hun
(bawal-e-dunia:dunia ki baaten,moh maya ki baaten)
maseeha nahi farishta nahi,hun faqat ek mamuli insaan kisi ko badalun,main pehle khud ko badal lia karta hun
(faqat-only,kewal)
kabhi chain me bhi tadap kabhi dard me bhi sakeenat raza Rab ki hai,uske kaam me nahi dkhakl dia karta hun
(sakeenat-sukoon,peace)
har taraf bahaar hi bahaar,har taraf khushi khushnuma main har mausam me mausam-e-bahara ko suna karta hun
zindagi ki ahmiyat zindagi ke baad bhi rahti kayam kaam koi bhi main kal pe nahi chhora karta hun
mazhab sabhi ek hain,Allah-o-Eeshwar ek hain Allah ko hi Raam aur Raam ko hi Allah kaha karta hun
|