Iss Shehar Main......!!!

by Talat on July 12, 2009, 08:34:11 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11
ReplyPrint
Author  (Read 10529 times)
madhuwesh
Guest
«Reply #105 on: August 01, 2009, 10:59:47 AM »
Reply with quote
Celmira ji,Prateek ji,Hum Tum ji,Pop ji.Khwaish ji,bahut khoob.
aap sabne bahut hi acha likha,mindblowing,excellent. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh shehar ..... by HumTum in Shayri-E-Dard
parchaiyoon ke shehar by sunny.22 in Shayri-E-Dard
Ek Shehar Unka Ek Shehar Apna,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Aapkay shehar meh by Anushka in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
main hun tere shehar ton by dil apna punjabi in Pain in Love : Punjabi poetry
thegrimreaper
Guest
«Reply #106 on: August 01, 2009, 01:34:03 PM »
Reply with quote
Bohot umdah Hum Tum  Applause Applause Applause


Hasrat Hai Hum Dekhen Mausam-e-BaharaaN Iss Shehar Main,
Kuch Ghunche Bhi Hon Kaanton Ke DarmiyaaN Iss Shehar Main

Taareek Si Raahon Main Kaisi Ye Roshni Aayi Nazar,
Ho Raha Hai Husn Koi Shayad AyaaN Iss Shehar Main

Har Shakhs Honton Ko Siye Ji Raha Hai Lekin,
Khamoshiyon Ne Bhi Kahi Ek DaastaaN Iss Shehar Main

Kis Pe Kijiye Yaqeen Har Chehra Pe Ek Chehra Hai,
Ho Gayi Hain Rukhsat WafadaariyaaN Iss Shehar Main

Kuch To Baat Hai Lekin Koi To Hai Sisila,
Sar Aankhon Pe Hain Saari KhamiyaaN Iss Shehar Main !!


unda sahayari celmira ji
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #107 on: August 02, 2009, 05:00:17 PM »
Reply with quote
Hain Sangdil Yahan To Kuch MeherbaaN Iss Shehar Main,
Hain Tanha Musfair, To Kuch KaravaaN Iss Shehar Main

Rang-o-Noor Se Khaali Chaman Rahega Kab Talak,
Kuch Jugnu Bhi Hai Aur TitliyaaN Iss Shehar Main

Laila Ke Daaman Tak Pahunch Rahe Hain Haath Jo,
Ek Din Ho Jaayenge Wo PashemaaN Iss Shehar Main

Zulm-o-Sitam Ki Umr Bohot Taveel Hoti Nahin
Khudaai Ko Aazama Rahe Kuch NadaaN Iss Shehar Main







Kya baat hai Hum Tum .... Bohot khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley

Yaadon Ka Toofan Umadta Hai Iss Shehar Main,
Ek Darya Musalsal Behta Hai Iss Shehar Main

Chehre Hain Wahi Magar Andaaz Sab Badle Se Hain,
Apno Ke Bhes Main Kaun Rehta Hai Iss Shehar Main

Zamane Ki Hawa Shayad Idhar Bhi Aayi Hai,
Har Shakhs Aankh Chuarya Sa Phirta Hai Iss Shehar Main

Kis Ka Imaan Zinda Hai, Kis Ka Daaman Saaf Hai,
Dil Aise Sawalon Se Door Ab Rehta Hai Iss Shehar Main







wah wah Celmira ji
paankitiyon ki JugalBandhi to koi aap se seekhe
aise piroya maano ek ek labz mala ka moti ho
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #108 on: August 02, 2009, 05:05:06 PM »
Reply with quote
Shukriya Madhuwesh ji, Celmira ji, Khwaish Ji, Poppetry ji, Aapne meri tukbandi ka Hausla Badhaaya.

Celmira Ji---Aap ne kamaal kar diya hai in panno mein aur taareef ke alfaaz bhee laghu nazar aane lage hai shabdkosh mein.
Tahedil se badhai.

Khwaish Bhai---Aapne itna khoob saath diya hai aur itni behtareen rachnaaye rakhi hai ki dil gadgad hai.

Humtum Ji-----Aapki shaayri ki pakad hur ek daad ke kaabil hai.

Popetry ji aapne bhee saraahniye hissedaari di hai.
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #109 on: August 02, 2009, 05:08:43 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob DostooN... chalo carvaan aage bahdayein .. kucch sune kucch sunayien....
Haan Issi Shehar mein .. aur KahaN




Arz kiya hai ....


Ajab Hua Hamare Sath Hadsaa Iss Shehar Mein
Woh Nazar Aa Gaye Be-Pardaa Iss Shehar Mein

Hum To Kudh Be_zaar Huye Baithey Hai YahaN
Kya DeiN kissi ko Mashwara Iss Shehar Mein

Koi Hum_Kadam Nahin Koi Hum_zubaaN nahin
Bande Bhi Ho Gaye Hai Khuda Iss Shehar Mein

Sang Har Hath Mein Aur Har Ankh Mein AnsooN
Ravaa RanjishoN Ka Sil_sila Iss Shehar mein

Har Shaks Teg Liye Khadaa hai RahooN Mein
Kasie Chali Hai Ab Ke Hawaa Iss Shehar Mein

Gar Yhi Uski Razaa Hai To Phir "HumTum"
Jo Bhi Hua Acchaa Huaa Iss Shehar Mein !!


HumTum



wah wah Hum Tum ji yeh pankitiyon dil chu jaati hain

Issi pe Arz kiya hai

"chahe hazaaron gum ho Iss shehear mein"
"chahe bewafaaon ka saath ho Iss shehar mein"

"par mili kuch Khushiyaan Iss shehar mein"
"Kuch yaadien hain piroyi Iss shehar mein"

"Jiye bas Jiye to hum Iss shehar mein"
"Mar bhi jayenge to chahenge bane hamari Kabr sirf Issi sheher mein...."


Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #110 on: August 02, 2009, 05:13:04 PM »
Reply with quote
Celmira ji,Khwaish ji,Humtum ji,Prateek ji...aap sabne kai aisi baatein likhi hai jin par shayad bahut kam socha jaata hai....khuch gehri baatein...bahut khub...salute to all of u... icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut

bahut accha lga yha aap sabko padhkar....aur bahut khuch samajhne ko aur janne ko mila...bahut khuch sikhne ko bhi mila yha...chand alfaaz likhne ki koshish ki hai..


Kai manjilen aur manjil tak pahuchne k raaste hai iss shehar mein
Chaho to sab khuch hai,varna khuch bhi nahi hai iss shehar mein

Sach-juth,galat-sahi ko kis taraju me taule koi
Gum aur khushi dono hi mile hai,har kisi ko iss shehar mein

Ek hi baat ko har koi apni apni tarah se kehta hai
Har kisi ka apna ek alag hi najariya hai iss shehar mein
Aur kya kahe doston.....
Din din hi hai aur raat bhi raat hai iss shehar mein....


wah wah poppoetry
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #111 on: August 02, 2009, 05:15:09 PM »
Reply with quote
Ghazlon ke in panno pur tukbandi ki zurrat kar raha hu 'is shaher mein'....Shaher ke logon se maafi ka haqdaar hu.




Haath bhee wo  berukhi se milaate hein ub
Garmjoshi se gale lage they jo is shaher  mein


Baithein kahan aur kis-se haalat pur charche kare
Mere gaanv ke peepal nahi hai is shaher mein


Tum poochtey ho hur baat pur yeh ‘tarq’ kyon
Is’ tarkeeb’ ko seekha hai humne is shaher mein


Jaane kitne dilon ko toda, aur jazbaaton se khele hai hum
Anaadi se khilaadi bun chuke hai is shaher mein


Hur baat pur baukhlaana aur chillana ub laazmi hai
Tarrannum ki baatein ub rehne bhee do is shaher mein!


Daudta hur shaqs milega budhawaasi aur behaali mein yahan
Jubki jaanta hai uski manzil nahi hai is shaher mein!


Jisko dekho hai khafa is baat pur ya us baat pur
Sochta hi reh gaya main,kis-se ruthoon is shaher mein


Kin-kin tohmaton ki safai dete rahoge umra bhur
Jo gunaah sochey nahi unkey bhee ilzaam sur pur is shaher mein!


   Prateek



kya likha hai prateek sahaab
Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #112 on: August 03, 2009, 11:37:58 AM »
Reply with quote

yr welcome Celmira ji,i could not see this reply
bahot khoob sher likha hai aapne


chot kaun nahi deta,zakham jahan me kaun nahi pata
dard ka bus itna kahin pata chal jata kahin tham nahi pata


Bohot shukriya Kaash Ji...aur bohot khoob

Chot Bhi Milti Hai Unse, Ho Dil Ke Qareeb Hote Hain,
Unse Kya Gila Karen Jo Zindagi Main Raqeeb Hote Hain
Logged
Talat
Guest
«Reply #113 on: August 03, 2009, 11:39:09 AM »
Reply with quote
Bade-Bade Shehron Mein Choti-choti Galtiyan Hoti Rehti hai Talatji.. icon_geek hello2

Usual Smile sahi kaha Dost tongue3
Logged
Talat
Guest
«Reply #114 on: August 03, 2009, 11:50:44 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob DostooN... chalo carvaan aage bahdayein .. kucch sune kucch sunayien....
Haan Issi Shehar mein .. aur KahaN



Arz kiya hai ....


Ajab Hua Hamare Sath Hadsaa Iss Shehar Mein
Woh Nazar Aa Gaye Be-Pardaa Iss Shehar Mein

Hum To Kudh Be_zaar Huye Baithey Hai YahaN
Kya DeiN kissi ko Mashwara Iss Shehar Mein

Koi Hum_Kadam Nahin Koi Hum_zubaaN nahin
Bande Bhi Ho Gaye Hai Khuda Iss Shehar Mein

Sang Har Hath Mein Aur Har Ankh Mein AnsooN
Ravaa RanjishoN Ka Sil_sila Iss Shehar mein

Har Shaks Teg Liye Khadaa hai RahooN Mein
Kasie Chali Hai Ab Ke Hawaa Iss Shehar Mein

Gar Yhi Uski Razaa Hai To Phir "HumTum"
Jo Bhi Hua Acchaa Huaa Iss Shehar Mein !!


HumTum




Bohot Khoob Hum Tum Ji

Khamoshi Bani Hai Zubaan, Iss Shehar Main,
Kaun Samjhe Magar, Yahaan, Iss Shehar Main

Labon Pe Muskurahat Hai Aasteenon Main Khanjar,
Dostaane Ka Naya Dastoor Ravaan Iss Shehar Main

Mausam-e-Bahaar Main Sab Gulshan Ujad Chale,
Khizaan Ka Ho Raha Hai Gumaan Iss Shehar Main

Nafraton Ki Aag Ne Sab Kuch Jala Diya,
Chaar-Su Uth Raha Hai Dhuaan Iss Shehar Main !!


Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #115 on: August 03, 2009, 11:56:32 AM »
Reply with quote


Bohot Khoob Hum Tum Ji

Khamoshi Bani Hai Zubaan, Iss Shehar Main,
Kaun Samjhe Magar, Yahaan, Iss Shehar Main

Labon Pe Muskurahat Hai Aasteenon Main Khanjar,
Dostaane Ka Naya Dastoor Ravaan Iss Shehar Main

Mausam-e-Bahaar Main Sab Gulshan Ujad Chale,
Khizaan Ka Ho Raha Hai Gumaan Iss Shehar Main

Nafraton Ki Aag Ne Sab Kuch Jala Diya,
Chaar-Su Uth Raha Hai Dhuaan Iss Shehar Main !!



Waah.. Waah.. Waah.. Celmira ji zabardast..... Applause Applause Applause
Bohot umda or kamaal ke ash'ar hain aap ke.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #116 on: August 03, 2009, 12:03:52 PM »
Reply with quote



Arz kiya hai ....


Ajab Hua Hamare Sath Hadsaa Iss Shehar Mein
Woh Nazar Aa Gaye Be-Pardaa Iss Shehar Mein

Hum To Kudh Be_zaar Huye Baithey Hai YahaN
Kya DeiN kissi ko Mashwara Iss Shehar Mein

Koi Hum_Kadam Nahin Koi Hum_zubaaN nahin
Bande Bhi Ho Gaye Hai Khuda Iss Shehar Mein

Sang Har Hath Mein Aur Har Ankh Mein AnsooN
Ravaa RanjishoN Ka Sil_sila Iss Shehar mein

Har Shaks Teg Liye Khadaa hai RahooN Mein
Kasie Chali Hai Ab Ke Hawaa Iss Shehar Mein

Gar Yhi Uski Razaa Hai To Phir "HumTum"
Jo Bhi Hua Acchaa Huaa Iss Shehar Mein !!


HumTum


Bohot achhe hamtum ji.. bohot umda kalaam hai.  Applause
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #117 on: August 03, 2009, 12:11:02 PM »
Reply with quote


Roothe Hue Ko Kaun Manaye Iss Shehar Mein,
Aakhir Kis-Kis Ko Hum Samjhaye Iss Shehar Mein!!!

Kabhi Kisi Se, Koi Sawaal karna Meri Fitrat Mein Naa Tha,
Par Meri Khamoshi par Bhi Logon Ne Kuch Sawaal Uthaye Iss Shehar Mein!!!

Gar Mujhse Kuch Khata Hui Bhi Thi To Zaroori Nahi Ke Hum Uss Khata Par Gufugoo Kare,
Baat-Baat Par Kaun Apna Sar Jhukaye Iss Shehar Mein!!!

Maana Humne,Ke Ab hum Nahi hai Shaamil Tere Chaahne Walo Mein,
Par Apni Khaamiyon Se Kaun Lad Paaye Iss Shehar Mein!!!!

Sach To Yeh Hai Ke Saansein Jab Tak Chal Rahi Hai Hum bhi Chal Rahe Hai "Khwaish"
Naa Jaane Kis Raah Par Apna Safar Tham Saa Jaaye Iss Shehar Mein!!!!


Waah. khwaish bhai waah... bohot achhe.. yunhi dhoom machate rahiye iss shehar main..  Applause Applause Applause
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #118 on: August 03, 2009, 12:14:07 PM »
Reply with quote


Kai manjilen aur manjil tak pahuchne k raaste hai iss shehar mein
Chaho to sab khuch hai,varna khuch bhi nahi hai iss shehar mein

Sach-juth,galat-sahi ko kis taraju me taule koi
Gum aur khushi dono hi mile hai,har kisi ko iss shehar mein

Ek hi baat ko har koi apni apni tarah se kehta hai
Har kisi ka apna ek alag hi najariya hai iss shehar mein
Aur kya kahe doston.....
Din din hi hai aur raat bhi raat hai iss shehar mein....


Bohot umda pops ji, bohot achha likha hai aapne...   Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #119 on: August 03, 2009, 12:22:41 PM »
Reply with quote
Celmira ji,Khwaish ji,Humtum ji,Prateek ji...aap sabne kai aisi baatein likhi hai jin par shayad bahut kam socha jaata hai....khuch gehri baatein...bahut khub...salute to all of u... icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut

bahut accha lga yha aap sabko padhkar....aur bahut khuch samajhne ko aur janne ko mila...bahut khuch sikhne ko bhi mila yha...chand alfaaz likhne ki koshish ki hai..


Kai manjilen aur manjil tak pahuchne k raaste hai iss shehar mein
Chaho to sab khuch hai,varna khuch bhi nahi hai iss shehar mein

Sach-juth,galat-sahi ko kis taraju me taule koi
Gum aur khushi dono hi mile hai,har kisi ko iss shehar mein

Ek hi baat ko har koi apni apni tarah se kehta hai
Har kisi ka apna ek alag hi najariya hai iss shehar mein
Aur kya kahe doston.....
Din din hi hai aur raat bhi raat hai iss shehar mein....


Thanks so much Pooja aap bhi humare saath shamil hue...aur iss karavaan mko aage badhaya......bohot khoob kaha hai aapne  icon_thumleft



Kehne Ko Sab Kuch Hi Mila Iss Shehar Main
Jaane Kyun Phir Bhi Hai Gila Iss Shehar Main

Jhoot Bhi Sach Ho Gaya, Sach Ka Kya Kahen,
Shayad Ye Farq Hi Ab Mita Iss Shehar Main

Wo Na Samajh Sake Hum Ko, Aur Hume Unhe,
Raha Kuch Apna Apna Falsafa Iss Shehar Main

Hai Sab Kuch Hi Sahi, Jaane Kaun Hai Galat
Dil Kashmakash Main Raha Uljha Iss Shehar Main !!


Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 07:39:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.203 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer