~Ho Rahi Baarish Hai~

by majid on June 19, 2010, 01:44:03 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1200 times)
majid
Guest
Reply with quote
Tanha  Tanha Hai  Raat Aur, Ho Rahi Baarish Hai
Kya Kahun  Dilbar Ki  Kaisi, Ho Rahi Khwaish Hai.
 
Yun Gayi Hain Lipat Aake Teri Yaaden Mujhse Ki
Dhadkan, Dhdkan Se Teri, Ho Rahi Farmaish Hai.
 
Jane Ye Kaisa  Asar Kar Rahi Hain Chahaten Teri
Dekhta Hoon Jahan Tu Hi, Ho Rahi Taravish Hai.
 
Aise Na Guzra  Karo Tum Benaqaab Baaghon Se
Bezubaan Phulon Ko Tumse, Ho Rahi Kavish Hai.
 
Karna De Naa Fanaa Kahin Mujhko-e-Dilbar Mere
Yeh Jo  Muhabbat Mein, Ho Rahi Aazmaaish Hai.
  
Kitna  Nadaan Hai Samajhta Nahi, Parwaana Yeh
Jan Lewa He Jo Shamma Ki Ho Rhi Numaish Hai.

Kash Ki Sang  Tere Guzre, Baqaaya Zindagi Apni
Bas  Khuda Se Apni  Yahi, Ho Rahi Guzarish Hai

Aaja Aaja Chhorhde Tu, Berukhi Apni Humdum
Dekh Kitni Dushmano Mein, Ho Rahi Asaish Hai.


Taravish....Zahir Hona.
Kavish.....Chinta .Fikra .Dushmani.
Asaish.....Khush Hali.


                    ~Shihab~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Baarish roti rahi by kamran_bombay in Shayri for Khumar -e- Ishq
Baarish!!!!!!!!!!!!! by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
Yeh baarish...... by Rishi Soumya in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Baarish by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
Baarish Ne,. by Azeem Azaad in Share: Poetry of Pain
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: June 19, 2010, 07:41:58 PM »
Reply with quote
NICE
Tanha  Tanha Hai  Raat Aur, Ho Rahi Baarish Hai
Kya Kahun  Dilbar Ki  Kaisi, Ho Rahi Khwaish Hai.
 
Yun Gayi Hain Lipat Aake Teri Yaaden Mujhse Ki
Dhadkan, Dhdkan Se Teri, Ho Rahi Farmaish Hai.
 
Jane Ye Kaisa  Asar Kar Rahi Hain Chahaten Teri
Dekhta Hoon Jahan Tu Hi, Ho Rahi Taravish Hai.
 
Aise Na Guzra  Karo Tum Benaqaab Baaghon Se
Bezubaan Phulon Ko Tumse, Ho Rahi Kavish Hai.
 
Karna De Naa Fanaa Kahin Mujhko-e-Dilbar Mere
Yeh Jo  Muhabbat Mein, Ho Rahi Aazmaaish Hai.
 
Kitna  Nadaan Hai Samajhta Nahi, Parwaana Yeh
Jan Lewa He Jo Shamma Ki Ho Rhi Numaish Hai.

Kash Ki Sang  Tere Guzre, Baqaaya Zindagi Apni
Bas Apne  Khuda Se Yahi, Ho Rahi Guzarish Hai

Aaja Aaja Chhorhde  Tu Berukhi Apni Humdum
Dekh Kitni Dushmano Mein, Ho Rahi Asaish Hai.


Taravish....Zahir Hona.
Kavish.....Chinta .Fikra .Dushmani.
Asaish.....Khush Hali.


                    ~Shihab~

Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #2 on: June 19, 2010, 11:28:06 PM »
Reply with quote
BOONDON KE NASHEELE BAAN PADE
TAB AGAN BIRHA KI OUR BADHE
BIJALI KI CHAMAK BAADAL KI GARAJ
KISI OR BHI MUJHKO KAL NA PADE--------KAL=CHAIN

BAHUT MASOOQANA ANDAZ HAI AAP KA SHIHAB SAHEB! PADHTE HI NASHA SA TARI HONE LAGA.BAHUT ACHCHE.........BADI PURLUTF TAKHLEEQ HAI AAP KI ...BAHUT BAHUT BADHAI.....
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: June 20, 2010, 12:19:48 AM »
Reply with quote
Good one Shihab Ji
Logged
.adeeb
Guest
«Reply #4 on: June 20, 2010, 07:39:34 AM »
Reply with quote
Shihab bhai aapne bahot achhi ghazal likhne ki koshish ki hai jo qabile tareef hai. Dil ki kaifiyaat ko khoobsoorati se alfaaz mein bayaan kiya hai aur beher mein bhi likhne ki koshish ki hai. Main aapse adban  kahna chahta hun ke ghazal ke liye uska beher mein hona lazimi hai varna wo ghazal nahi hoti. Isliye jab tak aap beher mein na likhne lagein apni creation ko Ghazal Section ke bajay kisi aur section mein post karein. Aap urdu shairy ke qadradan hain isliye ummed hai ke meri bat ka bura nahi manege. Meri mansha sirf itni hai ke aap aur sabhi Yoindians behter se behter likhen. Aapki is creation ki do lines ko beher mein laane ki ek tajveez pesh-e-khidman:

Tanha tanha raat hai aur ho Rahi hain Baarishein
Kya bataun uth rahi hain dil me Kya kya khwahishein
(faailaatun-faailaatun-faailaatun-faailun)

Ummeed hai aap meri rai par gaur farmayenge.

ALLAAH HAAFIZ.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: June 20, 2010, 07:45:48 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut khoob likha hai aapne Shihab ji.... bahut sundar rachna hai aapki ye... yunhi likhte rahiye....!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: June 21, 2010, 07:55:44 AM »
Reply with quote
Wah wah Shihab ji,hamesha ki tarah bahut khoobsurat gazal pesh kiya aapne.great creation. Hats off to you! Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #7 on: June 23, 2010, 03:46:16 PM »
Reply with quote
Shihaab bhut khoob achi takleeq hai keep wrinting


aslam
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:35:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer