Iss Shehar Main......!!!

by Talat on July 12, 2009, 08:34:11 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 10521 times)
Talat
Guest
«Reply #30 on: July 14, 2009, 08:35:32 PM »
Reply with quote
waah Talat Ji ... bahut acche.... Kucch Arz hai.


Kehne ko to hai sab yahaan iss shehar mein
Magar tujh jasia koi kahaan iss shehar mein

Kha tha kissi ne ke yha farishte rehte hai
Mein 'taa umr dhundta rhaa iss shehar mein

Mujhe aaj bhi apne wojuud ki hai talaash
kya yeh hai waffaa ka sila iss shehar mein?

VeeraniyoN, khamoshiyoN, udasiyoN, andhiyoN ka
Shayad chalta rhega silsila iss shehar mein !!



HumTum



Shukriya Hum Tum....Bohot Khoob  Applause Applause

Aankhon Se Padh Liya Jata Hai, Jo Hota Hai Dil Ke Andar,
Phir Bhi Jaane Kyun Log Bade Adaakar Hain Iss Shehar Main

Hum To Thak Chale Hain Bohot Iss Jhoot Ki Fizaaon Main,
Koi To Apna Mile, Ki Talabgaar Hain Iss Shehar Main
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh shehar ..... by HumTum in Shayri-E-Dard
parchaiyoon ke shehar by sunny.22 in Shayri-E-Dard
Ek Shehar Unka Ek Shehar Apna,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Aapkay shehar meh by Anushka in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
main hun tere shehar ton by dil apna punjabi in Pain in Love : Punjabi poetry
Talat
Guest
«Reply #31 on: July 14, 2009, 08:43:01 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

bahot khoob likha hai aapne Talat ji,behad achi ghazal

aur sabhi ne bahot acha likha hai  Applause Applause

ek koshish hamari taraf se

har taraf hi udaasi aur har hi khushi ke nagme hote hain
hum jaisa dekhen hume vaise hi vo nazar aate hain


kabhi kabhi zindagi me bhi aise lamhaat aate hain
jab bheed me bhi hum khud tanha zara bhi pate hain

tab khushi me bhi hum khud ko khush nahi kar paate hain


vo lamhaat kabhi zindagi me zyada ummeek se to kabhi naummeedi se
ye manzar to hamesha hi aayen aur aate rahte hain


ye to imaandaari hai aapki aapse kalam ki jo ehsaason se lipti hai Talat
har koi jahan me itni shiddat se har ehsaas nahi mahsus kar paate hain



Bohot Khoob Kaash Ji...and thanks so much for appreciation...

Ye Chalan Hai Zamane Ka, Ya Mujh Main Koi Khot Hai
De Raha Har Shakhs Yahan, Mujh Ko Koi Chot Hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #32 on: July 14, 2009, 08:44:46 PM »
Reply with quote
subhan allah talat bahen kya qoob ghazal likhi hai apne dil ko chuke guzri ye kalam apki wah bhai hazaro karodo dad qubool kariyega ..kya hi qoob dard bayan kiya hai apne hum biti lagti hai bhai wah !!allah apko khush rakhe !!

Qadeertoopchi

Qadeer Bhaijan,

aapki ehsanmand hoon jo aapne ek guest ke taur bhi mujhe na sirf padha, balki yahan comment dene ki takleef bhi ki....Bohot bohot shukriya Qadeer Bhai jo aapne yahan aa kar meri hausla afzaai ki.....Thanks so much....
Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: July 14, 2009, 08:47:16 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Bahut Khoooob Dost!!!

Har Ek As'haar Lajawab,bahut Hi Gehre Aur Dil Ko Chune Wale..

Bahut Ache Dost!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Khwaish Dost, mujhe apne har thread pe apke comments ka intezar sa rehta hai....Thanks so much my dear friend for always reading my work and always appreciating it, no matter it is really good or not.

Thanks so much for your friendship, and for always being there  icon_flower
Logged
Talat
Guest
«Reply #34 on: July 14, 2009, 08:48:15 PM »
Reply with quote
Mashallah Bohat Achcha Kalaam LIkha Hai Talat Sis,.
And Nice One Humtum JI, And Kaash Bhai,.

Bohot shukriya Azeem
Logged
Talat
Guest
«Reply #35 on: July 14, 2009, 08:57:53 PM »
Reply with quote
Talat Dost ,Ek Koshsih kar rahahoon Ke Kuch Likh Sakoon..Umeed Karta Hoon,Aapko Aur Sabko Yeh Koshish Pasand Aaye..


Aadmi Aadmi Ka Hi Dushman Hai Iss Shehar Mein,
Kuch Ajeeb Sa Manzar Hai Iss Shehar Mein...

Yeh Jhoot Hi Hai Gar Koi Kahen,Ke "Yahan Main Sab Ko Jaanta Hoon!!!"
Har Apna Bhi Ajnabi Sa Hai Iss Shehar Mein....

Insaan Ki Khoobiyon ki Yahan Koi Pehchaan Nahi,
Par Paiso Ki Badi Kadar Hai Iss Shehar Mein....

Meri Soch Uski Soch se Bahut Alag Hai,
Uski Soch Bhi Meri Soch se, Sabki Apni-Apni Soch Hai Iss Shehar Mein....

Main Jo Hoon,Bas Wahin Hoon,Main Waqt Ke Mutaabik Apne Rang Badalta Nahi,
Jo Log Aaj Idhar The,Kal Udhar Hai,Iss Shehar Mein....

Yeh Baat Sach Hai ke Har Insaan Darta hai Apni Hi Tanhaai Se!!!
Par "Khwaish" Mehfilo Mein Bhi Bhari Kyon Tanhaiyan Hai Iss Shehar Mein???



 Applause Applause Applause Applause

Bohot bohot khoob Dost.... bohot gehri baatain likh di aapne ..... Bohot pasand aayi aapki ye koshish....lajawab hai  Dost....Inshallah aapki is post ka lamba jawab zaroor dungi Khwaish.....abhi ke liye sirfk ye sher likh rahi hoon......



Ek Ajeeb Sa Manzar Nazar Aata Hai, Iss Shehar Main,
Qaatil Ke Bhes Main Masiha Dikhta Hai, Iss Shehar Main

Kis Ko Kahen Hum Apna, Kis Ko Maane Hum Dilnawaz,
Chehre Pe Chehra Har Shakhs Rakhta Hai Iss Shehar Main
Logged
aaina
Guest
«Reply #36 on: July 14, 2009, 09:11:52 PM »
Reply with quote


bhut khoobsurat paishkash talat..
Logged
Kanta
Guest
«Reply #37 on: July 14, 2009, 09:46:33 PM »
Reply with quote
Cel sis wow boht hi badeya gajal he kese likka etna sunder
Logged
Talat
Guest
«Reply #38 on: July 15, 2009, 07:24:32 AM »
Reply with quote
bhut khoobsurat paishkash talat..

Bohot shukriya apka Aslam Ji....aap ke comments se ek naya hausla aa jaata hai....Thanks so much for always reading & appreciating.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #39 on: July 15, 2009, 07:57:58 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB DR SAHIBAA Applause Applause Applause
Logged
HumTum
Guest
«Reply #40 on: July 15, 2009, 09:12:58 AM »
Reply with quote
Shukriya Hum Tum....Bohot Khoob  Applause Applause

Aankhon Se Padh Liya Jata Hai, Jo Hota Hai Dil Ke Andar,
Phir Bhi Jaane Kyun Log Bade Adaakar Hain Iss Shehar Main

Hum To Thak Chale Hain Bohot Iss Jhoot Ki Fizaaon Main,
Koi To Apna Mile, Ki Talabgaar Hain Iss Shehar Main

Talat Ji...


Jane kyun khicha aaya iss shehar mein
Aa kar bas dard paya iss shehar mein

Tujh se ishq karne ka yeh sila mila   
Har kissi ne rulaya iss shehar mein!!


HumTum

Logged
Talat
Guest
«Reply #41 on: July 15, 2009, 12:56:10 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahoot suchi baat kahin Khwaish ji!!Good creation!!

kahne ko bahoot apne, per koi nahi apna
yah jaan liya humne, ajj tere shehar main

sochein hai apni, zindagi bhi hai apni
kalam bhi chale khud se, ab to tere shehar main

kahe bhi to kise apna, ajeeb tamasha hai
de de agar khud hath, jhatak dete hai rishta, tere shehar main

kahne ko bahoot apne, per koi nahi apna
yah jaan liya humne, ajj tere shehar main





Waah...Bohot Khoob Pooja  Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #42 on: July 15, 2009, 12:56:57 PM »
Reply with quote
Cel sis wow boht hi badeya gajal he kese likka etna sunder

Thanks so much dear...So nice to see after a long time Usual Smile....Bas kabhi kabhi likh lete hain dear tongue3 tongue3
Logged
Talat
Guest
«Reply #43 on: July 15, 2009, 01:09:24 PM »
Reply with quote
Talat Dost ,Ek Koshsih kar rahahoon Ke Kuch Likh Sakoon..Umeed Karta Hoon,Aapko Aur Sabko Yeh Koshish Pasand Aaye..


Aadmi Aadmi Ka Hi Dushman Hai Iss Shehar Mein,
Kuch Ajeeb Sa Manzar Hai Iss Shehar Mein...

Yeh Jhoot Hi Hai Gar Koi Kahen,Ke "Yahan Main Sab Ko Jaanta Hoon!!!"
Har Apna Bhi Ajnabi Sa Hai Iss Shehar Mein....

Insaan Ki Khoobiyon ki Yahan Koi Pehchaan Nahi,
Par Paiso Ki Badi Kadar Hai Iss Shehar Mein....

Meri Soch Uski Soch se Bahut Alag Hai,
Uski Soch Bhi Meri Soch se, Sabki Apni-Apni Soch Hai Iss Shehar Mein....

Main Jo Hoon,Bas Wahin Hoon,Main Waqt Ke Mutaabik Apne Rang Badalta Nahi,
Jo Log Aaj Idhar The,Kal Udhar Hai,Iss Shehar Mein....

Yeh Baat Sach Hai ke Har Insaan Darta hai Apni Hi Tanhaai Se!!!
Par "Khwaish" Mehfilo Mein Bhi Bhari Kyon Tanhaiyan Hai Iss Shehar Mein???




Khwaish Dost, ek baar phir se daad qubool karen...Bohot bohot khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kal ek alag mood tha..aaj kuch aur mood main likhne ki koshish ki hai.....


Maana Ki Nazar Aata Hai Dushman, Aadmi Iss Shehar Main,
Kuch Insaaniyan Hai Ab Bhi Baaqi Iss Shehar Main

Wo Deewarain Phir Gir Jaayengi, Jo Darmiyaan Hain,
Ban Jaayenge Apne Jo Hain Ajnabi Iss Shehar Main

Har Soch Alag Ho To Bhi Kya Ghum Hai Ae Dost,
Bas Anjaam Har Soch Ka Ho Bhalai Iss Shehar Main

Mil Jaayen Dil, Ho Door Hasad Ek Doosre Ki Janib Se,
Dua Tah-e-Dil Se Humne Hai Maangi, Iss Shehar Main
Logged
Talat
Guest
«Reply #44 on: July 15, 2009, 01:09:58 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB DR SAHIBAA Applause Applause Applause

Thanks so much Khamosh Ji
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:38:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer