ho meri kismat pe naaz...............

by Daredevil on October 29, 2008, 03:36:38 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1058 times)
Daredevil
Guest
Reply with quote
--------------------------------------------------------------------------------

hou kabhi unse naraaz aur woh manaane aajaye,
ho meri kismat pe naaz ,gar yeh din diwaane aajye.
hou.....................
ruth kar baitha karu,aur na karu unse jo main baat,
dekh ke halaat yeh, unki aankho me paani aajaye.
hou..................
kyun hui hai khata ,main unse punchu bhi nahi,
khud khata ko apni jubaan woh bataane aajaye.
ho meri kismat pe naaz gar yeh din diwaane ajaye.
hou........
mere pahlu me woh baithe aur kare humse woh baat,
kitna hai darde-habib woh yeh dikhaane aajyae.
ho meri kismat pe naaz gar yeh din diwaane aajaye.
hou........................................manaan e aajaye


NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri kismat by sandeepparker in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
meri kismat ki kahani by gum in Shayri-E-Dard
meri kismat by anand_ajanta in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~:-Meri Kismat-:~ by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
kismat meri.........!!! by sunny_bunny in Miscellaneous Shayri
Daredevil
Guest
«Reply #1 on: October 29, 2008, 03:37:15 PM »
Reply with quote
khush hai agar woh hamaare lahoo ko dekhkar,
to lahu apna "sahil" bahate chala jaaega.
dikha dega use paake-ishq ka matlab,
ya use ishq karna sikha ke chala jaayga.

aansu to khatam ho chuke,
ab lahoo ka bahana baaki hai.
apne duriyo ke darmiyaan,
kuch aur nami ka aana baki hai.

choti si jindgi meri,ek pal ka pyaar mil jaaye.
chale jo do kadam saath hi,aisa woh yaar mil jaaye.
mere gumo ko jo mita de,aisi bahar mil jaaye.
ta umar baith ke jo kar sakun,woh intezaar mil jaye.
choti..............


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #2 on: October 29, 2008, 03:37:58 PM »
Reply with quote


Roye Hain Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sachcha Pyaar Mila Hai
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se Ek khatam Hua Toh Doosra Taiyar Mila hai
Mere Daaman ko khushiyon ka nahi Malaal Gham ka khazana jo isko beshumar mila

Woh kam-naseeb hai jinhein mehboob milgaya.
Mein khush-naseeb hoon mujhe Intezar mil hai
Gham nahi mujhe ki Dushman hua yeh zamana Jab Dost Hathon Mein Liye Talwar Mila hai
Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala Kaise De Diya Mujhe To Uske Dar Se Sirf Intezaar Hi Mila... !!!


NM
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: October 29, 2008, 03:42:18 PM »
Reply with quote
nice sharing rishii
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #4 on: October 29, 2008, 03:50:15 PM »
Reply with quote
bas Pooja Ji aapka Ashirwad hai Ji hmmm
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #5 on: October 29, 2008, 04:05:05 PM »
Reply with quote
Wo nadiya nahi thi aanshu the mere,
Jis pe wo kastiya chalate rahe,

Manzil mile unhe ye chahat thi hamari
Isliye hum aansu bahate rahe...!


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #6 on: October 29, 2008, 04:07:33 PM »
Reply with quote
EK DIN TUM V TARAS JAAOGE,
HAMAARE MOHTAAZ KE LIYE.
PALKON SE AANSU BAHAOGE,
BITE HUE IS AAJ KE LIYE.
MAGR NA MILEGA PHIR YE DIWANA,
TUMAHRE DILO- SAAZ KE LIYE.
AUR TUM GUMSAAR HO JAAOGE,
"RiShI" KI IS AWAAZ KE LIYE.


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #7 on: October 29, 2008, 04:08:57 PM »
Reply with quote

KHUDA SE KAHDO MITA DE MUJHE,
MOHBBAT ME AISI SAZA DE MUJHE.
PHIR KABHI NA ISNSA BANA MUJHKO,
YA INSAA BANTE HI JALA DE MUJHE


NM
Logged
Daredevil
Guest
«Reply #8 on: October 29, 2008, 04:15:34 PM »
Reply with quote
aswaar mere yun to zamaane ke liye hai,
kuch sher faqat unko sunaane ke liye hai.
aankho me jo bhar loge to kaatein se chubhenge,
ye khawab to palko me sajaane ke liye hai.

ab ye bhi nahi thik ki har dard mita de,
kuch dard kaleje se lagaane ke liye hai.
yeh ilam ka sauda ,ye risaale ,ye kitaabe,
ik sakhs ki yaddo ko mitaane ke liye hai



NM
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:31:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer