Ishq ka Kaarobaar hai Saahib

by vipul kumar on June 22, 2011, 11:55:30 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1096 times)
vipul kumar
Guest
Reply with quote
Ye Kaisa ishq pyar hai saahib.....
Jii ka rona hai maar hai saahib.....

Yaa.n Dukano pe dard bikta hai,
Ye lutera Baazar Hai Saahib.......

Fikr-e-Sood-o-Ziya.n Kaun kare,
Ishq ka kaarobaar hai saahib......

Unki aadat wo Zakhm dete hai.n,
Hamko zakhmo se Pyar hai saahib......

Unke seene me Lakh hasrat hai,
Apna seena Figaar hai saahib.....

Unko chaahat hai phuul chunNe ki,
Apni jholi me khaar hai saahib......

Bewafaa hai k Dil_Fareb hai wo,
Kuchh bhi Hai Apna Yaar hai saahib.....

Wo mera muddai hai Par YaaRa,
Wohi Parvar_Digaar hai saahib.......!!
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: June 22, 2011, 12:57:19 PM »
Reply with quote
Ye Kaisa ishq pyar hai saahib.....
Jii ka rona hai maar hai saahib.....

Yaa.n Dukano pe dard bikta hai,
Ye lutera Baazar Hai Saahib.......

Fikr-e-Sood-o-Ziya.n Kaun kare,
Ishq ka kaarobaar hai saahib......

Unki aadat wo Zakhm dete hai.n,
Hamko zakhmo se Pyar hai saahib......

Unke seene me Lakh hasrat hai,
Apna seena Figaar hai saahib.....

Unko chaahat hai phuul chunNe ki,
Apni jholi me khaar hai saahib......

Bewafaa hai k Dil_Fareb hai wo,
Kuchh bhi Hai Apna Yaar hai saahib.....

Wo mera muddai hai Par YaaRa,
Wohi Parvar_Digaar hai saahib.......!!



vipul sb aap ke sher ache hain , aakhri sher se ittefaq nahin rakhta hoon. aap kya kahna chahte hain
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #2 on: June 27, 2011, 05:06:42 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Shukriya Khamosh_awaaz ji....

Aakhiri sher yaani Maqte me ParvarDigaar mahboob ke liye Use hua hai....
Jo ki Muddai bhi hai aur Khuda bhi........
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #3 on: June 27, 2011, 05:51:34 PM »
Reply with quote
Wo mera muddai hai Par YaaRa,
Wohi Parvar_Digaar hai saahib.......


"Vipul Sahab" aapke is quote se hum bhi ittefaq nahi rakhte... kyunki agar aap "MUDDAI" ki defination par jayein tou iska matlab huwa  mitane wala.
jabki Wo Rabb... Banaane wala hai, a creator and not a destroyer only, who creates unbelieveable things, the whole universe also coming in the creation of God. and lots of things are there like sun, moon stars, planets, humans.....etc etc...

Allah humein aur aapko likhne aur samjhne se ziyada amal ki taufique de..(Ameen)


always your
@lam



Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #4 on: June 27, 2011, 08:09:48 PM »
Reply with quote
Shukriya Alam Qazi sahab. Pahle to ghazal padhne aur comment karne ke liye shukriya.

Jo us sher ki baat hai, maine waha.n 'Par' ka istemaal kiya hai. Mahboob ke liye shayri me aksar aisi guftgu hoti hai.
Meri naqis soch ke hisab se maine likha tha k Usi ne beshaq mujhe mitaya hai Par asl me wahi mujhe banane wala hai. Gaur farmaaye.n ki ye us 'Khuda' ki baat nahi ho rahi hai. yaha.n Mahboob ki baat hai ki wahi mera dushman hai par wahi meri Jaan hai, mera khuda hai...

Ye to bas maine apni Haqeer soch ke hisaab se adna sa sher banaya hai...
Galti ho to Muaafi....

Aate rahiye.
Khush rahiye:)
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #5 on: June 28, 2011, 04:27:58 AM »
Reply with quote
Aadab ,,

Ghazal ka majmoo"ii rang pasand aaya so daad khubool kare.N ,, allah apko mazeed nawaze...Khuch sher apki tawajho ke mahutaj hain so dekh len .. khuch sher apki nazar kar raha hon issi radeef pe umid hai apko pasand ayenge


Khuch nahi humko ab gila sahib
tha jo kismat me wo howa sahib

bebasi , bekali o tanhai
aur kya ishq ne diya sahib

baad muddat ke jhil me akhir
ik kanwal khushnuma khila sahib

sub khilono.N ko tood ke beta
Maa.N ke anchal me so gaya sahib

Uske waade ki laaj rakhne ko
ashq pi pi ke mai jiya sahib

eak waade pe umr kaati hai
kya "Qadeer" apne kiya sahib


Qadeertoopchi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:10:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.196 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer