Iss Haadse Se Guzarna Hai......!!

by Talat on June 09, 2009, 08:12:25 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3237 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: June 09, 2009, 08:56:19 PM »
Reply with quote
Talattttttt Ji.. yeh Gazal Behad Khubsoorat Likhi Hai aapne..!! Lafzon Ko Bahut Sunderta Se Sajaaya hai..!!! Applause Applause

Behad Lajawab aur dil Ko Chhoo Jane wali Peshkash Hai.. Bahut Bahut Khoooooooob Talat Ji..!! Daad Kubool Karen..  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**

Bohot bohot shukriya Vicky..aap ki is pukashish haula-afzaai ka kya kahen.....aap ki tareef to khud hi padhne laaiq hoti hai tongue3

Thanks so much for reading and appreciating this work..Bohot shukriya Usual Smile

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard ka had se guzarna baki na raha by @kaash in Shayri-E-Dard
Haadse... by daljeet_faqeer in Shayri-E-Dard
Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai by imtiaz096 in Share: Poetry of Pain
dil ke mamlo se guzarna...... by pawan16 in Shairi - E - Zindagi
Jab jab Ishq ke haadse hue... .. . /annu/ by annu_genis in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #16 on: June 09, 2009, 08:57:06 PM »
Reply with quote
bahut khoob lajawab

Bohot bohot shukriya aapka.
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: June 09, 2009, 09:00:42 PM »
Reply with quote

ek aur bhut khoobsurat paishkash celmira ji bhut hi umda, aap apni ghazlo.n mai har baar ek khoosurat ehsaas paish karti hain aur usse bhut khoob tarhan se ru ba ru karaati hain........mashallah dil se daad hazir hai aapke is kallam par, Allah aapko is sifat se nawaazta rhe hai, bhut khoob.........


Ye to aapka badappan hai Aslam Ji jo aap huamri maamooli koshishon ko bhi itne khoobsurat alfaaz se nawazte hain....Bohot bohot shukriya aap ki hausla-afzaai ka, in khoobsurat alfaaz ka....nazr-e-karam banaye rakhiyega......Thanks so much  notworthy
Logged
angel4u
Guest
«Reply #18 on: June 10, 2009, 02:59:41 AM »
Reply with quote
As usual Talat Very beautiful. Har ek lafz khoobsurat, aur saaf. hamesha ki tarah behad pyaara aur khoobsurat Usual Smile

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #19 on: June 10, 2009, 07:50:03 AM »
Reply with quote
Motiya lafz Moti yaani pearls ke liye use hota hai...

Mujhe ilm nahin ki aapko urdu aati hai ya nahin.....Ye lafz maine Parveen Shakir Sahiba (jinki shayari ko sar-ankhon pe lagati hoon !!) ki ghazal main dekha tha, aur usi se inspired ho ke apni ghazal main use kiya hai........Neeche un ki kitaab "Khuda-Kalami" se image de rahi hoon !!



Yahan English Fonts main likh deti hoon:

Utri Hai Meri Aankh Main Khwaabon Ki Motiya
Toote Ga Roshni Ka Bhala Silsila Kahan


Parveen Sahiba ne shayad Motiya, pearls ko kaha hai, yaani moti..........aur maine apni ghazal main aansuon ko motiye ki mushabihat di hai..yaani aansuon ko moti ya pearls bola hai  !!



Bohot shukriya Sajid Bhai is suggestion ka......main sochungi iss baare main.....!

Bohot bohot shukriya aapne ise padha aur apne suggestions bhi diye.....  Usual Smile


Tumhe ilm nahi hain Talat to main hi tumhare ilm me izafa kar deta hu. Mujhe bilkul urdu nahi aati na hi main Urdu padh sakta hu na hi likh sakta hu. Jaha tak urdu ki baat hain main Yoindia ka sabse ghatiya aadmi hu urdu ke mamle me.

Aur tumne mere sawal ka jawab khud de diya afsos to is baat ka hain tumhe yeh cheeze dikhayee nahi di tumne Praveen Shakir ka hawala diya hain jinhone kaha hain

Motiya

Aur meri behan tumne likha hain

Motiye

Waise aainda mujhse aisi koi galti nahi hogi, mera maqsad sirf yeh jannna tha ke motiye jaisa koi lafz hain kya.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Online Online

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: June 10, 2009, 08:00:42 AM »
Reply with quote
NIce Work Bohat Achche,.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #21 on: June 10, 2009, 08:02:56 AM »
Reply with quote
bahut achche di ...........aapke liye kya likhoon dus baar sochna padta hai...............chaliye kucch toh likhoonga hi


mita diya gaya meri har nishani ko
magar jab band kii ankhen toh mein nazar aaya
ashqon ne kii wafa na chhalke teri aankhon se
magar do boond tere haathon k jaam se chhalak aaya
Logged
Roja
Guest
«Reply #22 on: June 10, 2009, 08:03:40 AM »
Reply with quote

Bahut khoobsurat peshkash dear Talat.. Bahut accha laga padkar.  Thumbs UP

@Saahil...
Lovely lines dear.
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: June 10, 2009, 10:07:55 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Bahut Khoob Talat Dost!!!

Ek Se Badhkar Ek A'shaar Hai..padhte Waqt Har Ek Lafz Par Aankhein Rukh Si Jaati Hai..Bahut Hi khooobsurat Ehsaas Pesh Kiye hai Aapne..

Bahut Khoob!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Thanks so much Dost..Aapke words ek nayi jaan daal dete hain thread main....Bas isi tarah hausla badhate rehna .... Bohot bohot shukriya Khwaish !!  notworthy notworthy
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #24 on: June 10, 2009, 10:17:18 AM »
Reply with quote
kya baat h Celmira ji........bahut bahut khub likha h aapne..
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
har lafj jaise aane wale waqt aur usse juda dard byaan kar rha h.....bahut khub
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: June 10, 2009, 12:13:44 PM »
Reply with quote
Tallu,

Chaa gaye boss ! Applause Applause Applause

Aaj kal ghazals bahut likh rahi ho...yeh inspiration kahan se mili Winking tongue3

Thanks so much for your words Rajbir  icon_flower

Ji inspiration ka kya kahen....kuch shayarana mehfil ka asar hai, kuch shayarana logon ka asar hai  Winking

Yunhi himmat badhate rahen  Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: June 10, 2009, 12:14:47 PM »
Reply with quote
Wow Di.. its so beautiful.. Bahoot hi pyara likha hai aapne.. Usual Smile

Thanks so much Divs..Thanks a lot dear  icon_flower
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: June 10, 2009, 12:15:41 PM »
Reply with quote
Wah wah Celmira Ji bahut khoob
Kamaal likha hai aapne, very very nice
SARVESH RASTOGI

Aap ka bohot bohot shukriya Sarvesh Ji....Aap ka comment aana hi badi baat hai mere liye...thanks so much for your encouragement.
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: June 10, 2009, 12:17:27 PM »
Reply with quote
Waah bahot khoob,behad khoobsoorat aur har sher behatareen ehsaas lie ghazal likhi hai aapne Talat ji,dard se bhari bhari aur behad achi ghazal, really u r writing so nice compositions.most important thing dat u hv maintained the level of consistency.phir se sureela vaqai sukoon se bhara nagma likha hai aapne,well aisi cmpstn pe kuch likhna lazim hai so ek kosish kar rahe hain                                                      ghazal ki khanak jab sher ke vazan se nikalti aage hai,shamma-e-mahfil khud bhi bujh nahi pati use jalte rahna hai   Aur jab khanak kalam ki siyaahi me nazarfarosh ho,har jumle ko uske phir yaadgaar hona hai           

Thanks so much Kaash Ji...aap humesha hausla badhate hain apne khoobsurat alfaaz se.....Kaise shukriya ada karun in khoobsurat words ka jo aapne meri nazar kiye hain........Bohot hi khoob and thanks so much !! Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: June 10, 2009, 12:18:51 PM »
Reply with quote
Bohot achha celmira ji bohot umda ghazal hai, or andaaz bhi badaa pyara hai... misaal bhi ahchi di aap ne, khaas-kar Chashm-e-tar ko ufante darya se tashbih dena bohot achha laga..waah!!

Bohot bohot shukriya Sayyid..aap ko ye choti si koshish pasand aayi...aapki hausla-afzai ke liye bohot mashkoor hoon.....Tah-e-dil se shukriya aapa ka Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:30:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer