Izzat dolat shohrat hikmat sab hein maaya jaal (mazHur)

by mazHur on December 13, 2013, 06:48:01 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2130 times)
mazHur
Guest
«Reply #15 on: December 15, 2013, 03:55:55 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut umda ghazal. (kaha the itne din?) Clapping Smiley Thumbs UP

Suman jee, dhanebad!!
Logged
mazHur
Guest
«Reply #16 on: December 15, 2013, 03:56:56 AM »
Reply with quote
बहुत बहुत खूब...ढेरों दाद......

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


thanks a lot Usual Smile
Logged
mazHur
Guest
«Reply #17 on: December 15, 2013, 03:58:40 AM »
Reply with quote
wha wha bhut khub
[/quote

thanks a lot Usual Smile
Logged
mazHur
Guest
«Reply #18 on: December 15, 2013, 04:00:16 AM »
Reply with quote

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

boss!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

 bahut vazandaar ghazal -rau is due



AApki shafqat ka bahut bahut shukriya Usual Smile
Logged
mazHur
Guest
«Reply #19 on: December 15, 2013, 04:02:08 AM »
Reply with quote
aik baar phir mein aap sab dostoan ka teh dil se mashkoor hoon.
sada khush rehiye abaad rahye!!:)
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #20 on: December 15, 2013, 12:55:32 PM »
Reply with quote
Mohtaram Mazhur saheb , Bada achha laga yeh adabi discussion parh kar . Ilm mein izafa hua. Albatta , mujhe is ghazal k teesre sher k pahle misre ki taqtee aur NAA JAYE par shak hai aur wazahat darkaar hai , khas taur se is liye ki NAA ke istemaal par meri ghazal 'Main Fankar Hoon' mein Aap ne aise istemal ko ghalat thahraya hai . Barai mehrbaani Wazahat farmaayein ki agar lafz NAA hai to kyuun aur agar NA hai to taqtee mein kaise hai .Ummeeed hai ki aap bhi spirit of mutual learning mein wazahat farmaayeinge . Shkriya .

Tal jaye gi ye bhi mushkil aaj nahi tu kal
chamkay ga apna mustaqbil  aaj nahi tu kal

Mauj e bala le jaye baha kar saat samandar paar
saamne aa jaye ga saahil  aaj nahi tu kal.

tere teer e nazar ka maara jaan se kion na jaye?
jaaye ga jehan se tera bismil aaj nahi tu kal.


chalte rehna kaam he apna, chahe ho safar dushwaar
Rah bane gi apni manzil aaj nahi tu kal


Nafs e ammara se bach kar chalna tha dushwaar
hum sa bhi koi  ho ga  qatil aaj nahi tu kal

Izzat dolat shohrat hikmat sab hein maaya jaal
dil ko ye le doobain ghafil aaj nahi tu kal

Dhoondh reha hoon gali gali qirya qirya
khoj hee loon ga apna qatil aaj nahi tu kal

Ilm he  aik samandar  mazHar is ka na koi kinaar
doob ke tu bhi pa le saahil aaj nahi tu kal

--
Logged
mazHur
Guest
«Reply #21 on: December 15, 2013, 10:23:16 PM »
Reply with quote
Siddiqui sahib, aapke comment ka shukriya. Mere khayal mein shairy ke usooloan ko aap se ziada is forum per shayad he koi aur behtar tor pe janta ho.

3rd sher mein Na sahih he,,,,sirf is sher ke aakhir mein Jaye  mein harf e aakhir izafi he jo mere khayal mein Jayez he!!

meri naik khawahishat aap ke saaath hein
Khaksaar
mazhur
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #22 on: December 16, 2013, 05:41:05 PM »
Reply with quote
Siddiqui sahib, aapke comment ka shukriya. Mere khayal mein shairy ke usooloan ko aap se ziada is forum per shayad he koi aur behtar tor pe janta ho.

3rd sher mein Na sahih he,,,,sirf is sher ke aakhir mein Jaye  mein harf e aakhir izafi he jo mere khayal mein Jayez he!!

meri naik khawahishat aap ke saaath hein
Khaksaar
mazhur
Mohtaram , Jawab dene ka bahut shukriya . Lekin jawab se abhi tasalli nahi hui , na jis mudde ko uthaya woh wazeh ho saka hai . Izafi harf qubool , lekin main is cheez mein confused hoon ki agar lafz Na (choti awaz se ) istemal hua hai to taqtee mein kaise aaya hai. Badi mehrbaani hogi agar aap Bahr aur is ki, choti badi awazon ke aitbar se wazeh karte hue,taqtee de den . Ise criticism na samajhiye , bulki haqeeqat mei main is  par ilm chaahta hoon . Shukriya
Logged
mazHur
Guest
«Reply #23 on: January 24, 2014, 05:08:22 AM »
Reply with quote
Tamam dostona ka dobara bahut bahut shukriya ada karta hoon!:)
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:03:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer