waquif ansari
Guest
|
Poore Hindustan ke Sarkaari daftaroN meiN aik se lekar 14 Sitember talak HINDI SAPTAAH manaaya jata hai aur aaj 14 Sitember hai, isi hawaale se aik HINDI NAZM peshe-khidmat hai, mulaahizah farmaaiye. Ye nazm main Ghazal Section meiN post kar raha hoon aur Admn se darkhwaast hai k agar unko lage k ye kisi aur Section meiN hona chaahiye to woh is nazm ko shift kar den:
HUM TO HINDI SE PYAAR KARTE HAIN
Jaan-o-Dil sab nisaar karte haiN Hum to Hindi se pyaar karte haiN
Jo bhi karta hai baat Hindi meiN Us pe hum aitebaar karte haiN
Hum to English wichaardhaara ko Dard-o-ghum meiN shumaar karte haiN
Disco ki jagha Hindi ke naghme Waaqayee beqaraar karte haiN
Hindi Deewas kab aayega apna Saal bhar intezaar karte haiN
Ik Sintamber se le ke chaudah talak Hindi pe hum wichaar karte haiN
YahaaN abto ninaanwe feesad Kaam Hindi meiN yaar karte haiN
HIND se pyaar aur HINDI se Ishq hum aar paar karte haiN
(Waquif Ansari)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
cara
Guest
|
|
«Reply #1 on: September 14, 2010, 03:10:40 AM » |
|
WAH KYA BAAT HAI WAQUIF ANSARI JI......
APNE DESH HINDUSTAN PAR APNI JAAN NISAR KARTE HAIN APNI RASHTRA BASHA HINDI SE HUM PYAAR KARTE HAIN...
.... JAI HIND JAI HINDI.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #2 on: September 14, 2010, 05:59:40 AM » |
|
Cara Ji! Adab! Aapki daad-o-tehseen ne bahut hausla baRhaya, iske liye aapka bahut bahut shukriya aur aapne jis tehreer se nawaaza hai woh apne aap mein dil se lagaane waali tehreer hai. Aaj Hindi Deewas ke shubh aucer par yahi dua hai ke mulk ke saath saath Hindi zabaan bhi taraqqi kare. Is liye sab log kaheN: Jai Hind......Jai Hindi (Waquif Ansari) WAH KYA BAAT HAI WAQUIF ANSARI JI......
APNE DESH HINDUSTAN PAR APNI JAAN NISAR KARTE HAIN APNI RASHTRA BASHA HINDI SE HUM PYAAR KARTE HAIN...
.... JAI HIND JAI HINDI.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #3 on: September 14, 2010, 06:29:08 AM » |
|
Waaah Waqif sahab aapki is ghazal ne to kamaal kar diya. Aapka Hindi prem dekhkar bahot khushi hui. Vastav mein hindi bahot shandar bhasha hai. Hum sabko chahiye ke hindi ka adhik se adhik proyog karein.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
AbhiTamrakar
Guest
|
|
«Reply #4 on: September 14, 2010, 07:04:34 AM » |
|
apne andaz me kahu to...
bhasha kya he dil ki tehreer he jo chaha jubaan se likh diya karte he yun to kehene ko hazaron tareeke he jisme dil laga usi jubaan me keh liya karte he english bolna to majboori ban gayi he warna dil se hindustaani he dosto hindi ko "maa" ki upaadhi dete he
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #5 on: September 14, 2010, 07:30:10 AM » |
|
Mohtaram Riyaz Saheb! Ye aapki aalazarfi hai k bande ki is kaawish ko aapne saraha aur apne qeemti daad-o-tehseen se nawaaza jiske liye khaaksaar aapka shukriya ada karta hai. Hum hamesha aapke daad ke muntazar rahte hain. Hindi ke tayeeN aapke nigaarishaat paRhkar kaafi achchha laga. Isi tarah apni nawaazisoN se nawaazte rahiye. (Waquif Ansari) Waaah Waqif sahab aapki is ghazal ne to kamaal kar diya. Aapka Hindi prem dekhkar bahot khushi hui. Vastav mein hindi bahot shandar bhasha hai. Hum sabko chahiye ke hindi ka adhik se adhik proyog karein.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
AbhiTamrakar
Guest
|
|
«Reply #6 on: September 14, 2010, 07:40:37 AM » |
|
Bahut Khub Janaab Waquif Saheb
Dad Hi Dad...
Par Mujhey Nahi Lagta Ki Aajke Hindustani Hindi Se Pyaar Ya Uska Upyog Karte Hain.Khair
Khush Rahiye...
~Shihab~
shihab sahab yahan rokuga...koi galti ho to kshmaa prarthi hu.....ho sakta he hamse kahin koi bhool huyi hooo par aaj ke hindustaani hindi se pyaar bhi karte he or uska upyog bhi ....haan ye juroor he ki jamane me jydatar upyog english ka hota he...par wo globalization ke daur me khud ko khade rakhne ki majboori matra he... hamri jadon me aaj bhi hindi sar utha kar baithi huyi heee....aji "maa" he hamari bhoolkar jayega kahan~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
AbhiTamrakar
Guest
|
|
«Reply #7 on: September 14, 2010, 07:57:25 AM » |
|
Ji Sahi Farmaaya Aapne Maafi Chahta Hun Main Par Aisi Bhi Kya Majburi Janaab Jo Hume Apni Matrabhoomi Bolne Se Roke.Humara Farz Banta Hi Ki Hum Isko Aage Badhaye Taake English Ki Jagah Har Kahin Hindi Boli Jaaye Khair Aap Mujhse Jyada Samajhdaar Aur Jahan Dida Bhi Hai So Aap Sahi Honge Main Maafi Chahta Hun Janaab Gar Meri Kisi Bhi Baat Ne Aapka Dil Dukhaya Ho To...Khush Rahiye.
~Shihab~
mujhe khud se upar rakhkar mujhe chhota na kijiye shihab sahab...me to zameen par hi achha hun...apne eisa kaha lagta he mujhse koi bhool ho gayi .... me bas dil ki keheta hun ji kyunki or kuchh hota hi nhai kehene ko mere pas.. me to bas adhhoore sach ko poora kar rah tha ... aji bas kuchh muththi bhar logo ke kehene se na bharat chhota hoga na uski bhashaye...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #8 on: September 14, 2010, 08:17:56 AM » |
|
Janab AbhiTamrakar Saheb! Aapne meri is kaawish ko saraha, iske liye aapka shukrguzaar hooN saath hi aapne apne behtareen lafzon se apne dili khayalaat ka izhaar kiya, achchha laga. Mulk ki taraqqi ke saath saath Bhartiya bhaasaaon ki taraqqi bhi laazmi hai aur Hindi to mukut hai is liye iski taraqqi to aur bhi laazmi hai. Aapka aikbaar phir shukriya ada karta hooN. (Waquif Ansari) apne andaz me kahu to...
bhasha kya he dil ki tehreer he jo chaha jubaan se likh diya karte he yun to kehene ko hazaron tareeke he jisme dil laga usi jubaan me keh liya karte he english bolna to majboori ban gayi he warna dil se hindustaani he dosto hindi ko "maa" ki upaadhi dete he
|
|
|
Logged
|
|
|
|
AbhiTamrakar
Guest
|
|
«Reply #9 on: September 14, 2010, 08:20:00 AM » |
|
pasand karne ke liye bahut bahut shukriya jiii...bas koshish ki apne pasaand ki achha laga~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #10 on: September 14, 2010, 08:37:38 AM » |
|
Janab AbhiTamrakar Saheb! Lagta hai aapne Janab Shihab Saheb ki baatoN ko deegar tareeque se le liya. Mujhe Shihab Saheb ki baatoN mein aisa laga ki unhoNne zameeni haqaaeq bayaan karne ki koshish ki aur aapke bura maanne par maafi ke talabgaar ho gaye. Ye aik shaayir (Shihab) ki aalazarfi hai k unhoNne jo confusion paida hua uske liye darguzar ke talabgaar ho gaye, main unki is ada ko qaabil-e-tehseen samajhta hooN. Mera khayaal hai ab aapko itminaan ho gaya hoga. (Waquif Ansari) shihab sahab yahan rokuga...koi galti ho to kshmaa prarthi hu.....ho sakta he hamse kahin koi bhool huyi hooo par aaj ke hindustaani hindi se pyaar bhi karte he or uska upyog bhi ....haan ye juroor he ki jamane me jydatar upyog english ka hota he...par wo globalization ke daur me khud ko khade rakhne ki majboori matra he... hamri jadon me aaj bhi hindi sar utha kar baithi huyi heee....aji "maa" he hamari bhoolkar jayega kahan~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #11 on: September 14, 2010, 08:41:36 AM » |
|
Janab Shihab Saheb! AOA! Bahut dinoN baad aap se mulaaqaat ho rahi hai. Ramzaan-ul-Mubaarak ke wajh se ziyaadah aana jaana nahin raha. Ab jaa ke kuchh muhlat mili hai to ye post aaj ke din main ne kar di. Aap ne apne andaaz mein taareefi kalmaat ada kiye uske liye main aapka mamnoon hooN aur “khair” kah kar jo zameeni sach ko bayan kiya hai usse kisi ko inkaar bhi nahin hai. Mulk ki taraqqi ke saath saath Bhartiya Bhaasaaon ki taraqqi bhi honi chaahiye yahi taRap hum sab ke diloN meiN hai bilkhusoos Hindi ki taraqqi aur bhi zururi hai. Aapka main phir se shukriya ada karta hooN. (Waquif Ansari) Bahut Khub Janaab Waquif Saheb
Dad Hi Dad...
Par Mujhey Nahi Lagta Ki Aajke Hindustani Hindi Se Pyaar Ya Uska Upyog Karte Hain.Khair
Khush Rahiye...
~Shihab~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
AbhiTamrakar
Guest
|
|
«Reply #12 on: September 14, 2010, 08:57:36 AM » |
|
waquif ji .....mene bura nahi mana bas adhoore ek sach ko poora kiya.....ham na itne bade he na itne bure ki kisi bhi insaan ka dil dukhane ki jurrat kar sake...
haan apki jankari ke liye bata dun ki mene unke sirf ek line ko poora karne ki koshish ki....or sahab me koshish ko galti nahi manta~~`aji ek bat apne bahut khoob kahi thi usi ke sath zara is par bhi gaur kijiyega " mulk ki taraqqee me insaan apne Maa-baap ko nhai bhul jata " to aap hi kahiye sahab hindi bolna ya uska upyog karna kaise bhoolega~
taraqqeee ke nigehbaan ham bhi he ashaaon ki udan me ham bhi he gar hindustan hindustaniyon se hai to ek hindustan ham bhi he~
ummeed he galatfehmi door hogi~
ek bar fir kahuga yadi meri wajah se jane anjane kisi ko bhi takleef huyi he to maafi chahta hun ..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #13 on: September 14, 2010, 09:17:30 AM » |
|
Janab AbhiTamrakar Ji! Ghalatfahmi agar ho bhi gayee to woh door ho gayee. Shanka ka samadhaan ho jaana hi behtar hai. Aapki is tehreer ne zaban ki ahmiyat aur aafaaqiyat par raushni daali, in ehsaasaat ko aapne apne lafzon mein bayaan kiya, achchha laga. Aapke alfaaz Hindi Prem se labrez lage, aur bhi achchha laga. Prem hi jeevan hai. Mulk se prem, zabaan se prem, qaum se prem aur Bharat mein basne waale sabhi insaanoN se prem hi woh asli kunji hai jise apnakar hum apne mulk ko taraqqi pe gaamzan hote hue dekhna chaahte haiN. Aapka aikbaar phir shukriya ada karta hooN. waquif ji .....mene bura nahi mana bas adhoore ek sach ko poora kiya.....ham na itne bade he na itne bure ki kisi bhi insaan ka dil dukhane ki jurrat kar sake...
haan apki jankari ke liye bata dun ki mene unke sirf ek line ko poora karne ki koshish ki....or sahab me koshish ko galti nahi manta~~`aji ek bat apne bahut khoob kahi thi usi ke sath zara is par bhi gaur kijiyega " mulk ki taraqqee me insaan apne Maa-baap ko nhai bhul jata " to aap hi kahiye sahab hindi bolna ya uska upyog karna kaise bhoolega~
taraqqeee ke nigehbaan ham bhi he ashaaon ki udan me ham bhi he gar hindustan hindustaniyon se hai to ek hindustan ham bhi he~
ummeed he galatfehmi door hogi~
ek bar fir kahuga yadi meri wajah se jane anjane kisi ko bhi takleef huyi he to maafi chahta hun ..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
AbhiTamrakar
Guest
|
|
«Reply #14 on: September 14, 2010, 09:43:26 AM » |
|
bat ko samajhne ka shukriya~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|