ish.q kee ham per bhi eenayat ajab hai,.......

by laaiba on March 28, 2014, 05:23:15 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1414 times)
laaiba
Guest
Reply with quote
 
 2    1    2     2,   2    2   1     2, 2   1   2  2
uss ke dil men rehne ki raahat ajab hai
saa.th uss  ke chalne ki chahat ajab hai
 
bas uusee kee hee saamne sar jhukaaya
pyaa.r men dil kee  her ebaadat ajab hai
 
khaa.b tootey  aaNkhon ke to hum ne jaana
dar.d kee  dil men ek hararat ajab hai

saath meiire  rehte ho  ek um.r se par
jo maiN souchun toh yeh rafaaqat ajab hai
 
bhool jaayun uskoh ye mumkin nahi hai
yaa.d uss koh karne ki aadat ajab hai...

aankh se dil men roo.h mei n yun hai utra
ish.q kee ham per bhi eenayat ajab hai

,laaiba shah,
   
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AJAB..(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
ajab-gazab----kb---- by killbill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ajab gajab by maxxmize in Share:Miscellaneous Shayari
AJAB SA IK KHAUF!!..........K@HIN@@R by Kohinoor in Share: Poetry of Pain
ajab tamasha hai by soudagar in Miscellaneous Shayri
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 28, 2014, 05:38:57 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause EK RAU KE SAATH DAAD WITH LOVE AND BLESSING
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #2 on: March 28, 2014, 06:19:46 PM »
Reply with quote
वाह....वाह....बहुत बहुत खूब....ढेरों दाद और दिली मुबारकबाद....
Logged
Akash Basudev
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 14 hours and 21 minutes.

Posts: 353
Member Since: Jan 2014


View Profile
«Reply #3 on: March 28, 2014, 06:30:13 PM »
Reply with quote
Mindblowing Creation Laiba ji ..ek dum bemisaal aur khoobsurat Usual Smile....Kudos 2 u
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #4 on: March 28, 2014, 08:22:10 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut bahut khoooooooob laaiba ji.. Usual Smile Usual Smile

 Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #5 on: March 28, 2014, 08:26:47 PM »
Reply with quote

uss ke dil men rehne ki raahat ajab hai
saa.th uss  ke chalne ki chahat ajab hai
 
bas uusee ke hee saamne sar jhukaaya
pyaa.r men dil kee  her ebaadat ajab hai
 
khaa.b tootey  aaNkhon ke toh ye jaana
dar.d kee  dil men ek hararat ajab hai

saath meiire  rehte ho  ek um.r se par
jo maiN souchun toh yeh rafaaqat ajab hai
 
bhool jaayun uskoh ye mumkin nahi hai
yaa.d uss koh karne ki aadat ajab hai...

aankh  se dil men roo.h men utra youN
ish.q kee ham per toh eenayat ajab hai

,laaiba shah,

Applause Applause Applause Applause Applause Applause
laaiba sahiba,
                   bahut achchi ghazal kahi hai, wah waaaah
.............aapka andaaz e kitabat ajab hai
Logged
shiverz
Guest
«Reply #6 on: March 28, 2014, 08:39:41 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: March 28, 2014, 08:42:24 PM »
Reply with quote
uss ke dil men rehne ki raahat ajab hai
saa.th uss  ke chalne ki chahat ajab hai

The above matla (sher) can be translated in two different behers

.........................
if this is the beher

Faa - i - laa - tun,  Faa - i - laa - tun,  Faa - i - laa - tun
2     1    2     2 ,   2    1    2     2 ,   2    1     2    2

"hararat" and "rafaaqat", cant be used as qafia. if we talk about strict rules of classical poetry "ebaadat" and "enaayat" can also not be used.
.........................

if this is the beher

Faa - i - laa - t, Maf - oo - lun, Faa - lun, Fa - oo - lun
 2    1    2    1,  2     2    2 ,  2     2 ,  1    2    2


many of the lines go off the beher...

.........................


Did'nt want to teach.... thought to leave my opinion. if it does'nt help, just ignore this msg, please.


Logged
usha rajesh
Guest
«Reply #8 on: March 28, 2014, 10:07:26 PM »
Reply with quote
bahut sundar Laaiba ji.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
laaiba
Guest
«Reply #9 on: March 28, 2014, 11:30:21 PM »
Reply with quote
aap sabhee kaa bohat bohat shuqria
saini sir aapki hosla afzayi ka bohat shuqria....
Mohreram sir vb g aapki opinion hamare liye bohat mohteram hai ...seekhne ke amal men ghalatiyon se hi sabq milta hai ..apke points note ker liye hen dil se shukria ..ignorr isliye nhi kiya ke aap ne apna qeemati waqt iss podt pe dia hai jiska shayed aapkoh malal b hai...well  shuqria aapki opinion ka......
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #10 on: March 29, 2014, 12:40:16 AM »
Reply with quote

 2    1    2     2,   2    2   1     2, 2   1   2  2
uss ke dil men rehne ki raahat ajab hai
saa.th uss  ke chalne ki chahat ajab hai
 
bas uusee kee hee saamne sar jhukaaya
pyaa.r men dil kee  her ebaadat ajab hai
 
khaa.b tootey  aaNkhon ke to hum ne jaana
dar.d kee  dil men ek hararat ajab hai

saath meiire  rehte ho  ek um.r se par
jo maiN souchun toh yeh rafaaqat ajab hai
 
bhool jaayun uskoh ye mumkin nahi hai
yaa.d uss koh karne ki aadat ajab hai...

aankh se dil men roo.h mei n yun hai utra
ish.q kee ham per bhi eenayat ajab hai

,laaiba shah,
   



nice,ma'am
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #11 on: March 29, 2014, 01:50:36 AM »
Reply with quote
Lajwaab Ghazal Laaiba Jee! Har ashaar ek se bad kar ek raha. Bohat hi emotional ghazal hai, mujhe behad pasand aayi hai.



 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #12 on: March 29, 2014, 10:11:03 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob.
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #13 on: March 29, 2014, 12:45:26 PM »
Reply with quote
waah super one I Like this ghazal........... Thumbs UP Thumbs UP

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
vb
Guest
«Reply #14 on: March 29, 2014, 04:47:40 PM »
Reply with quote

Muhtarma laaiba shah sahiba! salam masnoon

baad atahiyaat



Quote
Mohreram sir vb g aapki opinion hamare liye bohat mohteram hai ...seekhne ke amal men ghalatiyon se hi sabq milta hai ..apke points note ker liye hen dil se shukria ..ignorr isliye nhi kiya ke aap ne apna qeemati waqt iss podt pe dia hai jiska shayed aapkoh malal b hai...well  shuqria aapki opinion ka......


aap ne malaal ki baat kahi, tu kehna chahen gay k aisa nahin hay... amooman yahan log is baat par naraaz hotay hen k un ki ghazal par koi tabsirah kiya jayay. un ki khaahish hoti hay kay jhooti hi sahi, faqat tareef ki jayay. aisi soorat main hamara ye tavaqu karna kay hamary msg ko khwah-ma-khwah ki tanqeed samjha jayay ga, kuch ghalat nahi. aur phir kuch aisa taasur bhe lag raha tha kay "maan na maan, main tera ustaad". lekin hamen ye jaan kar khushi hoi kay kuch log ilmi hawaalay say baat karty hen aur behtri ki taraf raaghib hen. sakht ravaiya na apnaanay par shukar guzaar bhe hen aap kay... aik darkhawast karna chaahen gay k hum khud is ilm kay shagird hen so ye "sir" hamen zeb nahi deta. aik baar pehlay bhe hum guzaarish kar chukay hen ab phir sahi... 

.................................................

Quote
2    1    2     2,   2    2   1     2, 2   1   2  2
uss ke dil men rehne ki raahat ajab hai
saa.th uss  ke chalne ki chahat ajab hai
 
bas uusee kee hee saamne sar jhukaaya
pyaa.r men dil kee  her ebaadat ajab hai
 
khaa.b tootey  aaNkhon ke to hum ne jaana
dar.d kee  dil men ek hararat ajab hai

saath meiire  rehte ho  ek um.r se par
jo maiN souchun toh yeh rafaaqat ajab hai
 
bhool jaayun uskoh ye mumkin nahi hai
yaa.d uss koh karne ki aadat ajab hai...

aankh se dil men roo.h mei n yun hai utra
ish.q kee ham per bhi eenayat ajab hai

,laaiba shah,



sub say pehlay hamaari taraf say bharpoor daad qabool kejay... aap ne beher bayan ki aur phir bilkul halki si tarameem kay baad ghazal ko dobara pesh kiya... hamaray naaqas ilm kay mutaabiq ghazal apni beher par mukamal tor par durust hay or ye bari baat hay...... ghazal buhat khoob hay... hum ghazal kay mazaameen par baat nahi karen gay, ku k ye apni apni soch par munhasir hay... (agar aap ko is main koi interest na ho k hum say ye ghalti ku hui hay tu aap aakhri para par move kar sakti hen)

ilmi havaalay say, aap nay jo beher bayaan ki hay yaani "faa-i-laa-tun, mus-taf-i-lun, faa-i-laa-tun" (2122/2212/2122) isay Hindustan kay maaya-naaz adeeb janaab Shams-ur-Rehman Farooqi Sahab apni kitaab "dars-e-balaaghat" men "behr-e-khafeef" ki saalim shakal likhtay hen or hum nay bhi unhi kay havaalay say apnay mazmoom "chapter-3" men is beher ko unhi kay mutabiq bayaan kiya hay. lekin hum ne baaki kay jin sahibaan ki kitaaben parhi hen wo sub is baat par mutafiq hen kay "behr-e-khafeef" kay araakeen ye hen "faa-i-laa-tun, mus-ta-faa-lun, faa-i-laa-tun" jo kay 2122/2122/2122 kay barabar he nikalti hay. jin ashaab ki baat hum kar rahay hen un ki ye kitaaben hen "chiraagh-e-sukhan by Yaas Azeem Abaadi, tafheem-al-arooz by Jamal-ud-Din Jamal, Behr-al-Fasaahat by Najm-ul-Ghani Najmi".

jis halqay ya ilaaqay men hum mojood hen wahan aap ki bayaan karda beher men hum ne aaj tak ake bhi ghazal nahi parhi aur na kitabon he men mili hay, ye hamaari kam-ilmi bhe hay. asatiza kay kalaam men bhi kahin nahi mili. behr-e-khafeef ko hamesha muzaahif shakalon men astemaal kiya gaya hay jin ki mash-hoor-ashkaal ye hen: -

faa-i-laa-tun, mu-faa-i-lun, faa-lun (hasti apni habaab ki si hay, Mir)
faa-i-laa-tun, mu-faa-i-lun, fa-i-lun (tum hamaaray kisi tarah na huay, Momin)
faa-i-laa-tun, mu-faa-i-lun, faa (jaao ab so raho sitaaro, )
faa-i-laa-tun, mu-faa-i-lun, faa-i-laa-tun (dil-e-mazTar tarap raha hay wa lekin, Daagh)
faa-i-laa-tun, mu-faa-i-lun (aye junoon teray haath say, na bacha ik qaba ka taar)

etc. (baaki books men say dekh kar likhi jaa sakti hen, yaad nahi hamen)

mumkin hay aap ki taraf is beher main kalaam mojood ho aur ye beher aam ho. agar aap ko is beher men mashaaheer main say kisi kay kalaam ka ilm ho, tu zaroor inaayat keejay ga.

aakhir men maazrat bhe chaahen gay kay aap ki ghazal ki beher ko samajh nahi sakay, hum ne is ki taqtee behr-e-ramal ki saalim musaddas shakal men ki, waja hum bayan kar he chukay hen. umeed hay hamaari baaton say kuch haasil na hua ho ga tu kuch nuqsaan bhe na puhncha ho ga...

aik baar phir bharpoor daad kay sath...
ba-qalam-e-khud
ahqar, vb jee
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:42:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer