Hume.n bhi koii apna samjhe wo dar chahate hai.n .... irshad ahmed siddiqui

by irshad ahmed siddiqui on November 02, 2010, 06:34:01 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1903 times)
irshad ahmed siddiqui
Guest
Reply with quote
Hume bhi koii apna samjhe wo dar chahate hain
sawar jaaye jo , wo mukaddar chahate hai.n

ke ye zindagi ab tanhaa basar nahi hoti
ab hum bhi ek humsafar chahate hai.n

meri tarah wo bhi khada rahe intezar me
kisi ki aakhon me apni nazar chahate hai.n

nigahen bayaa.n kare tamaam hal-e-dil
aashiqui ka hum wo hunar chahate hai.n

aye zindagi aaj tu le chal mujhe unki gali
kooche yaar me ek sham o saher chahate hai.n

        || irshad ahmed siddiqui ||
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #1 on: November 02, 2010, 06:40:56 PM »
Reply with quote
Good one.......IAS ji....... Applause Applause Applause Applause Applause


Hume bhi koii apna samjhe wo dar chahate hain
sawar jaaye jo , wo mukaddar chahate hai.n

ke ye zindagi ab tanhaa basar nahi hoti
ab hum bhi ek humsafar chahate hai.n

meri tarah wo bhi khada rahe intezar me
kisi ki aakhon me apni nazar chahate hai.n

nigahen bayaa.n kare tamaam hal-e-dil
aashiqui ka hum wo hunar chahate hai.n

aye zindagi aaj tu le chal mujhe unki gali
kooche yaar me ek sham o saher chahate hai.n

        || irshad ahmed siddiqui ||

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: November 03, 2010, 03:13:14 PM »
Reply with quote

Janab Irshad Shaba aadaab!

Kia khoob kalaam pesh ki hai janab...
Waah jee bahot khoob.....

Chaliye aapki kalaam per aate hai..Usual Smile


Hume bhi koii apna samjhe wo dar chahate hain
sawar jaaye jo , wo mukaddar chahate hai.n

Kia baat hai janab Sawar jaye jo woh muqaddar chahte hai bahot khoob Daad hazir hai:)

ke ye zindagi ab tanhaa basar nahi hoti
ab hum bhi ek humsafar chahate hai.n

Hmm kia baat hai janab.... bahot khoob;) Humne
bhi kuch aik sher aisa hi kaha tha aapki nazar karte hai.. Usual Smile Usual Smile


Jawaani ke talatum se dubte ubharte
Thake huye manjhi ko kinaara chahiye;)


meri tarah wo bhi khada rahe intezar me
kisi ki aakhon me apni nazar chahate hai.n

Kia baat hai meri meri tarha woh bhi khada rahe
Intezar meiN bahot khoob Usual Smile


nigahen bayaa.n kare tamaam hal-e-dil
aashiqui ka hum wo hunar chahate hai.n

Hmmm Yeh hunar to har sache ashiq ki ankhoN meiN
Khudaratan hota hi hai janab.... ab banawati chahiye to dua karne ki
zarurat kia hai:P


aye zindagi aaj tu le chal mujhe unki gali
kooche yaar me ek sham o saher chahate hai.n

Waah janab kia maNga ... Bahot khoob..

        || irshad ahmed siddiqui ||


Aik behad khoob kalaam per dil se daad kabool kijiye
Janab.... Likhate rahiye.

Bazm ki ronak badhate rahiye..
Khush O aabad rahiye.....
Khuda Hafez...... Usual Smile
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #3 on: November 04, 2010, 05:44:24 PM »
Reply with quote
bahut bahut sukriya PARWAAZ saheb,,,Nawajish ke liye sukriya.....
Aap ne is nacheez ke kalaam ko pasand kiya aur sarahaa...
Allah-Hafiz
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #4 on: November 04, 2010, 05:50:41 PM »
Reply with quote
bahut bahut sukriya Koyal ji, Shihab saheb..
Nawajish ke liye sukriya.....Aap ki duwao.n ke liye sukriya...
Allah-Hafiz
Logged
zarra
Guest
«Reply #5 on: November 05, 2010, 06:09:54 AM »
Reply with quote
bahaut khoob irshaad bhai. dard aur ummeed ka ek lazeez combination hai aapke is kalaam mein.
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #6 on: November 05, 2010, 04:53:40 PM »
Reply with quote
ZAARRA ji bahut bahut shukriya aap ki nawajish ke liye.....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: November 05, 2010, 05:53:06 PM »
Reply with quote
bht hi mast likha hai irshaad ji...wakai kamaal likhte ho aap
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:30:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer