isse pehle is qadar ...

by Bulla Ki Jaana on April 07, 2005, 03:51:19 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 882 times)
Bulla Ki Jaana
Guest
Reply with quote
isse pehle is qadar jeene ki chaahat nahi hui
aisi bekhud pehle kabhi dil ki haalat nahi hui

ab tak to sukun se kat rahi thi zindagi
saanson ko pehle kabhi duaaon ki zaroorat nahi hui

gaafili me hamne tamaam umr basar kar di yahaan
aisi khoobsurat balaa se kabhi apni nisbat nahi hui

raaton ko neend muqammal hua karti thi ab talaq
charaaghon ko kabhi isse pehle itni zahmat nahi hui

duaaon ki taasir hoti dikh rahi hai rafta rafta
badnaseeb pe kabhi iilaahi ki aisi rahmat nahin hui

tanhaai se mile musaafir kaafi arsa ho gaya ab
daur-e-ziist me kabhi hamaari aisi qismat nahi hui
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Isse achchhi baat?? by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Isse mAt parho warna by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
isse pyarr kehte hai? by nice_off_me in Shayri for Khumar -e- Ishq
Isse mohabbat sanwaar de by Iftakhar Ahmad in Miscellaneous Shayri
Isse kya kahoge by nandbahu in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
thycreator
Guest
«Reply #1 on: April 07, 2005, 04:03:04 PM »
Reply with quote
Wah wah yaar........kya likha hai......

Bekarari ka ye aalam toh barson purana hai,
Jisse mehsus aaj kiya wo chalan e jamana hai,
Ab toh tum phans hi gaye ho muhabbat mein dost,
Ab toh bas bekhudi ke kadam se kadam milana hai.
Logged
pandit
Guest
«Reply #2 on: April 07, 2005, 04:08:37 PM »
Reply with quote
Quote from: "Bulla Ki Jaana"
isse pehle is qadar jeene ki chaahat nahi hui
aisi bekhud pehle kabhi dil ki haalat nahi hui

ab tak to sukun se kat rahi thi zindagi
saanson ko pehle kabhi duaaon ki zaroorat nahi hui

gaafili me hamne tamaam umr basar kar di yahaan
aisi khoobsurat balaa se kabhi apni nisbat nahi hui

raaton ko neend muqammal hua karti thi ab talaq
charaaghon ko kabhi isse pehle itni zahmat nahi hui

duaaon ki taasir hoti dikh rahi hai rafta rafta
badnaseeb pe kabhi iilaahi ki aisi rahmat nahin hui


saanso ko pehle bhi zarurat duaon ki,
ki tumhe kabhi isse jan ne ki
Logged
~Rohan~
Guest
«Reply #3 on: April 20, 2005, 10:26:45 AM »
Reply with quote
Quote from: "Bulla Ki Jaana"
isse pehle is qadar jeene ki chaahat nahi hui
aisi bekhud pehle kabhi dil ki haalat nahi hui

ab tak to sukun se kat rahi thi zindagi
saanson ko pehle kabhi duaaon ki zaroorat nahi hui

gaafili me hamne tamaam umr basar kar di yahaan
aisi khoobsurat balaa se kabhi apni nisbat nahi hui

raaton ko neend muqammal hua karti thi ab talaq
charaaghon ko kabhi isse pehle itni zahmat nahi hui

duaaon ki taasir hoti dikh rahi hai rafta rafta
badnaseeb pe kabhi iilaahi ki aisi rahmat nahin hui

tanhaai se mile musaafir kaafi arsa ho gaya ab
daur-e-ziist me kabhi hamaari aisi qismat nahi hui



bohat khoob
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 12:53:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.084 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer