Iss Shehar Main......!!!

by Talat on July 12, 2009, 08:34:11 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 11
ReplyPrint
Author  (Read 10448 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #75 on: July 28, 2009, 04:57:54 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot Khoob...ek phir se daad haazir hai Dost aapki iss khoobsurat shayari pe iss khoobsurat soch par...Bohot khoob Khwaish


Kaash Ki Ana Ki Deewarain, Gir Jaayen Iss Shehar Main
Kaash Ki Dilon Ke Faasle Mit Jaayen Iss Shehar Main

Tohamaton Ke Silsile Chalte Rahenge Kab Talak,
Ek Doosre Ko Phir Gale Lagayen Iss Shehar Main

Bohot Guzar Gayin Raatain Kaale Ghane Andheron Main,
Mil Kar Nayi Aas Ki Shama Jalaayen Iss Shehar Main

Zindagi Hai Bewafa, Kab Maut Ki Dastak Aa Jaaye
Jo Hain Pal Saath, Unhe Khushnuma Banayen Iss Shehar Main !!


Bahut Bahut Khooob Dost!!!Bahut Hi Khoobsurat Jazbaat Pesh Kiye Hai Aapne Talat..Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Auro Ko Raah Dikhane Wala,
Khud Kho Gaya Iss Shehar mein...

Naa Jaane Kya Tha Woh,
Aur Ab kya Ho Gaya Iss Shehar mein...

Iss Gard-e-Safar Mein, Dekh Kar Musafir ke Halaat!!
Pathar Bhi Naa Jaane Kyon Ro Gaya Iss Shehar mein...

Ek Fakir Jo kehta Raha Ke Waqt badlega,Halaat Phir Sudhrenge!!!
Aaj Naa Jaane Kahan,Woh khud So Gaya Iss Shehar Mein....

Yeh Zindagi Ki Raahein Tanha Kaatna Bahut  Hi Mushkil Hai "Khwaish"
Khush-Kismat Woh Shaks Jo Kisi Ka Ho Gaya Iss Shehar Mein.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeh shehar ..... by HumTum in Shayri-E-Dard
parchaiyoon ke shehar by sunny.22 in Shayri-E-Dard
Ek Shehar Unka Ek Shehar Apna,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Aapkay shehar meh by Anushka in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
main hun tere shehar ton by dil apna punjabi in Pain in Love : Punjabi poetry
thegrimreaper
Guest
«Reply #76 on: July 28, 2009, 07:47:16 PM »
Reply with quote
Kya baat hai Hum Tum .... Bohot khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley

Yaadon Ka Toofan Umadta Hai Iss Shehar Main,
Ek Darya Musalsal Behta Hai Iss Shehar Main

Chehre Hain Wahi Magar Andaaz Sab Badle Se Hain,
Apno Ke Bhes Main Kaun Rehta Hai Iss Shehar Main

Zamane Ki Hawa Shayad Idhar Bhi Aayi Hai,
Har Shakhs Aankh Chuarya Sa Phirta Hai Iss Shehar Main

Kis Ka Imaan Zinda Hai, Kis Ka Daaman Saaf Hai,
Dil Aise Sawalon Se Door Ab Rehta Hai Iss Shehar Main


Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley gr8 lines Celmira ji
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #77 on: July 29, 2009, 02:48:44 AM »
Reply with quote
Celmira Ji,

Kal raat ko is thread pur pahucha thaa.Kuch der tuk padha bhee,pur laga ki keval aupchaarikta mein nahi padha ja sakta yeh thread-itni gehri baatein ,itni khoobsoorti se aapne laybadh ki hai yahan..ki ek ek sher bina gungunaaye nahi reh saka.raat se aaj ki subah hone ka intzaar karta raha ki sabse pehli fursut mein tassali se padh saku yeh panne. Panne bhee kya-such bolu to jaise kisi prashansak ko koi dharohar mil jaaye-itne sundar nagme. Maine aapke ek-ek ashaar-pehle panne se lekar chate panne tuk bahut tassali se padhe hain aur aapki shabdo ki jaadugari-pehle aur agle vakya ka bejod taalmeil, gehrai, unki laya, maano perfection ka ek anmol namoona pesh kar gayi hai.Aapne jo kuch likha hai--woh kisi bhee prashansak ke liye sangrah karne yogya hai. Main aapko itni khoobsurat rachna aur behtareen panno ke liye tahe-dil se badhai deta hu!

 Applause Applause Applause Applause
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #78 on: July 29, 2009, 02:54:25 AM »
Reply with quote
Hum-Tum Ji,

Aapka likha ek ek ashaar padha--hur baat dil pur dustuk deti hai,
Aapne in khoobsurat panno ko chaar chaand lagaaye hai-isme koi do raay nahi. Aap ne jo saath nibhaaya hai-woh saadhran nahi bahu keemti hai-aapka hur sher arthpoorn raha hai-aur jis bebaaki se aapne apni bhaavnaaye prastoot ki hai, apni kalam ki sundar syahi se avgat karvaaya hai-main aapko dhnyawaad karta hu. Mera naam bhee apne prashansako ki list mein jod lijiyega.

 Applause Applause Applause Applause

Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #79 on: July 29, 2009, 03:01:51 AM »
Reply with quote
Khawish bhai,

Vaakai aapka andaaz ,aapki lekhni ,aapki soch sabhi ke paas honi chahiye is shaher mein....jub likha hai aapne tub poori imaandaari barti hai...aapke sher padhta kum hu-mehsoos jyada karta hu.aapki likhi hur baat aatma ko kachoti hain..hume swayam ko apne girebaan mein dekhna ka sandesh sujhaati hai!Aap vaakai ek imaandaar kalamkaar hai,aapko in rachnao ke liye dhero shubhkaamnaaye.


 Applause Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #80 on: July 30, 2009, 11:27:07 AM »
Reply with quote
bahut Bahut Khooob Talat Dost & HumTumji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Nice One Azeem.. Applause Applause


Thanks so much Dost  icon_flower
Logged
Talat
Guest
«Reply #81 on: July 30, 2009, 11:29:06 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley gr8 lines Celmira ji


Bohot bohot shukriya Reaper Ji Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #82 on: July 30, 2009, 11:32:29 AM »
Reply with quote
Celmira Ji,

Kal raat ko is thread pur pahucha thaa.Kuch der tuk padha bhee,pur laga ki keval aupchaarikta mein nahi padha ja sakta yeh thread-itni gehri baatein ,itni khoobsoorti se aapne laybadh ki hai yahan..ki ek ek sher bina gungunaaye nahi reh saka.raat se aaj ki subah hone ka intzaar karta raha ki sabse pehli fursut mein tassali se padh saku yeh panne. Panne bhee kya-such bolu to jaise kisi prashansak ko koi dharohar mil jaaye-itne sundar nagme. Maine aapke ek-ek ashaar-pehle panne se lekar chate panne tuk bahut tassali se padhe hain aur aapki shabdo ki jaadugari-pehle aur agle vakya ka bejod taalmeil, gehrai, unki laya, maano perfection ka ek anmol namoona pesh kar gayi hai.Aapne jo kuch likha hai--woh kisi bhee prashansak ke liye sangrah karne yogya hai. Main aapko itni khoobsurat rachna aur behtareen panno ke liye tahe-dil se badhai deta hu!

 Applause Applause Applause Applause

Prateek Ji


Main kin lafzon main aapka shukriya ada karun......Aap ne jo bhi likha, bas dil ko itni khushi hui ki meri ye choti si koshishon ko aapne is qadar saraha, iss qadar pasand kiya...Shayad yahi ek inaam hai kisi shayar/shayara ka......!

Aap ne humare iss thread main aakar hume jo izzat di hai, hum use byaan nahin kar sakte......bohot bohot shukriya aapka Prateek Ji  notworthy notworthy notworthy
Logged
Talat
Guest
«Reply #83 on: July 30, 2009, 11:33:09 AM »
Reply with quote
waah Talat Ji ...


Luut chuka sab kucch hamara iss shehar mein
Ab to jeena nahin gawanra iss shehar mein

NafratooN ke teer kha kar dostooN ki Kaman se
Humne kis kis ko na pukara iss shehar mein

Kya kya na zulm huye muhhobat ke naam par
Mil gya mil gya dil bechara iss shehar mein

Har taraf dard ki bajti sankdooN shahnaiyaN
Duub gya kismet ka sitara iss shehar mein!!

HumTum



Bohot Khoob Hum Tum Ji icon_thumleft


Thokaren Kha Kar Bhi Jiye Jaayenge Iss Shehar Main,
Toote Tinko Se Aashiyaan Banayenge Iss Shehar Main

Nafraton Ke Teer Chalte Hain Agar To Chalne Do,
Muskurate Hue Har Zakhm Khaayenge Iss Shehar Main

Dil To Ho Gaya Reza, Toota Har Armaan Hai,
Daastaan Dard Ki Na Sunaayenge Iss Shehar Main

Ghum Ke Saaye Bhi Dekhen Kab Talak Roke Khushi,
Ek Timtimati Aas Par Jiye Jaayenge Iss Shehar Main !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #84 on: July 30, 2009, 11:45:25 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khooob Dost!!!Bahut Hi Khoobsurat Jazbaat Pesh Kiye Hai Aapne Talat..Bahut Ache.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Auro Ko Raah Dikhane Wala,
Khud Kho Gaya Iss Shehar mein...

Naa Jaane Kya Tha Woh,
Aur Ab kya Ho Gaya Iss Shehar mein...

Iss Gard-e-Safar Mein, Dekh Kar Musafir ke Halaat!!
Pathar Bhi Naa Jaane Kyon Ro Gaya Iss Shehar mein...

Ek Fakir Jo kehta Raha Ke Waqt badlega,Halaat Phir Sudhrenge!!!
Aaj Naa Jaane Kahan,Woh khud So Gaya Iss Shehar Mein....

Yeh Zindagi Ki Raahein Tanha Kaatna Bahut  Hi Mushkil Hai "Khwaish"
Khush-Kismat Woh Shaks Jo Kisi Ka Ho Gaya Iss Shehar Mein.....



Bohot bohot achcha likha hai Khwaish.....Bohot hi khoob Dost..Aapki qalam se to humesha sach nikla hai aur humesha dil main utra hai..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Rehnumaan The, Humsafar The, Humsaaya The Iss Shehar Main,
Jaane Wo Log Kahan Bichde, Kahan Kho Gaye Iss Shehar Main

Patharon Ke Seene Main Bhi Shayad Koi Ehsaas Hai,
Insaan Ke Dil Humne Suna Pathar Hue Iss Shehar Main

Andhiyon Ki Zad Main Aur Kab Talak Jalta Chiraagh,
Haalat Se Ladne Waale Bhi Thak Gaye Iss Shehar Main

Koi Gar Humraah Na Ho, Bohot Mushkil Hai Wo Safar,
Hum Hain Lekin Dekhiye, Tanha Chale Iss Shehar Main !!

Logged
HumTum
Guest
«Reply #85 on: July 30, 2009, 03:10:09 PM »
Reply with quote
Parteek Ji - Shukriya.

Talat Ji .. bahut acche...




Lo phir aayi hai bahar iss shehar mein
Par mere liye hai khar iss shehar mein

Woh be-naqaab ho kar nikale hai ghar se
Kaun hai marne ko tiyaar iss shehar mein

Har shaks yahaN apne mein hi hai masruuf
Na muhhobat na takraar iss shehar mein

Goya, ke aastinoN mein saanp pale ho
Dete hai fareb sab yaar iss shehar mein

Jis ne bhi kar li waffadaari se dosti
Uska jeena hai dushwaar iss shehar mein

Yahan ke tour "lucknow" jassey nai hai
Aap kyun aaye sarkaar iss shehar mein

Yeh Ranjhe ka shehar hai aao ishq karen
Chhodo, ladna hai bekaar iss shehar mein !!


HumTum

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #86 on: July 30, 2009, 08:20:38 PM »
Reply with quote
Khwaish ji Celmira ji zabardast likha hai aap hazaraat ne.

HumTum ji, bohot kam waqt aata hun, or zyada padh nahi pata... zabardast likhte hain aap, aakhri ghazal to bohot hi kamaal hai, allah kare zor-e-sukhan or zayada...
Logged
Talat
Guest
«Reply #87 on: July 30, 2009, 08:25:38 PM »
Reply with quote
Khwaish ji Celmira ji zabardast likha hai aap hazaraat ne.


Thanks a lot Sayyid Ji, nawazish hai aapki.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #88 on: July 31, 2009, 03:28:28 AM »
Reply with quote



Thokaren Kha Kar Bhi Jiye Jaayenge Iss Shehar Main,
Toote Tinko Se Aashiyaan Banayenge Iss Shehar Main

Nafraton Ke Teer Chalte Hain Agar To Chalne Do,
Muskurate Hue Har Zakhm Khaayenge Iss Shehar Main

Dil To Ho Gaya Reza, Toota Har Armaan Hai,
Daastaan Dard Ki Na Sunaayenge Iss Shehar Main

Ghum Ke Saaye Bhi Dekhen Kab Talak Roke Khushi,
Ek Timtimati Aas Par Jiye Jaayenge Iss Shehar Main !!


Bohot bohot achcha likha hai Khwaish.....Bohot hi khoob Dost..Aapki qalam se to humesha sach nikla hai aur humesha dil main utra hai..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Rehnumaan The, Humsafar The, Humsaaya The Iss Shehar Main,
Jaane Wo Log Kahan Bichde, Kahan Kho Gaye Iss Shehar Main

Patharon Ke Seene Main Bhi Shayad Koi Ehsaas Hai,
Insaan Ke Dil Humne Suna Pathar Hue Iss Shehar Main

Andhiyon Ki Zad Main Aur Kab Talak Jalta Chiraagh,
Haalat Se Ladne Waale Bhi Thak Gaye Iss Shehar Main

Koi Gar Humraah Na Ho, Bohot Mushkil Hai Wo Safar,
Hum Hain Lekin Dekhiye, Tanha Chale Iss Shehar Main !!




Aap ki kalam vaakai aap ka saath poore Zooron-shoron se de rahi hai. Applause Applause
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #89 on: July 31, 2009, 03:33:29 AM »
Reply with quote
Parteek Ji - Shukriya.

Talat Ji .. bahut acche...




Lo phir aayi hai bahar iss shehar mein
Par mere liye hai khar iss shehar mein

Woh be-naqaab ho kar nikale hai ghar se
Kaun hai marne ko tiyaar iss shehar mein

Har shaks yahaN apne mein hi hai masruuf
Na muhhobat na takraar iss shehar mein

Goya, ke aastinoN mein saanp pale ho
Dete hai fareb sab yaar iss shehar mein

Jis ne bhi kar li waffadaari se dosti
Uska jeena hai dushwaar iss shehar mein

Yahan ke tour "lucknow" jassey nai hai
Aap kyun aaye sarkaar iss shehar mein

Yeh Ranjhe ka shehar hai aao ishq karen
Chhodo, ladna hai bekaar iss shehar mein !!


HumTum

Hur ek Lafz sundar, hur ek sher shaandaar.
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 05:23:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer