Iss Shehar Main......!!!

by Talat on July 12, 2009, 08:34:11 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 10446 times)
Talat
Guest
«Reply #60 on: July 17, 2009, 02:15:17 PM »
Reply with quote
tu achhi hai sunder or jawan hai tujh pe udashi achhi nahi lagti
teri mirg jaisi naina, hirni jaise chaal tujh pay sarfat achhi nahi lagti
tu jaan hai hazaron ki tu raani hai baharon ki, tri gumnami acchhi nahi lagti
naa ho udash apni jindgi se, tujh se hai payar sabhee ka too kishi aik ki ho achhi lagti

Good lines Namaloom Ji..Thanks for writing here in this thread Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh shehar ..... by HumTum in Shayri-E-Dard
parchaiyoon ke shehar by sunny.22 in Shayri-E-Dard
Ek Shehar Unka Ek Shehar Apna,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Aapkay shehar meh by Anushka in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
main hun tere shehar ton by dil apna punjabi in Pain in Love : Punjabi poetry
Talat
Guest
«Reply #61 on: July 17, 2009, 02:15:53 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Dost!!!  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aur Teh Dil Se Shukriya Aapka Jo Aapne Itni Izzat Bakshi Hai...Aapko yeh Koshish pasand Aayi,Yeh Jaankar Bahut Khushi Hui Hai..Shukriya Dost icon_flower


You are most welcome Dost
Logged
Talat
Guest
«Reply #62 on: July 17, 2009, 02:16:18 PM »
Reply with quote
Wah... good going...Talat, Sarvesh Rastogi ji,  Humtum.., Naamaloom ji  

Thanks so much my dear Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #63 on: July 17, 2009, 02:16:50 PM »
Reply with quote

bahut khoob

Bohot shukriya Pandit Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #64 on: July 17, 2009, 02:17:46 PM »
Reply with quote
Waah ji Waah......kya baat hai. ...sabne itna khub likha hai aur itni raunak lagayi hui hai yha ki kya kahe.....Celmira ji aapse kya kahu.... icon_salut
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

jinhone bhi yha par likha hai....bahut khub likha hai...
sabke liye...... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Thanks so much dear Pops  icon_flower bohot bohot shukriya aapne ise padha aur pasand kiya....Thanks a lot dear.
Logged
Talat
Guest
«Reply #65 on: July 17, 2009, 02:26:22 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Bahut Khoooob Talat!!! Bahut Hi Jazbaati Aur Dil Ki Gehrai mein Utar Jaane wali Baatein Ki Hai Aapne..
Bahut Ache Dost.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aadmi Aadmi Hi Rahe To Behtar Hai iss Shehar Mein
Varna Kuch Bhi Nahi Hai Haasil iss Shehar Mein...

Zakhm-E-Ruswai Ki Baatein Bahut Ho Chuki!!!
Kabhi To Koi Ajnabi Ko Bhi,Apne Gale Lagaye Iss Shehar Mein....

Rahe Khuluus,Mohabbat Dilon Mein Zinda To Veeraniyon Mein Bhi Mehfile Hai,
Gham To Bahut Door Ki Baat hai!!!Kisi Ki Khushi mein Hi sahi,
Par Koi To Muskuraye Iss Shehar Mein....

"Khwaish" Kehta Hai Ke Zindagi To Sirf Chaar Din Ki Hai!!!!
Naa jaane!! Kaun, kab, Kahan Bichad jaaye iss Shehar Mein


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot Khoob...ek phir se daad haazir hai Dost aapki iss khoobsurat shayari pe iss khoobsurat soch par...Bohot khoob Khwaish


Kaash Ki Ana Ki Deewarain, Gir Jaayen Iss Shehar Main
Kaash Ki Dilon Ke Faasle Mit Jaayen Iss Shehar Main

Tohamaton Ke Silsile Chalte Rahenge Kab Talak,
Ek Doosre Ko Phir Gale Lagayen Iss Shehar Main

Bohot Guzar Gayin Raatain Kaale Ghane Andheron Main,
Mil Kar Nayi Aas Ki Shama Jalaayen Iss Shehar Main

Zindagi Hai Bewafa, Kab Maut Ki Dastak Aa Jaaye
Jo Hain Pal Saath, Unhe Khushnuma Banayen Iss Shehar Main !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #66 on: July 17, 2009, 03:15:11 PM »
Reply with quote

Ankh num, khamosh har zubaaN iss shehar mein
Kucche veeraN galiyan veeraaN iss shehar mein

Zulm ashiqoN pe ho rhe hain kadam dar kadam
Ae khuda tu chupaa hai kahaN iss shehar mein

Shayad yahaN ki aab-o-hawa mein hai ranjisheiN
"Hum" pareshaaN "Tum" pareshaaN iss shehar mein

Kar lo jitne bhi karne hai sitam iss dafaa, ke
Dobara na hum aayenge jahanpnah iss shehar mein !!


HumTum

Logged
Talat
Guest
«Reply #67 on: July 17, 2009, 03:54:22 PM »
Reply with quote

Yun To Raha Carwaan Bhi, Raasta Bhi, Saathi Bhi Mere,.
Mujhe Hi Nizbat Kuch Zyada Reh Gayi, Is Shehar Se Tere,.

Main Hi Ek Tanha Tha, Jiska Ghar Jalkar Bhi Roshni Na De Saka,.
Mujhse Judi Har Cheez KO Jakard Chuke Meri Kismat Ke Andhere,.

Azeem,.



Bohot Khoob Azeem


Gharon Ko Jala Kar Kahan Roshni Hua Karti Hai,
Roshni Dekho To Faqat Dil Main Hua Karti Hai

Dil Ke Andheron Ko Mita Kar Jo Dekho Kabhi,
Dil Ki Roshni Main Har Raah Jala Karti Hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #68 on: July 17, 2009, 04:02:07 PM »
Reply with quote

Ankh num, khamosh har zubaaN iss shehar mein
Kucche veeraN galiyan veeraaN iss shehar mein

Zulm ashiqoN pe ho rhe hain kadam dar kadam
Ae khuda tu chupaa hai kahaN iss shehar mein

Shayad yahaN ki aab-o-hawa mein hai ranjisheiN
"Hum" pareshaaN "Tum" pareshaaN iss shehar mein

Kar lo jitne bhi karne hai sitam iss dafaa, ke
Dobara na hum aayenge jahanpnah iss shehar mein !!


HumTum



Bohot Khoob Hum Tum  Applause Applause Applause


Hum Ko Yaqeen Hai Laut Kar Aayegi Bahaar Iss Shehar Main
Mil Jaayega Jo Kho Chuke Hain Apna Qaraar Iss Shehar Main

Veeraniyon Main Lipte Hue Kooche Jo Nazar Aaate Hain,
Har Simt Aa Jaayega Phir Se Nikhaar Iss Shehar Mainn

Ranjishon Ki Humne Maana Chal Rahi Ek Riwaayat Hai,
Gir Bhi Sakti Hain Magar Dilon Ki Deewaar Iss Shehar Main

Jaane Ki Baatain Chorho, Thoda Sa Muskuraao Tum,
Itne Bhi To Bure Nahin Hum, Sarkaar Iss Shehar Main !!



Logged
HumTum
Guest
«Reply #69 on: July 20, 2009, 03:13:41 PM »
Reply with quote
waah Talat Ji - bahut khoob .. khaskar last sher.


Rukh kar bhi kya karenge sarkar iss shehar mein
phir wohi tanhaii wohi intezaar iss shehar mein

Kaun kartaa hai yahaN muslifooN par inayaatieN ?
Aamiri ka hai bol-bola barkraar iss shehar mein

Chend sikkoN mein bik rhi hai laila yahaaN
Muhobat ko bna rakha hai karobaar iss shehar mein

Uthi hai har shab yahaN kissi majnu ki laash
Khuda bhi nazar aata hai lachaar iss shehar mein !!


HumTum


Logged
Talat
Guest
«Reply #70 on: July 23, 2009, 11:21:54 AM »
Reply with quote
Shukriya Ji... Bohot Khoob


Hain Sangdil Yahan To Kuch MeherbaaN Iss Shehar Main,
Hain Tanha Musfair, To Kuch KaravaaN Iss Shehar Main

Rang-o-Noor Se Khaali Chaman Rahega Kab Talak,
Kuch Jugnu Bhi Hai Aur TitliyaaN Iss Shehar Main

Laila Ke Daaman Tak Pahunch Rahe Hain Haath Jo,
Ek Din Ho Jaayenge Wo PashemaaN Iss Shehar Main

Zulm-o-Sitam Ki Umr Bohot Taveel Hoti Nahin
Khudaai Ko Aazama Rahe Kuch NadaaN Iss Shehar Main

Logged
HumTum
Guest
«Reply #71 on: July 27, 2009, 02:39:56 PM »
Reply with quote
waah Talat Ji .. bahut acche .... chalo hum bhi ho jate hai shaamil iss shehar mein.. lekar phir wohi dil iss shehar mein .... jiski hai in ankhoon ko talash.. shyaad mil jaye mera qatil iss shehar mein...


Umrdtha yaadoN ka bhawander iss shehar mein
Behta ankhooN say samunder iss shehar mein

Kis ko apna kahe, kiske pehlu mein jayien?
Har ik shaks hai sikander iss shehar mein

Ho Rhiin nilaam khawatieney sar-e-bazaar
Nachta  kalyug ka bandar iss shehar mein

Tum na mano magar humne dekha hai "HumTum"
Milti hai roti imaaN bechkar iss shehar mein!!

HumTum

Logged
Talat
Guest
«Reply #72 on: July 28, 2009, 09:50:07 AM »
Reply with quote
waah Talat Ji .. bahut acche .... chalo hum bhi ho jate hai shaamil iss shehar mein.. lekar phir wohi dil iss shehar mein .... jiski hai in ankhoon ko talash.. shyaad mil jaye mera qatil iss shehar mein...


Umrdtha yaadoN ka bhawander iss shehar mein
Behta ankhooN say samunder iss shehar mein

Kis ko apna kahe, kiske pehlu mein jayien?
Har ik shaks hai sikander iss shehar mein

Ho Rhiin nilaam khawatieney sar-e-bazaar
Nachta  kalyug ka bandar iss shehar mein

Tum na mano magar humne dekha hai "HumTum"
Milti hai roti imaaN bechkar iss shehar mein!!

HumTum


Kya baat hai Hum Tum .... Bohot khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley

Yaadon Ka Toofan Umadta Hai Iss Shehar Main,
Ek Darya Musalsal Behta Hai Iss Shehar Main

Chehre Hain Wahi Magar Andaaz Sab Badle Se Hain,
Apno Ke Bhes Main Kaun Rehta Hai Iss Shehar Main

Zamane Ki Hawa Shayad Idhar Bhi Aayi Hai,
Har Shakhs Aankh Chuarya Sa Phirta Hai Iss Shehar Main

Kis Ka Imaan Zinda Hai, Kis Ka Daaman Saaf Hai,
Dil Aise Sawalon Se Door Ab Rehta Hai Iss Shehar Main

Logged
HumTum
Guest
«Reply #73 on: July 28, 2009, 10:03:30 AM »
Reply with quote
waah Talat Ji ...


Luut chuka sab kucch hamara iss shehar mein
Ab to jeena nahin gawanra iss shehar mein

NafratooN ke teer kha kar dostooN ki Kaman se
Humne kis kis ko na pukara iss shehar mein

Kya kya na zulm huye muhhobat ke naam par
Mil gya mil gya dil bechara iss shehar mein

Har taraf dard ki bajti sankdooN shahnaiyaN
Duub gya kismet ka sitara iss shehar mein!!

HumTum

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #74 on: July 28, 2009, 04:45:57 PM »
Reply with quote
bahut Bahut Khooob Talat Dost & HumTumji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Nice One Azeem.. Applause Applause
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 03:33:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.157 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer