Iss Shehar Main......!!!

by Talat on July 12, 2009, 08:34:11 PM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11
ReplyPrint
Author  (Read 10451 times)
Pooja
Guest
«Reply #135 on: August 11, 2009, 05:42:27 PM »
Reply with quote
uff uff uff yah itna acha thread kaise padne se rah gaya  DOH
wah wah wah kay abaat hai ek se bad kar ek likha hai... kaya shayri ki mehfil jami hai.... wah dil khush ho gaya hai.....

Celmira, Khwaish ji, HumTum ji, Prateek ji....Poppetry ji, thegrimreaper ji... kaya baat hai... bahoot khoob her ek ne kamal kiya hai!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh shehar ..... by HumTum in Shayri-E-Dard
parchaiyoon ke shehar by sunny.22 in Shayri-E-Dard
Ek Shehar Unka Ek Shehar Apna,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Aapkay shehar meh by Anushka in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
main hun tere shehar ton by dil apna punjabi in Pain in Love : Punjabi poetry
Talat
Guest
«Reply #136 on: August 12, 2009, 04:27:37 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Pooja   Usual Smile
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #137 on: August 12, 2009, 05:03:13 PM »
Reply with quote
wonderful all of you .... do keep on pouring such beautiful shers.... wah wah


jasbir singh
Logged
Talat
Guest
«Reply #138 on: August 13, 2009, 10:59:20 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Jasbir Ji
Logged
sarfaraz_sagar
Guest
«Reply #139 on: August 14, 2009, 01:23:59 PM »
Reply with quote
Laajabaab sharing  Clapping Smiley         Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #140 on: August 14, 2009, 01:28:05 PM »
Reply with quote
Laajabaab sharing  Clapping Smiley         Clapping Smiley

Shukriya Sagar Ji...lekin ye ghazal meri apni hai..maine khud likha hai ise Usual Smile
Logged
HumTum
Guest
«Reply #141 on: September 08, 2009, 09:57:42 AM »
Reply with quote
Shukriyaa DostooN ...



Ho Rha Hai Qatal_E_Aam Iss Shaher Mein
Na Allaah Haii Na Raam Iss Shaher Mein

Har Bhashar KhooN Ka Pyasaa Hai YahaaN
Koi Aur NahiN Hai Kaam Iss Shehar Mein?

Har Galii Mein Waihshat Ki Buu Aati Hai
Bikh Gyaa Sab Ka ImaaN Iss Shehar Mein

Ghar Sabhi Dushmani Ki Aag Mein Jal Gaye
Reh Gaye Khaali MakaaN Iss Shehar Mein

Kab Khatam Hogii KhooN Ki Holi YahaaN??
Har Shakhs Hai PareshaaN Iss Shehar Mein


HumTum
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #142 on: September 08, 2009, 10:27:51 AM »
Reply with quote
...bahut hi khoob Hum Tum...really good one...aur baaki sab ne bhi achha likha hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #143 on: September 13, 2009, 02:09:22 PM »
Reply with quote
Shukriyaa DostooN ...



Ho Rha Hai Qatal_E_Aam Iss Shaher Mein
Na Allaah Haii Na Raam Iss Shaher Mein

Har Bhashar KhooN Ka Pyasaa Hai YahaaN
Koi Aur NahiN Hai Kaam Iss Shehar Mein?

Har Galii Mein Waihshat Ki Buu Aati Hai
Bikh Gyaa Sab Ka ImaaN Iss Shehar Mein

Ghar Sabhi Dushmani Ki Aag Mein Jal Gaye
Reh Gaye Khaali MakaaN Iss Shehar Mein

Kab Khatam Hogii KhooN Ki Holi YahaaN??
Har Shakhs Hai PareshaaN Iss Shehar Mein


HumTum

Bohot shukriya Humtum Ji, aapne is silsile ko aage badhaya, bohot khushi hui...... Bohot bohot khoob !


Uparwaala Tha Mahaan, Hai Mahaan Iss Shehar Main,
Haan Badal Gaya Hai Magar Insaan Iss Shehar Main

Khoon Ki Nadiyaan Jo Behti Nazar Aaati Hain,
Sar Pe Chadha Baitha Hai Shaitaan Iss Shehar Main

Jab Dil Hi Mohabbat Se Khaali Ho Jaayen, Phir
Kyun Na Nazar Aayen Khaali Makaan Iss Shehar Main

Kaun Uthaaye Haath Dua Ko, Kaun Kare Ab Fariyaad
Aansuon Main Beh Gaye Hain Armaan Iss Shehar Main
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #144 on: September 13, 2009, 02:43:47 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khooooooooob Humtum Ji & Talat ji.. Lajawab Jugalbandi Hai aapki.. yunhi Likhte Rahiye.. Bahut Bahut Khooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
aaina
Guest
«Reply #145 on: September 13, 2009, 09:59:38 PM »
Reply with quote
Shukriyaa DostooN ...



Ho Rha Hai Qatal_E_Aam Iss Shaher Mein
Na Allaah Haii Na Raam Iss Shaher Mein

Har Bhashar KhooN Ka Pyasaa Hai YahaaN
Koi Aur NahiN Hai Kaam Iss Shehar Mein?

Har Galii Mein Waihshat Ki Buu Aati Hai
Bikh Gyaa Sab Ka ImaaN Iss Shehar Mein

Ghar Sabhi Dushmani Ki Aag Mein Jal Gaye
Reh Gaye Khaali MakaaN Iss Shehar Mein

Kab Khatam Hogii KhooN Ki Holi YahaaN??
Har Shakhs Hai PareshaaN Iss Shehar Mein


HumTum


bhut khoob Humtum very nice...................
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #146 on: September 14, 2009, 09:17:11 AM »
Reply with quote
...nice one Talat...
Logged
Talat
Guest
«Reply #147 on: September 15, 2009, 11:28:03 AM »
Reply with quote
Thanks JHL
Logged
aaina
Guest
«Reply #148 on: September 16, 2009, 09:03:52 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Koi Shikwa Kisi Se Na Raha Iss Shehar Main,
Karen Ab Aur Kya Hum Gila Iss Shehar Main

Khamoshiyon Ki Zubaan Woh Samajhte Nahin,
Hum Ne Bhi Kisi Se Kuch Na Kaha Iss Shehar Main

Mujrim Bana Diya Hai Mujhe Mere Hi Alfaaz Ne,
Aur Kuch Mera Bhi Tha Sir Jhuka Iss Shehar Main

Humne Hi Chorh Di Wo Mehfilain, Thak Haar Ke,
Behtar Hai Main Rahun Ab Tanha Iss Shehar Main

Dekho Talat Hain Aur Bhi, Ek Bas Tum Hi Nahin,
Har Dil Main Ek Tees Hai, Ek Dard Chupa Iss Shehar Main


Bhut achay talat kya kehne aur sabhi ne bhut hi acha likha Humtum, Khwaish, reaper, cara, jasbir ji, nikhaar ji, pooja ji, namaloom ji, prateek ji, sab hi ne bhut umda likha hai to socha ke kuch likha jaaye iss shaher main............


Teri tarhan na mila koi iss shahar main
Be wajha hasee.n raat khoi iss shahar main

Dilo mein jalte hain syasato.n ke charaagh
Hai kaha.n Saaf goii iss shahar main

Mein usko charago.n ke naam karke aaya magr
Shub e firaaq tanha royi iss shahar main

Kisi ki cheekh kaano mai padti hi nahi 
Hai zindagi aisi soyi iss sahahr main

Aslam ruswaaii ki hwaao.n se bachaao usse
Wo jo phirti hai khoi khoi iss shahar main

Logged
Talat
Guest
«Reply #149 on: September 17, 2009, 11:52:17 AM »
Reply with quote

Bhut achay talat kya kehne aur sabhi ne bhut hi acha likha Humtum, Khwaish, reaper, cara, jasbir ji, nikhaar ji, pooja ji, namaloom ji, prateek ji, sab hi ne bhut umda likha hai to socha ke kuch likha jaaye iss shaher main............


Teri tarhan na mila koi iss shahar main
Be wajha hasee.n raat khoi iss shahar main

Dilo mein jalte hain syasato.n ke charaagh
Hai kaha.n Saaf goii iss shahar main

Mein usko charago.n ke naam karke aaya magr
Shub e firaaq tanha royi iss shahar main

Kisi ki cheekh kaano mai padti hi nahi 
Hai zindagi aisi soyi iss sahahr main

Aslam ruswaaii ki hwaao.n se bachaao usse
Wo jo phirti hai khoi khoi iss shahar main



Thanks so much Aslam Ji.....Ye thread dil ke itne qareeb hai....bas saath milta jaaye aur hum likhte jaayen yahan....aapne bhi yahan likha, bohot khushi hui..... Bohot bohot khoob Aslam Ji

Inshallah yahan jaldi hi kuch likhne ki koshish hogi  Usual Smile
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 06:20:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer