Iss Shehar Main......!!!

by Talat on July 12, 2009, 08:34:11 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 10442 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: July 15, 2009, 01:13:04 PM »
Reply with quote
Talat Ji...


Jane kyun khicha aaya iss shehar mein
Aa kar bas dard paya iss shehar mein

Tujh se ishq karne ka yeh sila mila   
Har kissi ne rulaya iss shehar mein!!


HumTum




Aa Ke Phir Jaane Ki Na Karo Baat Iss Shehar Main,
Maana Ki Hain Muhskil Bohot Haalaat Iss Shehar Main

Nayi Subah Aayegi, Is Ghum-e-Hijraan Ke Baad,
Armaanon Ki Niklegi Baraat Iss Shehar Main
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh shehar ..... by HumTum in Shayri-E-Dard
parchaiyoon ke shehar by sunny.22 in Shayri-E-Dard
Ek Shehar Unka Ek Shehar Apna,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Aapkay shehar meh by Anushka in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
main hun tere shehar ton by dil apna punjabi in Pain in Love : Punjabi poetry
smardia
Guest
«Reply #46 on: July 15, 2009, 01:27:30 PM »
Reply with quote
Badi sunder rachna hai aapki....
Dil ko chhu lene wali lines hain..
"ROSHNI KE RAASTO KE GUL HUYE SAB CHIRAG
 Gul bhi berang hai,hai khizaaon se bahar"
Daad kabul keejjeeye... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ye kaisa daur hai is shehar mai
Diwali mai diye nahi jale
Holi mai rang nahi khile
Barish mai barshi tou bus akhiyen barsi


Logged
HumTum
Guest
«Reply #47 on: July 15, 2009, 01:29:50 PM »
Reply with quote


Dil ne puakara hai tera naam iss shehar mein
Magar aaya na tera koi Salaam iss shehar mein

Woh tere ahd, ahd they yaa tha shalava koi
Hum aa kar ho gaye bad'gumaaN iss shehar mein !!


HumTum

Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #48 on: July 15, 2009, 03:32:21 PM »
Reply with quote
Classical style of ghazal, Celmira Ji
Aisi ghazal likhne ke liye badi efficiency chahiye
Very well done
Logged
namaloom
Guest
«Reply #49 on: July 15, 2009, 03:41:10 PM »
Reply with quote
tu achhi hai sunder or jawan hai tujh pe udashi achhi nahi lagti
teri mirg jaisi naina, hirni jaise chaal tujh pay sarfat achhi nahi lagti
tu jaan hai hazaron ki tu raani hai baharon ki, tri gumnami acchhi nahi lagti
naa ho udash apni jindgi se, tujh se hai payar sabhee ka too kishi aik ki ho achhi lagti
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #50 on: July 15, 2009, 04:41:27 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

Bohot bohot khoob Dost.... bohot gehri baatain likh di aapne ..... Bohot pasand aayi aapki ye koshish....lajawab hai  Dost....Inshallah aapki is post ka lamba jawab zaroor dungi Khwaish.....abhi ke liye sirfk ye sher likh rahi hoon......



Ek Ajeeb Sa Manzar Nazar Aata Hai, Iss Shehar Main,
Qaatil Ke Bhes Main Masiha Dikhta Hai, Iss Shehar Main

Kis Ko Kahen Hum Apna, Kis Ko Maane Hum Dilnawaz,
Chehre Pe Chehra Har Shakhs Rakhta Hai Iss Shehar Main

Bahut Bahut Khoob Dost!!!  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aur Teh Dil Se Shukriya Aapka Jo Aapne Itni Izzat Bakshi Hai...Aapko yeh Koshish pasand Aayi,Yeh Jaankar Bahut Khushi Hui Hai..Shukriya Dost icon_flower
Logged
Roja
Guest
«Reply #51 on: July 15, 2009, 04:44:15 PM »
Reply with quote
Wah... good going...Talat, Sarvesh Rastogi ji,  Humtum.., Naamaloom ji   
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #52 on: July 15, 2009, 04:56:01 PM »
Reply with quote

Khwaish Dost, ek baar phir se daad qubool karen...Bohot bohot khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kal ek alag mood tha..aaj kuch aur mood main likhne ki koshish ki hai.....


Maana Ki Nazar Aata Hai Dushman, Aadmi Iss Shehar Main,
Kuch Insaaniyan Hai Ab Bhi Baaqi Iss Shehar Main

Wo Deewarain Phir Gir Jaayengi, Jo Darmiyaan Hain,
Ban Jaayenge Apne Jo Hain Ajnabi Iss Shehar Main

Har Soch Alag Ho To Bhi Kya Ghum Hai Ae Dost,
Bas Anjaam Har Soch Ka Ho Bhalai Iss Shehar Main

Mil Jaayen Dil, Ho Door Hasad Ek Doosre Ki Janib Se,
Dua Tah-e-Dil Se Humne Hai Maangi, Iss Shehar Main


Bahut Bahut Bahut Khoooob Talat!!! Bahut Hi Jazbaati Aur Dil Ki Gehrai mein Utar Jaane wali Baatein Ki Hai Aapne..
Bahut Ache Dost.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aadmi Aadmi Hi Rahe To Behtar Hai iss Shehar Mein
Varna Kuch Bhi Nahi Hai Haasil iss Shehar Mein...

Zakhm-E-Ruswai Ki Baatein Bahut Ho Chuki!!!
Kabhi To Koi Ajnabi Ko Bhi,Apne Gale Lagaye Iss Shehar Mein....

Rahe Khuluus,Mohabbat Dilon Mein Zinda To Veeraniyon Mein Bhi Mehfile Hai,
Gham To Bahut Door Ki Baat hai!!!Kisi Ki Khushi mein Hi sahi,
Par Koi To Muskuraye Iss Shehar Mein....

"Khwaish" Kehta Hai Ke Zindagi To Sirf Chaar Din Ki Hai!!!!
Naa jaane!! Kaun, kab, Kahan Bichad jaaye iss Shehar Mein
Logged
Roja
Guest
«Reply #53 on: July 15, 2009, 04:57:52 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Bahut Khoooob Talat!!! Bahut Hi Jazbaati Aur Dil Ki Gehrai mein Utar Jaane wali Baatein Ki Hai Aapne..
Bahut Ache Dost.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aadmi Aadmi Hi Rahe To Behtar Hai iss Shehar Mein
Varna Kuch Bhi Nahi Hai Haasil iss Shehar Mein...

Zakhm-E-Ruswai Ki Baatein Bahut Ho Chuki!!!
Kabhi To Koi Ajnabi Ko Bhi,Apne Gale Lagaye Iss Shehar Mein....

Rahe Khuluus,Mohabbat Dilon Mein Zinda To Veeraniyon Mein Bhi Mehfile Hai,
Gham To Bahut Door Ki Baat hai!!!Kisi Ki Khushi mein Hi sahi,
Par Koi To Muskuraye Iss Shehar Mein....

"Khwaish" Kehta Hai Ke Zindagi To Sirf Chaar Din Ki Hai!!!!
Naa jaane!! Kaun, kab, Kahan Bichad jaaye iss Shehar Mein


Wah wah bhaiya.... bahut accha likha hai...  Thumbs UP
Logged
pandit
Guest
«Reply #54 on: July 16, 2009, 06:39:14 AM »
Reply with quote



bahut khoob
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #55 on: July 16, 2009, 06:40:54 PM »
Reply with quote
Waah ji Waah......kya baat hai. ...sabne itna khub likha hai aur itni raunak lagayi hui hai yha ki kya kahe.....Celmira ji aapse kya kahu.... icon_salut
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

jinhone bhi yha par likha hai....bahut khub likha hai...
sabke liye...... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #56 on: July 17, 2009, 12:31:57 PM »
Reply with quote
Badi sunder rachna hai aapki....
Dil ko chhu lene wali lines hain..
"ROSHNI KE RAASTO KE GUL HUYE SAB CHIRAG
 Gul bhi berang hai,hai khizaaon se bahar"
Daad kabul keejjeeye... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ye kaisa daur hai is shehar mai
Diwali mai diye nahi jale
Holi mai rang nahi khile
Barish mai barshi tou bus akhiyen barsi


Bohot bohot shukriya Smardia Ji aapne is ghazal ko pasand kiya....thanks so much Usual Smile

Nice one from you too  Applause Applause

Kuch Ajab Si Khamoshiyan Chaayi Hain Iss Shehar Main,
Na Rang Utra Bahaar Ka, Na Titliyaan Aayi Hain Iss Shehar Main

Poocha Jo Maine Hawaaon Se, Akhir Ye Maajra Hai Kya
Kuch Bhooli Hui Si Daastaanain Sunayi Hain, Iss Shehar Main

Logged
Talat
Guest
«Reply #57 on: July 17, 2009, 12:35:24 PM »
Reply with quote


Dil ne puakara hai tera naam iss shehar mein
Magar aaya na tera koi Salaam iss shehar mein

Woh tere ahd, ahd they yaa tha shalava koi
Hum aa kar ho gaye bad'gumaaN iss shehar mein !!


HumTum



Bohot Khoob Hum Tum

Bujh Chuki Hai Dil Ki Har Awaaz Iss Shehar Main,
Na Koi Naghma Hai Na Saaz Iss Shehar Main

Kis Ko Kahen Hum Apna, Ki Har Chehra Hai Begaana Sa,
Na Humnawa Hai Koi Na Humraaz Iss Shehar Main

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #58 on: July 17, 2009, 12:52:22 PM »
Reply with quote

Yun To Raha Carwaan Bhi, Raasta Bhi, Saathi Bhi Mere,.
Mujhe Hi Nizbat Kuch Zyada Reh Gayi, Is Shehar Se Tere,.

Main Hi Ek Tanha Tha, Jiska Ghar Jalkar Bhi Roshni Na De Saka,.
Mujhse Judi Har Cheez KO Jakard Chuke Meri Kismat Ke Andhere,.

Azeem,.
Logged
Talat
Guest
«Reply #59 on: July 17, 2009, 02:14:27 PM »
Reply with quote
Classical style of ghazal, Celmira Ji
Aisi ghazal likhne ke liye badi efficiency chahiye
Very well done

Thanks so much Sarvesh Ji  notworthy notworthy notworthy

It's an honour to get such a comment from a great & senior poet like you. Thanks so much.
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 02:47:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer