-Iss Dasht Mein Har Shaks-

by HumTum on July 14, 2009, 02:11:04 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1012 times)
HumTum
Guest
Reply with quote
Mehfil ke sabhii doston ko mera salaam. Ik taazi Ghazal ke saath haazir huun.. apni raa'ey se zaruur nawaaziyega!!


Iss dasht mein har shaks majboor dekha
Toot ke bhikra, ghum mein chuur, dekha

Ishq ke madarse ka bhi ajab dartor hai
Ussi ko chuti na mili jisne sabak sekha

Yun hua pyar mein apni tanhee ka aalam
Jisko qareeb samjha ussi ko door dekha

Dekhne wale ne to dekha hai badan uska
Humne to uss chand chahre ka noor dekha

LabooN se lga na lein hum suraahi, kyunkar
aah!humne sagar mein chasm-e-badur dekha

Need mein dekhe the jo haseeN khawaab
Jagti ankhoN se unn khwaboN ko chur dekha

kal ik majnu ne khaye pathar laila ke liye
Ishq ka, sir chad ke bolta, fatuur dekha

Jab se uske kucchhe se loute ho "HumTum" Ji
Aap kyun udaas ho, aapne kya hajuur dekha?



ab kucch mizaaz badlte hai ....

Tumhari yaad uss waqt bahut aayi mere dost
Jab gali mein nachta hua ik Langoor dekha !!



HumTum                     


                             HumTum
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #1 on: July 14, 2009, 03:28:03 PM »
Reply with quote
Wah wah Hum Tum Ji
khubsurat likha hai aapne
Aur aakhiri sher me kya rang badla hai, wah
SARVESH RASTOGI
Logged
Dastbardaar
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 9 hours and 59 minutes.
Posts: 69
Member Since: Jul 2009


View Profile
«Reply #2 on: July 14, 2009, 03:55:24 PM »
Reply with quote
maktab-e-ishq ka "Momin" hai niraalaa dastuur

us ko chhuTii na milii jis ko sabak yaad huaa

        -Momin-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: July 14, 2009, 03:57:44 PM »
Reply with quote
Walaikum As Salaam,.
Mashallah Blohat Khoob LIkha Hai Hum Tum Mere Yaar,.
Kaafi Dino Baad Pardhne Ko Milaa ,.

Bohat Achche,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: July 14, 2009, 11:53:45 PM »
Reply with quote
Mehfil ke sabhii doston ko mera salaam. Ik taazi Ghazal ke saath haazir huun.. apni raa'ey se zaruur nawaaziyega!!


Iss dasht mein har shaks majboor dekha
Toot ke bhikra, ghum mein chuur, dekha

Ishq ke madarse ka bhi ajab dartor hai
Ussi ko chuti na mili jisne sabak sekha

Yun hua pyar mein apni tanhee ka aalam
Jisko qareeb samjha ussi ko door dekha

Dekhne wale ne to dekha hai badan uska
Humne to uss chand chahre ka noor dekha

LabooN se lga na lein hum suraahi, kyunkar
aah!humne sagar mein chasm-e-badur dekha

Need mein dekhe the jo haseeN khawaab
Jagti ankhoN se unn khwaboN ko chur dekha

kal ik majnu ne khaye pathar laila ke liye
Ishq ka, sir chad ke bolta, fatuur dekha

Jab se uske kucchhe se loute ho "HumTum" Ji
Aap kyun udaas ho, aapne kya hajuur dekha?



ab kucch mizaaz badlte hai ....

Tumhari yaad uss waqt bahut aayi mere dost
Jab gali mein nachta hua ik Langoor dekha !!



HumTum                     


 Applause Applause Applause
Excellat HumTum ji  Thumbs UP
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: July 15, 2009, 07:20:45 AM »
Reply with quote
Kya baat hai bohot khoob
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:54:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer