hosh meN aane ko chahiye do ghooNt SHARAAB ki...!!

by ghayal_shayar on November 10, 2012, 06:47:41 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2164 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Ashq nazaron ko sajaayeN to kya kareN,, saaNseN jism ko sataayeN to kya kareN,, aansuoN me baha bhula dete unka gum,, gir ke tasveer unki banaayeN to kya kareN,, chot dikhaane ki milti sajaa yahaaN yaaroN,, ab zakhm na chipaayeN to kya kareN,, tamanna ke sahaare jeeta tha “taish”,, tamannayeN hi jab khud ko mitaayeN to kya kareN…........

SACH,,

SaanseN jism ko sataayeN to kya kareN,, ashq nazaroN ko sajaayeN to kya kareN………………..




Sabne hume dil se lagaaya bas usne iztnaab* ki,
Itna chaha humne,jise! mohabat itni behisaab ki…

Iztnaab=parhez,, avoid…!

humne use chaha soch kar pankhudi gulaab ki,
ahmaq the hum jise pehchaan na thi naqaab ki…

Ahmaq= Bewkoof,, fool…!

Teri yadoN ke saye me yuN gum rehte hain hum,
Hosh me aane ko chahiye do ghooNt sharaab ki…

Kaun bachaye meri kasti-e-jist ab garq hone se,
Jab nakhuda hi yazdaaN se duaa kare girdaab ki…

Kashti-e-jist= Jeevan ki naav,, boat of life…! Garq= Doobna,, droening…!
Nakhuda= Navik,, boatman…!YazdaaN= Khuda,, God…!Girdaab= BhaNvar,, cyclone…!

maiN wo nange-khalk huN jise khaak kehti hai,
tujhko banaa kar kyuN meri mitti kharaab ki…

NaNge-khalk= Insaaniyat pe kalaNk,, black spot on d name of mankind…!

aaftaab ko v aaj jaroorat pad gayi hai hijaab ki,
“taish” ne tujhse mohabbat itni behisaab ki…

Hijaab= Pardaa,, cloth to hide the face…!
Logged
Aarish
Guest
«Reply #1 on: November 10, 2012, 07:07:11 AM »
Reply with quote
maiN wo nange-khalk huN jise khaak kehti hai,


tujhko banaa kar kyuN meri mitti kharaab ki…



Bohut khoob ghyal jee umda ghazal kahi hai . aur is shair ka to jawab

nahi , dheeroon daad qubool karen...
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #2 on: November 10, 2012, 07:14:20 AM »
Reply with quote
bohut khub ghayal ji and khub kaha aarish sahab
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #3 on: November 10, 2012, 07:42:51 AM »
Reply with quote


maiN wo nange-khalk huN jise khaak kehti hai,
tujhko banaa kar kyuN meri mitti kharaab ki…


bohut gehrai hai aapke kalaam mein ,youn hi likhte rehiye,,
ummda ,,,,:clap: Applause Applause
Logged
khujli
Guest
«Reply #4 on: November 10, 2012, 08:28:50 AM »
Reply with quote
Ashq nazaron ko sajaayeN to kya kareN,, saaNseN jism ko sataayeN to kya kareN,, aansuoN me baha bhula dete unka gum,, gir ke tasveer unki banaayeN to kya kareN,, chot dikhaane ki milti sajaa yahaaN yaaroN,, ab zakhm na chipaayeN to kya kareN,, tamanna ke sahaare jeeta tha “taish”,, tamannayeN hi jab khud ko mitaayeN to kya kareN…........

SACH,,

SaanseN jism ko sataayeN to kya kareN,, ashq nazaroN ko sajaayeN to kya kareN………………..




Sabne hume dil se lagaaya bas usne iztnaab* ki,
Itna chaha humne,jise! mohabat itni behisaab ki…

Iztnaab=parhez,, avoid…!

humne use chaha soch kar pankhudi gulaab ki,
ahmaq the hum jise pehchaan na thi naqaab ki…

Ahmaq= Bewkoof,, fool…!

Teri yadoN ke saye me yuN gum rehte hain hum,
Hosh me aane ko chahiye do ghooNt sharaab ki…

Kaun bachaye meri kasti-e-jist ab garq hone se,
Jab nakhuda hi yazdaaN se duaa kare girdaab ki…

Kashti-e-jist= Jeevan ki naav,, boat of life…! Garq= Doobna,, droening…!
Nakhuda= Navik,, boatman…!YazdaaN= Khuda,, God…!Girdaab= BhaNvar,, cyclone…!

maiN wo nange-khalk huN jise khaak kehti hai,
tujhko banaa kar kyuN meri mitti kharaab ki…

NaNge-khalk= Insaaniyat pe kalaNk,, black spot on d name of mankind…!

aaftaab ko v aaj jaroorat pad gayi hai hijaab ki,
“taish” ne tujhse mohabbat itni behisaab ki…

Hijaab= Pardaa,, cloth to hide the face…!



 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: November 10, 2012, 11:59:40 AM »
Reply with quote
maiN wo nange-khalk huN jise khaak kehti hai,


tujhko banaa kar kyuN meri mitti kharaab ki…



Bohut khoob ghyal jee umda ghazal kahi hai . aur is shair ka to jawab

nahi , dheeroon daad qubool karen...


Aarish ji, jab bhi koi itni dhyaan se padh ke reply karta hai to yakeen maaniye ki dil ko bada sukoon pahuNchta hai, yakeen maaniye iske liye maiN aapka aabhaari huN, bas yahi duaa rahegi ki aage v aapka saath yuNhi naseeb ho sake...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #6 on: November 10, 2012, 12:39:14 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
kya baat hai dheron daad qubool kare
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #7 on: November 10, 2012, 03:56:16 PM »
Reply with quote
bohut khub ghayal ji and khub kaha aarish sahab

shukriya saahill sahab, jahe naseeb jo aapko ye peshkash pasand aayi, aage v bas yahi darkhwast rahegi ki yuNhi aap ahusla afzaayi karte raheN...
Logged
soudagar
Guest
«Reply #8 on: November 10, 2012, 05:01:36 PM »
Reply with quote
ghayal shayar ji bahut hi umda lajawab qalaam hazaron daad aur mubarakbaad qabool karein Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #9 on: November 10, 2012, 05:16:10 PM »
Reply with quote
Ashq nazaron ko sajaayeN to kya kareN,, saaNseN jism ko sataayeN to kya kareN,, aansuoN me baha bhula dete unka gum,, gir ke tasveer unki banaayeN to kya kareN,, chot dikhaane ki milti sajaa yahaaN yaaroN,, ab zakhm na chipaayeN to kya kareN,, tamanna ke sahaare jeeta tha “taish”,, tamannayeN hi jab khud ko mitaayeN to kya kareN…........

SACH,,

SaanseN jism ko sataayeN to kya kareN,, ashq nazaroN ko sajaayeN to kya kareN………………..




Sabne hume dil se lagaaya bas usne iztnaab* ki,
Itna chaha humne,jise! mohabat itni behisaab ki…

Iztnaab(ijtenaab)=parhez,, avoid…!

humne use chaha soch kar pankhudi gulaab ki,
ahmaq the hum jise pehchaan na thi naqaab ki…

Ahmaq= Bewkoof,, fool…!

Teri yadoN ke saye me yuN gum rehte hain hum,
Hosh me aane ko chahiye do ghooNt sharaab ki…

Kaun bachaye meri kasti-e-jist ab garq hone se,
Jab nakhuda hi yazdaaN se duaa kare girdaab ki…

Kashti-e-jist(ZEEST)= Jeevan ki naav,, boat of life…! Garq= Doobna,, droening…!
Nakhuda= Navik,, boatman…!YazdaaN= Khuda,, God…!Girdaab= BhaNvar,, cyclone…!

maiN wo nange-khalk huN jise khaak kehti hai,
tujhko banaa kar kyuN meri mitti kharaab ki…

NaNge-khalk= Insaaniyat pe kalaNk,, black spot on d name of mankind…!

aaftaab ko v aaj jaroorat(ZARURAT) pad gayi hai hijaab ki,
“taish” ne tujhse mohabbat itni behisaab ki…

Hijaab= Pardaa,, cloth to hide the face…!


acha kalaam hai. spelling correct kar lein
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: November 10, 2012, 06:42:49 PM »
Reply with quote
bohut gehrai hai aapke kalaam mein ,youn hi likhte rehiye,,
ummda ,,,,:clap: Applause Applause

sahal ji shukriya, bas yunhi hausla afzaayi karte rahen...
Logged
the soul shaker
Guest
«Reply #11 on: November 11, 2012, 01:53:31 AM »
Reply with quote
Ashq nazaron ko sajaayeN to kya kareN,, saaNseN jism ko sataayeN to kya kareN,, aansuoN me baha bhula dete unka gum,, gir ke tasveer unki banaayeN to kya kareN,, chot dikhaane ki milti sajaa yahaaN yaaroN,, ab zakhm na chipaayeN to kya kareN,, tamanna ke sahaare jeeta tha “taish”,, tamannayeN hi jab khud ko mitaayeN to kya kareN…........

SACH,,

SaanseN jism ko sataayeN to kya kareN,, ashq nazaroN ko sajaayeN to kya kareN………………..




Sabne hume dil se lagaaya bas usne iztnaab* ki,
Itna chaha humne,jise! mohabat itni behisaab ki…

Iztnaab=parhez,, avoid…!

humne use chaha soch kar pankhudi gulaab ki,
ahmaq the hum jise pehchaan na thi naqaab ki…

Ahmaq= Bewkoof,, fool…!

Teri yadoN ke saye me yuN gum rehte hain hum,
Hosh me aane ko chahiye do ghooNt sharaab ki…

Kaun bachaye meri kasti-e-jist ab garq hone se,
Jab nakhuda hi yazdaaN se duaa kare girdaab ki…

Kashti-e-jist= Jeevan ki naav,, boat of life…! Garq= Doobna,, droening…!
Nakhuda= Navik,, boatman…!YazdaaN= Khuda,, God…!Girdaab= BhaNvar,, cyclone…!

maiN wo nange-khalk huN jise khaak kehti hai,
tujhko banaa kar kyuN meri mitti kharaab ki…

NaNge-khalk= Insaaniyat pe kalaNk,, black spot on d name of mankind…!

aaftaab ko v aaj jaroorat pad gayi hai hijaab ki,
“taish” ne tujhse mohabbat itni behisaab ki…

Hijaab= Pardaa,, cloth to hide the face…!


bahut umda aur dil se likhi hui peshkash..iske liye dili badhai aur shubhkaamnaayein..
likhte rahiye.......aaple liye ek rau

apka prem
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #12 on: November 11, 2012, 02:58:38 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: November 11, 2012, 04:44:01 PM »
Reply with quote

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower

shukriya janab... Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: November 12, 2012, 04:07:42 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
kya baat hai dheron daad qubool kare

tareef ka shukriya aqsh ji, bas aage v aap yuNhi saath nibhaate raheN...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 05:37:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer