is raah e teeragi men yahi................ufaq

by ufaq on December 24, 2012, 01:46:32 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 934 times)
ufaq
Guest
Reply with quote
is raahe teeragi men yahi ik habeeb hai.
bijli ka chamakna mere sar ke qareeb hai.
 
dard e hayaat us pe ye naale bhi naarasaa,
ab kisko main kahu ki wo mujh sa ghareeb hai.

naahaq hai khudkushi pe ye ilzaame buzdili,
jo khud ko maar de wo balaa ka naqeeb hai.

deede falak-nawardee ki lazzat chalai gayi,
to kya huya qafas men agar andaleeb hai.

main haal apna kisko kahu,kya kahu,kaho,
mushkil yahaan pe fark e habeeb o raqeeb hai.

raste men paaya mujhko to rasta badal gayaa,
uske o mere beech men kuch to ajeeb hai.

mil baant ke adu hame rahnaa hai umr bhar,
tu khushnaseeb hai ki ufaq kamnaseeb hai.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #1 on: December 24, 2012, 01:51:56 PM »
Reply with quote
bahut umda likha hai saahab, meri dili daad aur ek rau qubool farmaaiye.... umeed karta huN aane wale waqt meN aapse aur qalamkaari dekhne ko milegi...!!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: December 24, 2012, 01:54:22 PM »
Reply with quote
waah waah waah
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: December 24, 2012, 02:27:45 PM »
Reply with quote
naahaq hai khudkushi pe ye ilzaame buzdili,
jo khud ko maar de wo balaa ka naqeeb hai.

main haal apna kisko kahu,kya kahu,kaho,
mushkil yahaan pe fark e habeeb o raqeeb hai.

mil baant ke adu hame rahnaa hai umr bhar,
tu khushnaseeb hai ki ufaq kamnaseeb hai.

Applause Applause

Kya baat hai..bahut umda likha hai aapne

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: December 24, 2012, 03:08:00 PM »
Reply with quote
bahut achhi ghazal kahi hai ufaq saheb . bahut mubarak ho.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #5 on: December 24, 2012, 03:17:06 PM »
Reply with quote
badi hi pyaari gazhal rahi mubarakbad qubool kare
Logged
Aarish
Guest
«Reply #6 on: December 25, 2012, 12:56:44 AM »
Reply with quote
ufaq saheb nihayat umda ghazal kahi aapne , sabhi ashaar lajwab rahe , wah wah wah

raste men paaya mujhko to rasta badal gayaa,

uske o mere beech men kuch to ajeeb hai.


daaad qubool karen


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #7 on: December 25, 2012, 04:13:53 AM »
Reply with quote
Ufaq sahab adaab. Bahut khubsurat ghazal kahi hai aapne. Takhayyul ki bari unchi uraan bhari hai aapne. Daad pesh karta hun.Haan magar matle ke dusre misre par nazre saani kar lein usme mujhe kuchh diqqat mehsoos ho rai hai. is raahe teeragi men yahi ik habeeb hai. (bijli ka chamakna mere sar ke qareeb hai.)

Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #8 on: December 25, 2012, 05:38:11 AM »
Reply with quote
is raahe teeragi men yahi ik habeeb hai.
bijli ka chamakna mere sar ke qareeb hai.
 
dard e hayaat us pe ye naale bhi naarasaa,
ab kisko main kahu ki wo mujh sa ghareeb hai.

naahaq hai khudkushi pe ye ilzaame buzdili,
jo khud ko maar de wo balaa ka naqeeb hai.

deede falak-nawardee ki lazzat chalai gayi,
to kya huya qafas men agar andaleeb hai.

main haal apna kisko kahu,kya kahu,kaho,
mushkil yahaan pe fark e habeeb o raqeeb hai.

raste men paaya mujhko to rasta badal gayaa,
uske o mere beech men kuch to ajeeb hai.

mil baant ke adu hame rahnaa hai umr bhar,
tu khushnaseeb hai ki ufaq kamnaseeb hai.


gr888888888888888,sir
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: December 25, 2012, 09:06:05 AM »
Reply with quote
Ufaq Sahaab Aadaab!

Behad umdaa kalaam kahi hai janab waaH ... bade hi dilfareb aur
umdaa khayaaloN ko kafi pura asar lafz diye haiN aapne... Usual Smile


Sabhi ashaar Mashaa Allaah behad umdaa rahe... HUmari dheroN dili
daad O mubbarakbad kabul kijiye...


Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda hafez.... Usual Smile
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #10 on: December 26, 2012, 08:08:47 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
prashad
Guest
«Reply #11 on: December 27, 2012, 06:01:38 AM »
Reply with quote
very nice
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #12 on: December 27, 2012, 03:39:12 PM »
Reply with quote
waah waah, bahut hi khoobsurat ghazal
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:21:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer