HUSN KI MALKA....////.................................................////....IFTAKHAR

by Iftakhar Ahmad on May 03, 2013, 06:43:57 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2240 times)
suman59
Guest
«Reply #15 on: May 05, 2013, 03:47:18 PM »
Reply with quote
Sabhi membaraan aur seniors ko mera aadaab. Abhi kuch din pehle Taish saheb aur Parwaaz saheb ke saath bait-baazi meiN maine ek sher likha tha, ab maine uss pe poori ghazal tayyar ki hai, pesh hai aapki khidmat meiN. Wo she’r ghazal meiN matle ka she’r hai.


Hai tujh sa kaun  dunya   meiN  aye meri husn ki malka
Tere lab jaam  jaise  haiN  ye  ab  chalka  ke tab chalka

Ye mausam bhi  hua  rangeeN  ghataaoN  ki rida dekho
Chalo ab lutf  lete  haiN  bahaaroN  meiN  haseeN pal ka

Hua madhosh maiN pee  ke  kahiN  ab  hosh na mujhko
Teri aaNkhoN meiN aye jaanam nasha hai ayk botal ka

Zara  ab  paas  to   aao   k   baaNhoN   meiN  sama  jaao
Mujhe  muddat  se   tha   aye  yaar  intezaar  iss  pal ka

Machi   hai    bekali   dil   meiN    ye  ‘Iftakhar’  kaisi  hai
Zara  ab  thaam   le   dil   ko   k   ho   jaae   ye  dil  halka

Wah wah wonderful ghazal Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #16 on: May 06, 2013, 04:58:20 PM »
Reply with quote
bahut khoob Iftakhar ji, waah waah
ghanshamdas ahuja
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #17 on: May 06, 2013, 08:52:22 PM »
Reply with quote
waah waah waah...bahut khoob...
Shukriya Musahib Jee.
Logged
laaiba
Guest
«Reply #18 on: May 06, 2013, 10:45:33 PM »
Reply with quote
bohat achi ghazal ,...........bohat c daad,.........
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #19 on: May 06, 2013, 11:16:55 PM »
Reply with quote
Bahut khoob iftakhar ji. badi achchi ghazal pesh ki hai aapne. padhkar dil khush hua. dheron daad...
Shukriya Aqsh Jee.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #20 on: May 07, 2013, 08:59:05 PM »
Reply with quote
Ifteqaar Sahaab Aadaab... !


WaaH janab waaH kia kahne behad khoobsurat aur umda gair murdaf gazal kahi hai aapne... Usual Smile

Bade hi khoobsurat ashaar rahe janab... Kafi roomani khayaalat hai aapke bhi... Usual Smile

Is umdaa kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile


Parwaaz saheb bahut bahut shukriya hausla afzaai ka.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #21 on: May 07, 2013, 09:02:07 PM »
Reply with quote
Sabhi membaraan aur seniors ko mera aadaab. Abhi kuch din pehle Taish saheb aur Parwaaz saheb ke saath bait-baazi meiN maine ek sher likha tha, ab maine uss pe poori ghazal tayyar ki hai, pesh hai aapki khidmat meiN. Wo she’r ghazal meiN matle ka she’r hai.


Hai tujh sa kaun  dunya   meiN  aye meri husn ki malka
Tere lab jaam  jaise  haiN  ye  ab  chalka  ke tab chalka

Ye mausam bhi  hua  rangeeN  ghataaoN  ki rida dekho
Chalo ab lutf  lete  haiN  bahaaroN  meiN  haseeN pal ka

Hua madhosh maiN pee  ke  kahiN  ab  hosh na mujhko
Teri aaNkhoN meiN aye jaanam nasha hai ayk botal ka

Zara  ab  paas  to   aao   k   baaNhoN   meiN  sama  jaao
Mujhe  muddat  se   tha   aye  yaar  intezaar  iss  pal ka

Machi   hai    bekali   dil   meiN    ye  ‘Iftakhar’  kaisi  hai
Zara  ab  thaam   le   dil   ko   k   ho   jaae   ye  dil  halka




wah wah wah bahut khoob iftakhar.........!
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #22 on: May 07, 2013, 09:05:20 PM »
Reply with quote
ab chalka ke tab chalk a...pehla sher to kamaal h bus...
dheron daad aur mubarakbaad kubul karen
Shukriya Subhash jee hausla afzaai aur sath dene ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #23 on: May 08, 2013, 12:10:58 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower
Shukriya Shireen Jee.
Logged
Tuhina
Guest
«Reply #24 on: May 08, 2013, 01:27:59 AM »
Reply with quote
Iftakhar  jee ,  bahut  hi   achi  ghazal   likhi   hai  apne ... Dheron   daad ......
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #25 on: May 08, 2013, 01:46:55 AM »
Reply with quote
good one,sir
Shukriya MB jee.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #26 on: May 08, 2013, 04:20:30 AM »
Reply with quote
Saaheb ye sahi hai, ab aap bait-baazi se bhi idea churaa rahe haiN... tongue3 waise chaliye ahcha hai, kisi ko to bait-baazi me aisa sher mila ghazal banaane ko...

Doosra gair-muradaf ghazaloN ka apna ek alag maza hota hai aur usme bhi aapne qaafiya alag sa rakha hai, ek bahut hi umdaa kosish saaheb, meri dili daad qubool farmaayeN... Umeed karta huN ki aage bhi aapki kalamkaari yuNhi dekhne ko milti rahegi hume...
Bhushan jee, yahaaN churaane ka koi concept nahiN hai, mujhe to "Chori" lafz se hi sakht nafrat hai. Maine bait-baazi ke dauraan ye she'r likhi aur uss par poori ghazal bana di, bas.

Khayr bahut bahut shukriya padhne aur hausla afzaai karne ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #27 on: May 08, 2013, 04:21:39 AM »
Reply with quote
Bhushan jee, yahaaN churaane ka koi concept nahiN hai, mujhe to "Chori" lafz se hi sakht nafrat hai. Maine bait-baazi ke dauraan ye she'r likha aur uss par poori ghazal bana di, bas.

Khayr bahut bahut shukriya padhne aur hausla afzaai karne ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #28 on: May 08, 2013, 10:43:58 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Shukriya Nandbahu Jee.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #29 on: May 09, 2013, 02:13:38 AM »
Reply with quote
waah iftakhar saheb.khubsurat ghazal kahi hai.aur matlaa waqai bahut khubsurat hai . main aajkal out of station hoon , isi liye baitbazi ke dauraan matle ka lutf na le saka .bahut mubarakbaad.
Hasan saheb, tah-e-dil se shukriya hausla afzaai ka.
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:50:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer