Iss Shehar Main......!!!

by Talat on July 12, 2009, 08:34:11 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11
ReplyPrint
Author  (Read 10528 times)
Talat
Guest
«Reply #120 on: August 03, 2009, 12:23:52 PM »
Reply with quote
Celmira ji,Prateek ji,Hum Tum ji,Pop ji.Khwaish ji,bahut khoob.
aap sabne bahut hi acha likha,mindblowing,excellent. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thanks a lot Madhu
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh shehar ..... by HumTum in Shayri-E-Dard
parchaiyoon ke shehar by sunny.22 in Shayri-E-Dard
Ek Shehar Unka Ek Shehar Apna,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Aapkay shehar meh by Anushka in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
main hun tere shehar ton by dil apna punjabi in Pain in Love : Punjabi poetry
Talat
Guest
«Reply #121 on: August 03, 2009, 12:28:41 PM »
Reply with quote
unda sahayari celmira ji


wah wah Celmira ji
paankitiyon ki JugalBandhi to koi aap se seekhe
aise piroya maano ek ek labz mala ka moti ho

Thanks so much Reaper Ji for following this thread and for your lovely appreciation...Thanks so much  icon_flower
Logged
Talat
Guest
«Reply #122 on: August 03, 2009, 12:30:45 PM »
Reply with quote

Celmira Ji---Aap ne kamaal kar diya hai in panno mein aur taareef ke alfaaz bhee laghu nazar aane lage hai shabdkosh mein.
Tahedil se badhai.


Thank You so much Prateek Ji, you are yourself a great poet and an appreciation from you means a lot to me....Thanks a lot for your presence in this thread  notworthy notworthy

Logged
Talat
Guest
«Reply #123 on: August 03, 2009, 12:32:02 PM »
Reply with quote

wah wah Hum Tum ji yeh pankitiyon dil chu jaati hain

Issi pe Arz kiya hai

"chahe hazaaron gum ho Iss shehear mein"
"chahe bewafaaon ka saath ho Iss shehar mein"

"par mili kuch Khushiyaan Iss shehar mein"
"Kuch yaadien hain piroyi Iss shehar mein"

"Jiye bas Jiye to hum Iss shehar mein"
"Mar bhi jayenge to chahenge bane hamari Kabr sirf Issi sheher mein...."




 Applause Applause Applause

Bohot khoob Reaper Ji...aur bohot khoobsurat ehsaas..... icon_thumleft
Logged
Talat
Guest
«Reply #124 on: August 03, 2009, 12:33:24 PM »
Reply with quote
Waah.. Waah.. Waah.. Celmira ji zabardast..... Applause Applause Applause
Bohot umda or kamaal ke ash'ar hain aap ke.


Bohot bohot shukriya Sayyid iss hausla afzaai ka..... Bas yunhi himmat badhate rahen....Tah-e-dil se shukriya...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #125 on: August 03, 2009, 02:21:28 PM »
Reply with quote
Waah. khwaish bhai waah... bohot achhe.. yunhi dhoom machate rahiye iss shehar main..  Applause Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Randeri Saheb Aapka.. icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #126 on: August 03, 2009, 02:24:32 PM »
Reply with quote
Celmira ji,Khwaish ji,Humtum ji,Prateek ji...aap sabne kai aisi baatein likhi hai jin par shayad bahut kam socha jaata hai....khuch gehri baatein...bahut khub...salute to all of u... icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut

bahut accha lga yha aap sabko padhkar....aur bahut khuch samajhne ko aur janne ko mila...bahut khuch sikhne ko bhi mila yha...chand alfaaz likhne ki koshish ki hai..


Kai manjilen aur manjil tak pahuchne k raaste hai iss shehar mein
Chaho to sab khuch hai,varna khuch bhi nahi hai iss shehar mein

Sach-juth,galat-sahi ko kis taraju me taule koi
Gum aur khushi dono hi mile hai,har kisi ko iss shehar mein

Ek hi baat ko har koi apni apni tarah se kehta hai
Har kisi ka apna ek alag hi najariya hai iss shehar mein
Aur kya kahe doston.....
Din din hi hai aur raat bhi raat hai iss shehar mein....


Bahut Bahut Khoob Pooja.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

And Thanks A Million For Appreciating.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #127 on: August 03, 2009, 02:27:33 PM »
Reply with quote
Shukriya Madhuwesh ji, Celmira ji, Khwaish Ji, Poppetry ji, Aapne meri tukbandi ka Hausla Badhaaya.

Khwaish Bhai---Aapne itna khoob saath diya hai aur itni behtareen rachnaaye rakhi hai ki dil gadgad hai.




bahut Bahut Shukriya Prateekji..Aap Jaise Shayar Saath Ho to Hum Bhi Kuch na Kuch likh Hi Lete hai..Hausle-Afzaai Ke Liye Teh Dil se Shukriya Prateekji.. icon_salut
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #128 on: August 03, 2009, 02:33:29 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

Bohot khoob Reaper Ji...aur bohot khoobsurat ehsaas..... icon_thumleft

shukriya Celmira Ji,isliye aapke liye

"Dhund rahe the ek ummed ki kiran Iss shehar mein
Ek 'talat' thi ashkon ki aabro mein, sun li gayi dua Iss shehar mein"
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #129 on: August 03, 2009, 02:47:10 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot bohot Khoob Dost...Sach hai na jaane kab saansain tham jaayen, ye safar tham jaaye..........

Koi Shikwa Kisi Se Na Raha Iss Shehar Main,
Karen Ab Aur Kya Hum Gila Iss Shehar Main

Khamoshiyon Ki Zubaan Woh Samajhte Nahin,
Hum Ne Bhi Kisi Se Kuch Na Kaha Iss Shehar Main

Mujrim Bana Diya Hai Mujhe Mere Hi Alfaaz Ne,
Aur Kuch Mera Bhi Tha Sir Jhuka Iss Shehar Main

Humne Hi Chorh Di Wo Mehfilain, Thak Haar Ke,
Behtar Hai Main Rahun Ab Tanha Iss Shehar Main

Dekho Talat Hain Aur Bhi, Ek Bas Tum Hi Nahin,
Har Dil Main Ek Tees Hai, Ek Dard Chupa Iss Shehar Main

Bahut Bahut Khoob Dost!!! Ab To Naye Alfaaz Dhoondne Padenge Iss Shehar mein!! tongue3

Once Again Beautiful one By you.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Shikwa Karna Bhi Chaaho To kisse Karoge
Iss Shehar mein
Apno Ki Rafakat Mein bhi Basi Tanhai Hai,
Iss Sheher mein..

Jaan-Bujhkar Kisi Ki Khamoshi Ko,
Gar Koi Kamzori Samjhe!!
Uss Shaks Se Ab Aur Kya umeed Rakh Paaoge,
Iss Shehar mein...

Ab to yeh Haal Hai ke Alfaazo Mein Hi Keh Di,
Humne Apni Dastaan-E-Zindagi!!
Bas Ab Kuch Bikhri Hui Yaadon Ko Sametna Hai
Iss Shehar mein....

Jab uss Mehfil Se Ruswa Hokar
Uthe The, Jo Tere Yeh Kadam,
Bahut Aankhon Royi Thi,
Iss Shehar Mein....

Bekahabar Hoon Main Bhi Ab Apne Hi Dard Se!!!
"Khwaish" Kaun Ab Apni Kahbar Rakhe Iss Shehar mein...
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #130 on: August 03, 2009, 02:50:19 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Dost!!! Ab To Naye Alfaaz Dhondne Padenge Iss Shehar mein!! tongue3

Once Again Beautiful one By you.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Shikwa Karna Bhi Chaaho To kisse Karoge
Iss Shehar mein
Apno Ki Rafakat Mein bhi Basi Tanhai Hai,
Iss Sheher mein..

Jaan-Bujhkar Kisi Ki Khamoshi Ko,
Gar Koi Kamzori Samjhe!!
Uss Shaks Se Ab Aur Kya umeed Rakh Paaoge,
Iss Shehar mein...

Ab to yeh Haal Hai ke Alfaazo Mein Hi Keh Di,
Humne Apni Dastaan-E-Zindagi!!
Bas Ab Kuch Bikhri Hui Yaadon Ko Sametna Hai
Iss Shehar mein....

Jab uss Mehfil Se Ruswa Hokar
Uthe The, Jo Tere Yeh Kadam,
Bahut Aankhon Royi Thi,
Iss Shehar Mein....

Bekahabar Hoon Main Ab Apne Hi Dard Se!!!
"Khwaish" Kaun Ab Apni Kahbar Rakhe Iss Shehar mein...


wonderful lines especially the way of ending khwahish ji

Applause Applause

aapke liye

Aaye hain yahan, khwahishon se sajje Iss sheher mein
Bas "khwahish" ki khwahish hi poori ho Iss shehar mein
Yehi Khwahish hai humaari, Iss khwahison ke shehar mein
Logged
Talat
Guest
«Reply #131 on: August 05, 2009, 12:16:56 PM »
Reply with quote
shukriya Celmira Ji,isliye aapke liye

"Dhund rahe the ek ummed ki kiran Iss shehar mein
Ek 'talat' thi ashkon ki aabro mein, sun li gayi dua Iss shehar mein"


Thanks a lot Reaper Ji for this couplet for me  Usual Smile

"Talat" Ke Fasane Kahin Kho Gaye Iss Shehar Main,
Yaadon Ke Khandhar Hi Bas Reh Gaye Iss Shehar Main

Logged
Talat
Guest
«Reply #132 on: August 05, 2009, 01:38:45 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Dost!!! Ab To Naye Alfaaz Dhoondne Padenge Iss Shehar mein!! tongue3

Once Again Beautiful one By you.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Shikwa Karna Bhi Chaaho To kisse Karoge
Iss Shehar mein
Apno Ki Rafakat Mein bhi Basi Tanhai Hai,
Iss Sheher mein..

Jaan-Bujhkar Kisi Ki Khamoshi Ko,
Gar Koi Kamzori Samjhe!!
Uss Shaks Se Ab Aur Kya umeed Rakh Paaoge,
Iss Shehar mein...

Ab to yeh Haal Hai ke Alfaazo Mein Hi Keh Di,
Humne Apni Dastaan-E-Zindagi!!
Bas Ab Kuch Bikhri Hui Yaadon Ko Sametna Hai
Iss Shehar mein....

Jab uss Mehfil Se Ruswa Hokar
Uthe The, Jo Tere Yeh Kadam,
Bahut Aankhon Royi Thi,
Iss Shehar Mein....

Bekahabar Hoon Main Bhi Ab Apne Hi Dard Se!!!
"Khwaish" Kaun Ab Apni Kahbar Rakhe Iss Shehar mein...




Bohot Bohot Khoob Khwaish Dost....Sach kaha ki ab to naye lafz dhoondne padenge iss shehar main....par pata nahin iss thread main kya baat hai ki yahan qalam rukne ko nahin aa raha tongue3



Apne Saaye Se Bhi Hui Wehshat Iss Shehar Main,
Maangta Ab Dil Nahin Rafaaqat Iss Shehar Main

Hum Raaste Se Hat Gaye, Gar Ye Unhe Manzoor Tha,
Shayad Ab Ho Mayassa Unko Raahat Iss Shehar Main

Ae Wahshat-e-Dil Hum To Aaye The Yahan Sab Bhool Kar,
Lekin Wohi Tamasha Hai, Wohi Siyasat Iss Shehar Main

Toote Hue Hain Lekin Ab Jaayen To Jaayen Kahan,
Dil Ke Qareeb Hai, Ho Laakh Raqaabat Iss Shehar Main !!

Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #133 on: August 05, 2009, 05:05:19 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Reaper Ji for this couplet for me  Usual Smile

"Talat" Ke Fasane Kahin Kho Gaye Iss Shehar Main,
Yaadon Ke Khandhar Hi Bas Reh Gaye Iss Shehar Main



kya khoob likha hai Celmira ji
kehna padega kuch panktiyaan kabhi kabhi zehan pe ek chaap chod jaati hain

aur , " Iss shehar mein" ka nazrana un mein se ek hai Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #134 on: August 07, 2009, 11:48:04 AM »
Reply with quote
kya khoob likha hai Celmira ji
kehna padega kuch panktiyaan kabhi kabhi zehan pe ek chaap chod jaati hain

aur , " Iss shehar mein" ka nazrana un mein se ek hai Applause

Thanks so much Reaper Ji  icon_flower
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 06:43:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer